हकल्याह के पुत्र नहेमायाह के वचन। बीसवें वर्ष के किसलवे नाम महीने में, जब मैं शूशन नाम राजगढ़ में रहता था,
Hakalyaah ke putra nahemayaah ke vachan. Beesvein varsh ke kisalve naam maheene mein, jab main shooshan naam rajgadh mein rahta tha,
Nehemiah 1 · 11 verses
हकल्याह के पुत्र नहेमायाह के वचन। बीसवें वर्ष के किसलवे नाम महीने में, जब मैं शूशन नाम राजगढ़ में रहता था,
Hakalyaah ke putra nahemayaah ke vachan. Beesvein varsh ke kisalve naam maheene mein, jab main shooshan naam rajgadh mein rahta tha,
तब हनानी नाम मेरा एक भाई और यहूदा से आए हुए कई एक पुरुष आए; तब मैं ने उन से उन बचे हुए यहूदियों के विषय जो बन्धुआई से छूट गए थे, और यरूशलेम के विष्य में पूछा।
Tab hanani naam mera ek bhai aur Yahuda se aaye hue kai ek purush aaye; tab main ne un se un bache hue Yahudiyon ke vishay jo bandhuaai se chhoot gaye the, aur Yerushalem ke vishya mein poochha.
उन्होंने मुझ से कहा, जो बचे हुए लोग बन्धुआई से छूटकर उस प्रान्त में रहते हैं, वे बड़ी दुर्दशा में पड़े हैं, और उनकी निन्दा होती है; क्योंकि यरूशलेम की शहरपनाह टूटी हुई, और उसके फाटक जले हुए हैं।
Unhonne mujh se kaha, jo bache hue log bandhuaai se chhootkar us praant mein rahte hain, ve badi durdasha mein pade hain, aur unki ninda hoti hai; kyonki Yerushalem ki shahrapnaah tooti hui, aur uske phatak jale hue hain.
ये बातें सुनते ही मैं बैठकर रोने लगा और कितने दिन तक विलाप करता; और स्वर्ग के परमेश्वर के सम्मुख उपवास करता और यह कह कर प्रार्थना करता रहा।
Ye batein sunte hi main baithkar rone laga aur kitne din tak vilaap karta; aur swarg ke Parmeshwar ke sammukh upvaas karta aur yah kah kar prarthana karta raha.
हे स्वर्ग के परमेश्वर यहोवा, हे महान और भययोग्य ईश्वर! तू जो अपने प्रेम रखने वाले और आज्ञा मानने वाले के विष्य अपनी वाचा पालता और उन पर करुणा करता है;
He swarg ke Parmeshwar Yahowa, he mahaan aur bhayyogya ishwar! Tu jo apne prem rakhne vale aur aagya manne vale ke vishya apni vacha palta aur un par karuna karta hai;
तू कान लगाए और आंखें खोले रह, कि जो प्रार्थना मैं तेरा दास इस समय तेरे दास इस्राएलियों के लिये दिन रात करता रहता हूँ, उसे तू सुन ले। मैं इस्राएलियों के पापों को जो हम लोगों ने तेरे विरुद्ध किए हैं, मान लेता हूँ। मैं और मेरे पिता के घराने दोनों ने पाप किया है।
Tu kaan lagaye aur aankhein khole rah, ki jo prarthana main tera daas is samay tere daas Israeliyon ke liye din raat karta rahta hoon, use tu sun le. Main Israeliyon ke papon ko jo ham logon ne tere viruddh kiye hain, maan leta hoon. Main aur mere pita ke gharane donon ne paap kiya hai.
हम ने तेरे साम्हने बहुत बुराई की है, और जो आज्ञाएं, विधियां और नियम तू ने अपने दास मूसा को दिए थे, उन को हम ने नहीं माना।
Ham ne tere samhane bahut burai ki hai, aur jo aagyayen, vidhiyan aur niyam tu ne apne daas Musa ko diye the, un ko ham ne nahi mana.
उस वचन की सुधि ले, जो तू ने अपने दास मूसा से कहा था, कि यदि तुम लोग विश्वासघात करो, तो मैं तुम को देश देश के लोगों में तितर बितर करूंगा।
Us vachan ki sudhi le, jo tu ne apne daas Musa se kaha tha, ki yadi tum log vishwasghaat karo, to main tum ko desh desh ke logon mein titar bitar karoonga.
परन्तु यदि तुम मेरी ओर फिरो, और मेरी आज्ञाएं मानो, और उन पर चलो, तो चाहे तुम में से निकाले हुए लोग आकाश की छोर में भी हों, तौभी मैं उन को वहां से इकट्ठा कर के उस स्थान में पहुंचाऊंगा, जिसे मैं ने अपने नाम के निवास के लिये चुन लिया है।
Parantu yadi tum meri or phiro, aur meri aagyayen mano, aur un par chalo, to chahe tum mein se nikale hue log aakaash ki chhor mein bhi hon, taubhi main un ko vahan se ikattha kar ke us sthaan mein pahunchaoonga, jise main ne apne naam ke nivaas ke liye chun liya hai.
अब वे तेरे दास और तेरी प्रजा के लोग हैं जिन को तू ने अपनी बड़ी सामर्थ और बलवन्त हाथ के द्वारा छुड़ा लिया है।
Ab ve tere daas aur teri praja ke log hain jin ko tu ne apni badi samarth aur balvant haath ke dwara chhuda liya hai.
हे प्रभु बिनती यह है, कि तू अपने दास की प्रार्थना पर, और अपने उन दासों की प्रार्थना पर, जो तेरे नाम का भय मानना चाहते हैं, कान लगा, और आज अपने दास का काम सफल कर, और उस पुरुष को उस पर दयालु कर। (मैं तो राजा का पियाऊ था।)
He Prabhu binti yah hai, ki tu apne daas ki prarthana par, aur apne un dason ki prarthana par, jo tere naam ka bhay manna chahte hain, kaan laga, aur aaj apne daas ka kaam saphal kar, aur us purush ko us par dayalu kar. (main to raja ka piyau tha.)