फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Leviticus 14 · 57 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
कोढ़ी के शुद्ध ठहराने की व्यवस्था यह है, कि वह याजक के पास पहुंचाया जाए।
Kodhi ke shuddh thahrane ki vyavastha yah hai, ki vah yajak ke paas pahunchaya jaye.
और याजक छावनी के बाहर जाए, और याजक उस कोढ़ी को देखे, और यदि उसके कोढ़ की व्याधि चंगी हुई हो,
Aur yajak chhavni ke bahar jaye, aur yajak us kodhi ko dekhe, aur yadi uske kodh ki vyadhi changi hui ho,
तो याजक आज्ञा दे कि शुद्ध ठहराने वाले के लिये दो शुद्ध और जीवित पक्षी, देवदारू की लकड़ी, और लाल रंग का कपड़ा और जूफा ये सब लिये जाएं;
To yajak aagya de ki shuddh thahrane vale ke liye do shuddh aur jeevit pakshi, devdaru ki lakdi, aur laal rang ka kapda aur joopha ye sab liye jayen;
और याजक आज्ञा दे कि एक पक्षी बहते हुए जल के ऊपर मिट्टी के पात्र में बलि किया जाए।
Aur yajak aagya de ki ek pakshi bahte hue jal ke oopar mitti ke patra mein bali kiya jaye.
तब वह जीवित पक्षी को देवदारू की लकड़ी और लाल रंग के कपड़े और जूफा इन सभों को ले कर एक संग उस पक्षी के लोहू में जो बहते हुए जल के ऊपर बलि किया गया है डुबा दे;
Tab vah jeevit pakshi ko devdaru ki lakdi aur laal rang ke kapde aur joopha in sabhon ko le kar ek sang us pakshi ke lohu mein jo bahte hue jal ke oopar bali kiya gaya hai duba de;
और कोढ़ से शुद्ध ठहरने वाले पर सात बार छिड़ककर उसको शुद्ध ठहराए, तब उस जीवित पक्षी को मैदान में छोड़ दे।
Aur kodh se shuddh thaharne vale par saat baar chhidakkar usko shuddh thahraye, tab us jeevit pakshi ko maidaan mein chhod de.
और शुद्ध ठहरनेवाला अपने वस्त्रों को धोए, और सब बाल मुंड़वाकर जल से स्नान करे, तब वह शुद्ध ठहरेगा; और उसके बाद वह छावनी में आने पाए, परन्तु सात दिन तक अपने डेरे से बाहर ही रहे।
Aur shuddh thaharnevala apne vastron ko dhoye, aur sab baal mundvakar jal se snaan kare, tab vah shuddh thahrega; aur uske baad vah chhavni mein aane paye, parantu saat din tak apne dere se bahar hi rahe.
और सातवें दिन वह सिर, डाढ़ी और भौहों के सब बाल मुंड़ाए, और सब अंग मुण्डन कराए, और अपने वस्त्रों को धोए, और जल से स्नान करे, तब वह शुद्ध ठहरेगा।
Aur satvein din vah sir, dadhi aur bhauhon ke sab baal mundaye, aur sab ang mundan karaye, aur apne vastron ko dhoye, aur jal se snaan kare, tab vah shuddh thahrega.
और आठवें दिन वह दो निर्दोष भेड़ के बच्चे, और अन्नबलि के लिये तेल से सना हुआ एपा का तीन दहाई अंश मैदा, और लोज भर तेल लाए।
Aur aathvein din vah do nirdosh bhed ke bachche, aur annabli ke liye tel se sana huaa epa ka teen dahai ansh maida, aur loj bhar tel laye.
और शुद्ध ठहरानेवाला याजक इन वस्तुओं समेत उस शुद्ध होने वाले मनुष्य को यहोवा के सम्मुख मिलापवाले तम्बू के द्वार पर खड़ा करे।
Aur shuddh thahranevala yajak in vastuon samet us shuddh hone vale manushya ko Yahowa ke sammukh milapvale tambu ke dwaar par khada kare.
