Nehemiah 12 · 47 verses

नहेम्याह 12 Nehemiah 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nahemyaah 12.

1

जो याजक और लेवीय शालतीएल के पुत्र जरुब्बाबेल और येशू के संग यरूशलेम को गए थे, वे ये थे: अर्थात सरायाह, यिर्मयाह, एज्रा,

Jo yajak aur leveeya shalteeyel ke putra jarubbabel aur yeshu ke sang Yerushalem ko gaye the, ve ye the: arthaat sarayaah, yirmayaah, ejra,

2

अमर्याह, मल्लूक, हत्तूश,

Amaryaah, mallook, hattoosh,

3

शकन्याह, रहूम, मरेमोत,

Shakanyaah, rahoom, maremot,

4

इद्दो, गिन्नतोई, अबिय्याह,

Iddo, ginnatoi, abiyyaah,

5

मीय्यामीन, माद्याह, बिलगा,

Meeyyameen, madyaah, bilga,

6

शमायाह, योआरीब, यदायाह,

Shamayaah, yoaareeb, yadayaah,

7

सल्लू, आमोक, हिल्किय्याह और यदायाह। येशू के दिनों में याजकों और उनके भाइयों के मुख्य मुख्य पुरुष, ये ही थे।

Sallu, aamok, hilkiyyaah aur yadayaah. Yeshu ke dinon mein yajkon aur unke bhaiyon ke mukhya mukhya purush, ye hi the.

8

फिर ये लेवीय गए: अर्थात येशू, बिन्नूई, कदमीएल, शेरेब्याह, यहूदा और वह मत्तन्याह जो अपने भाइयों समेत धन्यवाद के काम पर ठहराया गया था।

Phir ye leveeya gaye: arthaat yeshu, binnooi, kadmeeyel, sherebyaah, Yahuda aur vah mattanyaah jo apne bhaiyon samet dhanyavaad ke kaam par thahraya gaya tha.

9

और उनके भाई बकबुक्याह और उन्नो उनके साम्हने अपनी अपनी सेवकाई में लगे रहते थे।

Aur unke bhai bakbukyaah aur unno unke samhane apni apni sevkai mein lage rahte the.

10

और येशू से योयाकीम उत्पन्न हुआ और योयाकीम से एल्याशीब और एल्याशीब से योयादा,

Aur yeshu se yoyakeem utpann huaa aur yoyakeem se elyasheeb aur elyasheeb se yoyada,

11

और योयादा से योनातान और योनातान से यद्द उत्पन्न हुआ।

Aur yoyada se yonataan aur yonataan se yadd utpann huaa.

12

और योयाकीम के दिनों में ये याजक अपने अपने पितरों के घराने के मुख्य पुरुष थे, अर्थात शरायाह का तो मरायाह; यिर्मयाह का हनन्याह।

Aur yoyakeem ke dinon mein ye yajak apne apne pitron ke gharane ke mukhya purush the, arthaat sharayaah ka to marayaah; yirmayaah ka hananyaah.

13

एज्रा का मशुल्लाम; अमर्याह का यहोहानान।

Ejra ka mashullaam; amaryaah ka yahohanaan.

14

मल्लूकी का योनातान; शबन्याह का योसेप।

Mallooki ka yonataan; shabanyaah ka yosep.

15

हारीम का अदना; मरायोत का हेलकै।

Hareem ka adna; marayot ka helkai.

16

इद्दो का जकर्याह; गिन्नतोन का मशुल्लाम।

Iddo ka jakaryaah; ginnaton ka mashullaam.

17

अबिय्याह का जिक्री; मिन्यामीन के मोअद्याह का पिलतै।

Abiyyaah ka jikri; minyameen ke moadyaah ka piltai.

18

बिलगा का शम्मू; शामायह का यहोनातान।

Bilga ka shammu; shamayah ka yahonataan.

19

योयारीब का मत्तनै; यदायाह का उज्जी।

Yoyareeb ka mattanai; yadayaah ka ujji.

20

सल्लै का कल्लै; आमोक का एबेर।

Sallai ka kallai; aamok ka eber.

