Leviticus 16 · 34 verses

लैव्यव्यवस्था 16 Leviticus 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 16.

1

जब हारून के दो पुत्र यहोवा के साम्हने समीप जा कर मर गए, उसके बाद यहोवा ने मूसा से बातें की;

Jab haroon ke do putra Yahowa ke samhane sameep ja kar mar gaye, uske baad Yahowa ne Musa se batein ki;

2

और यहोवा ने मूसा से कहा, अपने भाई हारून से कह, कि सन्दूक के ऊपर के प्रायश्चित्त वाले ढकने के आगे, बीच वाले पर्दे के अन्दर, पवित्रस्थान में हर समय न प्रवेश करे, नहीं तो मर जाएगा; क्योंकि मैं प्रायश्चित्त वाले ढकने के ऊपर बादल में दिखाई दूंगा।

Aur Yahowa ne Musa se kaha, apne bhai haroon se kah, ki sandook ke oopar ke prayashchitt vale dhakne ke aage, beech vale parde ke andar, pavitrasthaan mein har samay na pravesh kare, nahi to mar jayega; kyonki main prayashchitt vale dhakne ke oopar badal mein dikhai doonga.

3

और जब हारून पवित्रस्थान में प्रवेश करे तब इस रीति से प्रवेश करे, अर्थात पापबलि के लिये एक बछड़े को और होमबलि के लिये एक मेढ़े को ले कर आए।

Aur jab haroon pavitrasthaan mein pravesh kare tab is reeti se pravesh kare, arthaat papabli ke liye ek bachhde ko aur homabli ke liye ek medhe ko le kar aaye.

4

वह सनी के कपड़े का पवित्र अंगरखा, और अपने तन पर सनी के कपड़े की जांघिया पहिने हुए, और सनी के कपड़े का कटिबन्द, और सनी के कपड़े की पगड़ी बांधे हुए प्रवेश करे; ये पवित्र स्थान हैं, और वह जल से स्नान करके इन्हें पहिने।

Vah sani ke kapde ka pavitra angarkha, aur apne tan par sani ke kapde ki janghiya pahine hue, aur sani ke kapde ka katiband, aur sani ke kapde ki pagdi bandhe hue pravesh kare; ye pavitra sthaan hain, aur vah jal se snaan karke inhein pahine.

5

फिर वह इस्त्राएलियों की मण्डली के पास से पापबलि के लिये दो बकरे और होमबलि के लिये एक मेढ़ा ले।

Phir vah istrayeliyon ki mandali ke paas se papabli ke liye do bakre aur homabli ke liye ek medha le.

6

और हारून उस पापबलि के बछड़े को जो उसी के लिये होगा चढ़ाकर अपने और अपने घराने के लिये प्रायश्चित्त करे।

Aur haroon us papabli ke bachhde ko jo usi ke liye hoga chadhakar apne aur apne gharane ke liye prayashchitt kare.

7

और उन दोनों बकरों को ले कर मिलापवाले तम्बू के द्वार पर यहोवा के साम्हने खड़ा करे;

Aur un donon bakron ko le kar milapvale tambu ke dwaar par Yahowa ke samhane khada kare;

8

और हारून दोनों बकरों पर चिट्ठियां डाले, एक चिट्ठी यहोवा के लिये और दूसरी अजाजेल के लिये हो।

Aur haroon donon bakron par chitthiyan dale, ek chitthi Yahowa ke liye aur doosri ajajel ke liye ho.

9

और जिस बकरे पर यहोवा के नाम की चिट्ठी निकले उसको हारून पापबलि के लिये चढ़ाए;

Aur jis bakre par Yahowa ke naam ki chitthi nikle usko haroon papabli ke liye chadhaye;

10

परन्तु जिस बकरे पर अजाजेल के लिये चिट्ठी निकले वह यहोवा के साम्हने जीवता खड़ा किया जाए कि उससे प्रायश्चित्त किया जाए, और वह अजाजेल के लिये जंगल में छोड़ा जाए।

Parantu jis bakre par ajajel ke liye chitthi nikle vah Yahowa ke samhane jeevta khada kiya jaye ki usse prayashchitt kiya jaye, aur vah ajajel ke liye jangal mein chhoda jaye.