तब याजक एक भेड़ का बच्चा ले कर दोषबलि के लिये उसे और उस लोज भर तेल को समीप लाए, और इन दोनो को हिलाने की भेंट के लिये यहोवा के साम्हने हिलाए;
Tab yajak ek bhed ka bachcha le kar doshabli ke liye use aur us loj bhar tel ko sameep laye, aur in dono ko hilane ki bhent ke liye Yahowa ke samhane hilaye;
तब याजक एक भेड़ के बच्चे को उसी स्थान में जहां वह पापबलि और होमबलि पशुओं का बलिदान किया करेगा, अर्थात पवित्रस्थान में बलिदान करे; क्योंकि जैसा पापबलि याजक का निज भाग होगा वैसा ही दोषबलि भी उसी का निज भाग ठहरेगा; वह परमपवित्र है।
Tab yajak ek bhed ke bachche ko usi sthaan mein jahan vah papabli aur homabli pashuon ka balidaan kiya karega, arthaat pavitrasthaan mein balidaan kare; kyonki jaisa papabli yajak ka nij bhaag hoga vaisa hi doshabli bhi usi ka nij bhaag thahrega; vah parmapvitra hai.
तब याजक दोषबलि के लोहू में से कुछ ले कर शुद्ध ठहरने वाले के दाहिने कान के सिरे पर, और उसके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर लगाए।
Tab yajak doshabli ke lohu mein se kuchh le kar shuddh thaharne vale ke dahine kaan ke sire par, aur uske dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par lagaye.
और याजक उस लोज भर तेल में से कुछ ले कर अपने बाएं हाथ की हथेली पर डाले,
Aur yajak us loj bhar tel mein se kuchh le kar apne bayen haath ki hatheli par dale,
और याजक अपने दाहिने हाथ की उंगली को अपने बाईं हथेली पर के तेल में डुबाकर उस तेल में से कुछ अपनी उंगली से यहोवा के सम्मुख सात बार छिड़के।
Aur yajak apne dahine haath ki ungli ko apne bai hatheli par ke tel mein dubakar us tel mein se kuchh apni ungli se Yahowa ke sammukh saat baar chhidke.
और जो तेल उसकी हथेली पर रह जाएगा याजक उस में से कुछ शुद्ध होने वाले के दाहिने कान के सिरे पर, और उसके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर दोषबलि के लोहू के ऊपर लगाएं;
Aur jo tel uski hatheli par rah jayega yajak us mein se kuchh shuddh hone vale ke dahine kaan ke sire par, aur uske dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par doshabli ke lohu ke oopar lagayen;
और जो तेल याजक की हथेली पर रह जाए उसको वह शुद्ध होने वाले के सिर पर डाल दे। और याजक उसके लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करे।
Aur jo tel yajak ki hatheli par rah jaye usko vah shuddh hone vale ke sir par daal de. Aur yajak uske liye Yahowa ke samhane prayashchitt kare.
और याजक पापबलि को भी चढ़ाकर उसके लिये जो अपनी अशुद्धता से शुद्ध होनेवाला हो प्रायश्चित्त करे; और उसके बाद होमबलि पशु का बलिदान करके:
Aur yajak papabli ko bhi chadhakar uske liye jo apni ashuddhata se shuddh honevala ho prayashchitt kare; aur uske baad homabli pashu ka balidaan karke:
अन्नबलि समेत वेदी पर चढ़ाए: और याजक उसके लिये प्रायश्चित्त करे, और वह शुद्ध ठहरेगा॥
Annabli samet vedi par chadhaye: aur yajak uske liye prayashchitt kare, aur vah shuddh thahrega.
परन्तु यदि वह दरिद्र हो और इतना लाने के लिये उसके पास पूंजी न हो, तो वह अपना प्रायश्चित्त करवाने के निमित्त, हिलाने के लिये भेड़ का बच्चा दोषबलि के लिये, और तेल से सना हुआ एपा का दसवां अंश मैदा अन्नबलि करके, और लोज भर तेल लाए;
Parantu yadi vah daridra ho aur itna lane ke liye uske paas poonji na ho, to vah apna prayashchitt karvane ke nimitt, hilane ke liye bhed ka bachcha doshabli ke liye, aur tel se sana huaa epa ka dasvan ansh maida annabli karke, aur loj bhar tel laye;
और दो पंडुक, वा कबूतरी के दो बच्चे लाए, जो वह ला सके; और इन में से एक तो पापबलि के लिये और दूसरा होमबलि के लिये हो।
Aur do panduk, va kabootri ke do bachche laye, jo vah la sake; aur in mein se ek to papabli ke liye aur doosra homabli ke liye ho.
और आठवें दिन वह इन सभों को अपने शुद्ध ठहरने के लिये मिलापवाले तम्बू के द्वार पर, यहोवा के सम्मुख, याजक के पास ले आए;
Aur aathvein din vah in sabhon ko apne shuddh thaharne ke liye milapvale tambu ke dwaar par, Yahowa ke sammukh, yajak ke paas le aaye;
तब याजक उस लोज भर तेल और दोष बलि वाले भेड़ के बच्चे को ले कर हिलाने की भेंट के लिये यहोवा के साम्हने हिलाए।
Tab yajak us loj bhar tel aur dosh bali vale bhed ke bachche ko le kar hilane ki bhent ke liye Yahowa ke samhane hilaye.