21

हिल्किय्याह का हशब्याह; और यदायाह का नतनेल।

Hilkiyyaah ka hashabyaah; aur yadayaah ka natnel.

22

एल्याशीब, योयादा, योहानान और यद्द के दिनों में लेवीय पितरों के घरानों के मुख्य पुरुषों के नाम लिखे जाते थे, और दारा फारसी के राज्य में याजकों के भी नाम लिखे जाते थे।

Elyasheeb, yoyada, yohanaan aur yadd ke dinon mein leveeya pitron ke gharanon ke mukhya purushon ke naam likhe jate the, aur dara pharsi ke rajya mein yajkon ke bhi naam likhe jate the.

23

जो लेवीय पितरों के घरानों के मुख्य पुरुष थे, उनके नाम एल्याशीब के पुत्र योहानान के दिनों तक इतिहास की पुस्तक में लिखे जाते थे।

Jo leveeya pitron ke gharanon ke mukhya purush the, unke naam elyasheeb ke putra yohanaan ke dinon tak itihaas ki pustak mein likhe jate the.

24

और लेवियों के मुख्य पुरुष ये थे: अर्थात हसब्याह, शेरेब्याह और कदमीएल का पुत्र येशू; और उनके साम्हने उनके भाई परमेश्वर के भक्त दाऊद की आज्ञा के अनुसार आम्हने-साम्हने स्तुति और धन्यवाद करने पर नियुक्त थे।

Aur leviyon ke mukhya purush ye the: arthaat hasabyaah, sherebyaah aur kadmeeyel ka putra yeshu; aur unke samhane unke bhai Parmeshwar ke bhakt Daud ki aagya ke anusaar aamhane-samhane stuti aur dhanyavaad karne par niyukt the.

25

मत्तन्याह, बकबुक्याह, ओबद्याह, मशुल्लाम, तल्मोन और अक्कूब फाटकों के पास के भणडारों का पहरा देने वाले द्वारपाल थे।

Mattanyaah, bakbukyaah, obadyaah, mashullaam, talmon aur akkoob phatkon ke paas ke bhandaron ka pahra dene vale dwarpaal the.

26

योयाकीम के दिनों में जो योसादाक का पोता और येशू का पुत्र था, और नहेमायाह अधिपति और एज्रा याजक और शास्त्री के दिनों में ये ही थे।

Yoyakeem ke dinon mein jo yosadaak ka pota aur yeshu ka putra tha, aur nahemayaah adhipti aur ejra yajak aur shastri ke dinon mein ye hi the.

27

और यरूशलेम की शहरपनाह की प्रतिष्ठा के समय लेवीय अपने सब स्थानों में ढूंढ़े गए, कि यरूशलेम को पहुंचाए जाएं, जिस से आनन्द और धन्यवाद कर के और झांझ, सारंगी और वीणा बजाकर, और गाकर उसकी प्रतिष्ठा करें।

Aur Yerushalem ki shahrapnaah ki pratishtha ke samay leveeya apne sab sthanon mein dhoondhe gaye, ki Yerushalem ko pahunchaye jayen, jis se aanand aur dhanyavaad kar ke aur jhaanjh, sarangi aur veena bajakar, aur gakar uski pratishtha karein.

28

तो गवैयों के सन्तान यरूशलेम के चारों ओर के देश से और नतोपातियों के गांवों से,

To gavaiyon ke santaan Yerushalem ke charon or ke desh se aur natopatiyon ke ganvon se,

29

और बेतगिलगाल से, और गेबा और अज्माबेत के खेतों से इकट्ठे हुए; क्योंकि गवैयों ने यरूशलेम के आस-पास गांव बसा लिये थे।

Aur betgilgaal se, aur geba aur ajmabet ke kheton se ikatthe hue; kyonki gavaiyon ne Yerushalem ke aas-paas gaanv basa liye the.

30

तब याजकों और लेवियों ने अपने अपने को शुद्ध किया; और उन्होंने प्रजा को, और फाटकों और शहरपनाह को भी शुद्ध किया।

Tab yajkon aur leviyon ne apne apne ko shuddh kiya; aur unhonne praja ko, aur phatkon aur shahrapnaah ko bhi shuddh kiya.

