Nehemiah 13 · 31 verses

नहेम्याह 13 Nehemiah 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nahemyaah 13.

1

उसी दिन मूसा की पुस्तक लोगों को पढ़कर सुनाई गई; और उस में यह लिखा हुआ मिला, कि कोई अम्मोनी वा मोआबी परमेश्वर की सभा में कभी न आने पाए;

Usi din Musa ki pustak logon ko padhkar sunai gai; aur us mein yah likha huaa mila, ki koi ammoni va moaabi Parmeshwar ki sabha mein kabhi na aane paye;

2

क्योंकि उन्होंने अन्न जल ले कर इस्राएलियों से भेंट नहीं की, वरन बिलाम को उन्हें शाप देने के लिये दक्षिणा देकर बुलवाया था--तौभी हमारे परमेश्वर ने उस शाप को आशीष से बदल दिया।

Kyonki unhonne ann jal le kar Israeliyon se bhent nahi ki, varan bilaam ko unhein shaap dene ke liye dakshina dekar bulvaya tha--taubhi hamare Parmeshwar ne us shaap ko aasheesh se badal diya.

3

यह व्यवस्था सुनकर, उन्होंने इस्राएल में से मिली जुली भीड़ को अलग अलग कर दिया।

Yah vyavastha sunkar, unhonne Israel mein se mili juli bheed ko alag alag kar diya.

4

इस से पहिले एल्याशीब याजक जो हमारे परमेश्वर के भवन की कोठरियों का अधिकारी और तोबिय्याह का सम्बन्धी था।

Is se pahile elyasheeb yajak jo hamare Parmeshwar ke bhavan ki kothriyon ka adhikari aur tobiyyaah ka sambandhi tha.

5

उसने तोबिय्याह के लिये एक बड़ी कोठरी तैयार की थी जिस में पहिले अन्नबलि का सामान और लोबान और पात्र और अनाज, नये दाखमधु और टटके तेल के दशमांश, जिन्हें लेवियों, गवैयों और द्वारपालों को देने की आज्ञा थी, रखी हुई थी; और याजकों के लिये उठाई हुई भेंट भी रखी जाती थीं।

Usne tobiyyaah ke liye ek badi kothri taiyaar ki thi jis mein pahile annabli ka samaan aur lobaan aur patra aur anaaj, naye dakhamdhu aur tatke tel ke dashmaansh, jinhein leviyon, gavaiyon aur dwarpalon ko dene ki aagya thi, rakhi hui thi; aur yajkon ke liye uthai hui bhent bhi rakhi jati thi.

6

परन्तु मैं इस समय यरूशलेम में नहीं था, क्योंकि बाबेल के राजा अर्तक्षत्र के बत्तीसवें वर्ष में मैं राजा के पास चला गया। फिर कितने दिनों के बाद राजा से छुट्टी मांगी,

Parantu main is samay Yerushalem mein nahi tha, kyonki babel ke raja artakshatra ke batteesvein varsh mein main raja ke paas chala gaya. Phir kitne dinon ke baad raja se chhutti mangi,

7

और मैं यरूशलेम को आया, तब मैं ने जान लिया, कि एल्याशीब ने तोबिय्याह के लिये परमेश्वर के भवन के आंगनों में एक कोठरी तैयार कर, क्या ही बुराई की है।

Aur main Yerushalem ko aaya, tab main ne jaan liya, ki elyasheeb ne tobiyyaah ke liye Parmeshwar ke bhavan ke aangnon mein ek kothri taiyaar kar, kya hi burai ki hai.

8

इसे मैं ने बहुत बुरा माना, और तोबिय्याह का सारा घरेलू सामान उस कोठरी में से फेंक दिया।

Ise main ne bahut bura mana, aur tobiyyaah ka sara gharelu samaan us kothri mein se phenk diya.

9

तब मेरी आज्ञा से वे कोठरियां शुद्ध की गई, और मैं ने परमेश्वर के भवन के पात्र और अन्नबलि का सामान और लोबान उन में फिर से रखवा दिया।

Tab meri aagya se ve kothriyan shuddh ki gai, aur main ne Parmeshwar ke bhavan ke patra aur annabli ka samaan aur lobaan un mein phir se rakhva diya.

10

फिर मुझे मालूम हुआ कि लेवियों का भाग उन्हें नहीं दिया गया है; और इस कारण काम करने वाले लेवीय और गवैये अपने अपने खेत को भाग गए हैं।

Phir mujhe maloom huaa ki leviyon ka bhaag unhein nahi diya gaya hai; aur is karan kaam karne vale leveeya aur gavaiye apne apne khet ko bhaag gaye hain.

11

तब मैं ने हाकिमों को डांटकर कहा, परमेश्वर का भवन क्यों त्यागा गया है? फिर मैं ने उन को इकट्ठा कर के, एक एक को उसके स्थान पर नियुक्त किया।

Tab main ne hakimon ko dantkar kaha, Parmeshwar ka bhavan kyon tyaga gaya hai? Phir main ne un ko ikattha kar ke, ek ek ko uske sthaan par niyukt kiya.

