फिर उसी महीने के चौबीसवें दिन को इस्राएली उपवास का टाट पहिने और सिर पर धूल डाले हुए, इकट्ठे हो गए।
Phir usi maheene ke chaubeesvein din ko Israeli upvaas ka taat pahine aur sir par dhool dale hue, ikatthe ho gaye.
Nehemiah 9 · 38 verses
फिर उसी महीने के चौबीसवें दिन को इस्राएली उपवास का टाट पहिने और सिर पर धूल डाले हुए, इकट्ठे हो गए।
Phir usi maheene ke chaubeesvein din ko Israeli upvaas ka taat pahine aur sir par dhool dale hue, ikatthe ho gaye.
तब इस्राएल के वंश के लोग सब अन्यजाति लोगों से अलग हो गए, और खड़े हो कर, अपने अपने पापों और अपने पुरखाओं के अधर्म के कामों को मान लिया।
Tab Israel ke vansh ke log sab anyajati logon se alag ho gaye, aur khade ho kar, apne apne papon aur apne purkhaon ke adharm ke kamon ko maan liya.
तब उन्होंने अपने अपने स्थान पर खड़े हो कर दिन के एक पहर तक अपने परमेश्वर यहोवा की व्यवस्था की पुस्तक पढ़ते, और एक और पहर अपने पापों को मानते, और अपने परमेश्वर यहोवा को दण्डवत करते रहे।
Tab unhonne apne apne sthaan par khade ho kar din ke ek pahar tak apne Parmeshwar Yahowa ki vyavastha ki pustak padhte, aur ek aur pahar apne papon ko mante, aur apne Parmeshwar Yahowa ko dandavat karte rahe.
और येशू, बानी, कदमीएल, शबन्याह, बुन्नी, शेरेब्याह, बानी और कनानी ने लेवियों की सीढ़ी पर खड़े हो कर ऊंचे स्वर से अपने परमेश्वर यहोवा की दोहाई दी।
Aur yeshu, bani, kadmeeyel, shabanyaah, bunni, sherebyaah, bani aur kanani ne leviyon ki seedhi par khade ho kar oonche swar se apne Parmeshwar Yahowa ki dohai di.
फिर येशू, कदमीएल, बानी, हशब्नयाह, शेरेब्याह, होदिय्याह, शबन्याह, और पतह्याह नाम लेवियों ने कहा, खड़े हो; अपने परमेश्वर यहोवा को अनादिकाल से अनन्तकाल तक धन्य कहो। तेरा महिमायुक्त नाम धन्य कहा जाए, जो सब धन्यवाद और स्तुति से परे है।
Phir yeshu, kadmeeyel, bani, hashabnayaah, sherebyaah, hodiyyaah, shabanyaah, aur patahyaah naam leviyon ne kaha, khade ho; apne Parmeshwar Yahowa ko anadikaal se anantakaal tak dhanya kaho. Tera mahimayukt naam dhanya kaha jaye, jo sab dhanyavaad aur stuti se pare hai.
तू ही अकेला यहोवा है; स्वर्ग वरन सब से ऊंचे स्वर्ग और उसके सब गण, और पृथ्वी और जो कुछ उस में है, और समुद्र और जो कुछ उस में है, सभों को तू ही ने बनाया, और सभों की रक्षा तू ही करता है; और स्वर्ग की समस्त सेना तुझी को दण्डवत करती हैं।
Tu hi akela Yahowa hai; swarg varan sab se oonche swarg aur uske sab gan, aur prithvi aur jo kuchh us mein hai, aur samudra aur jo kuchh us mein hai, sabhon ko tu hi ne banaya, aur sabhon ki raksha tu hi karta hai; aur swarg ki samast sena tujhi ko dandavat karti hain.
