तब सारी मण्डली चिल्ला उठी; और रात भर वे लोग रोते ही रहे।
Tab sari mandali chilla uthi; aur raat bhar ve log rote hi rahe.
Numbers 14 · 45 verses
तब सारी मण्डली चिल्ला उठी; और रात भर वे लोग रोते ही रहे।
Tab sari mandali chilla uthi; aur raat bhar ve log rote hi rahe.
और सब इस्त्राएली मूसा और हारून पर बुड़बुड़ाने लगे; और सारी मण्डली उसने कहने लगी, कि भला होता कि हम मिस्र ही में मर जाते! वा इस जंगल ही में मर जाते!
Aur sab istrayeli Musa aur haroon par budbudane lage; aur sari mandali usne kahne lagi, ki bhala hota ki ham Misr hi mein mar jate! Va is jangal hi mein mar jate!
और यहोवा हम को उस देश में ले जा कर क्यों तलवार से मरवाना चाहता है? हमारी स्त्रियां और बालबच्चे तो लूट में चलें जाएंगे; क्या हमारे लिये अच्छा नहीं कि हम मिस्र देश को लौट जाएं?
Aur Yahowa ham ko us desh mein le ja kar kyon talvaar se marvana chahta hai? Hamari striyan aur balbachche to loot mein chalein jayenge; kya hamare liye achchha nahi ki ham Misr desh ko laut jayen?
फिर वे आपस में कहने लगे, आओ, हम किसी को अपना प्रधान बना लें, और मिस्र को लौट चलें।
Phir ve aapas mein kahne lage, aao, ham kisi ko apna pradhaan bana lein, aur Misr ko laut chalein.
तब मूसा और हारून इस्त्राएलियों की सारी मण्डली के साम्हने मुंह के बल गिरे।
Tab Musa aur haroon istrayeliyon ki sari mandali ke samhane munh ke bal gire.
और नून का पुत्र यहोशू और यपुन्ने का पुत्र कालिब, जो देश के भेद लेने वालों में से थे, अपने अपने वस्त्र फाड़कर,
Aur noon ka putra yahoshu aur yapunne ka putra kalib, jo desh ke bhed lene valon mein se the, apne apne vastra phadkar,
इस्त्राएलियों की सारी मण्डली से कहने लगे, कि जिस देश का भेद लेने को हम इधर उधर घूम कर आए हैं, वह अत्यन्त उत्तम देश है।
Istrayeliyon ki sari mandali se kahne lage, ki jis desh ka bhed lene ko ham idhar udhar ghoom kar aaye hain, vah atyant uttam desh hai.
यदि यहोवा हम से प्रसन्न हो, तो हम को उस देश में, जिस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, पहुंचाकर उसे हमे दे देगा।
Yadi Yahowa ham se prasann ho, to ham ko us desh mein, jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, pahunchakar use hame de dega.
केवल इतना करो कि तुम यहोवा के विरुद्ध बलवा न करो; और न तो उस देश के लोगों से डरो, क्योंकि वे हमारी रोटी ठहरेंगे; छाया उनके ऊपर से हट गई है, और यहोवा हमारे संग है; उन से न डरो।
Keval itna karo ki tum Yahowa ke viruddh balva na karo; aur na to us desh ke logon se daro, kyonki ve hamari roti thahrenge; chhaya unke oopar se hat gai hai, aur Yahowa hamare sang hai; un se na daro.
तब सारी मण्डली चिल्ला उठी, कि इन को पत्थरवाह करो। तब यहोवा का तेज सब इस्त्राएलियों पर प्रकाशमान हुआ॥
Tab sari mandali chilla uthi, ki in ko pattharvaah karo. Tab Yahowa ka tej sab istrayeliyon par prakashmaan huaa.
तब यहोवा ने मूसा से कहा, वे लोग कब तक मेरा तिरस्कार करते रहेंगे? और मेरे सब आश्चर्यकर्म देखने पर भी कब तक मुझ पर विश्वास न करेंगे?
Tab Yahowa ne Musa se kaha, ve log kab tak mera tiraskaar karte rahenge? Aur mere sab aashcharyakarm dekhne par bhi kab tak mujh par vishwaas na karenge?
