Leviticus 21 · 24 verses

लैव्यव्यवस्था 21 Leviticus 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 21.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा, हारून के पुत्र जो याजक है उन से कह, कि तुम्हारे लोगों में से कोई भी मरे, तो उसके कारण तुम में से कोई अपने को अशुद्ध न करे;

Phir Yahowa ne Musa se kaha, haroon ke putra jo yajak hai un se kah, ki tumhare logon mein se koi bhi mare, to uske karan tum mein se koi apne ko ashuddh na kare;

2

अपने निकट कुटुम्बियों, अर्थात अपनी माता, वा पिता, वा बेटे, वा बेटी, वा भाई के लिये,

Apne nikat kutumbiyon, arthaat apni mata, va pita, va bete, va beti, va bhai ke liye,

3

वा अपनी कुंवारी बहिन जिसका विवाह न हुआ हो जिनका समीपी सम्बन्ध है; उनके लिये वह अपने को अशुद्ध कर सकता है।

Va apni kunvari bahin jiska vivaah na huaa ho jinka sameepi sambandh hai; unke liye vah apne ko ashuddh kar sakta hai.

4

पर याजक होने के नाते से वह अपने लोगों में प्रधान है, इसलिये वह अपने को ऐसा अशुद्ध न करे कि अपवित्र हो जाए।

Par yajak hone ke nate se vah apne logon mein pradhaan hai, isliye vah apne ko aisa ashuddh na kare ki apvitra ho jaye.

5

वे न तो अपने सिर मुंड़ाएं, और न अपने गाल के बालों को मुंड़ाएं, और न अपने शरीर चीरें।

Ve na to apne sir mundayen, aur na apne gaal ke balon ko mundayen, aur na apne shareer cheerein.

6

वे अपने परमेश्वर के लिये पवित्र बने रहें, और अपने परमेश्वर का नाम अपवित्र न करें; क्योंकि वे यहोवा के हव्य को जो उनके परमेश्वर का भोजन है चढ़ाया करते हैं; इस कारण वे पवित्र बने रहें।

Ve apne Parmeshwar ke liye pavitra bane rahein, aur apne Parmeshwar ka naam apvitra na karein; kyonki ve Yahowa ke havya ko jo unke Parmeshwar ka bhojan hai chadhaya karte hain; is karan ve pavitra bane rahein.

7

वे वेश्या वा भ्रष्टा को ब्याह न लें; और न त्यागी हुई को ब्याह लें; क्योंकि याजक अपने परमेश्वर के लिये पवित्र होता है।

Ve veshya va bhrashta ko byaah na lein; aur na tyagi hui ko byaah lein; kyonki yajak apne Parmeshwar ke liye pavitra hota hai.

8

इसलिये तू याजक को पवित्र जानना, क्योंकि वह तुम्हारे परमेश्वर का भोजन चढ़ाया करता है; इसलिये वह तेरी दृष्टि में पवित्र ठहरे; क्योंकि मैं यहोवा, जो तुम को पवित्र करता हूं, पवित्र हूं।

Isliye tu yajak ko pavitra janna, kyonki vah tumhare Parmeshwar ka bhojan chadhaya karta hai; isliye vah teri drishti mein pavitra thahre; kyonki main Yahowa, jo tum ko pavitra karta hoon, pavitra hoon.

9

और यदि याजक की बेटी वेश्या बनकर अपने आप को अपवित्र करे, तो वह अपने पिता को अपवित्र ठहराती है; वह आग में जलाई जाए॥

Aur yadi yajak ki beti veshya bankar apne aap ko apvitra kare, to vah apne pita ko apvitra thahrati hai; vah aag mein jalai jaye.

10

और जो अपने भाइयों में महायाजक हो, जिसके सिर पर अभिषेक का तेल डाला गया हो, और जिसका पवित्र वस्त्रों को पहिनने के लिये संस्कार हुआ हो, वह अपने सिर के बाल बिखरने न दे, और अपने वस्त्र फाड़े;

Aur jo apne bhaiyon mein mahayajak ho, jiske sir par abhishek ka tel dala gaya ho, aur jiska pavitra vastron ko pahinne ke liye sanskaar huaa ho, vah apne sir ke baal bikharne na de, aur apne vastra phade;

11

और न वह किसी लोथ के पास जाए, और न अपने पिता वा माता के कारण अपने को अशुद्ध करे;

Aur na vah kisi loth ke paas jaye, aur na apne pita va mata ke karan apne ko ashuddh kare;

12

और वह पवित्रस्थान से बाहर भी न निकले, और न अपने परमेश्वर के पवित्रस्थान को अपवित्र ठहराए; क्योंकि वह अपने परमेश्वर के अभिषेक का तेलरूपी मुकुट धारण किए हुए है; मैं यहोवा हूं।

Aur vah pavitrasthaan se bahar bhi na nikle, aur na apne Parmeshwar ke pavitrasthaan ko apvitra thahraye; kyonki vah apne Parmeshwar ke abhishek ka telroopi mukut dharan kiye hue hai; main Yahowa hoon.