11

और हारून उस पापबलि के बछड़े को जो उसी के लिये होगा समीप ले आए, और उसको बलिदान करके अपने और अपने घराने के लिये प्रायश्चित्त करे।

Aur haroon us papabli ke bachhde ko jo usi ke liye hoga sameep le aaye, aur usko balidaan karke apne aur apne gharane ke liye prayashchitt kare.

12

और जो वेदी यहोवा के सम्मुख है उस पर के जलते हुए कोयलों से भरे हुए धूपदान को ले कर, और अपनी दोनों मुट्ठियों को फूटे हुए सुगन्धित धूप से भरकर, बीच वाले पर्दे के भीतर ले आकर

Aur jo vedi Yahowa ke sammukh hai us par ke jalte hue koylon se bhare hue dhoopdaan ko le kar, aur apni donon mutthiyon ko phoote hue sugandhit dhoop se bharkar, beech vale parde ke bheetar le aakar

13

उस धूप को यहोवा के सम्मुख आग में डाले, जिस से धूप का धुआं साक्षीपत्र के ऊपर के प्रायश्चित्त के ढकने के ऊपर छा जाए, नहीं तो वह मर जाएगा;

Us dhoop ko Yahowa ke sammukh aag mein dale, jis se dhoop ka dhuaan saksheepatra ke oopar ke prayashchitt ke dhakne ke oopar chha jaye, nahi to vah mar jayega;

14

तब वह बछड़े के लोहू में से कुछ ले कर पूरब की ओर प्रायश्चित्त के ढकने के ऊपर अपनी उंगली से छिड़के, और फिर उस लोहू में से कुछ उंगली के द्वारा उस ढकने के साम्हने भी सात बार छिड़क दे।

Tab vah bachhde ke lohu mein se kuchh le kar poorab ki or prayashchitt ke dhakne ke oopar apni ungli se chhidke, aur phir us lohu mein se kuchh ungli ke dwara us dhakne ke samhane bhi saat baar chhidak de.

15

फिर वह उस पापबलि के बकरे को जो साधारण जनता के लिये होगा बलिदान करके उसके लोहू को बीच वाले पर्दे के भीतर ले आए, और जिस प्रकार बछड़े के लोहू से उसने किया था ठीक वैसा ही वह बकरे के लोहू से भी करे, अर्थात उसको प्रायश्चित्त के ढकने के ऊपर और उसके साम्हने छिड़के।

Phir vah us papabli ke bakre ko jo sadharan janta ke liye hoga balidaan karke uske lohu ko beech vale parde ke bheetar le aaye, aur jis prakaar bachhde ke lohu se usne kiya tha theek vaisa hi vah bakre ke lohu se bhi kare, arthaat usko prayashchitt ke dhakne ke oopar aur uske samhane chhidke.

16

और वह इस्त्राएलियों की भांति भांति की अशुद्धता, और अपराधों, और उनके सब पापों के कारण पवित्रस्थान के लिये प्रायश्चित्त करे; और मिलापवाला तम्बू जो उनके संग उनकी भांति भांति की अशुद्धता के बीच रहता है उसके लिये भी वह वैसा ही करे।

Aur vah istrayeliyon ki bhanti bhanti ki ashuddhata, aur apradhon, aur unke sab papon ke karan pavitrasthaan ke liye prayashchitt kare; aur milapvala tambu jo unke sang unki bhanti bhanti ki ashuddhata ke beech rahta hai uske liye bhi vah vaisa hi kare.

17

और जब हारून प्रायश्चित्त करने के लिये पवित्रस्थान में प्रवेश करे, तब से जब तक वह अपने और अपने घराने और इस्त्राएल की सारी मण्डली के लिये प्रायश्चित्त करके बाहर न निकले तब तक कोई मनुष्य मिलापवाले तम्बू में न रहे।

Aur jab haroon prayashchitt karne ke liye pavitrasthaan mein pravesh kare, tab se jab tak vah apne aur apne gharane aur istrayel ki sari mandali ke liye prayashchitt karke bahar na nikle tab tak koi manushya milapvale tambu mein na rahe.