हे यहोवा! तू वही परमेश्वर है, जो अब्राहाम को चुनकर कसदियों के ऊर नगर में से निकाल लाया, और उसका नाम इब्राहीम रखा;
He Yahowa! Tu vahi Parmeshwar hai, jo abrahaam ko chunkar kasdiyon ke oor nagar mein se nikaal laya, aur uska naam Ibrahim rakha;
और उसके मन को अपने साथ सच्चा पाकर, उस से वाचा बान्धी, कि मैं तेरे वंश को कनानियों, हित्तियों, एमोरियों, परिज्जियों, यबूसियों, और गिर्गाशियों का देश दूंगा; और तू ने अपना वह वचन पूरा भी किया, क्योंकि तू धर्मी है।
Aur uske man ko apne saath sachcha pakar, us se vacha bandhi, ki main tere vansh ko kananiyon, hittiyon, emoriyon, parijjiyon, yaboosiyon, aur girgashiyon ka desh doonga; aur tu ne apna vah vachan poora bhi kiya, kyonki tu dharmi hai.
फिर तू ने मिस्र में हमारे पुरखाओं के दु:ख पर दृष्टि की; और लाल समुद्र के तट पर उनकी दोहाई सुनी।
Phir tu ne Misr mein hamare purkhaon ke dukh par drishti ki; aur laal samudra ke tat par unki dohai suni.
और फ़िरौन और उसके सब कर्मचारी वरन उसके देश के सब लोगों को दण्ड देने के लिये चिन्ह और चमत्कार दिखाए; क्योंकि तू जानता था कि वे उन से अभिमान करते हैं; और तू ने अपना ऐसा बड़ा नाम किया, जैसा आज तक वर्तमान है।
Aur firaun aur uske sab karmachari varan uske desh ke sab logon ko dand dene ke liye chinh aur chamatkaar dikhaye; kyonki tu janta tha ki ve un se abhimaan karte hain; aur tu ne apna aisa bada naam kiya, jaisa aaj tak vartamaan hai.
और तू ने उनके आगे समुद्र को ऐसा दो भाग किया, कि वे समुद्र के बीच स्थल ही स्थल चलकर पार हो गए; और जो उनके पीछे पड़े थे, उन को तू ने गहिरे स्थानों में ऐसा डाल दिया, जैसा पत्थर महाजलराशि में डाला जाए।
Aur tu ne unke aage samudra ko aisa do bhaag kiya, ki ve samudra ke beech sthal hi sthal chalkar paar ho gaye; aur jo unke peechhe pade the, un ko tu ne gahire sthanon mein aisa daal diya, jaisa patthar mahajalrashi mein dala jaye.
फिर तू ने दिन को बादल के खम्भे में हो कर और रात को आग के खम्भे में हो कर उनकी अगुआई की, कि जिस मार्ग पर उन्हें चलना था, उस में उन को उजियाला मिले।
Phir tu ne din ko badal ke khambhe mein ho kar aur raat ko aag ke khambhe mein ho kar unki aguaai ki, ki jis maarg par unhein chalna tha, us mein un ko ujiyala mile.
फिर तू ने सीनै पर्वत पर उतर कर आकाश में से उनके साथ बातें की, और उन को सीधे नियम, सच्ची व्यवस्था, और अच्छी विधियां, और आज्ञाएं दीं।
Phir tu ne seenai parvat par utar kar aakaash mein se unke saath batein ki, aur un ko seedhe niyam, sachchi vyavastha, aur achchhi vidhiyan, aur aagyayen di.
और उन्हें अपने पवित्र विश्राम दिन का ज्ञान दिया, और अपने दास मूसा के द्वारा आज्ञाएं और विधियां और व्यवस्था दीं।
Aur unhein apne pavitra vishraam din ka gyaan diya, aur apne daas Musa ke dwara aagyayen aur vidhiyan aur vyavastha di.
और उनकी भूख मिटाने को आकाश से उन्हें भोजन दिया और उनकी प्यास बुझाने को चट्टान में से उनके लिये पानी निकाला, और उन्हें आज्ञा दी कि जिस देश को तुम्हें देने की मैं ने शपथ खाई है उसके अधिकारी होने को तुम उस में जाओ।
Aur unki bhookh mitane ko aakaash se unhein bhojan diya aur unki pyaas bujhane ko chattaan mein se unke liye pani nikala, aur unhein aagya di ki jis desh ko tumhein dene ki main ne shapath khai hai uske adhikari hone ko tum us mein jao.