13

और वह कुंवारी ही स्त्री को ब्याहे।

Aur vah kunvari hi stri ko byahe.

14

जो विधवा, वा त्यागी हुई, वा भ्रष्ट, वा वेश्या हो, ऐसी किसी को वह न ब्याहे, वह अपने ही लोगों के बीच में की किसी कुंवारी कन्या को ब्याहे;

Jo vidhva, va tyagi hui, va bhrasht, va veshya ho, aisi kisi ko vah na byahe, vah apne hi logon ke beech mein ki kisi kunvari kanya ko byahe;

15

और वह अपने वीर्य्य को अपने लोगों में अपवित्र न करे; क्योंकि मैं उसका पवित्र करने वाला यहोवा हूं।

Aur vah apne veeryya ko apne logon mein apvitra na kare; kyonki main uska pavitra karne vala Yahowa hoon.

16

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

17

हारून से कह, कि तेरे वंश की पीढ़ी पीढ़ी में जिस किसी के कोई भी दोष हों वह अपने परमेश्वर का भोजन चढ़ाने के लिये समीप न आए।

Haroon se kah, ki tere vansh ki peedhi peedhi mein jis kisi ke koi bhi dosh hon vah apne Parmeshwar ka bhojan chadhane ke liye sameep na aaye.

18

कोई क्यों न हो जिस में दोष हो वह समीप न आए, चाहे वह अन्धा हो, चाहे लंगड़ा, चाहे नकचपटा हो, चाहे उसके कुछ अधिक अंग हो,

Koi kyon na ho jis mein dosh ho vah sameep na aaye, chahe vah andha ho, chahe langda, chahe nakchapta ho, chahe uske kuchh adhik ang ho,

19

वा उसका पांव, वा हाथ टूटा हो,

Va uska paanv, va haath toota ho,

20

वा वह कुबड़ा, वा बौना हो, वा उसकी आंख में दोष हो, वा उस मनुष्य के चाईं वा खजुली हो, वा उसके अंड पिचके हों;

Va vah kubda, va bauna ho, va uski aankh mein dosh ho, va us manushya ke chai va khajuli ho, va uske and pichke hon;

21

हारून याजक के वंश में से जिस किसी में कोई भी दोष हो वह यहोवा के हव्य चढ़ाने के लिये समीप न आए; वह जो दोषयुक्त है कभी भी अपने परमेश्वर का भोजन चढ़ाने के लिये समीप न आए।

Haroon yajak ke vansh mein se jis kisi mein koi bhi dosh ho vah Yahowa ke havya chadhane ke liye sameep na aaye; vah jo doshyukt hai kabhi bhi apne Parmeshwar ka bhojan chadhane ke liye sameep na aaye.

22

वह अपने परमेश्वर के पवित्र और परमपवित्र दोनों प्रकार के भोजन को खाए,

Vah apne Parmeshwar ke pavitra aur parmapvitra donon prakaar ke bhojan ko khaye,

23

परन्तु उसके दोष के कारण वह न तो बीच वाले पर्दे के भीतर आए और न वेदी के समीप, जिस से ऐसा न हो कि वह मेरे पवित्रस्थानों को अपवित्र करे; क्योंकि मैं उनका पवित्र करने वाला यहोवा हूं।

Parantu uske dosh ke karan vah na to beech vale parde ke bheetar aaye aur na vedi ke sameep, jis se aisa na ho ki vah mere pavitrasthanon ko apvitra kare; kyonki main unka pavitra karne vala Yahowa hoon.

24

इसलिये मूसा ने हारून और उसके पुत्रों को तथा कुल इस्त्राएलियों को यह बातें कह सुनाईं॥

Isliye Musa ne haroon aur uske putron ko tatha kul istrayeliyon ko yah batein kah sunai.