18

फिर वह निकलकर उस वेदी के पास जो यहोवा के साम्हने है जाए और उसके लिये प्रायश्चित्त करे, अर्थात बछड़े के लोहू और बकरे के लोहू दोनों में से कुछ ले कर उस वेदी के चारों कोनों के सींगो पर लगाए।

Phir vah nikalkar us vedi ke paas jo Yahowa ke samhane hai jaye aur uske liye prayashchitt kare, arthaat bachhde ke lohu aur bakre ke lohu donon mein se kuchh le kar us vedi ke charon konon ke seengo par lagaye.

19

और उस लोहू में से कुछ अपनी उंगली के द्वारा सात बार उस पर छिड़ककर उसे इस्त्राएलियों की भांति भांति की अशुद्धता छुड़ाकर शुद्ध और पवित्र करे।

Aur us lohu mein se kuchh apni ungli ke dwara saat baar us par chhidakkar use istrayeliyon ki bhanti bhanti ki ashuddhata chhudakar shuddh aur pavitra kare.

20

और जब वह पवित्रस्थान और मिलापवाले तम्बू और वेदी के लिये प्रायश्चित्त कर चुके, तब जीवित बकरे को आगे ले आए;

Aur jab vah pavitrasthaan aur milapvale tambu aur vedi ke liye prayashchitt kar chuke, tab jeevit bakre ko aage le aaye;

21

और हारून अपने दोनों हाथों को जीवित बकरे पर रखकर इस्त्राएलियों के सब अधर्म के कामों, और उनके सब अपराधों, निदान उनके सारे पापों को अंगीकार करे, और उन को बकरे के सिर पर धरकर उसको किसी मनुष्य के हाथ जो इस काम के लिये तैयार हो जंगल में भेज के छुड़वा दे।

Aur haroon apne donon hathon ko jeevit bakre par rakhkar istrayeliyon ke sab adharm ke kamon, aur unke sab apradhon, nidaan unke sare papon ko angeekaar kare, aur un ko bakre ke sir par dharkar usko kisi manushya ke haath jo is kaam ke liye taiyaar ho jangal mein bhej ke chhudva de.

22

और वह बकरा उनके सब अधर्म के कामों को अपने ऊपर लादे हुए किसी निराले देश में उठा ले जाएगा; इसलिये वह मनुष्य उस बकरे को जंगल में छोड़े दे।

Aur vah bakra unke sab adharm ke kamon ko apne oopar lade hue kisi nirale desh mein utha le jayega; isliye vah manushya us bakre ko jangal mein chhode de.

23

तब हारून मिलापवाले तम्बू में आए, और जिस सनी के वस्त्रों को पहिने हुए उसने पवित्रस्थान में प्रवेश किया था उन्हें उतारकर वहीं पर रख दे।

Tab haroon milapvale tambu mein aaye, aur jis sani ke vastron ko pahine hue usne pavitrasthaan mein pravesh kiya tha unhein utarkar vahi par rakh de.

24

फिर वह किसी पवित्र स्थान में जल से स्नान कर अपने निज वस्त्र पहिन ले, और बाहर जा कर अपने होमबलि और साधारण जनता के होमबलि को चढ़ाकर अपने और जनता के लिये प्रायश्चित्त करे।

Phir vah kisi pavitra sthaan mein jal se snaan kar apne nij vastra pahin le, aur bahar ja kar apne homabli aur sadharan janta ke homabli ko chadhakar apne aur janta ke liye prayashchitt kare.

25

और पापबलि की चरबी को वह वेदी पर जलाए।

Aur papabli ki charbi ko vah vedi par jalaye.

26

और जो मनुष्य बकरे को अजाजेल के लिये छोड़कर आए वह भी अपने वस्त्रों को धोए, और जल से स्नान करे, और तब वह छावनी में प्रवेश करे।

Aur jo manushya bakre ko ajajel ke liye chhodkar aaye vah bhi apne vastron ko dhoye, aur jal se snaan kare, aur tab vah chhavni mein pravesh kare.