12

तब से सब यहूदी अनाज, नये दाखमधु और टटके तेल के दशमांश भणडारों में लाने लगे।

Tab se sab Yahudi anaaj, naye dakhamdhu aur tatke tel ke dashmaansh bhandaron mein lane lage.

13

और मैं ने भणडारों के अधिकारी शेलेम्याह याजक और सादोक मुंशी को, और लेवियों में से पदायाह को, और उनके नीचे हानान को, जो मत्तन्याह का पोता और जक्कूर का पुत्र था, नियुक्त किया; वे तो विश्वासयोग्य गिने जाते थे, और अपने भाइयों के मध्य बांटना उनका काम था।

Aur main ne bhandaron ke adhikari shelemyaah yajak aur sadok munshi ko, aur leviyon mein se padayaah ko, aur unke neeche hanaan ko, jo mattanyaah ka pota aur jakkoor ka putra tha, niyukt kiya; ve to vishwasyogya gine jate the, aur apne bhaiyon ke madhya bantna unka kaam tha.

14

हे मेरे परमेश्वर! मेरा यह काम मेरे हित के लिये स्मरण रख, और जो जो सुकर्म मैं ने अपने परमेश्वर के भवन और उस में की आराधना के विषय किए हैं उन्हे मिटा न डाल।

He mere Parmeshwar! Mera yah kaam mere hit ke liye smaran rakh, aur jo jo sukarm main ne apne Parmeshwar ke bhavan aur us mein ki aaradhna ke vishay kiye hain unhe mita na daal.

15

उन्हीं दिनों में मैं ने यहूदा में कितनों को देखा जो विश्रामदिन को हौदों में दाख रौंदते, और पूलियों को ले आते, और गदहों पर लादते थे; वैसे ही वे दाखमधु, दाख, अंजीर और भांति भांति के बोझ विश्रामदिन को यरूशलेम में लाते थे; तब जिस दिन वे भोजनवस्तु बेचते थे, उसी दिन मैं ने उन को चिता दिया।

Unhi dinon mein main ne Yahuda mein kitnon ko dekha jo vishramdin ko haudon mein daakh raundte, aur pooliyon ko le aate, aur gadhon par ladte the; vaise hi ve dakhamdhu, daakh, anjeer aur bhanti bhanti ke bojh vishramdin ko Yerushalem mein late the; tab jis din ve bhojanvastu bechte the, usi din main ne un ko chita diya.

16

फिर उस में सोरी लोग रहकर मछली और भांति भांति का सौदा ले आकर, यहूदियों के हाथ यरूशलेम में विश्रामदिन को बेचा करते थे।

Phir us mein sori log rahkar machhli aur bhanti bhanti ka sauda le aakar, Yahudiyon ke haath Yerushalem mein vishramdin ko becha karte the.

17

तब मैं ने यहूदा के रईसों को डांट कर कहा, तुम लोग यह क्या बुराई करते हो, जो विश्रामदिन को अपवित्र करते हो?

Tab main ne Yahuda ke raison ko daant kar kaha, tum log yah kya burai karte ho, jo vishramdin ko apvitra karte ho?

18

क्या तुम्हारे पुरखा ऐसा नहीं करते थे? और क्या हमारे परमेश्वर ने यह सब विपत्ति हम पर और इस नगर पर न डाली? तौभी तुम विश्रामदिन को अपवित्र करने से इस्राएल पर परमेश्वर का क्रोध और भी भड़काते जाते हो।

Kya tumhare purkha aisa nahi karte the? Aur kya hamare Parmeshwar ne yah sab vipatti ham par aur is nagar par na dali? Taubhi tum vishramdin ko apvitra karne se Israel par Parmeshwar ka krodh aur bhi bhadkate jate ho.

19

सो जब विश्रामवार के पहिले दिन को यरूशलेम के फाटकों के आस-पास अन्धेरा होने लगा, तब मैं ने आज्ञा दी, कि उनके पल्ले बन्द किए जाएं, और यह भी आज्ञा दी, कि वे विश्रामवार के पूरे होने तक खोले न जाएं। तब मैं ने अपने कितने सेवकों को फाटकों का अधिकारी ठहरा दिया, कि विश्रामवार को कोई बोझ भीतर आने न पाए।

So jab vishramvaar ke pahile din ko Yerushalem ke phatkon ke aas-paas andhera hone laga, tab main ne aagya di, ki unke palle band kiye jayen, aur yah bhi aagya di, ki ve vishramvaar ke poore hone tak khole na jayen. Tab main ne apne kitne sevkon ko phatkon ka adhikari thahra diya, ki vishramvaar ko koi bojh bheetar aane na paye.

20

इसलिये व्योपारी और भांति भांति के सौदे के बेचने वाले यरूशलेम के बाहर दो एक बेर टिके।

Isliye vyopari aur bhanti bhanti ke saude ke bechne vale Yerushalem ke bahar do ek ber tike.