मैं उन्हें मरी से मारूंगा, और उनके निज भाग से उन्हें निकाल दूंगा, और तुझ से एक जाति उपजाऊंगा जो उन से बड़ी और बलवन्त होगी।
Main unhein mari se maroonga, aur unke nij bhaag se unhein nikaal doonga, aur tujh se ek jati upjaoonga jo un se badi aur balvant hogi.
मूसा ने यहोवा से कहा, तब तो मिस्री जिनके मध्य में से तू अपनी सामर्थ्य दिखाकर उन लोगों को निकाल ले आया है यह सुनेंगे,
Musa ne Yahowa se kaha, tab to misri jinke madhya mein se tu apni samarthya dikhakar un logon ko nikaal le aaya hai yah sunenge,
और इस देश के निवासियों कहेंगे। उन्होंने तो यह सुना है, कि तू जो यहोवा है इन लोगों के मध्य में रहता है; और प्रत्यक्ष दिखाई देता है, और तेरा बादल उनके ऊपर ठहरा रहता है, और तू दिन को बादल के खम्भे में, और रात को अग्नि के खम्भे में हो कर इनके आगे आगे चला करता है।
Aur is desh ke nivasiyon kahenge. Unhonne to yah suna hai, ki tu jo Yahowa hai in logon ke madhya mein rahta hai; aur pratyaksh dikhai deta hai, aur tera badal unke oopar thahra rahta hai, aur tu din ko badal ke khambhe mein, aur raat ko agni ke khambhe mein ho kar inke aage aage chala karta hai.
इसलिये यदि तू इन लोगों को एक ही बार में मार डाले, तो जिन जातियों ने तेरी कीर्ति सुनी है वे कहेंगी,
Isliye yadi tu in logon ko ek hi baar mein maar dale, to jin jatiyon ne teri keerti suni hai ve kahengi,
कि यहोवा उन लोगों को उस देश में जिसे उसने उन्हें देने की शपथ खाई थी पहुंचा न सका, इस कारण उसने उन्हें जंगल में घात कर डाला है।
Ki Yahowa un logon ko us desh mein jise usne unhein dene ki shapath khai thi pahuncha na saka, is karan usne unhein jangal mein ghaat kar dala hai.
सो अब प्रभु की सामर्थ्य की महिमा तेरे इस कहने के अनुसार हो,
So ab Prabhu ki samarthya ki mahima tere is kahne ke anusaar ho,
कि यहोवा कोप करने में धीरजवन्त और अति करूणामय है, और अधर्म और अपराध का क्षमा करनेवाला है, परन्तु वह दोषी को किसी प्रकार से निर्दोष न ठहराएगा, और पूर्वजों के अधर्म का दण्ड उनके बेटों, और पोतों, और परपोतों को देता है।
Ki Yahowa kop karne mein dheerajvant aur ati karoonamay hai, aur adharm aur apraadh ka kshama karnevala hai, parantu vah doshi ko kisi prakaar se nirdosh na thahrayega, aur poorvajon ke adharm ka dand unke beton, aur poton, aur parpoton ko deta hai.
अब इन लोगों के अधर्म को अपनी बड़ी करूणा के अनुसार, और जैसे तू मिस्र से ले कर यहां तक क्षमा करता रहा है वैसे ही अब भी क्षमा कर दे।
Ab in logon ke adharm ko apni badi karoona ke anusaar, aur jaise tu Misr se le kar yahan tak kshama karta raha hai vaise hi ab bhi kshama kar de.
यहोवा ने कहा, तेरी बिनती के अनुसार मैं क्षमा करता हूं;
Yahowa ne kaha, teri binti ke anusaar main kshama karta hoon;
परन्तु मेरे जीवन की शपथ सचमुच सारी पृथ्वी यहोवा की महिमा से परिपूर्ण हो जाएगी;
Parantu mere jeevan ki shapath sachmuch sari prithvi Yahowa ki mahima se paripoorn ho jayegi;
उन सब लोगों ने जिन्होंने मेरी महिमा मिस्र देश में और जंगल में देखी, और मेरे किए हुए आश्चर्यकर्मों को देखने पर भी दस बार मेरी परीक्षा की, और मेरी बातें नहीं मानी,
Un sab logon ne jinhonne meri mahima Misr desh mein aur jangal mein dekhi, aur mere kiye hue aashcharyakarmon ko dekhne par bhi das baar meri pareeksha ki, aur meri batein nahi mani,
इसलिये जिस देश के विषय मैं ने उनके पूर्वजों से शपथ खाई, उसको वे कभी देखने न पाएंगे; अर्थात जितनों ने मेरा अपमान किया है उन में से कोई भी उसे देखने न पाएगा।
Isliye jis desh ke vishay main ne unke poorvajon se shapath khai, usko ve kabhi dekhne na payenge; arthaat jitnon ne mera apmaan kiya hai un mein se koi bhi use dekhne na payega.
