Nehemiah 11 · 36 verses

नहेम्याह 11 Nehemiah 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nahemyaah 11.

1

प्रजा के हाकिम तो यरूशलेम में रहते थे, और शेष लोगों ने यह ठहराने के लिये चिट्ठियां डालीं, कि दस में से एक मनुष्य यरूशलेम में, जो पवित्र नगर है, बस जाएं; और नौ मनुष्य और और नगरों में बसें।

Praja ke hakim to Yerushalem mein rahte the, aur shesh logon ne yah thahrane ke liye chitthiyan dali, ki das mein se ek manushya Yerushalem mein, jo pavitra nagar hai, bas jayen; aur nau manushya aur aur nagron mein basein.

2

और जिन्होंने अपनी ही इच्छा से यरूशलेम में वास करना चाहा उन सभों को लोगों ने आशीर्वाद दिया।

Aur jinhonne apni hi ichchha se Yerushalem mein vaas karna chaha un sabhon ko logon ne aasheervaad diya.

3

उस प्रान्त के मुख्य मुख्य पुरुष जो यरूशलेम में रहते थे, वे ये हैं; (परन्तु यहूदा के नगरों में एक एक मनुष्य अपनी निज भूमि में रहता था; अर्थात इस्राएली, याजक, लेवीय, नतीन और सुलैमान के दासों के सन्तान )

Us praant ke mukhya mukhya purush jo Yerushalem mein rahte the, ve ye hain; (parantu Yahuda ke nagron mein ek ek manushya apni nij bhoomi mein rahta tha; arthaat Israeli, yajak, leveeya, nateen aur sulaimaan ke dason ke santaan )

4

यरूशलेम में तो कुछ यहूदी और बिन्यामीनी रहते थे। यहूदियों में से तो येरेस के वंश का अतायाह जो उज्जिय्याह का पुत्र था, यह जकर्याह का पुत्र, यह अमर्याह का पुत्र, यह शपत्याह का पुत्र, यह महललेल का पुत्र था।

Yerushalem mein to kuchh Yahudi aur binyameeni rahte the. Yahudiyon mein se to yeres ke vansh ka atayaah jo ujjiyyaah ka putra tha, yah jakaryaah ka putra, yah amaryaah ka putra, yah shapatyaah ka putra, yah mahallel ka putra tha.

5

और मासेयाह जो बारूक का पुत्र था, यह कोलहोजे का पुत्र, यह हजायाह का पुत्र, यह अदायाह का पुत्र, यह योयारीब का पुत्र, यह जकर्याह का पुत्र, यह और यह शीलोई का पुत्र था।

Aur maseyaah jo barook ka putra tha, yah kolhoje ka putra, yah hajayaah ka putra, yah adayaah ka putra, yah yoyareeb ka putra, yah jakaryaah ka putra, yah aur yah sheeloi ka putra tha.

6

पेरेस के वंश के जो यरूशलेम में रहते थे, वह सब मिलाकर चार सौ अड़सठ शूरवीर थे।

Peres ke vansh ke jo Yerushalem mein rahte the, vah sab milakar chaar sau adsath shoorveer the.

7

और बिन्यामीनियों में से सल्लू जो मशुल्लाम का पुत्र था, यह योएद का पुत्र, यह पदायाह का पुत्र था, यह कोलायाह का पुत्र यह मासेयाह का पुत्र, यह इतीएह का पुत्र, यह यशायाह का पुत्र था।

Aur binyameeniyon mein se sallu jo mashullaam ka putra tha, yah yoyed ka putra, yah padayaah ka putra tha, yah kolayaah ka putra yah maseyaah ka putra, yah iteeyeh ka putra, yah yashayaah ka putra tha.

8

और उसके बाद गब्बै सल्लै जिनके साथ नौ सौ अट्ठाईस पुरुष थे।

Aur uske baad gabbai sallai jinke saath nau sau atthais purush the.

9

इनका रखवाल जिक्री का पुत्र योएल था, और हस्सनूआ का पुत्र यहूदा नगर के प्रधान का नायब था।

Inka rakhvaal jikri ka putra yoyel tha, aur hassanooaa ka putra Yahuda nagar ke pradhaan ka nayab tha.

