फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Numbers 13 · 33 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
कनान देश जिसे मैं इस्त्राएलियों को देता हूं उसका भेद लेने के लिये पुरूषों को भेज; वे उनके पितरों के प्रति गोत्र का एक प्रधान पुरूष हों।
Kanaan desh jise main istrayeliyon ko deta hoon uska bhed lene ke liye purooshon ko bhej; ve unke pitron ke prati gotra ka ek pradhaan puroosh hon.
यहोवा से यह आज्ञा पाकर मूसा ने ऐसे पुरूषों को पारान जंगल से भेज दिया, जो सब के सब इस्त्राएलियों के प्रधान थे।
Yahowa se yah aagya pakar Musa ne aise purooshon ko paraan jangal se bhej diya, jo sab ke sab istrayeliyon ke pradhaan the.
उनके नाम ये हैं, अर्थात रूबेन के गोत्र में से जककूर का पुत्र शम्मू;
Unke naam ye hain, arthaat rooben ke gotra mein se jakkoor ka putra shammu;
शिमोन के गोत्र में से होरी का पुत्र शापात;
Shimon ke gotra mein se hori ka putra shapaat;
यहूदा के गोत्र में से यपुन्ने का पुत्र कालेब;
Yahuda ke gotra mein se yapunne ka putra kaleb;
इस्साकार के गोत्र में से योसेप का पुत्र यिगाल;
Issakaar ke gotra mein se yosep ka putra yigaal;
एप्रैम के गोत्र में से नून का पुत्र होशे;
Epraim ke gotra mein se noon ka putra hoshe;
बिन्यामीन के गोत्र में से रापू का पुत्र पलती;
Binyameen ke gotra mein se rapu ka putra palti;
जबूलून के गोत्र में से सोदी का पुत्र गद्दीएल;
Jabooloon ke gotra mein se sodi ka putra gaddeeyel;
यूसुफ वंशियों में, मनश्शे के गोत्र में से सूसी का पुत्र गद्दी;
Yusuf vanshiyon mein, manashshe ke gotra mein se soosi ka putra gaddi;
दान के गोत्र में से गमल्ली का पुत्र अम्मीएल;
Daan ke gotra mein se gamalli ka putra ammeeyel;
आशेर के गोत्र में से मीकाएल का पुत्र सतूर;
Aasher ke gotra mein se meekayel ka putra satoor;
नप्ताली के गोत्र में से वोप्सी का पुत्र नहूबी;
Naptali ke gotra mein se vopsi ka putra nahoobi;
गाद के गोत्र में से माकी का पुत्र गूएल।
Gaad ke gotra mein se maki ka putra gooyel.
जिन पुरूषों को मूसा ने देश का भेद लेने के लिये भेजा था उनके नाम ये ही हैं। और नून के पुत्र होशे का नाम उसने यहोशू रखा।
Jin purooshon ko Musa ne desh ka bhed lene ke liye bheja tha unke naam ye hi hain. Aur noon ke putra hoshe ka naam usne yahoshu rakha.
उन को कनान देश के भेद लेने को भेजते समय मूसा ने कहा, इधर से, अर्थात दक्षिण देश हो कर जाओ,
Un ko kanaan desh ke bhed lene ko bhejte samay Musa ne kaha, idhar se, arthaat dakshin desh ho kar jao,
और पहाड़ी देश में जा कर उस देश को देख लो कि कैसा है, और उस में बसे हुए लोगों को भी देखो कि वे बलवान् हैं वा निर्बल, थोड़े हैं वा बहुत,
Aur pahadi desh mein ja kar us desh ko dekh lo ki kaisa hai, aur us mein base hue logon ko bhi dekho ki ve balvaan hain va nirbal, thode hain va bahut,
और जिस देश में वे बसे हुए हैं सो कैसा है, अच्छा वा बुरा, और वे कैसी कैसी बस्तियों में बसे हुए हैं, और तम्बुओं में रहते हैं वा गढ़ वा किलों में रहते हैं,
Aur jis desh mein ve base hue hain so kaisa hai, achchha va bura, aur ve kaisi kaisi bastiyon mein base hue hain, aur tambuon mein rahte hain va gadh va kilon mein rahte hain,
और वह देश कैसा है, उपजाऊ है वा बंजर है, और उस में वृक्ष हैं वा नहीं। और तुम हियाव बान्धे चलो, और उस देश की उपज में से कुछ लेते भी आना। वह समय पहली पक्की दाखों का था।
Aur vah desh kaisa hai, upjau hai va banjar hai, aur us mein vriksh hain va nahi. Aur tum hiyaav bandhe chalo, aur us desh ki upaj mein se kuchh lete bhi aana. Vah samay pahli pakki dakhon ka tha.
सो वे चल दिए, और सीन नाम जंगल से ले रहोब तक, जो हमात के मार्ग में है, सारे देश को देखभालकर उसका भेद लिया।
So ve chal diye, aur seen naam jangal se le rahob tak, jo hamaat ke maarg mein hai, sare desh ko dekhbhalkar uska bhed liya.