31

तब मैं ने यहूदी हाकिमों को शहरपनाह पर चढ़ाकर दो बड़े दल ठहराए, जो धन्यवाद करते हुए धूमधाम के साथ चलते थे। इनमें से एक दल तो दक्खिन ओर, अर्थात कूड़ाफाटक की ओर शहरपनाह के ऊपर ऊपर से चला;

Tab main ne Yahudi hakimon ko shahrapnaah par chadhakar do bade dal thahraye, jo dhanyavaad karte hue dhoomdhaam ke saath chalte the. Inmein se ek dal to dakkhin or, arthaat koodaphatak ki or shahrapnaah ke oopar oopar se chala;

32

और उसके पीछे पीछे ये चले, अर्थात होशयाह और यहूदा के आधे हाकिम,

Aur uske peechhe peechhe ye chale, arthaat hoshyaah aur Yahuda ke aadhe hakim,

33

और अजर्याह, एज्रा, मशुल्लाम,

Aur ajaryaah, ejra, mashullaam,

34

यहूदा, बिन्यामीन, शमायाह, और यिर्मयाह,

Yahuda, binyameen, shamayaah, aur yirmayaah,

35

और याजकों के कितने पुत्र तुरहियां लिये हुए: अर्थात जकर्याह जो योहानान का पुत्र था, यह शमायाह का पुत्र, यह मत्तन्याह का पुत्र, यह मीकायाह का पुत्र, यह जक्कूर का पुत्र, यह आसाप का पुत्र था।

Aur yajkon ke kitne putra turhiyan liye hue: arthaat jakaryaah jo yohanaan ka putra tha, yah shamayaah ka putra, yah mattanyaah ka putra, yah meekayaah ka putra, yah jakkoor ka putra, yah aasaap ka putra tha.

36

और उसके भाई शमायाह, अजरेल, मिललै, गिललै, माऐ, नतनेल, यहूदा और हनानी परमेश्वर के भक्त दाऊद के बाजे लिये हुए थे; और उनके आगे आगे एज्रा शास्त्री चला।

Aur uske bhai shamayaah, ajrel, millai, gillai, maai, natnel, Yahuda aur hanani Parmeshwar ke bhakt Daud ke baje liye hue the; aur unke aage aage ejra shastri chala.

37

ये सोताफाटक से हो सीधे दाऊदपुर की सीढ़ी पर चढ़, शहरपनाह की ऊंचाई पर से चलकर, दाऊद के भवन के ऊपर से हो कर, पूरब की ओर जलफाटक तक पहुंचे।

Ye sotaphatak se ho seedhe daoodpur ki seedhi par chadh, shahrapnaah ki oonchai par se chalkar, Daud ke bhavan ke oopar se ho kar, poorab ki or jalphatak tak pahunche.

38

और धन्यवाद करने और धूमधाम से चलने वालों का दूसरा दल, और उनके पीछे पीछे मैं, और आधे लोग उन से मिलने को शहरपनाह के ऊपर ऊपर से भट्ठों के गुम्मट के पास से चौड़ी शहरपनाह तक।

Aur dhanyavaad karne aur dhoomdhaam se chalne valon ka doosra dal, aur unke peechhe peechhe main, aur aadhe log un se milne ko shahrapnaah ke oopar oopar se bhatthon ke gummat ke paas se chaudi shahrapnaah tak.

39

और एप्रैम के फाटक और पुराने फाटक, और मछलीफाटक, और हननेल के गुम्मट, और हम्मेआ नाम गुम्मट के पास से हो कर भेड़ फाटक तक चले, और पहरुओं के फाटक के पास खड़े हो गए।

Aur epraim ke phatak aur purane phatak, aur machhleephatak, aur hannel ke gummat, aur hammeaa naam gummat ke paas se ho kar bhed phatak tak chale, aur pahruon ke phatak ke paas khade ho gaye.

40

तब धन्यवाद करने वालों के दोनों दल और मैं और मेरे साथ आधे हाकिम परमेश्वर के भवन में खड़े हो गए।

Tab dhanyavaad karne valon ke donon dal aur main aur mere saath aadhe hakim Parmeshwar ke bhavan mein khade ho gaye.

