Nehemiah 3 · 32 verses

नहेम्याह 3 Nehemiah 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nahemyaah 3.

1

तब एल्याशीब महायाजक ने अपने भाई याजकों समेत कमर बान्धकर भेड़फाटक को बनाया। उन्होंने उसकी प्रतिष्ठा की, और उसके पल्लों को भी लगाया; और हम्मेआ नाम गुम्मट तक वरन हननेल के गुम्मट के पास तक उन्होंने शहरपनाह की प्रतिष्ठा की।

Tab elyasheeb mahayajak ne apne bhai yajkon samet kamar bandhakar bhedphatak ko banaya. Unhonne uski pratishtha ki, aur uske pallon ko bhi lagaya; aur hammeaa naam gummat tak varan hannel ke gummat ke paas tak unhonne shahrapnaah ki pratishtha ki.

2

उस से आगे यरीहो के मनुष्यों ने बनाया। और इन से आगे इम्री के पुत्र जक्कूर ने बनाया।

Us se aage yareeho ke manushyon ne banaya. Aur in se aage imri ke putra jakkoor ne banaya.

3

फिर मछलीफाटक को हस्सना के बेटों ने बनाया; उन्होंने उसकी कड़ियां लगाई, और उसके पल्ले, ताले और बेंड़े लगाए।

Phir machhleephatak ko hassana ke beton ne banaya; unhonne uski kadiyan lagai, aur uske palle, tale aur bende lagaye.

4

और उन से आगे मरेमोत ने जो हक्कोस का पोता और ऊरियाह का पुत्र था, मरम्मत की। और इन से आगे मशुल्लाम ने जो मशेजबेल का पोता, और बरेक्याह का पुत्र था, मरम्मत की। और इस से आगे बाना के पुत्र सादोक ने मरम्मत की।

Aur un se aage maremot ne jo hakkos ka pota aur ooriyaah ka putra tha, marammat ki. Aur in se aage mashullaam ne jo mashejbel ka pota, aur barekyaah ka putra tha, marammat ki. Aur is se aage bana ke putra sadok ne marammat ki.

5

और इन से आगे तकोइयों ने मरम्मत की; परन्तु उनके रईसों ने अपने प्रभु की सेवा का जूआ अपनी गर्दन पर न लिया।

Aur in se aage takoiyon ne marammat ki; parantu unke raison ne apne Prabhu ki seva ka jooaa apni gardan par na liya.

6

फिर पुराने फाटक की मरम्मत पासेह के पुत्र योयादा और बसोदयाह के पुत्र मशुल्लाम ने की; उन्होंने उसकी कड़ियां लगाई, और उसके पल्ले, ताले और बेंड़े लगाए।

Phir purane phatak ki marammat paseh ke putra yoyada aur basodyaah ke putra mashullaam ne ki; unhonne uski kadiyan lagai, aur uske palle, tale aur bende lagaye.

7

और उन से आगे गिबोनी मलत्याह और मेरोनोती यादोन ने और गिबोन और मिस्पा के मनुष्यों ने महानद के पार के अधिपति के सिंहासन की ओर से मरम्मत की।

Aur un se aage giboni malatyaah aur meronoti yadon ne aur gibon aur mispa ke manushyon ne mahanad ke paar ke adhipti ke sinhasan ki or se marammat ki.

8

उन से आगे हर्हयाह के पुत्र उजीएल ने और और सुनारों ने मरम्मत की। और इस से आगे हनन्याह ने, जो गन्धियों के समाज का था, मरम्मत की; और उन्होंने चौड़ी शहरपनाह तक यरूशलेम को दृढ़ किया।

Un se aage harhayaah ke putra ujeeyel ne aur aur sunaron ne marammat ki. Aur is se aage hananyaah ne, jo gandhiyon ke samaaj ka tha, marammat ki; aur unhonne chaudi shahrapnaah tak Yerushalem ko dridh kiya.

9

और उन से आगे हूर के पुत्र रपायाह ने, जो यरूशलेम के आधे जिले का हाकिम था, मरम्मत की।

Aur un se aage hoor ke putra rapayaah ne, jo Yerushalem ke aadhe jile ka hakim tha, marammat ki.

10

और उन से आगे हरुमप के पुत्र यदायाह ने अपने ही घर के साम्हने मरम्मत की; और इस से आगे हशब्नयाह के पुत्र हत्तूश ने मरम्मत की।

Aur un se aage harumap ke putra yadayaah ne apne hi ghar ke samhane marammat ki; aur is se aage hashabnayaah ke putra hattoosh ne marammat ki.

