फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Leviticus 6 · 30 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
यदि कोई यहोवा का विश्वासघात करके पापी ठहरे, जैसा कि धरोहर, वा लेनदेन, वा लूट के विषय में अपने भाई से छल करे, वा उस पर अन्धेर करे,
Yadi koi Yahowa ka vishwasghaat karke papi thahre, jaisa ki dharohar, va lenden, va loot ke vishay mein apne bhai se chhal kare, va us par andher kare,
वा पड़ी हुई वस्तु को पाकर उसके विषय झूठ बोले और झूठी शपथ भी खाए; ऐसी कोई भी बात क्यों न हो जिसे करके मनुष्य पापी ठहरते हैं,
Va padi hui vastu ko pakar uske vishay jhooth bole aur jhoothi shapath bhi khaye; aisi koi bhi baat kyon na ho jise karke manushya papi thaharte hain,
तो जब वह ऐसा काम करके दोषी हो जाए, तब जो भी वस्तु उसने लूट, वा अन्धेर करके, वा धरोहर, वा पड़ी पाई हो;
To jab vah aisa kaam karke doshi ho jaye, tab jo bhi vastu usne loot, va andher karke, va dharohar, va padi pai ho;
चाहे कोई वस्तु क्यों न हो जिसके विषय में उसने झूठी शपथ खाई हो; तो वह उसको पूरा पूरा लौटा दे, और पांचवां भाग भी बढ़ाकर भर दे, जिस दिन यह मालूम हो कि वह दोषी है, उसी दिन वह उस वस्तु को उसके स्वामी को लौटा दे।
Chahe koi vastu kyon na ho jiske vishay mein usne jhoothi shapath khai ho; to vah usko poora poora lauta de, aur panchvan bhaag bhi badhakar bhar de, jis din yah maloom ho ki vah doshi hai, usi din vah us vastu ko uske swami ko lauta de.
और वह यहोवा के सम्मुख अपना दोषबलि भी ले आए, अर्थात एक निर्दोष मेढ़ा दोषबलि के लिये याजक के पास ले आए, वह उतने ही दाम का हो जितना याजक ठहराए।
Aur vah Yahowa ke sammukh apna doshabli bhi le aaye, arthaat ek nirdosh medha doshabli ke liye yajak ke paas le aaye, vah utne hi daam ka ho jitna yajak thahraye.
इस प्रकार याजक उसके लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करे, और जिस काम को करके वह दोषी हो गया है उसकी क्षमा उसे मिलेगी॥
Is prakaar yajak uske liye Yahowa ke samhane prayashchitt kare, aur jis kaam ko karke vah doshi ho gaya hai uski kshama use milegi.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
हारून और उसके पुत्रों को आज्ञा देकर यह कह, कि होमबलि की व्यवस्था यह है; अर्थात होमबलि ईधन के ऊपर रात भर भोर तब वेदी पर पड़ा रहे, और वेदी की अग्नि वेदी पर जलती रहे।
Haroon aur uske putron ko aagya dekar yah kah, ki homabli ki vyavastha yah hai; arthaat homabli idhan ke oopar raat bhar bhor tab vedi par pada rahe, aur vedi ki agni vedi par jalti rahe.
और याजक अपने सनी के वस्त्र और अपने तन पर अपनी सनी की जांघिया पहिनकर होमबलि की राख, जो आग के भस्म करने से वेदी पर रह जाए, उसे उठा कर वेदी के पास रखे।
Aur yajak apne sani ke vastra aur apne tan par apni sani ki janghiya pahinkar homabli ki raakh, jo aag ke bhasm karne se vedi par rah jaye, use utha kar vedi ke paas rakhe.
तब वह अपने वस्त्र उतारकर दूसरे वस्त्र पहिनकर राख को छावनी से बाहर किसी शुद्ध स्थान पर ले जाए।
Tab vah apne vastra utarkar doosre vastra pahinkar raakh ko chhavni se bahar kisi shuddh sthaan par le jaye.
और वेदी पर अग्नि जलती रहे, और कभी बुझने न पाए; और याजक भोर भोर उस पर लकड़ियां जलाकर होमबलि के टुकड़ों को उसके ऊपर सजाकर धर दे, और उसके ऊपर मेलबलियों की चरबी को जलाया करे।
Aur vedi par agni jalti rahe, aur kabhi bujhne na paye; aur yajak bhor bhor us par lakdiyan jalakar homabli ke tukdon ko uske oopar sajakar dhar de, aur uske oopar melabliyon ki charbi ko jalaya kare.
वेदी पर आग लगातार जलती रहे; वह कभी बुझने न पाए॥
Vedi par aag lagataar jalti rahe; vah kabhi bujhne na paye.
अन्नबलि की व्यवस्था इस प्रकार है, कि हारून के पुत्र उसको वेदी के आगे यहोवा के समीप ले आएं।
Annabli ki vyavastha is prakaar hai, ki haroon ke putra usko vedi ke aage Yahowa ke sameep le aayen.
और वह अन्नबलि के तेल मिले हुए मैदे में से मुट्ठी भर और उस पर का सब लोबान उठा कर अन्नबलि के स्मरणार्थ के इस भाग को यहोवा के सम्मुख सुखदायक सुगन्ध के लिये वेदी पर जलाए।
Aur vah annabli ke tel mile hue maide mein se mutthi bhar aur us par ka sab lobaan utha kar annabli ke smarnaarth ke is bhaag ko Yahowa ke sammukh sukhdayak sugandh ke liye vedi par jalaye.