41

और एल्याकीम, मासेयाह, मिन्यामीन, मीकायाह, एल्योएनै, जकर्याह और हनन्याह नाम याजक तुरहियां लिये हुए थे।

Aur elyakeem, maseyaah, minyameen, meekayaah, elyoyenai, jakaryaah aur hananyaah naam yajak turhiyan liye hue the.

42

और मासेयाह, शमायाह, एलीआजर, उज्जी, यहोहानान, मल्किय्याह, एलाम, ओर एजेर (खड़े हुए थे) और गवैये जिनका मुखिया यिज्रह्याह था, वह ऊंचे स्वर से गाते बजाते रहे।

Aur maseyaah, shamayaah, eleeaajar, ujji, yahohanaan, malkiyyaah, elaam, or ejer (khade hue the) aur gavaiye jinka mukhiya yijrahyaah tha, vah oonche swar se gate bajate rahe.

43

उसी दिन लोगों ने बड़े बड़े मेलबलि चढ़ाए, और आनन्द लिया; क्योंकि परमेश्वर ने उन को बहुत ही आनन्दित किया था; स्त्रियों ने और बाल-बच्चों ने भी आनन्द किया। और यरूशलेम के आनन्द की ध्वनि दूर दूर तक फैल गई।

Usi din logon ne bade bade melabli chadhaye, aur aanand liya; kyonki Parmeshwar ne un ko bahut hi aanandit kiya tha; striyon ne aur baal-bachchon ne bhi aanand kiya. Aur Yerushalem ke aanand ki dhvani door door tak phail gai.

44

उसी दिन खज़ानों के, उठाई हुई भेंटों के, पहिली पहिली उपज के, और दशमांशों की कोठरियों के अधिकारी ठहराए गए, कि उन में नगर नगर के खेतों के अनुसार उन वस्तुओं को जमा करें, जो व्यवस्था के अनुसार याजकों और लेवियों के भाग में की थीं; क्योंकि यहूदी उपस्थित याजकों और लेवियों के कारण आनन्दित थे।

Usi din khazanon ke, uthai hui bhenton ke, pahili pahili upaj ke, aur dashmanshon ki kothriyon ke adhikari thahraye gaye, ki un mein nagar nagar ke kheton ke anusaar un vastuon ko jama karein, jo vyavastha ke anusaar yajkon aur leviyon ke bhaag mein ki thi; kyonki Yahudi upasthit yajkon aur leviyon ke karan aanandit the.

45

इसलिये वे अपने परमेश्वर के काम और शुद्धता के विषय चौकसी करते रहे; और गवैये ओर द्वारपाल भी दाऊद और उसके पुत्र सुलैमान की आज्ञा के अनुसार वैसा ही करते रहे।

Isliye ve apne Parmeshwar ke kaam aur shuddhata ke vishay chauksi karte rahe; aur gavaiye or dwarpaal bhi Daud aur uske putra sulaimaan ki aagya ke anusaar vaisa hi karte rahe.

46

प्राचीनकाल, अर्थात दाऊद और आसाप के दिनों में तो गवैयों के प्रधान थे, और परमेश्वर की स्तुति और धन्यवाद के गीत गाए जाते थे।

Pracheenkaal, arthaat Daud aur aasaap ke dinon mein to gavaiyon ke pradhaan the, aur Parmeshwar ki stuti aur dhanyavaad ke geet gaye jate the.

47

और जरुब्बाबेल और नहेमायाह के दिनों में सारे इस्राएली, गवैयों और द्वारपालों के प्रतिदिन का भाग देते रहे; और वे लेवियों के अंश पवित्र कर के देते थे; और लेवीय हारून की सन्तान के अंश पवित्र कर के देते थे।

Aur jarubbabel aur nahemayaah ke dinon mein sare Israeli, gavaiyon aur dwarpalon ke pratidin ka bhaag dete rahe; aur ve leviyon ke ansh pavitra kar ke dete the; aur leveeya haroon ki santaan ke ansh pavitra kar ke dete the.