11

हारीम के पुत्र मल्कियाह और पहत्तोआब के पुत्र हश्शूब ने एक और भाग की, और भट्टों के गुम्मट की मरम्मत की।

Hareem ke putra malkiyaah aur pahattoaab ke putra hashshoob ne ek aur bhaag ki, aur bhatton ke gummat ki marammat ki.

12

इस से आगे यरूशलेम के आधे जिले के हाकिम हल्लोहेश के पुत्र शल्लूम ने अपनी बेटियों समेत मरम्मत की।

Is se aage Yerushalem ke aadhe jile ke hakim hallohesh ke putra shalloom ne apni betiyon samet marammat ki.

13

तराई के फाटक की मरम्मत हानून और जानोह के निवासियों ने की; उन्होंने उसको बनाया, और उसके ताले, बेंड़े और पल्ले लगाए, और हजार हाथ की शहरपनाह को भी अर्थात कूड़ाफाटक तक बनाया।

Tarai ke phatak ki marammat hanoon aur janoh ke nivasiyon ne ki; unhonne usko banaya, aur uske tale, bende aur palle lagaye, aur hajaar haath ki shahrapnaah ko bhi arthaat koodaphatak tak banaya.

14

और कूड़ाफाटक की मरम्मत रेकाब के पुत्र मल्कियाह ने की, जो बेथक्केरेम के जिले का हाकिम था; उसी ने उसको बनाया, और उसके ताले, बेंड़े और पल्ले लगाए।

Aur koodaphatak ki marammat rekaab ke putra malkiyaah ne ki, jo bethakkerem ke jile ka hakim tha; usi ne usko banaya, aur uske tale, bende aur palle lagaye.

15

और सोताफाटक की मरम्मत कोल्होजे के पुत्र शल्लूम ने की, जो मिस्पा के जिले का हाकिम था; उसी ने उसको बनाया और पाटा, और उसके ताले, बेंड़े और पल्ले लगाए; और उसी ने राजा की बारी के पास के शेलह नाम कुण्ड की शहरपनाह को भी दाऊदपुर से उतरने वाली सीढ़ी तक बनाया।

Aur sotaphatak ki marammat kolhoje ke putra shalloom ne ki, jo mispa ke jile ka hakim tha; usi ne usko banaya aur pata, aur uske tale, bende aur palle lagaye; aur usi ne raja ki bari ke paas ke shelah naam kund ki shahrapnaah ko bhi daoodpur se utarne vali seedhi tak banaya.

16

उसके बाद अजबूक के पुत्र नहेमायाह ने जो बेतसूर के आधे जिले का हाकिम था, दाऊद के कब्रिस्तान के साम्हने तक और बनाए हुए पोखरे तक, वरन वीरों के घर तक भी मरम्मत की।

Uske baad ajbook ke putra nahemayaah ne jo betsoor ke aadhe jile ka hakim tha, Daud ke kabristaan ke samhane tak aur banaye hue pokhre tak, varan veeron ke ghar tak bhi marammat ki.

17

इसके बाद बानी के पुत्र रहूम ने कितने लेवियों समेत मरम्मत की। इस से आगे कीला के आधे जिले के हाकिम हशब्याह ने अपने जिले की ओर से मरम्मत की।

Iske baad bani ke putra rahoom ne kitne leviyon samet marammat ki. Is se aage keela ke aadhe jile ke hakim hashabyaah ne apne jile ki or se marammat ki.

18

उसके बाद उनके भाइयों समेत कीला के आधे जिले के हाकिम हेनादाद के पुत्र बव्वै ने मरम्मत की।

Uske baad unke bhaiyon samet keela ke aadhe jile ke hakim henadaad ke putra bavvai ne marammat ki.

19

उस से आगे एक और भाग की मरम्मत जो शहरपनाह के मोड़ के पास शस्त्रें के घर की चढ़ाई के साम्हने है, येशु के पुत्र एज़ेर ने की, जो मिस्पा का हाकिम था।

Us se aage ek aur bhaag ki marammat jo shahrapnaah ke mod ke paas shastrein ke ghar ki chadhai ke samhane hai, yeshu ke putra ezer ne ki, jo mispa ka hakim tha.

20

फिर एक और भाग की अर्थात उसी मोड़ से ले एल्याशीब महायाजक के घर के द्वार तक की मरम्मत जब्बै के पुत्र बारूक ने तन मन से की।

Phir ek aur bhaag ki arthaat usi mod se le elyasheeb mahayajak ke ghar ke dwaar tak ki marammat jabbai ke putra barook ne tan man se ki.