परन्तु इस कारण से कि मेरे दास कालिब के साथ और ही आत्मा है, और उसने पूरी रीति से मेरा अनुकरण किया है, मैं उसको उस देश में जिस में वह हो आया है पहुंचाऊंगा, और उसका वंश उस देश का अधिकारी होगा।
Parantu is karan se ki mere daas kalib ke saath aur hi aatma hai, aur usne poori reeti se mera anukran kiya hai, main usko us desh mein jis mein vah ho aaya hai pahunchaoonga, aur uska vansh us desh ka adhikari hoga.
अमालेकी और कनानी लोग तराई में रहते हैं, सो कल तुम घूमकर प्रस्थान करो, और लाल समुद्र के मार्ग से जंगल में जाओ॥
Amaleki aur kanani log tarai mein rahte hain, so kal tum ghoomkar prasthaan karo, aur laal samudra ke maarg se jangal mein jao.
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
यह बुरी मण्डली मुझ पर बुड़बुड़ाती रहती है, उसको मैं कब तक सहता रहूं? इस्त्राएली जो मुझ पर बुड़बुड़ाते रहते हैं, उनका यह बुड़बुड़ाना मैं ने तो सुना है।
Yah buri mandali mujh par budbudati rahti hai, usko main kab tak sahta rahun? Istrayeli jo mujh par budbudate rahte hain, unka yah budbudana main ne to suna hai.
सो उन से कह, कि यहोवा की यह वाणी है, कि मेरे जीवन की शपथ जो बातें तुम ने मेरे सुनते कही हैं, नि:सन्देह मैं उसी के अनुसार तुम्हारे साथ व्यवहार करूंगा।
So un se kah, ki Yahowa ki yah vani hai, ki mere jeevan ki shapath jo batein tum ne mere sunte kahi hain, nisandeh main usi ke anusaar tumhare saath vyavhaar karoonga.
तुम्हारी लोथें इसी जंगल में पड़ी रहेंगी; और तुम सब में से बीस वर्ष की वा उससे अधिक अवस्था के जितने गिने गए थे, और मुझ पर बुड़बुड़ाते थे,
Tumhari lothein isi jangal mein padi rahengi; aur tum sab mein se bees varsh ki va usse adhik avastha ke jitne gine gaye the, aur mujh par budbudate the,
उस में से यपुन्ने के पुत्र कालिब और नून के पुत्र यहोशू को छोड़ कोई भी उस देश में न जाने पाएगा, जिसके विषय मैं ने शपथ खाई है कि तुम को उस में बसाऊंगा।
Us mein se yapunne ke putra kalib aur noon ke putra yahoshu ko chhod koi bhi us desh mein na jane payega, jiske vishay main ne shapath khai hai ki tum ko us mein basaoonga.
परन्तु तुम्हारे बालबच्चे जिनके विषय तुम ने कहा है, कि ये लूट में चले जाएंगे, उन को मैं उस देश में पहुंचा दूंगा; और वे उस देश को जान लेंगे जिस को तुम ने तुच्छ जाना है।
Parantu tumhare balbachche jinke vishay tum ne kaha hai, ki ye loot mein chale jayenge, un ko main us desh mein pahuncha doonga; aur ve us desh ko jaan lenge jis ko tum ne tuchchh jana hai.
परन्तु तुम लोगों की लोथें इसी जंगल में पड़ी रहेंगी।
Parantu tum logon ki lothein isi jangal mein padi rahengi.
और जब तक तुम्हारी लोथें जंगल में न गल जाएं तक तक, अर्थात चालीस वर्ष तक, तुम्हारे बालबच्चे जंगल में तुम्हारे व्यभिचार का फल भोगते हुए चरवाही करते रहेंगे।
Aur jab tak tumhari lothein jangal mein na gal jayen tak tak, arthaat chalees varsh tak, tumhare balbachche jangal mein tumhare vyabhichaar ka phal bhogte hue charvahi karte rahenge.