21

तब मैं ने उन को चिताकर कहा, तुम लोग शहरपनाह के साम्हने क्यों टिकते हो? यदि तुम फिर ऐसा करोगे तो मैं तुम पर हाथ बढ़ाऊंगा। इसलिये उस समय से वे फिर विश्रामवार को नहीं आए।

Tab main ne un ko chitakar kaha, tum log shahrapnaah ke samhane kyon tikte ho? Yadi tum phir aisa karoge to main tum par haath badhaoonga. Isliye us samay se ve phir vishramvaar ko nahi aaye.

22

तब मैं ने लेवियों को आज्ञा दी, कि अपने अपने को शुद्ध कर के फाटकों की रखवाली करने के लिये आया करो, ताकि विश्रामदिन पवित्र माना जाए। हे मेरे परमेश्वर! मेरे हित के लिये यह भी स्मरण रख और अपनी बड़ी करुणा के अनुसार मुझ पर तरस खा।

Tab main ne leviyon ko aagya di, ki apne apne ko shuddh kar ke phatkon ki rakhvali karne ke liye aaya karo, taki vishramdin pavitra mana jaye. He mere Parmeshwar! Mere hit ke liye yah bhi smaran rakh aur apni badi karuna ke anusaar mujh par taras kha.

23

फिर उन्हीं दिनों में मुझ को ऐसे यहूदी दिखाई पड़े, जिन्होंने अशदोदी, अम्मोनी और मोआबी स्त्रियां ब्याह ली थीं।

Phir unhi dinon mein mujh ko aise Yahudi dikhai pade, jinhonne ashdodi, ammoni aur moaabi striyan byaah li thi.

24

और उनके लड़केबालों की आधी बोली अशदोदी थी, और वे यहूदी बोली न बोल सकते थे, दोनों जाति की बोली बोलते थे।

Aur unke ladkebalon ki aadhi boli ashdodi thi, aur ve Yahudi boli na bol sakte the, donon jati ki boli bolte the.

25

तब मैं ने उन को डांटा और कोसा, और उन में से कितनों को पिटवा दिया और उनके बाल नुचवाए; और उन को परमेश्वर की यह शपथ खिलाई, कि हम अपनी बेटियां उनके बेटों के साथ ब्याह में न देंगे और न अपने लिये वा अपने बेटों के लिये उनकी बेटियां ब्याह में लेंगे।

Tab main ne un ko danta aur kosa, aur un mein se kitnon ko pitva diya aur unke baal nuchvaye; aur un ko Parmeshwar ki yah shapath khilai, ki ham apni betiyan unke beton ke saath byaah mein na denge aur na apne liye va apne beton ke liye unki betiyan byaah mein lenge.

26

क्या इस्राएल का राजा सुलैमान इसी प्रकार के पाप में न फंसा था? बहुतेरी जातियों में उसके तुल्य कोई राजा नहीं हुआ, और वह अपने परमेश्वर का प्रिय भी था, और परमेश्वर ने उसे सारे इस्राएल के ऊपर राजा नियुक्त किया; परन्तु उसको भी अन्यजाति स्त्रियों ने पाप में फंसाया।

Kya Israel ka raja sulaimaan isi prakaar ke paap mein na phansa tha? Bahuteri jatiyon mein uske tulya koi raja nahi huaa, aur vah apne Parmeshwar ka priya bhi tha, aur Parmeshwar ne use sare Israel ke oopar raja niyukt kiya; parantu usko bhi anyajati striyon ne paap mein phansaya.

27

तो क्या हम तुम्हारी सुनकर, ऐसी बड़ी बुराई करें कि अन्यजाति की स्त्रियां ब्याह कर अपने परमेश्वर के विरुद्ध पाप करें?

To kya ham tumhari sunkar, aisi badi burai karein ki anyajati ki striyan byaah kar apne Parmeshwar ke viruddh paap karein?

28

और एल्याशीब महायाजक के पुत्र योयादा का एक पुत्र, होरोनी सम्बल्लत का दामाद था, इसलिये मैं ने उसको अपने पास से भगा दिया।

Aur elyasheeb mahayajak ke putra yoyada ka ek putra, horoni samballat ka damaad tha, isliye main ne usko apne paas se bhaga diya.

29

हे मेरे परमेश्वर उनकी हानि के लिये याजकपद और याजकों ओर लेवियों की वाचा का तोड़ा जाना स्मरण रख।

He mere Parmeshwar unki hani ke liye yajakpad aur yajkon or leviyon ki vacha ka toda jana smaran rakh.

30

इस प्रकार मैं ने उन को सब अन्यजातियों से शुद्ध किया, और एक एक याजक और लेवीय की बारी और काम ठहरा दिया।

Is prakaar main ne un ko sab anyajatiyon se shuddh kiya, aur ek ek yajak aur leveeya ki bari aur kaam thahra diya.

31

फिर मैं ने लकड़ी की भेंट ले आने के विशेष समय ठहरा दिए, और पहिली पहिली उपज के देने का प्रबन्ध भी किया। हे मेरे परमेश्वर! मेरे हित के लिये मुझे स्मरण कर।

Phir main ne lakdi ki bhent le aane ke vishesh samay thahra diye, aur pahili pahili upaj ke dene ka prabandh bhi kiya. He mere Parmeshwar! Mere hit ke liye mujhe smaran kar.