परन्तु उन्होंने और हमारे पुरखाओं ने अभिमान किया, और हठीले बने और तेरी आज्ञाएं न मानी;
Parantu unhonne aur hamare purkhaon ne abhimaan kiya, aur hatheele bane aur teri aagyayen na mani;
और आज्ञा मनने से इनकार किया, और जो आश्चर्यकर्म तू ने उनके बीच किए थे, उनका स्मरण न किया, वरन हठ करके यहां तक बलवा करने वाले बने, कि एक प्रधान ठहराया, कि अपने दासत्व की दशा में लौटे। परन्तु तू क्षमा करने वाला अनुग्रहकारी और दयालु, विलम्ब से कोप करने वाला, और अतिकरुणामय ईश्वर है, तू ने उन को न त्यागा।
Aur aagya manne se inkaar kiya, aur jo aashcharyakarm tu ne unke beech kiye the, unka smaran na kiya, varan hath karke yahan tak balva karne vale bane, ki ek pradhaan thahraya, ki apne dasatva ki dasha mein laute. Parantu tu kshama karne vala anugrahkari aur dayalu, vilamb se kop karne vala, aur atikrunamay ishwar hai, tu ne un ko na tyaga.
वरन जब उन्होंने बछड़ा ढालकर कहा, कि तुम्हारा परमेश्वर जो तुम्हें मिस्र देश से छुड़ा लाया है, वह यही है, और तेरा बहुत तिरस्कार किया,
Varan jab unhonne bachhda dhalkar kaha, ki tumhara Parmeshwar jo tumhein Misr desh se chhuda laya hai, vah yahi hai, aur tera bahut tiraskaar kiya,
तब भी तू जो अति दयालु है, उन को जंगल में न त्यागा; न तो दिन को अगुआई करने वाला बादल का खम्भा उन पर से हटा, और न रात को उजियाला देने वाला और उनका मार्ग दिखाने वाला आग का खम्भा।
Tab bhi tu jo ati dayalu hai, un ko jangal mein na tyaga; na to din ko aguaai karne vala badal ka khambha un par se hata, aur na raat ko ujiyala dene vala aur unka maarg dikhane vala aag ka khambha.
वरन तू ने उन्हें समझाने के लिये अपने आत्मा को जो भला है दिया, और अपना मन्ना उन्हें खिलाना न छोड़ा, और उनकी प्यास बुझाने को पानी देता रहा।
Varan tu ne unhein samjhane ke liye apne aatma ko jo bhala hai diya, aur apna manna unhein khilana na chhoda, aur unki pyaas bujhane ko pani deta raha.
चालीस वर्ष तक तू जंगल में उनका ऐसा पालन पोषण करता रहा, कि उन को कुछ घटी न हुई; न तो उनके वस्त्र पुराने हुए और न उनके पांव में सूजन हुई।
Chalees varsh tak tu jangal mein unka aisa palan poshan karta raha, ki un ko kuchh ghati na hui; na to unke vastra purane hue aur na unke paanv mein soojan hui.
फिर तू ने राज्य राज्य और देश देश के लोगों को उनके वश में कर दिया, और दिशा दिशा में उन को बांट दिया; यों वे हेशबोन के राजा सीहोन और बाशान के राजा ओग दोनों के देशों के अधिकारी हो गए।
Phir tu ne rajya rajya aur desh desh ke logon ko unke vash mein kar diya, aur disha disha mein un ko baant diya; yon ve heshbon ke raja seehon aur bashaan ke raja og donon ke deshon ke adhikari ho gaye.
फिर तू ने उनकी सन्तान को आकाश के तारों के समान बढ़ा कर उन्हें उस देश में पहुंचा दिया, जिसके विषय तू ने उनके पूर्वजों से कहा था; कि वे उस में जा कर उसके अधिकारी हो जाएंगे।
Phir tu ne unki santaan ko aakaash ke taron ke samaan badha kar unhein us desh mein pahuncha diya, jiske vishay tu ne unke poorvajon se kaha tha; ki ve us mein ja kar uske adhikari ho jayenge.
सो यह सन्तान जा कर उसकी अधिकारिन हो गई, और तू ने उनके द्वारा देश के निवासी कनानियों को दबाया, और राजाओं और देश के लोगों समेत उन को, उनके हाथ में कर दिया, कि वे उन से जो चाहें सो करें।
So yah santaan ja kar uski adhikarin ho gai, aur tu ne unke dwara desh ke nivasi kananiyon ko dabaya, aur rajaon aur desh ke logon samet un ko, unke haath mein kar diya, ki ve un se jo chahein so karein.
