Leviticus 8 · 36 verses

लैव्यव्यवस्था 8 Leviticus 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 8.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

तू हारून और उसके पुत्रों के वस्त्रों को, और अभिषेक के तेल, और पापबलि के बछड़े, और दोनों मेढ़ों, और अखमीरी रोटी की टोकरी को

Tu haroon aur uske putron ke vastron ko, aur abhishek ke tel, aur papabli ke bachhde, aur donon medhon, aur akhmeeri roti ki tokri ko

3

मिलापवाले तम्बू के द्वार पर ले आ, और वहीं सारी मण्डली को इकट्ठा कर।

Milapvale tambu ke dwaar par le aa, aur vahi sari mandali ko ikattha kar.

4

यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार मूसा ने किया; और मण्डली मिलापवाले तम्बू के द्वार पर इकट्ठी हुई।

Yahowa ki is aagya ke anusaar Musa ne kiya; aur mandali milapvale tambu ke dwaar par ikatthi hui.

5

तब मूसा ने मण्डली से कहा, जो काम करने की आज्ञा यहोवा ने दी है वह यह है।

Tab Musa ne mandali se kaha, jo kaam karne ki aagya Yahowa ne di hai vah yah hai.

6

फिर मूसा ने हारून और उसके पुत्रों को समीप ले जा कर जल से नहलाया।

Phir Musa ne haroon aur uske putron ko sameep le ja kar jal se nahlaya.

7

तब उसने उन को अंगरखा पहिनाया, और कटिबन्द लपेटकर बागा पहिना दिया, और एपोद लगाकर एपोद के काढ़े हुए पटुके से एपोद को बान्धकर कस दिया।

Tab usne un ko angarkha pahinaya, aur katiband lapetkar baga pahina diya, aur epod lagakar epod ke kadhe hue patuke se epod ko bandhakar kas diya.

8

और उसने उनके चपरास लगाकर चपरास में ऊरीम और तुम्मीम रख दिए।

Aur usne unke chapraas lagakar chapraas mein ooreem aur tummeem rakh diye.

9

तब उसने उसके सिर पर पगड़ी बान्धकर पगड़ी के साम्हने पर सोने के टीके को, अर्थात पवित्र मुकुट को लगाया, जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Tab usne uske sir par pagdi bandhakar pagdi ke samhane par sone ke teeke ko, arthaat pavitra mukut ko lagaya, jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

10

तब मूसा ने अभिषेक का तेल ले कर निवास का और जो कुछ उस में था उन सब को भी अभिषेक करके उन्हें पवित्र किया।

Tab Musa ne abhishek ka tel le kar nivaas ka aur jo kuchh us mein tha un sab ko bhi abhishek karke unhein pavitra kiya.

11

और उस तेल में से कुछ उसने वेदी पर सात बार छिड़का, और कुल सामान समेत वेदी का और पाए समेत हौदी का अभिषेक करके उन्हें पवित्र किया।

Aur us tel mein se kuchh usne vedi par saat baar chhidka, aur kul samaan samet vedi ka aur paye samet haudi ka abhishek karke unhein pavitra kiya.

12

और उसने अभिषेक के तेल में से कुछ हारून के सिर पर डालकर उसका अभिषेक करके उसे पवित्र किया।

Aur usne abhishek ke tel mein se kuchh haroon ke sir par dalkar uska abhishek karke use pavitra kiya.

13

फिर मूसा ने हारून के पुत्रों को समीप ले आकर, अंगरखे पहिनाकर, फेटे बान्ध के उनके सिर पर टोपी रख दी, जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Phir Musa ne haroon ke putron ko sameep le aakar, angarkhe pahinakar, phete baandh ke unke sir par topi rakh di, jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

14

तब वह पापबलि के बछड़े को समीप ले गया; और हारून और उसके पुत्रों ने अपने अपने हाथ पापबलि के बछड़े के सिर पर रखे

Tab vah papabli ke bachhde ko sameep le gaya; aur haroon aur uske putron ne apne apne haath papabli ke bachhde ke sir par rakhe

15

तब वह बलि किया गया, और मूसा ने लोहू को ले कर उंगली से वेदी के चारों सींगों पर लगाकर पवित्र किया, और लोहू को वेदी के पाए पर उंडेल दिया, और उसके लिये प्रायश्चित्त करके उसको पवित्र किया।

Tab vah bali kiya gaya, aur Musa ne lohu ko le kar ungli se vedi ke charon seengon par lagakar pavitra kiya, aur lohu ko vedi ke paye par undel diya, aur uske liye prayashchitt karke usko pavitra kiya.

