Leviticus 17 · 16 verses

लैव्यव्यवस्था 17 Leviticus 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 17.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

हारून और उसके पुत्रों से और कुल इस्त्राएलियों से कह, कि यहोवा ने यह आज्ञा दी है,

Haroon aur uske putron se aur kul istrayeliyon se kah, ki Yahowa ne yah aagya di hai,

3

कि इस्त्राएल के घराने में से कोई मनुष्य हो जो बैल वा भेड़ के बच्चे, वा बकरी को, चाहे छावनी में चाहे छावनी से बाहर घात करके

Ki istrayel ke gharane mein se koi manushya ho jo bail va bhed ke bachche, va bakri ko, chahe chhavni mein chahe chhavni se bahar ghaat karke

4

मिलापवाले तम्बू के द्वार पर, यहोवा के निवास के साम्हने यहोवा को चढ़ाने के निमित्त न ले जाए, तो उस मनुष्य को लोहू बहाने का दोष लगेगा; और वह मनुष्य जो लोहू बहाने वाला ठहरेगा, वह अपने लोगों के बीच से नाश किया जाए।

Milapvale tambu ke dwaar par, Yahowa ke nivaas ke samhane Yahowa ko chadhane ke nimitt na le jaye, to us manushya ko lohu bahane ka dosh lagega; aur vah manushya jo lohu bahane vala thahrega, vah apne logon ke beech se naash kiya jaye.

5

इस विधि का यह कारण है कि इस्त्राएली अपने बलिदान जिन को वह खुले मैदान में वध करते हैं, वे उन्हें मिलापवाले तम्बू के द्वार पर याजक के पास, यहोवा के लिये ले जा कर उसी के लिये मेलबलि करके बलिदान किया करें;

Is vidhi ka yah karan hai ki istrayeli apne balidaan jin ko vah khule maidaan mein vadh karte hain, ve unhein milapvale tambu ke dwaar par yajak ke paas, Yahowa ke liye le ja kar usi ke liye melabli karke balidaan kiya karein;

6

और याजक लोहू को मिलापवाले तम्बू के द्वार पर यहोवा की वेदी के ऊपर छिड़के, और चरबी को उसके सुखदायक सुगन्ध के लिये जलाए।

Aur yajak lohu ko milapvale tambu ke dwaar par Yahowa ki vedi ke oopar chhidke, aur charbi ko uske sukhdayak sugandh ke liye jalaye.

7

और वे जो बकरों के पूजक हो कर व्यभिचार करते हैं, वे फिर अपने बलिपशुओं को उनके लिये बलिदान न करें। तुम्हारी पीढ़ियों के लिये यह सदा की विधि होगी॥

Aur ve jo bakron ke poojak ho kar vyabhichaar karte hain, ve phir apne balipshuon ko unke liye balidaan na karein. Tumhari peedhiyon ke liye yah sada ki vidhi hogi.

8

और तू उन से कह, कि इस्त्राएल के घराने के लोगों में से वा उनके बीच रहनेहारे परदेशियों में से कोई मनुष्य क्यों न हो जो होमबलि वा मेलबलि चढ़ाए,

Aur tu un se kah, ki istrayel ke gharane ke logon mein se va unke beech rahnehare pardeshiyon mein se koi manushya kyon na ho jo homabli va melabli chadhaye,

9

और उसको मिलापवाले तम्बू के द्वार पर यहोवा के लिये चढ़ाने को न ले आए; वह मनुष्य अपने लोगों में से नाश किया जाए॥

Aur usko milapvale tambu ke dwaar par Yahowa ke liye chadhane ko na le aaye; vah manushya apne logon mein se naash kiya jaye.

10

फिर इस्त्राएल के घराने के लोगों में से वा उनके बीच रहने वाले परदेशियों में से कोई मनुष्य क्यों न हो जो किसी प्रकार का लोहू खाए, मैं उस लोहू खाने वाले के विमुख हो कर उसको उसके लोगों के बीच में से नाश कर डालूंगा।

Phir istrayel ke gharane ke logon mein se va unke beech rahne vale pardeshiyon mein se koi manushya kyon na ho jo kisi prakaar ka lohu khaye, main us lohu khane vale ke vimukh ho kar usko uske logon ke beech mein se naash kar daloonga.

11

क्योंकि शरीर का प्राण लोहू में रहता है; और उसको मैं ने तुम लोगों को वेदी पर चढ़ाने के लिये दिया है, कि तुम्हारे प्राणों के लिये प्रायश्चित्त किया जाए; क्योंकि प्राण के कारण लोहू ही से प्रायश्चित्त होता है।

Kyonki shareer ka praan lohu mein rahta hai; aur usko main ne tum logon ko vedi par chadhane ke liye diya hai, ki tumhare pranon ke liye prayashchitt kiya jaye; kyonki praan ke karan lohu hi se prayashchitt hota hai.

12

इस कारण मैं इस्त्राएलियों से कहता हूं, कि तुम में से कोई प्राणी लोहू न खाए, और जो पर देशी तुम्हारे बीच रहता हो वह भी लोहू कभी न खाए॥

Is karan main istrayeliyon se kahta hoon, ki tum mein se koi prani lohu na khaye, aur jo par deshi tumhare beech rahta ho vah bhi lohu kabhi na khaye.

13

और इस्त्राएलियों में से वा उनके बीच रहने वाले परदेशियों में से कोई मनुष्य क्यों न हो जो अहेर करके खाने के योग्य पशु वा पक्षी को पकड़े, वह उसके लोहू को उंडेलकर धूलि से ढांप दे।

Aur istrayeliyon mein se va unke beech rahne vale pardeshiyon mein se koi manushya kyon na ho jo aher karke khane ke yogya pashu va pakshi ko pakde, vah uske lohu ko undelkar dhooli se dhaamp de.

14

क्योंकि शरीर का प्राण जो है वह उसका लोहू ही है जो उसके प्राण के साथ एक है; इसी लिये मैं इस्त्राएलियों से कहता हूं, कि किसी प्रकार के प्राणी के लोहू को तुम न खाना, क्योंकि सब प्राणियों का प्राण उनका लोहू ही है; जो कोई उसको खाए वह नाश किया जाएगा।

Kyonki shareer ka praan jo hai vah uska lohu hi hai jo uske praan ke saath ek hai; isi liye main istrayeliyon se kahta hoon, ki kisi prakaar ke prani ke lohu ko tum na khana, kyonki sab praniyon ka praan unka lohu hi hai; jo koi usko khaye vah naash kiya jayega.

15

और चाहे वह देशी हो वा परदेशी हो, जो कोई किसी लोथ वा फाड़े हुए पशु का मांस खाए वह अपने वस्त्रों को धोकर जल से स्नान करे, और सांझ तक अशुद्ध रहे; तब वह शुद्ध होगा।

Aur chahe vah deshi ho va pardeshi ho, jo koi kisi loth va phade hue pashu ka maans khaye vah apne vastron ko dhokar jal se snaan kare, aur saanjh tak ashuddh rahe; tab vah shuddh hoga.

16

और यदि वह उन को न धोए और न स्नान करे, तो उसको अपने अधर्म का भार स्वयं उठाना पड़ेगा॥

Aur yadi vah un ko na dhoye aur na snaan kare, to usko apne adharm ka bhaar swayan uthana padega.