Esther 1 · 22 verses

एस्तेर 1 Esther 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ester 1.

1

क्षयर्ष नाम राजा के दिनों में ये बातें हुईं: यह वही क्षयर्ष है, जो एक सौ सताईस प्रान्तों पर, अर्थात हिन्दुस्तान से ले कर कूश देश तक राज्य करता था।

Kshayarsh naam raja ke dinon mein ye batein hui: yah vahi kshayarsh hai, jo ek sau satais pranton par, arthaat hindustaan se le kar koosh desh tak rajya karta tha.

2

उन्हीं दिनों में जब क्षयर्ष राजा अपनी उस राजगद्दी पर विराजमान था जो शूशन नाम राजगढ़ में थी।

Unhi dinon mein jab kshayarsh raja apni us rajgaddi par virajmaan tha jo shooshan naam rajgadh mein thi.

3

वहां उसने अपने राज्य के तीसरे वर्ष में अपने सब हाकिमों और कर्मचारियों की जेवनार की। फ़ारस और मादै के सेनापति और प्रान्त- प्रान्त के प्रधान और हाकिम उसके सम्मुख आ गए।

Vahan usne apne rajya ke teesre varsh mein apne sab hakimon aur karmachariyon ki jevnaar ki. Faras aur madai ke senapti aur praant- praant ke pradhaan aur hakim uske sammukh aa gaye.

4

और वह उन्हें बहुत दिन वरन एक सौ अस्सी दिन तक अपने राजविभव का धन और अपने माहात्म्य के अनमोल पदार्थ दिखाता रहा।

Aur vah unhein bahut din varan ek sau assi din tak apne rajvibhav ka dhan aur apne mahatmya ke anmol padaarth dikhata raha.

5

इतने दिनों के बीतने पर राजा ने क्या छोटे क्या बड़े उन सभों की भी जो शूशन नाम राजगढ़ में इकट्ठे हुए थे, राजभवन की बारी के आंगन में सात दिन तक जेवनार की।

Itne dinon ke beetne par raja ne kya chhote kya bade un sabhon ki bhi jo shooshan naam rajgadh mein ikatthe hue the, rajabhvan ki bari ke aangan mein saat din tak jevnaar ki.

6

वहां के पर्दे श्वेत और नीले सूत के थे, और सन और बैंजनी रंग की डोरियों से चान्दी के छल्लों में, संगमर्मर के खम्भों से लगे हुए थे; और वहां की चौकियां सोने-चान्दी की थीं; और लाल और श्वेत और पीले और काले संगमर्मर के बने हुए फ़र्श पर धरी हुई थीं।

Vahan ke parde shwet aur neele soot ke the, aur san aur bainjni rang ki doriyon se chandi ke chhallon mein, sangmarmar ke khambhon se lage hue the; aur vahan ki chaukiyan sone-chandi ki thi; aur laal aur shwet aur peele aur kale sangmarmar ke bane hue farsh par dhari hui thi.

7

उस जेवनार में राजा के योग्य दाखमधु भिन्न भिन्न रूप के सोने के पात्रों में डाल कर राजा की उदारता से बहुतायत के साथ पिलाया जाता था।

Us jevnaar mein raja ke yogya dakhamdhu bhinn bhinn roop ke sone ke patron mein daal kar raja ki udarta se bahutayat ke saath pilaya jata tha.

8

पीना तो नियम के अनुसार होता था, किसी को बरबस नहीं पिलाया जाता था; क्योंकि राजा ने तो अपने भवन के सब भणडारियों को आज्ञा दी थी, कि जो पाहुन जैसा चाहे उसके साथ वैसा ही बर्ताव करना।

Peena to niyam ke anusaar hota tha, kisi ko barbas nahi pilaya jata tha; kyonki raja ne to apne bhavan ke sab bhandariyon ko aagya di thi, ki jo pahun jaisa chahe uske saath vaisa hi bartaav karna.

9

रानी वशती ने भी राजा क्षयर्ष के भवन में स्त्रियों की जेवनार की।

Rani vashti ne bhi raja kshayarsh ke bhavan mein striyon ki jevnaar ki.

10

सातवें दिन, जब राजा का मन दाखमधु में मग्न था, तब उसने महूमान, बिजता, हर्बोना, बिगता, अबगता, जेतेर और कर्कस नाम सातों खोजों को जो क्षयर्ष राजा के सम्मुख सेवा टहल किया करते थे, आज्ञा दी,

Satvein din, jab raja ka man dakhamdhu mein magn tha, tab usne mahoomaan, bijta, harbona, bigta, abagta, jeter aur karkas naam saton khojon ko jo kshayarsh raja ke sammukh seva tahal kiya karte the, aagya di,

11

कि रानी वशती को राजमुकुट धारण किए हुए राजा के सम्मुख ले आओ; जिस से कि देश देश के लोगों और हाकिमों पर उसकी सुन्दरता प्रगट हो जाए; क्योंकि वह देखने में सुन्दर थी।

Ki rani vashti ko rajmukut dharan kiye hue raja ke sammukh le aao; jis se ki desh desh ke logon aur hakimon par uski sundarta pragat ho jaye; kyonki vah dekhne mein sundar thi.

