Leviticus 3 · 17 verses

लैव्यव्यवस्था 3 Leviticus 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 3.

1

और यदि उसका चढ़ावा मेलबलि का हो, और यदि वह गाय-बैलों में से किसी को चढ़ाए, तो चाहे वह पशु नर हो या मादा, पर जो निर्दोष हो उसी को वह यहोवा के आगे चढ़ाए।

Aur yadi uska chadhava melabli ka ho, aur yadi vah gaay-bailon mein se kisi ko chadhaye, to chahe vah pashu nar ho ya mada, par jo nirdosh ho usi ko vah Yahowa ke aage chadhaye.

2

और वह अपना हाथ अपने चढ़ावे के पशु के सिर पर रखे और उसको मिलापवाले तम्बू के द्वार पर बलि करे; और हारून के पुत्र जो याजक है वे उसके लोहू को वेदी की चारों अलंगों पर छिड़कें।

Aur vah apna haath apne chadhave ke pashu ke sir par rakhe aur usko milapvale tambu ke dwaar par bali kare; aur haroon ke putra jo yajak hai ve uske lohu ko vedi ki charon alangon par chhidkein.

3

और वह मेलबलि में से यहोवा के लिये हवन करे, अर्थात जिस चरबी से अंतड़ियां ढपी रहती हैं, और जो चरबी उन में लिपटी रहती है वह भी,

Aur vah melabli mein se Yahowa ke liye havan kare, arthaat jis charbi se antdiyan dhapi rahti hain, aur jo charbi un mein lipti rahti hai vah bhi,

4

और दोनों गुर्दे और उनके ऊपर की चरबी जो कमर के पास रहती है, और गुर्दों समेत कलेजे के ऊपर की झिल्ली, इन सभों को वह अलग करे।

Aur donon gurde aur unke oopar ki charbi jo kamar ke paas rahti hai, aur gurdon samet kaleje ke oopar ki jhilli, in sabhon ko vah alag kare.

5

और हारून के पुत्र इन को वेदी पर उस होमबलि के ऊपर जलाएं, जो उन लकड़ियों पर होगी जो आग के ऊपर हैं, कि यह यहोवा के लिये सुखदायक सुगन्धवाला हवन ठहरे॥

Aur haroon ke putra in ko vedi par us homabli ke oopar jalayen, jo un lakdiyon par hogi jo aag ke oopar hain, ki yah Yahowa ke liye sukhdayak sugandhavala havan thahre.

6

और यदि यहोवा के मेलबलि के लिये उसका चढ़ावा भेड़-बकरियों में से हो, तो चाहे वह नर हो या मादा, पर जो निर्दोष हो उसी को वह चढ़ाए।

Aur yadi Yahowa ke melabli ke liye uska chadhava bhed-bakriyon mein se ho, to chahe vah nar ho ya mada, par jo nirdosh ho usi ko vah chadhaye.

7

यदि वह भेड़ का बच्चा चढ़ाता हो, तो उसको यहोवा के साम्हने चढ़ाए,

Yadi vah bhed ka bachcha chadhata ho, to usko Yahowa ke samhane chadhaye,

8

और वह अपने चढ़ावे के पशु के सिर पर हाथ रखे और उसको मिलापवाले तम्बू के आगे बलि करे; और हारून के पुत्र उसके लोहू को वेदी की चारों अलंगों पर छिड़कें।

Aur vah apne chadhave ke pashu ke sir par haath rakhe aur usko milapvale tambu ke aage bali kare; aur haroon ke putra uske lohu ko vedi ki charon alangon par chhidkein.

9

और मेलबलि में से चरबी को यहोवा के लिये हवन करे, अर्थात उसकी चरबी भरी मोटी पूंछ को वह रीढ़ के पास से अलग करे, और जो चरबी उन में लिपटी रहती है,

Aur melabli mein se charbi ko Yahowa ke liye havan kare, arthaat uski charbi bhari moti poonchh ko vah reedh ke paas se alag kare, aur jo charbi un mein lipti rahti hai,

10

और दोनों गुर्दे, और जो चरबी उनके ऊपर कमर के पास रहती है, और गुर्दों समेत कलेजे के ऊपर की झिल्ली, इन सभों को वह अलग करे।

Aur donon gurde, aur jo charbi unke oopar kamar ke paas rahti hai, aur gurdon samet kaleje ke oopar ki jhilli, in sabhon ko vah alag kare.

11

और याजक इन्हें वेदी पर जलाए; यह यहोवा के लिये हवन रूपी भोजन ठहरे॥

Aur yajak inhein vedi par jalaye; yah Yahowa ke liye havan roopi bhojan thahre.

12

और यदि वह बकरा वा बकरी चढ़ाए, तो उसे यहोवा के साम्हने चढ़ाए।

Aur yadi vah bakra va bakri chadhaye, to use Yahowa ke samhane chadhaye.

13

और वह अपना हाथ उसके सिर पर रखे, और उसको मिलापवाले तम्बू के आगे बलि करे; और हारून के पुत्र उसके लोहू को वेदी की चारों अलंगों पर छिड़के।

Aur vah apna haath uske sir par rakhe, aur usko milapvale tambu ke aage bali kare; aur haroon ke putra uske lohu ko vedi ki charon alangon par chhidke.

14

और वह उस में से अपना चढ़ावा यहोवा के लिये हवन करके चढ़ाए, अर्थात जिस चरबी से अंतड़ियां ढपी रहती हैं, और जो चरबी उन में लिपटी रहती है वह भी,

Aur vah us mein se apna chadhava Yahowa ke liye havan karke chadhaye, arthaat jis charbi se antdiyan dhapi rahti hain, aur jo charbi un mein lipti rahti hai vah bhi,

15

और दोनों गुर्दे और जो चरबी उनके ऊपर कमर के पास रहती है, और गुर्दों समेत कलेजे के ऊपर की झिल्ली, इन सभों को वह अलग करे।

Aur donon gurde aur jo charbi unke oopar kamar ke paas rahti hai, aur gurdon samet kaleje ke oopar ki jhilli, in sabhon ko vah alag kare.

16

और याजक इन्हें वेदी पर जलाए; यह तो हवन रूपी भोजन है जो सुखदायक सुगन्ध के लिये होता है; क्योंकि सारी चरबी यहोवा की हैं।

Aur yajak inhein vedi par jalaye; yah to havan roopi bhojan hai jo sukhdayak sugandh ke liye hota hai; kyonki sari charbi Yahowa ki hain.

17

यह तुम्हारे निवासों में तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी के लिये सदा की विधि ठहरेगी कि तुम चरबी और लोहू कभी न खाओ॥

Yah tumhare nivason mein tumhari peedhi peedhi ke liye sada ki vidhi thahregi ki tum charbi aur lohu kabhi na khao.