21

इसके बाद एक और भाग की अर्थात एल्याशीब के घर के द्वार से ले उसी घर के सिरे तक की मरम्मत, मरेमोत ने की, जो हक्कोस का पोता और ऊरियाह का पुत्र था।

Iske baad ek aur bhaag ki arthaat elyasheeb ke ghar ke dwaar se le usi ghar ke sire tak ki marammat, maremot ne ki, jo hakkos ka pota aur ooriyaah ka putra tha.

22

उसके बाद उन याजकों ने मरम्मत की जो तराई के मनुष्य थे।

Uske baad un yajkon ne marammat ki jo tarai ke manushya the.

23

उनके बाद बिन्यामीन और हश्शूब ने अपने घर के साम्हने मरम्मत की; और इनके पीछे अजर्याह ने जो मासेयाह का पुत्र और अनन्याह का पोता था अपने घर के पास मरम्मत की।

Unke baad binyameen aur hashshoob ne apne ghar ke samhane marammat ki; aur inke peechhe ajaryaah ne jo maseyaah ka putra aur ananyaah ka pota tha apne ghar ke paas marammat ki.

24

तब एक और भाग की, अर्थात अजर्याह के घर से ले कर शहरपनाह के मोड़ तक वरन उसके कोने तक की मरम्मत हेनादाद के पुत्र बिन्नूई ने की।

Tab ek aur bhaag ki, arthaat ajaryaah ke ghar se le kar shahrapnaah ke mod tak varan uske kone tak ki marammat henadaad ke putra binnooi ne ki.

25

फिर उसी मोड़ के साम्हने जो ऊंचा गुम्मट राजभवन से बाहर निकला हुआ बन्दीगृह के आंगन के पास है, उसके साम्हने ऊजै के पुत्र पालाल ने मरम्मत की। इसके बाद परोश के पुत्र पदायाह ने मरम्मत की।

Phir usi mod ke samhane jo ooncha gummat rajabhvan se bahar nikla huaa bandeegrih ke aangan ke paas hai, uske samhane oojai ke putra palaal ne marammat ki. Iske baad parosh ke putra padayaah ne marammat ki.

26

नतीन लोग तो ओपेल में पूरब की ओर जलफाटक के साम्हने तक और बाहर निकले हुए गुम्मट तक रहते थे।

Nateen log to opel mein poorab ki or jalphatak ke samhane tak aur bahar nikle hue gummat tak rahte the.

27

पदायाह के बाद तकोइयों ने एक और भाग की मरम्मत की, जो बाहर निकले हुए बड़े गुम्मट के साम्हने और ओबेल की शहरपनाह तक है।

Padayaah ke baad takoiyon ne ek aur bhaag ki marammat ki, jo bahar nikle hue bade gummat ke samhane aur obel ki shahrapnaah tak hai.

28

फिर घोड़ाफाटक के ऊपर याजकों ने अपने अपने घर के साम्हने मरम्मत की।

Phir ghodaphatak ke oopar yajkon ne apne apne ghar ke samhane marammat ki.

29

इनके बाद इम्मेर के पुत्र सादोक ने अपने घर के साम्हने मरम्मत की; और तब पूरबी फाटक के रखवाले शकन्याह के पुत्र समयाह ने मरम्मत की।

Inke baad immer ke putra sadok ne apne ghar ke samhane marammat ki; aur tab poorbi phatak ke rakhvale shakanyaah ke putra samyaah ne marammat ki.

30

इसके बाद शेलेम्याह के पुत्र हनन्याह और सालाप के छठवें पुत्र हानून ने एक और भाग की मरम्मत की। तब बेरेक्याह के पुत्र मशुल्लाम ने अपनी कोठरी के साम्हने मरम्मत की।

Iske baad shelemyaah ke putra hananyaah aur salaap ke chhathvein putra hanoon ne ek aur bhaag ki marammat ki. Tab berekyaah ke putra mashullaam ne apni kothri ke samhane marammat ki.

31

उसके बाद मल्कियाह ने जो सुनार था नतिनों और व्यापारियों के स्थान तक ठहराए हुए स्थान के फाटक के साम्हने और कोने के कोठे तक मरम्मत की।

Uske baad malkiyaah ne jo sunaar tha natinon aur vyapariyon ke sthaan tak thahraye hue sthaan ke phatak ke samhane aur kone ke kothe tak marammat ki.

32

और कोने वाले कोठे से ले कर भेड़फाटक तक सुनारों और व्यापारियों ने मरम्मत की।

Aur kone vale kothe se le kar bhedphatak tak sunaron aur vyapariyon ne marammat ki.