और उन्होंने गढ़ वाले नगर और उपजाऊ भूमि ले ली, और सब भांति की अच्छी वस्तुओं से भरे हुए घरों के, और खुदे हुए हौदों के, और दाख और जलपाई बारियों के, और खाने के फल वाले बहुत से वृक्षों के अधिकारी हो गए; वे उसे खा खाकर तृप्त हुए, और हृष्ट-पुष्ट हो गए, और तेरी बड़ी भलाई के कारण सुख भोगते रहे।
Aur unhonne gadh vale nagar aur upjau bhoomi le li, aur sab bhanti ki achchhi vastuon se bhare hue gharon ke, aur khude hue haudon ke, aur daakh aur jalpai bariyon ke, aur khane ke phal vale bahut se vrikshon ke adhikari ho gaye; ve use kha khakar tript hue, aur hrisht-pusht ho gaye, aur teri badi bhalai ke karan sukh bhogte rahe.
परन्तु वे तुझ से फिरकर बलवा करने वाले बन गए और तेरी व्यवस्था को त्याग दिया, और तेरे जो नबी तेरी ओर उन्हें फेरने के लिये उन को चिताते रहे उन को उन्होंने घात किया, और तेरा बहुत तिरस्कार किया।
Parantu ve tujh se phirkar balva karne vale ban gaye aur teri vyavastha ko tyaag diya, aur tere jo nabi teri or unhein pherne ke liye un ko chitate rahe un ko unhonne ghaat kiya, aur tera bahut tiraskaar kiya.
इस कारण तू ने उन को उनके शत्रुओं के हाथ में कर दिया, और उन्होंने उन को संकट में डाल दिया; तौभी जब जब वे संकट में पड़कर तेरी दोहाई देते रहे तब तब तू स्वर्ग से उनकी सुनता रहा; और तू जो अतिदयालु है, इसलिये उनके छुड़ाने वाले को भेजता रहा जो उन को शत्रुओं के हाथ से छुड़ाते थे।
Is karan tu ne un ko unke shatruon ke haath mein kar diya, aur unhonne un ko sankat mein daal diya; taubhi jab jab ve sankat mein padkar teri dohai dete rahe tab tab tu swarg se unki sunta raha; aur tu jo atidyalu hai, isliye unke chhudane vale ko bhejta raha jo un ko shatruon ke haath se chhudate the.
परन्तु जब जब उन को चैन मिला, तब तब वे फिर तेरे साम्हने बुराई करते थे, इस कारण तू उन को शत्रुओं के हाथ में कर देता था, और वे उन पर प्रभुता करते थे; तौभी जब वे फिरकर तेरी दोहाई देते, तब तू स्वर्ग से उनकी सुनता और तू जो दयालु है, इसलिये बार बार उन को छुड़ाता,
Parantu jab jab un ko chain mila, tab tab ve phir tere samhane burai karte the, is karan tu un ko shatruon ke haath mein kar deta tha, aur ve un par prabhuta karte the; taubhi jab ve phirkar teri dohai dete, tab tu swarg se unki sunta aur tu jo dayalu hai, isliye baar baar un ko chhudata,
और उन को चिताता था कि उन को फिर अपनी व्यवस्था के आधीन कर दे। परन्तु वे अभिमान करते रहे और तेरी आज्ञाएं नहीं मानते थे, और तेरे नियम, जिन को यदि मनुष्य माने, तो उनके कारण जीवित रहे, उनके विरुद्ध पाप करते, और हठ कर के अपना कन्धा हटाते और न सुनते थे।
Aur un ko chitata tha ki un ko phir apni vyavastha ke aadheen kar de. Parantu ve abhimaan karte rahe aur teri aagyayen nahi mante the, aur tere niyam, jin ko yadi manushya mane, to unke karan jeevit rahe, unke viruddh paap karte, aur hath kar ke apna kandha hatate aur na sunte the.
तू तो बहुत वर्ष तक उनकी सहता रहा, और अपने आत्मा से नबियों के द्वारा उन्हें चिताता रहा, परन्तु वे कान नहीं लगाते थे, इसलिये तू ने उन्हें देश देश के लोगों के हाथ में कर दिया।
Tu to bahut varsh tak unki sahta raha, aur apne aatma se nabiyon ke dwara unhein chitata raha, parantu ve kaan nahi lagate the, isliye tu ne unhein desh desh ke logon ke haath mein kar diya.