और उस में से जो शेष रह जाए उसे हारून और उसके पुत्र खा जाएं; वह बिना खमीर पवित्र स्थान में खाया जाए, अर्थात वे मिलापवाले तम्बू के आंगन में उसे खाएं।
Aur us mein se jo shesh rah jaye use haroon aur uske putra kha jayen; vah bina khameer pavitra sthaan mein khaya jaye, arthaat ve milapvale tambu ke aangan mein use khayen.
वह खमीर के साथ पकाया न जाए; क्योंकि मैं ने अपने हव्य में से उसको उनका निज भाग होने के लिये उन्हें दिया है; इसलिये जैसा पापबलि और दोषबलि परमपवित्र है वैसा ही वह भी है।
Vah khameer ke saath pakaya na jaye; kyonki main ne apne havya mein se usko unka nij bhaag hone ke liye unhein diya hai; isliye jaisa papabli aur doshabli parmapvitra hai vaisa hi vah bhi hai.
हारून के वंश के सब पुरूष उस में से खा सकते हैं तुम्हारी पीढ़ी-पीढ़ी में यहोवा के हवनों में से यह उनका भाग सदैव बना रहेगा; जो कोई उन हवनों को छूए वह पवित्र ठहरेगा॥
Haroon ke vansh ke sab puroosh us mein se kha sakte hain tumhari peedhi-peedhi mein Yahowa ke havnon mein se yah unka bhaag sadaiv bana rahega; jo koi un havnon ko chhooye vah pavitra thahrega.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
जिस दिन हारून का अभिषेक हो उस दिन वह अपने पुत्रों के साथ यहोवा को यह चढ़ावा चढ़ाए; अर्थात एपा का दसवां भाग मैदा नित्य अन्नबलि में चढ़ाए, उस में से आधा भोर को और आधा सन्ध्या के समय चढ़ाए।
Jis din haroon ka abhishek ho us din vah apne putron ke saath Yahowa ko yah chadhava chadhaye; arthaat epa ka dasvan bhaag maida nitya annabli mein chadhaye, us mein se aadha bhor ko aur aadha sandhya ke samay chadhaye.
वह तवे पर तेल के साथ पकाया जाए; जब वह तेल से तर हो जाए तब उसे ले आना, इस अन्नबलि के पड़े हुए टुकड़े यहोवा के सुखदायक सुगन्ध के लिये चढ़ाना।
Vah tave par tel ke saath pakaya jaye; jab vah tel se tar ho jaye tab use le aana, is annabli ke pade hue tukde Yahowa ke sukhdayak sugandh ke liye chadhana.
और उसके पुत्रों में से जो भी उस याजकपद पर अभिषिक्त होगा, वह भी उसी प्रकार का चढ़ावा चढ़ाया करे; यह विधी सदा के लिये है, कि यहोवा के सम्मुख वह सम्पूर्ण चढ़ावा जलाया जाये।
Aur uske putron mein se jo bhi us yajakpad par abhishikt hoga, vah bhi usi prakaar ka chadhava chadhaya kare; yah vidhi sada ke liye hai, ki Yahowa ke sammukh vah sampoorn chadhava jalaya jaye.
याजक के सम्पूर्ण अन्नबलि भी सब जलाए जाएं; वह कभी न खाया जाए॥
Yajak ke sampoorn annabli bhi sab jalaye jayen; vah kabhi na khaya jaye.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
हारून और उसके पुत्रों से यह कह, कि पापबलि की व्यवस्था यह है; अर्थात जिस स्थान में होमबलिपशु वध किया जाता है उसी में पापबलिपशु भी यहोवा के सम्मुख बलि किया जाए; वह परमपवित्र है।
Haroon aur uske putron se yah kah, ki papabli ki vyavastha yah hai; arthaat jis sthaan mein homablipshu vadh kiya jata hai usi mein papablipshu bhi Yahowa ke sammukh bali kiya jaye; vah parmapvitra hai.
और जो याजक पापबलि चढ़ावे वह उसे खाए; वह पवित्र स्थान में, अर्थात मिलापवाले तम्बू के आँगन में खाया जाए।
Aur jo yajak papabli chadhave vah use khaye; vah pavitra sthaan mein, arthaat milapvale tambu ke aangan mein khaya jaye.
जो कुछ उसके मांस से छू जाए, वह पवित्र ठहरेगा; और यदि उसके लोहू के छींटे किसी वस्त्र पर पड़ जाएं, तो उसे किसी पवित्रस्थान में धो देना।
Jo kuchh uske maans se chhu jaye, vah pavitra thahrega; aur yadi uske lohu ke chheente kisi vastra par pad jayen, to use kisi pavitrasthaan mein dho dena.
और वह मिट्टी का पात्र जिस में वह पकाया गया हो तोड़ दिया जाए; यदि वह पीतल के पात्र में सिझाया गया हो, तो वह मांजा जाए, और जल से धो लिया जाए।
Aur vah mitti ka patra jis mein vah pakaya gaya ho tod diya jaye; yadi vah peetal ke patra mein sijhaya gaya ho, to vah manja jaye, aur jal se dho liya jaye.
और याजकों में से सब पुरूष उसे खा सकते हैं; वह परमपवित्र वस्तु है।
Aur yajkon mein se sab puroosh use kha sakte hain; vah parmapvitra vastu hai.
पर जिस पापबलिपशु के लोहू में से कुछ भी खून मिलापवाले तम्बू के भीतर पवित्रस्थान में प्रायश्चित्त करने को पहुंचाया जाए तब तो उसका मांस कभी न खाया जाए; वह आग में जला दिया जाए॥
Par jis papablipshu ke lohu mein se kuchh bhi khoon milapvale tambu ke bheetar pavitrasthaan mein prayashchitt karne ko pahunchaya jaye tab to uska maans kabhi na khaya jaye; vah aag mein jala diya jaye.