10

फिर याजकों में से योयारीब का पुत्र यदायाह और याकीन।

Phir yajkon mein se yoyareeb ka putra yadayaah aur yakeen.

11

और सरायाह जो परमेश्वर के भवन का प्रधान और हिल्किय्याह का पुत्र था, यह मशुल्लाम का पुत्र, यह सादोक का पुत्र, यह मरायोत का पुत्र, यह अहीतूब का पुत्र था।

Aur sarayaah jo Parmeshwar ke bhavan ka pradhaan aur hilkiyyaah ka putra tha, yah mashullaam ka putra, yah sadok ka putra, yah marayot ka putra, yah aheetoob ka putra tha.

12

और इनके आठ सौ बाईस भाई जो उस भवन का काम करते थे; और अदायाह, जो यरोहाम का पुत्र था, यह पलल्याह का पुत्र, यह अम्सी का पुत्र, यह जकर्याह का पुत्र, यह पशहूर का पुत्र, यह मल्किय्याह का पुत्र था।

Aur inke aath sau bais bhai jo us bhavan ka kaam karte the; aur adayaah, jo yarohaam ka putra tha, yah palalyaah ka putra, yah amsi ka putra, yah jakaryaah ka putra, yah pashhoor ka putra, yah malkiyyaah ka putra tha.

13

और इसके दो सौ बयालीस भाई जो पितरों के घरानों के प्रधान थे; और अमशै जो अजरेल का पुत्र था, यह अहजै का पुत्र, यह मशिल्लेमोत का पुत्र, यह इम्मेर का पुत्र था।

Aur iske do sau bayalees bhai jo pitron ke gharanon ke pradhaan the; aur amshai jo ajrel ka putra tha, yah ahjai ka putra, yah mashillemot ka putra, yah immer ka putra tha.

14

और इनके एक सौ अट्ठाईस शूरवीर भाई थे और इनका रखवाल हग्गदोलीम का पुत्र जब्दीएल था।

Aur inke ek sau atthais shoorveer bhai the aur inka rakhvaal haggadoleem ka putra jabdeeyel tha.

15

फिर लेवियों में से शमायाह जो हश्शूब का पुत्र था, यह अज्रीकाम का पुत्र, यह हुशब्याह का पुत्र, यह बुन्नी का पुत्र था।

Phir leviyon mein se shamayaah jo hashshoob ka putra tha, yah ajreekaam ka putra, yah hushabyaah ka putra, yah bunni ka putra tha.

16

ओर शब्बत और योजाबाद मुख्य लेवियों में से परमेश्वर के भवन के बाहरी काम पर ठहरे थे।

Or shabbat aur yojabaad mukhya leviyon mein se Parmeshwar ke bhavan ke bahri kaam par thahre the.

17

और मत्तन्याह जो मीका का पुत्र और जब्दी का पोता, और आसाप का परपोता था; वह प्रार्थना में धन्यवाद करने वालों का मुखिया था, और बकबुक्याह अपने भाइयों में दूसरा पद रखता था; और अब्दा जो शम्मू का पुत्र, और गालाल का पोता, और यदूतून का परपोता था।

Aur mattanyaah jo meeka ka putra aur jabdi ka pota, aur aasaap ka parpota tha; vah prarthana mein dhanyavaad karne valon ka mukhiya tha, aur bakbukyaah apne bhaiyon mein doosra pad rakhta tha; aur abda jo shammu ka putra, aur galaal ka pota, aur yadootoon ka parpota tha.

18

जो लेवीय पवित्र नगर में रहते थे, वह सब मिलाकर दो सौ चौरासी थे।

Jo leveeya pavitra nagar mein rahte the, vah sab milakar do sau chaurasi the.

19

और अक्कूब और तल्मोन नाम द्वारपाल और उनके भाई जो फाटकों के रख वाले थे, एक सौ बहत्तर थे।

Aur akkoob aur talmon naam dwarpaal aur unke bhai jo phatkon ke rakh vale the, ek sau bahattar the.