16

और मूसा ने अंतड़ियों पर की सब चरबी, और कलेजे पर की झिल्ली, और चरबी समेत दोनों गुर्दों को ले कर वेदी पर जलाया।

Aur Musa ne antdiyon par ki sab charbi, aur kaleje par ki jhilli, aur charbi samet donon gurdon ko le kar vedi par jalaya.

17

ओर बछड़े में से जो कुछ शेष रह गया उसको, अर्थात गोबर समेत उसकी खाल और मांस को उसने छावनी से बाहर आग में जलाया, जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Or bachhde mein se jo kuchh shesh rah gaya usko, arthaat gobar samet uski khaal aur maans ko usne chhavni se bahar aag mein jalaya, jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

18

फिर वह होमबलि के मेढ़े को समीप ले गया, और हारून और उसके पुत्रों ने अपने अपने हाथ मेंढ़े के सिर पर रखे।

Phir vah homabli ke medhe ko sameep le gaya, aur haroon aur uske putron ne apne apne haath mendhe ke sir par rakhe.

19

तब वह बलि किया गया, और मूसा ने उसका लोहू वेदी पर चारों ओर छिड़का।

Tab vah bali kiya gaya, aur Musa ne uska lohu vedi par charon or chhidka.

20

किया गया, और मूसा ने सिर ओर चरबी समेत टुकड़ों को जलाया।

Kiya gaya, aur Musa ne sir or charbi samet tukdon ko jalaya.

21

तब अंतड़ियां और पांव जल से धोये गए, और मूसा ने पूरे मेढ़े को वेदी पर जलाया, और वह सुखदायक सुगन्ध देने के लिये होमबलि और यहोवा के लिये हव्य हो गया, जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Tab antdiyan aur paanv jal se dhoye gaye, aur Musa ne poore medhe ko vedi par jalaya, aur vah sukhdayak sugandh dene ke liye homabli aur Yahowa ke liye havya ho gaya, jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

22

फिर वह दूसरे मेढ़े को जो संस्कार का मेढ़ा था समीप ले गया, और हारून और उसके पुत्रों ने अपने अपने हाथ मेढ़े के सिर पर रखे।

Phir vah doosre medhe ko jo sanskaar ka medha tha sameep le gaya, aur haroon aur uske putron ne apne apne haath medhe ke sir par rakhe.

23

तब वह बलि किया गया, और मूसा ने उसके लोहू में से कुछ ले कर हारून के दाहिने कान के सिरे पर और उसके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर लगाया।

Tab vah bali kiya gaya, aur Musa ne uske lohu mein se kuchh le kar haroon ke dahine kaan ke sire par aur uske dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par lagaya.

24

और वह हारून के पुत्रों को समीप ले गया, और लोहू में से कुछ एक एक के दाहिने कान के सिरे पर और दाहिने हाथ ओर दाहिने पांव के अंगूठों पर लगाया; और मूसा ने लोहू को वेदी पर चारों ओर छिड़का।

Aur vah haroon ke putron ko sameep le gaya, aur lohu mein se kuchh ek ek ke dahine kaan ke sire par aur dahine haath or dahine paanv ke angoothon par lagaya; aur Musa ne lohu ko vedi par charon or chhidka.

25

और उसने चरबी, और मोटी पूंछ, ओर अंतड़ियों पर की सब चरबी, और कलेजे पर की झिल्ली समेत दोनों गुर्दे, और दाहिनी जांघ, ये सब ले कर अलग रखे;

Aur usne charbi, aur moti poonchh, or antdiyon par ki sab charbi, aur kaleje par ki jhilli samet donon gurde, aur dahini jaangh, ye sab le kar alag rakhe;

26

ओर अखमीरी रोटी की टोकरी जो यहोवा के आगे रखी गई थी उस में से एक रोटी, और तेल से सने हुए मैदे का एक फुलका, और एक रोटी ले कर चरबी और दाहिनी जांघ पर रख दी;

Or akhmeeri roti ki tokri jo Yahowa ke aage rakhi gai thi us mein se ek roti, aur tel se sane hue maide ka ek phulka, aur ek roti le kar charbi aur dahini jaangh par rakh di;

27

और ये सब वस्तुएं हारून और उसके पुत्रों के हाथों पर धर दी गई, और हिलाने की भेंट के लिये यहोवा के साम्हने हिलाई गई।

Aur ye sab vastuein haroon aur uske putron ke hathon par dhar di gai, aur hilane ki bhent ke liye Yahowa ke samhane hilai gai.