जितने दिन तुम उस देश का भेद लेते रहे, अर्थात चालीस दिन उनकी गिनती के अनुसार, दिन पीछे उस वर्ष, अर्थात चालीस वर्ष तक तुम अपने अधर्म का दण्ड उठाए रहोगे, तब तुम जान लोगे कि मेरा विरोध क्या है।
Jitne din tum us desh ka bhed lete rahe, arthaat chalees din unki ginti ke anusaar, din peechhe us varsh, arthaat chalees varsh tak tum apne adharm ka dand uthaye rahoge, tab tum jaan loge ki mera virodh kya hai.
मैं यहोवा यह कह चुका हूं, कि इस बुरी मण्डली के लोग जो मेरे विरुद्ध इकट्ठे हुए हैं उसी जंगल में मर मिटेंगे; और नि:सन्देह ऐसा ही करूंगा भी।
Main Yahowa yah kah chuka hoon, ki is buri mandali ke log jo mere viruddh ikatthe hue hain usi jangal mein mar mitenge; aur nisandeh aisa hi karoonga bhi.
तब जिन पुरूषों को मूसा ने उस देश के भेद लेने के लिये भेजा था, और उन्होंने लौटकर उस देश की नामधराई करके सारी मण्डली को कुड़कुड़ाने के लिये उभारा था,
Tab jin purooshon ko Musa ne us desh ke bhed lene ke liye bheja tha, aur unhonne lautkar us desh ki namadhrai karke sari mandali ko kudkudane ke liye ubhara tha,
उस देश की वे नामधराई करने वाले पुरूष यहोवा के मारने से उसके साम्हने मर गए।
Us desh ki ve namadhrai karne vale puroosh Yahowa ke marne se uske samhane mar gaye.
परन्तु देश के भेद लेने वाले पुरूषों में से नून का पुत्र यहोशू और यपुन्ने का पुत्र कालिब दोनों जीवित रहे।
Parantu desh ke bhed lene vale purooshon mein se noon ka putra yahoshu aur yapunne ka putra kalib donon jeevit rahe.
तब मूसा ने ये बातें सब इस्त्राएलियों को कह सुनाईं और वे बहुत विलाप करने लगे।
Tab Musa ne ye batein sab istrayeliyon ko kah sunai aur ve bahut vilaap karne lage.
और वे बिहान को सवेरे उठ कर यह कहते हुए पहाड़ की चोटी पर चढ़ने लगे, कि हम ने पाप किया है; परन्तु अब तैयार हैं, और उस स्थान को जाएंगे जिसके विषय यहोवा ने वचन दिया था।
Aur ve bihaan ko savere uth kar yah kahte hue pahaad ki choti par chadhne lage, ki ham ne paap kiya hai; parantu ab taiyaar hain, aur us sthaan ko jayenge jiske vishay Yahowa ne vachan diya tha.
तब मूसा ने कहा, तुम यहोवा की आज्ञा का उल्लंघन क्यों करते हो? यह सफल न होगा।
Tab Musa ne kaha, tum Yahowa ki aagya ka ullanghan kyon karte ho? Yah saphal na hoga.
यहोवा तुम्हारे मध्य में नहीं है, मत चढ़ो, नहीं तो शत्रुओं से हार जाओगे।
Yahowa tumhare madhya mein nahi hai, mat chadho, nahi to shatruon se haar jaoge.
वहां तुम्हारे आगे अमालेकी और कनानी लोग हैं, सो तुम तलवार से मारे जाओगे; तुम यहोवा को छोड़कर फिर गए हो, इसलिये वह तुम्हारे संग नहीं रहेगा।
Vahan tumhare aage amaleki aur kanani log hain, so tum talvaar se mare jaoge; tum Yahowa ko chhodkar phir gaye ho, isliye vah tumhare sang nahi rahega.
परन्तु वे ढिठाई करके पहाड़ की चोटी पर चढ़ गए, परन्तु यहोवा की वाचा का सन्दूक, और मूसा, छावनी से न हटे।
Parantu ve dhithai karke pahaad ki choti par chadh gaye, parantu Yahowa ki vacha ka sandook, aur Musa, chhavni se na hate.
अब अमालेकी और कनानी जो उस पहाड़ पर रहते थे उन पर चढ़ आए, और होर्मा तक उन को मारते चले आए॥
Ab amaleki aur kanani jo us pahaad par rahte the un par chadh aaye, aur horma tak un ko marte chale aaye.