Leviticus 5 · 19 verses

लैव्यव्यवस्था 5 Leviticus 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 5.

1

और यदि कोई साक्षी हो कर ऐसा पाप करे कि शपथ खिलाकर पूछने पर भी, कि क्या तू ने यह सुना अथवा जानता है, और वह बात प्रगट न करे, तो उसको अपने अधर्म का भार उठाना पड़ेगा।

Aur yadi koi sakshi ho kar aisa paap kare ki shapath khilakar poochhne par bhi, ki kya tu ne yah suna athva janta hai, aur vah baat pragat na kare, to usko apne adharm ka bhaar uthana padega.

2

और यदि कोई किसी अशुद्ध वस्तु को अज्ञानता से छू ले, तो चाहे वह अशुद्ध बनैले पशु की, चाहे अशुद्ध रेंगने वाले जीव-जन्तु की लोथ हो, तो वह अशुद्ध हो कर दोषी ठहरेगा।

Aur yadi koi kisi ashuddh vastu ko agyanta se chhu le, to chahe vah ashuddh banaile pashu ki, chahe ashuddh rengne vale jeev-jantu ki loth ho, to vah ashuddh ho kar doshi thahrega.

3

और यदि कोई मनुष्य किसी अशुद्ध वस्तु को अज्ञानता से छू ले, चाहे वह अशुद्ध वस्तु किसी भी प्रकार की क्यों न हो जिस से लोग अशुद्ध हो जाते हैं तो जब वह उस बात को जान लेगा तब वह दोषी ठहरेगा।

Aur yadi koi manushya kisi ashuddh vastu ko agyanta se chhu le, chahe vah ashuddh vastu kisi bhi prakaar ki kyon na ho jis se log ashuddh ho jate hain to jab vah us baat ko jaan lega tab vah doshi thahrega.

4

और यदि कोई बुरा वा भला करने को बिना सोचे समझे शपथ खाए, चाहे किसी प्रकार की बात वह बिना सोचे विचारे शपथ खाकर कहे, तो ऐसी बात में वह दोषी उस समय ठहरेगा जब उसे मालूम हो जाएगा।

Aur yadi koi bura va bhala karne ko bina soche samjhe shapath khaye, chahe kisi prakaar ki baat vah bina soche vichare shapath khakar kahe, to aisi baat mein vah doshi us samay thahrega jab use maloom ho jayega.

5

और जब वह इन बातों में से किसी भी बात में दोषी हो, तब जिस विषय में उसने पाप किया हो वह उसको मान ले,

Aur jab vah in baton mein se kisi bhi baat mein doshi ho, tab jis vishay mein usne paap kiya ho vah usko maan le,

6

और वह यहोवा के साम्हने अपना दोषबलि ले आए, अर्थात उस पाप के कारण वह एक भेड़ वा बकरी पापबलि करने के लिये ले आए; तब याजक उस पाप के विषय उसके लिये प्रायश्चित्त करे।

Aur vah Yahowa ke samhane apna doshabli le aaye, arthaat us paap ke karan vah ek bhed va bakri papabli karne ke liye le aaye; tab yajak us paap ke vishay uske liye prayashchitt kare.

7

और यदि उसे भेड़ वा बकरी देने की सामर्थ्य न हो, तो अपने पाप के कारण दो पंडुकी वा कबूतरी के दो बच्चे दोषबलि चढ़ाने के लिये यहोवा के पास ले आए, उन में से एक तो पापबलि के लिये और दूसरा होमबलि के लिये।

Aur yadi use bhed va bakri dene ki samarthya na ho, to apne paap ke karan do panduki va kabootri ke do bachche doshabli chadhane ke liye Yahowa ke paas le aaye, un mein se ek to papabli ke liye aur doosra homabli ke liye.

8

और वह उन को याजक के पास ले आए, और याजक पापबलि वाले को पहिले चढ़ाए, और उसका सिर गले से मरोड़ डाले, पर अलग न करे,

Aur vah un ko yajak ke paas le aaye, aur yajak papabli vale ko pahile chadhaye, aur uska sir gale se marod dale, par alag na kare,

9

और वह पापबलिपशु के लोहू में से कुछ वेदी की अलंग पर छिड़के, और जो लोहू शेष रहे वह वेदी के पाए पर गिराया जाए; वह तो पापबलि ठहरेगा।

Aur vah papablipshu ke lohu mein se kuchh vedi ki alang par chhidke, aur jo lohu shesh rahe vah vedi ke paye par giraya jaye; vah to papabli thahrega.