28

और मूसा ने उन्हें फिर उनके हाथों पर से ले कर उन्हें वेदी पर होमबलि के ऊपर जलाया, यह सुखदायक सुगन्ध देने के लिये संस्कार की भेंट और यहोवा के लिये हव्य था।

Aur Musa ne unhein phir unke hathon par se le kar unhein vedi par homabli ke oopar jalaya, yah sukhdayak sugandh dene ke liye sanskaar ki bhent aur Yahowa ke liye havya tha.

29

तब मूसा ने छाती को ले कर हिलाने की भेंट के लिये यहोवा के आगे हिलाया; और संस्कार के मेढ़े में से मूसा का भाग यही हुआ जैसा यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Tab Musa ne chhati ko le kar hilane ki bhent ke liye Yahowa ke aage hilaya; aur sanskaar ke medhe mein se Musa ka bhaag yahi huaa jaisa Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

30

और मूसा ने अभिषेक के तेल ओर वेदी पर के लोहू, दोनों में से कुछ ले कर हारून और उसके वस्त्रों पर, और उसके पुत्रों और उनके वस्त्रों पर भी छिड़का; और उसने वस्त्रों समेत हारून को ओर वस्त्रों समेत उसके पुत्रों को भी पवित्र किया।

Aur Musa ne abhishek ke tel or vedi par ke lohu, donon mein se kuchh le kar haroon aur uske vastron par, aur uske putron aur unke vastron par bhi chhidka; aur usne vastron samet haroon ko or vastron samet uske putron ko bhi pavitra kiya.

31

और मूसा ने हारून और उसके पुत्रों से कहा, मांस को मिलापवाले तम्बू के द्वार पर पकाओ, और उस रोटी को जो संस्कार की टोकरी में है वहीं खाओ, जैसा मैं ने आज्ञा दी है, कि हारून और उसके पुत्र उसे खाएं।

Aur Musa ne haroon aur uske putron se kaha, maans ko milapvale tambu ke dwaar par pakao, aur us roti ko jo sanskaar ki tokri mein hai vahi khao, jaisa main ne aagya di hai, ki haroon aur uske putra use khayen.

32

और मांस और रोटी में से जो शेष रह जाए उसे आग में जला देना।

Aur maans aur roti mein se jo shesh rah jaye use aag mein jala dena.

33

और जब तक तुम्हारे संस्कार के दिन पूरे न हों तब तक, अर्थात सात दिन तक मिलापवाले तम्बू के द्वार के बाहर न जाना, क्योंकि वह सात दिन तक तुम्हारा संस्कार करता रहेगा।

Aur jab tak tumhare sanskaar ke din poore na hon tab tak, arthaat saat din tak milapvale tambu ke dwaar ke bahar na jana, kyonki vah saat din tak tumhara sanskaar karta rahega.

34

जिस प्रकार आज किया गया है वैसा ही करने की आज्ञा यहोवा ने दी है, जिस से तुम्हारा प्रायश्चित्त किया जाए।

Jis prakaar aaj kiya gaya hai vaisa hi karne ki aagya Yahowa ne di hai, jis se tumhara prayashchitt kiya jaye.

35

इसलिये तुम मिलापवाले तम्बू के द्वार पर सात दिन तक दिन रात ठहरे रहना, और यहोवा की आज्ञा को मानना, ताकि तुम मर न जाओ; क्योंकि ऐसी ही आज्ञा मुझे दी गई है।

Isliye tum milapvale tambu ke dwaar par saat din tak din raat thahre rahna, aur Yahowa ki aagya ko manna, taki tum mar na jao; kyonki aisi hi aagya mujhe di gai hai.

36

तब यहोवा की इन्हीं सब आज्ञाओं के अनुसार जो उसने मूसा के द्वारा दी थीं हारून ओर उसके पुत्रों ने उनका पालन किया॥

Tab Yahowa ki inhi sab aagyaon ke anusaar jo usne Musa ke dwara di thi haroon or uske putron ne unka palan kiya.