20

और शेष इस्राएली याजक और लेवीय, यहूदा के सब नगरों में अपने अपने भाग पर रहते थे।

Aur shesh Israeli yajak aur leveeya, Yahuda ke sab nagron mein apne apne bhaag par rahte the.

21

और नतीन लोग ओपेल में रहते; और नतिनों के ऊपर सीहा, और गिश्पा ठहराए गए थे।

Aur nateen log opel mein rahte; aur natinon ke oopar seeha, aur gishpa thahraye gaye the.

22

और जो लेवीय यरूशलेम में रहकर परमेश्वर के भवन के काम में लगे रहते थे, उनका मुखिया आसाप के वंश के गवैयों में का उज्जी था, जो बानी का पुत्र था, यह हशब्याह का पुत्र, यह मत्तन्याह का पुत्र और यह हशब्याह का पुत्र था।

Aur jo leveeya Yerushalem mein rahkar Parmeshwar ke bhavan ke kaam mein lage rahte the, unka mukhiya aasaap ke vansh ke gavaiyon mein ka ujji tha, jo bani ka putra tha, yah hashabyaah ka putra, yah mattanyaah ka putra aur yah hashabyaah ka putra tha.

23

क्योंकि उनके विषय राजा की आज्ञा थी, और गवैयों के प्रतिदिन के प्रयोजन के अनुसार ठीक प्रबन्ध था।

Kyonki unke vishay raja ki aagya thi, aur gavaiyon ke pratidin ke prayojan ke anusaar theek prabandh tha.

24

और प्रजा के सब काम के लिये मशेजबेल का पुत्र पतह्याह जो यहूदा के पुत्र जेरह के वंश में था, वह राजा के पास रहता था।

Aur praja ke sab kaam ke liye mashejbel ka putra patahyaah jo Yahuda ke putra jerah ke vansh mein tha, vah raja ke paas rahta tha.

25

बच गए गांव और उनके खेत, सो कुछ यहूदी किर्यतर्बा, और उनके गांव में, कुछ दीबोन, और उसके गांवों में, कुछ यकब्सेल और उसके गांवों में रहते थे।

Bach gaye gaanv aur unke khet, so kuchh Yahudi kiryatarba, aur unke gaanv mein, kuchh deebon, aur uske ganvon mein, kuchh yakabsel aur uske ganvon mein rahte the.

26

फिर येशू, मोलादा, बेत्पेलेत;

Phir yeshu, molada, betpelet;

27

हसर्शूआल, और बेर्शेबा और और उसके गांवों में;

Hasarshooaal, aur bersheba aur aur uske ganvon mein;

28

और सिकलग और मकोना और उनके गांवों में;

Aur siklag aur makona aur unke ganvon mein;

29

एन्निम्मोन, सोरा, यर्मूत,

Ennimmon, sora, yarmoot,

30

जानोह और अदूल्लाम और उनके गांवों में, लाकीश, और उसके खेतों में अजेका, और उसके गांवों में वे बेर्शेबा से ले हिन्नोम की तराई तक डेरे डाले हुए रहते थे।

Janoh aur adoollaam aur unke ganvon mein, lakeesh, aur uske kheton mein ajeka, aur uske ganvon mein ve bersheba se le hinnom ki tarai tak dere dale hue rahte the.

31

और बिन्यामीनी गेबा से ले कर मिकमश, अय्या और बेतेल और उसके गांवों में;

Aur binyameeni geba se le kar mikmash, ayya aur betel aur uske ganvon mein;

32

अनातोत, नोब, अनन्याह,

Anatot, nob, ananyaah,

33

हासोर, रामा, गित्तैम,

Hasor, rama, gittaim,

34

हादीद, सबोईम, नबल्लत,

Hadeed, saboim, naballat,

35

लोद, ओनो और कारीगरों की तराई तक रहते थे।

Lod, ono aur kareegron ki tarai tak rahte the.

36

और कितने लेवियों के दल यहूदा और बिन्यामीन के प्रान्तों में बस गए।

Aur kitne leviyon ke dal Yahuda aur binyameen ke pranton mein bas gaye.