10

और दूसरे पक्षी को वह विधी के अनुसार होमबलि करे, और याजक उसके पाप का प्रायश्चित्त करे, और तब वह क्षमा किया जाएगा॥

Aur doosre pakshi ko vah vidhi ke anusaar homabli kare, aur yajak uske paap ka prayashchitt kare, aur tab vah kshama kiya jayega.

11

और यदि वह दो पंडुकी वा कबूतरी के दो बच्चे भी न दे सके, तो वह अपने पाप के कारण अपना चढ़ावा एपा का दसवां भाग मैदा पापबलि करके ले आए; उसपर न तो वह तेल डाले, और न लोबान रखे, क्योंकि वह पापबलि होगा।

Aur yadi vah do panduki va kabootri ke do bachche bhi na de sake, to vah apne paap ke karan apna chadhava epa ka dasvan bhaag maida papabli karke le aaye; uspar na to vah tel dale, aur na lobaan rakhe, kyonki vah papabli hoga.

12

वह उसको याजक के पास ले जाए, और याजक उस में से अपनी मुट्ठी भर स्मरण दिलानेवाला भाग जानकर वेदी पर यहोवा के हवनों के ऊपर जलाए; वह तो पापबलि ठहरेगा।

Vah usko yajak ke paas le jaye, aur yajak us mein se apni mutthi bhar smaran dilanevala bhaag jankar vedi par Yahowa ke havnon ke oopar jalaye; vah to papabli thahrega.

13

और इन बातों में से किसी भी बात के विषय में जो कोई पाप करे, याजक उसका प्रायश्चित्त करे, और तब वह पाप क्षमा किया जाएगा। और इस पापबलि का शेष अन्नबलि के शेष की नाईं याजक का ठहरेगा॥

Aur in baton mein se kisi bhi baat ke vishay mein jo koi paap kare, yajak uska prayashchitt kare, aur tab vah paap kshama kiya jayega. Aur is papabli ka shesh annabli ke shesh ki nai yajak ka thahrega.

14

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

15

यदि कोई यहोवा की पवित्र की हुई वस्तुओं के विषय में भूल से विश्वासघात करे और पापी ठहरे, तो वह यहोवा के पास एक निर्दोष मेढ़ा दोषबलि के लिये ले आए; उसका दाम पवित्रस्थान के शेकेल के अनुसार उतने ही शेकेल रूपये का हो जितना याजक ठहराए।

Yadi koi Yahowa ki pavitra ki hui vastuon ke vishay mein bhool se vishwasghaat kare aur papi thahre, to vah Yahowa ke paas ek nirdosh medha doshabli ke liye le aaye; uska daam pavitrasthaan ke shekel ke anusaar utne hi shekel roopye ka ho jitna yajak thahraye.

16

और जिस पवित्र वस्तु के विषय उसने पाप किया हो, उस में वह पांचवां भाग और बढ़ाकर याजक को दे; और याजक दोषबलि का मेढ़ा चढ़ाकर उसके लिये प्रायश्चित्त करे, तब उसका पाप क्षमा किया जाएगा॥

Aur jis pavitra vastu ke vishay usne paap kiya ho, us mein vah panchvan bhaag aur badhakar yajak ko de; aur yajak doshabli ka medha chadhakar uske liye prayashchitt kare, tab uska paap kshama kiya jayega.

17

और यदि कोई ऐसा पाप करे, कि उन कामों में से जिन्हें यहोवा ने मना किया है किसी काम को करे, तो चाहे वह उसके अनजाने में हुआ हो, तौभी वह दोषी ठहरेगा, और उसको अपने अधर्म का भार उठाना पड़ेगा।

Aur yadi koi aisa paap kare, ki un kamon mein se jinhein Yahowa ne mana kiya hai kisi kaam ko kare, to chahe vah uske anjane mein huaa ho, taubhi vah doshi thahrega, aur usko apne adharm ka bhaar uthana padega.

18

इसलिये वह एक निर्दोष मेढ़ा दोषबलि करके याजक के पास ले आए, वह उतने दाम का हो जितना याजक ठहराए, और याजक उसके लिये उसकी उस भूल का जो उसने अनजाने में की हो प्रायश्चित्त करे, और वह क्षमा किया जाएगा।

Isliye vah ek nirdosh medha doshabli karke yajak ke paas le aaye, vah utne daam ka ho jitna yajak thahraye, aur yajak uske liye uski us bhool ka jo usne anjane mein ki ho prayashchitt kare, aur vah kshama kiya jayega.

19

यह दोषबलि ठहरे; क्योंकि वह मनुष्य नि:सन्देह यहोवा के सम्मुख दोषी ठहरेगा॥

Yah doshabli thahre; kyonki vah manushya nisandeh Yahowa ke sammukh doshi thahrega.