27

और पापबलि का बछड़ा और पापबलि का बकरा भी जिनका लोहू पवित्रस्थान में प्रायश्चित्त करने के लिये पहुंचाया जाए वे दोनों छावनी से बाहर पहुंचाए जाएं; और उनका चमड़ा, मांस, और गोबर आग में जला दिया जाए।

Aur papabli ka bachhda aur papabli ka bakra bhi jinka lohu pavitrasthaan mein prayashchitt karne ke liye pahunchaya jaye ve donon chhavni se bahar pahunchaye jayen; aur unka chamda, maans, aur gobar aag mein jala diya jaye.

28

और जो उन को जलाए वह अपने वस्त्रों को धोए, और जल से स्नान करे, और इसके बाद वह छावनी में प्रवेश करने पाए॥

Aur jo un ko jalaye vah apne vastron ko dhoye, aur jal se snaan kare, aur iske baad vah chhavni mein pravesh karne paye.

29

और तुम लोगों के लिये यह सदा की विधि होगी कि सातवें महीने के दसवें दिन को तुम अपने अपने जीव को दु:ख देना, और उस दिन कोई, चाहे वह तुम्हारे निज देश को हो चाहे तुम्हारे बीच रहने वाला कोई पर देशी हो, कोई भी किसी प्रकार का काम काज न करे;

Aur tum logon ke liye yah sada ki vidhi hogi ki satvein maheene ke dasvein din ko tum apne apne jeev ko dukh dena, aur us din koi, chahe vah tumhare nij desh ko ho chahe tumhare beech rahne vala koi par deshi ho, koi bhi kisi prakaar ka kaam kaaj na kare;

30

क्योंकि उस दिन तुम्हें शुद्ध करने के लिये तुम्हारे निमित्त प्रायश्चित्त किया जाएगा; और तुम अपने सब पापों से यहोवा के सम्मुख पवित्र ठहरोगे।

Kyonki us din tumhein shuddh karne ke liye tumhare nimitt prayashchitt kiya jayega; aur tum apne sab papon se Yahowa ke sammukh pavitra thahroge.

31

यह तुम्हारे लिये परमविश्राम का दिन ठहरे, और तुम उस दिन अपने अपने जीव को दु:ख देना; यह सदा की विधि है।

Yah tumhare liye paramvishraam ka din thahre, aur tum us din apne apne jeev ko dukh dena; yah sada ki vidhi hai.

32

और जिसका अपने पिता के स्थान पर याजक पद के लिये अभिषेक और संस्कार किया जाए वह याजक प्रायश्चित्त किया करे, अर्थात वह सनी के पवित्र वस्त्रों को पहिनकर,

Aur jiska apne pita ke sthaan par yajak pad ke liye abhishek aur sanskaar kiya jaye vah yajak prayashchitt kiya kare, arthaat vah sani ke pavitra vastron ko pahinkar,

33

पवित्रस्थान, और मिलापवाले तम्बू, और वेदी के लिये प्रायश्चित्त करे; और याजकों के और मण्डली के सब लोगों के लिये भी प्रायश्चित्त करे।

Pavitrasthaan, aur milapvale tambu, aur vedi ke liye prayashchitt kare; aur yajkon ke aur mandali ke sab logon ke liye bhi prayashchitt kare.

34

और यह तुम्हारे लिये सदा की विधि होगी, कि इस्त्राएलियों के लिये प्रतिवर्ष एक बार तुम्हारे सारे पापों के लिये प्रायश्चित्त किया जाए। यहोवा की इस आज्ञा के अनुसार जो उसने मूसा को दी थी हारून ने किया॥

Aur yah tumhare liye sada ki vidhi hogi, ki istrayeliyon ke liye prativarsh ek baar tumhare sare papon ke liye prayashchitt kiya jaye. Yahowa ki is aagya ke anusaar jo usne Musa ko di thi haroon ne kiya.