12

खोजों के द्वारा राजा की यह आज्ञा पाकर रानी वशती ने आने से इनकार किया। इस पर राजा बड़े क्रोध से जलने लगा।

Khojon ke dwara raja ki yah aagya pakar rani vashti ne aane se inkaar kiya. Is par raja bade krodh se jalne laga.

13

तब राजा ने समय समय का भेद जानने वाले पणिडतों से पुछा (राजा तो नीति और न्याय के सब ज्ञानियों से ऐसा ही किया करता था।

Tab raja ne samay samay ka bhed janne vale panidton se puchha (raja to neeti aur nyaay ke sab gyaniyon se aisa hi kiya karta tha.

14

और उसके पास कर्शना, शेतार, अदमाता, तर्शीश, मेरेस, मर्सना, और ममूकान नाम फ़ारस, और मादै के सातों खोजे थे, जो राजा का दर्शन करते, और राज्य में मुख्य मुख्य पदों पर नियुक्त किए गए थे। )

Aur uske paas karshana, shetaar, admata, tarsheesh, meres, marsana, aur mamookaan naam faras, aur madai ke saton khoje the, jo raja ka darshan karte, aur rajya mein mukhya mukhya padon par niyukt kiye gaye the. )

15

राजा ने पूछा कि रानी वशती ने राजा क्षयर्ष की खोजों द्वारा दिलाई हुई आज्ञा का उलंघन किया, तो नीति के अनुसार उसके साथ क्या किया जाए?

Raja ne poochha ki rani vashti ne raja kshayarsh ki khojon dwara dilai hui aagya ka ulanghan kiya, to neeti ke anusaar uske saath kya kiya jaye?

16

तब ममूकान ने राजा और हाकिमों की उपस्थिति में उत्तर दिया, रानी वशती ने जो अनुचित काम किया है, वह न केवल राजा से परन्तु सब हाकिमों से और उन सब देशों के लोगों से भी जो राजा क्षयर्ष के सब प्रान्तों में रहते हैं।

Tab mamookaan ne raja aur hakimon ki upasthiti mein uttar diya, rani vashti ne jo anuchit kaam kiya hai, vah na keval raja se parantu sab hakimon se aur un sab deshon ke logon se bhi jo raja kshayarsh ke sab pranton mein rahte hain.

17

क्योंकि रानी के इस काम की चर्चा सब स्त्रियों में होगी और जब यह कहा जाएगा, कि राजा क्षयर्ष ने रानी वशती को अपने साम्हने ले आने की आज्ञा दी परन्तु वह न आई, तब वे भी अपने अपने पति को तुच्छ जानने लगेंगी।

Kyonki rani ke is kaam ki charcha sab striyon mein hogi aur jab yah kaha jayega, ki raja kshayarsh ne rani vashti ko apne samhane le aane ki aagya di parantu vah na aai, tab ve bhi apne apne pati ko tuchchh janne lagengi.

18

और आज के दिन फ़ारसी और मादी हाकिमों की स्त्रियां जिन्होंने रानी की यह बात सुनी है तो वे भी राजा के सब हाकिमों से ऐसा ही कहने लगेंगी; इस प्रकार बहुत ही घृणा और क्रोध उत्पन्न होगा।

Aur aaj ke din farsi aur madi hakimon ki striyan jinhonne rani ki yah baat suni hai to ve bhi raja ke sab hakimon se aisa hi kahne lagengi; is prakaar bahut hi ghrina aur krodh utpann hoga.

19

यदि राजा को स्वीकार हो, तो यह आज्ञा निकाले, और फारसियों और मादियों के कानून में लिखी भी जाए, जिस से कभी बदल न सके, कि रानी वशती राजा क्षयर्ष के सम्मुख फिर कभी आने न पाए, और राजा पटरानी का पद किसी दूसरी को दे दे जो उस से अच्छी हो।

Yadi raja ko sweekaar ho, to yah aagya nikale, aur pharsiyon aur madiyon ke kanoon mein likhi bhi jaye, jis se kabhi badal na sake, ki rani vashti raja kshayarsh ke sammukh phir kabhi aane na paye, aur raja patrani ka pad kisi doosri ko de de jo us se achchhi ho.

20

और जब राजा की यह आज्ञा उसके सारे राज्य में सुनाईं जाएगी, तब सब पत्नियां छोटे, बड़े, अपने अपने पति का आदरमान करती रहेंगी।

Aur jab raja ki yah aagya uske sare rajya mein sunai jayegi, tab sab patniyan chhote, bade, apne apne pati ka aadarmaan karti rahengi.

21

यह बात राजा और हाकिमों को पसन्द आई और राजा ने ममूकान की सम्मति मान ली और अपने राज्य में,

Yah baat raja aur hakimon ko pasand aai aur raja ne mamookaan ki sammati maan li aur apne rajya mein,

22

अर्थात प्रत्येक प्रान्त के अक्षरों में और प्रत्येक जाति की भाषा में चिट्ठियां भेजीं, कि सब पुरुष अपने अपने घर में अधिकार चलाएं, और अपनी जाति की भाषा बोला करें।

Arthaat pratyek praant ke aksharon mein aur pratyek jati ki bhasha mein chitthiyan bheji, ki sab purush apne apne ghar mein adhikaar chalayen, aur apni jati ki bhasha bola karein.