तौभी तू ने जो अतिदयालु है, उनका अन्त नहीं कर डाला और न उन को त्याग दिया, क्योंकि तू अनुग्रहकारी और दयालु ईश्वर है।
Taubhi tu ne jo atidyalu hai, unka ant nahi kar dala aur na un ko tyaag diya, kyonki tu anugrahkari aur dayalu ishwar hai.
अब तो हे हमारे परमेश्वर! हे महान पराक्रमी और भययोग्य ईश्वर! जो अपनी वाचा पालता और करुणा करता रहा है, जो बड़ा कष्ट, अश्शूर के राजाओं के दिनों से ले आज के दिन तक हमें और हमारे राजाओं, हाकिमों, याजकों, नबियों, पुरखाओं, वरन तेरी समस्त प्रजा को भोगना पड़ा है, वह तेरी दृष्टि में थोड़ा न ठहरे।
Ab to he hamare Parmeshwar! He mahaan parakrami aur bhayyogya ishwar! Jo apni vacha palta aur karuna karta raha hai, jo bada kasht, ashshoor ke rajaon ke dinon se le aaj ke din tak hamein aur hamare rajaon, hakimon, yajkon, nabiyon, purkhaon, varan teri samast praja ko bhogna pada hai, vah teri drishti mein thoda na thahre.
तौभी जो कुछ हम पर बीता है उसके विष्य तू तो धर्मी है; तू ने तो सच्चाई से काम किया है, परन्तु हम ने दुष्टता की है।
Taubhi jo kuchh ham par beeta hai uske vishya tu to dharmi hai; tu ne to sachchai se kaam kiya hai, parantu ham ne dushtata ki hai.
और हमारे राजाओं और हाकिमों, याजकों और पुरखाओं ने, न तो तेरी व्यवस्था को माना है और न तेरी आज्ञाओं और चितौनियों की ओर ध्यान दिया है जिन से तू ने उन को चिताया था।
Aur hamare rajaon aur hakimon, yajkon aur purkhaon ne, na to teri vyavastha ko mana hai aur na teri aagyaon aur chitauniyon ki or dhyaan diya hai jin se tu ne un ko chitaya tha.
उन्होंने अपने राज्य में, और उस बड़े कल्याण के समय जो तू ने उन्हें दिया था, और इस लम्बे चौड़े और उपजाऊ देश में तेरी सेवा नहीं की; और न अपने बुरे कामों से पश्चाताप किया।
Unhonne apne rajya mein, aur us bade kalyaan ke samay jo tu ne unhein diya tha, aur is lambe chaude aur upjau desh mein teri seva nahi ki; aur na apne bure kamon se pashchataap kiya.
देख, हम आज कल दास हैं; जो देश तू ने हमारे पितरों को दिया था कि उसकी उत्तम उपज खाएं, इसी में हम दास हैं।
Dekh, ham aaj kal daas hain; jo desh tu ne hamare pitron ko diya tha ki uski uttam upaj khayen, isi mein ham daas hain.
इसकी उपज से उन राजाओं को जिन्हें तू ने हमारे पापों के कारण हमारे ऊपर ठहराया है, बहुत धन मिलता है; और वे हमारे शरीरों और हमारे पशुओं पर अपनी अपनी इच्छा के अनुसार प्रभुता जताते हैं, इसलिये हम बड़े संकट में पड़े हैं।
Iski upaj se un rajaon ko jinhein tu ne hamare papon ke karan hamare oopar thahraya hai, bahut dhan milta hai; aur ve hamare shareeron aur hamare pashuon par apni apni ichchha ke anusaar prabhuta jatate hain, isliye ham bade sankat mein pade hain.
इस सब के कारण, हम सच्चाई के साथ वाचा बान्धते, और लिख भी देते हैं, और हमारे हाकिम, लेवीय और याजक उस पर छाप लगाते हैं।
Is sab ke karan, ham sachchai ke saath vacha bandhate, aur likh bhi dete hain, aur hamare hakim, leveeya aur yajak us par chhaap lagate hain.