सो वे दक्षिण देश हो कर चले, और हेब्रोन तक गए; वहां अहीमन, शेशै, और तल्मै नाम अनाकवंशी रहते थे। हेब्रोन तो मिस्र के सोअन से सात वर्ष पहिले बसाया गया था।
So ve dakshin desh ho kar chale, aur hebron tak gaye; vahan aheeman, sheshai, aur talmai naam anakvanshi rahte the. Hebron to Misr ke soan se saat varsh pahile basaya gaya tha.
तब वे एशकोल नाम नाले तक गए, और वहां से एक डाली दाखों के गुच्छे समेत तोड़ ली, और दो मनुष्य उस एक लाठी पर लटकाए हुए उठा ले चले गए; और वे अनारों और अंजीरों में से भी कुछ कुछ ले आए।
Tab ve eshkol naam nale tak gaye, aur vahan se ek dali dakhon ke guchchhe samet tod li, aur do manushya us ek lathi par latkaye hue utha le chale gaye; aur ve anaron aur anjeeron mein se bhi kuchh kuchh le aaye.
इस्त्राएली वहां से जो दाखों का गुच्छा तोड़ ले आए थे, इस कारण उस स्थान का नाम एशकोल नाला रखा गया।
Istrayeli vahan se jo dakhon ka guchchha tod le aaye the, is karan us sthaan ka naam eshkol nala rakha gaya.
चालीस दिन के बाद वे उस देश का भेद ले कर लौट आए।
Chalees din ke baad ve us desh ka bhed le kar laut aaye.
और पारान जंगल के कादेश नाम स्थान में मूसा और हारून और इस्त्राएलियों की सारी मण्डली के पास पहुंचे; और उन को और सारी मण्डली को संदेशा दिया, और उस देश के फल उन को दिखाए।
Aur paraan jangal ke kadesh naam sthaan mein Musa aur haroon aur istrayeliyon ki sari mandali ke paas pahunche; aur un ko aur sari mandali ko sandesha diya, aur us desh ke phal un ko dikhaye.
उन्होंने मूसा से यह कहकर वर्णन किया, कि जिस देश में तू ने हम को भेजा था उस में हम गए; उस में सचमुच दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, और उसकी उपज में से यही है।
Unhonne Musa se yah kahkar varnan kiya, ki jis desh mein tu ne ham ko bheja tha us mein ham gaye; us mein sachmuch doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, aur uski upaj mein se yahi hai.
परन्तु उस देश के निवासी बलवान् हैं, और उसके नगर गढ़ वाले हैं और बहुत बड़े हैं; और फिर हम ने वहां अनाकवंशियों को भी देखा।
Parantu us desh ke nivasi balvaan hain, aur uske nagar gadh vale hain aur bahut bade hain; aur phir ham ne vahan anakvanshiyon ko bhi dekha.
दक्षिण देश में तो अमालेकी बसे हुए हैं; और पहाड़ी देश में हित्ती, यबूसी, और एमोरी रहते हैं; और समुद्र के किनारे किनारे और यरदन नदी के तट पर कनानी बसे हुए हैं।
Dakshin desh mein to amaleki base hue hain; aur pahadi desh mein hitti, yaboosi, aur emori rahte hain; aur samudra ke kinare kinare aur yardan nadi ke tat par kanani base hue hain.
पर कालेब ने मूसा के साम्हने प्रजा के लोगों को चुप कराने की मनसा से कहा, हम अभी चढ़ के उस देश को अपना कर लें; क्योंकि नि:सन्देह हम में ऐसा करने की शक्ति है।
Par kaleb ne Musa ke samhane praja ke logon ko chup karane ki mansa se kaha, ham abhi chadh ke us desh ko apna kar lein; kyonki nisandeh ham mein aisa karne ki shakti hai.
पर जो पुरूष उसके संग गए थे उन्होंने कहा, उन लोगों पर चढ़ने की शक्ति हम में नहीं है; क्योंकि वे हम से बलवान् हैं।
Par jo puroosh uske sang gaye the unhonne kaha, un logon par chadhne ki shakti ham mein nahi hai; kyonki ve ham se balvaan hain.
और उन्होंने इस्त्राएलियों के साम्हने उस देश की जिसका भेद उन्होंने लिया था यह कहकर निन्दा भी की, कि वह देश जिसका भेद लेने को हम गये थे ऐसा है, जो अपने निवासियों निगल जाता है; और जितने पुरूष हम ने उस में देखे वे सब के सब बड़े डील डौल के हैं।
Aur unhonne istrayeliyon ke samhane us desh ki jiska bhed unhonne liya tha yah kahkar ninda bhi ki, ki vah desh jiska bhed lene ko ham gaye the aisa hai, jo apne nivasiyon nigal jata hai; aur jitne puroosh ham ne us mein dekhe ve sab ke sab bade deel daul ke hain.
फिर हम ने वहां नपीलों को, अर्थात नपीली जाति वाले अनाकवंशियों को देखा; और हम अपनी दृष्टि में तो उनके साम्हने टिड्डे के समान दिखाई पड़ते थे, और ऐसे ही उनकी दृष्टि में मालूम पड़ते थे॥
Phir ham ne vahan napeelon ko, arthaat napeeli jati vale anakvanshiyon ko dekha; aur ham apni drishti mein to unke samhane tidde ke samaan dikhai padte the, aur aise hi unki drishti mein maloom padte the.