फिर दोषबलि के भेड़ के बच्चे का बलिदान किया जाए; और याजक उसके लोहू में से कुछ ले कर शुद्ध ठहरने वाले के दाहिने कान के सिरे पर, और उसके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर लगाए।
Phir doshabli ke bhed ke bachche ka balidaan kiya jaye; aur yajak uske lohu mein se kuchh le kar shuddh thaharne vale ke dahine kaan ke sire par, aur uske dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par lagaye.
फिर याजक उस तेल में से कुछ अपने बाएं हाथ की हथेली पर डालकर,
Phir yajak us tel mein se kuchh apne bayen haath ki hatheli par dalkar,
अपने दाहिने हाथ की उंगली से अपनी बाईं हथेली पर के तेल में से कुछ यहोवा के सम्मुख सात बार छिड़के;
Apne dahine haath ki ungli se apni bai hatheli par ke tel mein se kuchh Yahowa ke sammukh saat baar chhidke;
फिर याजक अपनी हथेली पर के तेल में से कुछ शुद्ध ठहरने वाले के दाहिने कान के सिरे पर, और उसके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर दोषबलि के लोहू के स्थान पर, लगाए।
Phir yajak apni hatheli par ke tel mein se kuchh shuddh thaharne vale ke dahine kaan ke sire par, aur uske dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par doshabli ke lohu ke sthaan par, lagaye.
और जो तेल याजक की हथेली पर रह जाए उसे वह शुद्ध ठहरने वाले के लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करने को उसके सिर पर डाल दे।
Aur jo tel yajak ki hatheli par rah jaye use vah shuddh thaharne vale ke liye Yahowa ke samhane prayashchitt karne ko uske sir par daal de.
तब वह पंडुकों वा कबूतरी के बच्चों में से जो वह ला सका हो एक को चढ़ाए,
Tab vah pandukon va kabootri ke bachchon mein se jo vah la saka ho ek ko chadhaye,
अर्थात जो पक्षी वह ला सका हो, उन में से वह एक को पापबलि के लिये और अन्नबलि समेत दूसरे को होमबलि के लिये चढ़ाए; इस रीति से याजक शुद्ध ठहरने वाले के लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करे।
Arthaat jo pakshi vah la saka ho, un mein se vah ek ko papabli ke liye aur annabli samet doosre ko homabli ke liye chadhaye; is reeti se yajak shuddh thaharne vale ke liye Yahowa ke samhane prayashchitt kare.
जिसे कोढ़ की व्याधि हुई हो, और उसके इतनी पूंजी न हो कि वह शुद्ध ठहरने की सामग्री को ला सके, तो उसके लिये यही व्यवस्था है॥
Jise kodh ki vyadhi hui ho, aur uske itni poonji na ho ki vah shuddh thaharne ki samagri ko la sake, to uske liye yahi vyavastha hai.
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
जब तुम लोग कनान देश में पहुंचो, जिसे मैं तुम्हारी निज भूमि होने के लिये तुम्हें देता हूं, उस समय यदि मैं कोढ़ की व्याधि तुम्हारे अधिकार के किसी घर में दिखाऊं,
Jab tum log kanaan desh mein pahuncho, jise main tumhari nij bhoomi hone ke liye tumhein deta hoon, us samay yadi main kodh ki vyadhi tumhare adhikaar ke kisi ghar mein dikhaun,
तो जिसका वह घर हो वह आकर याजक को बता दे, कि मुझे ऐसा देख पड़ता है कि घर में मानों कोई व्याधि है।
To jiska vah ghar ho vah aakar yajak ko bata de, ki mujhe aisa dekh padta hai ki ghar mein manon koi vyadhi hai.
तब याजक आज्ञा दे, कि उस घर में व्याधि देखने के लिये मेरे जाने से पहिले उसे खाली करो, कहीं ऐसा न हो कि जो कुछ घर में हो वह सब अशुद्ध ठहरे; और पीछे याजक घर देखने को भीतर जाए।
Tab yajak aagya de, ki us ghar mein vyadhi dekhne ke liye mere jane se pahile use khali karo, kahi aisa na ho ki jo kuchh ghar mein ho vah sab ashuddh thahre; aur peechhe yajak ghar dekhne ko bheetar jaye.
तब वह उस व्याधि को देखे; और यदि वह व्याधि घर की दीवारों पर हरी हरी वा लाल लाल मानों खुदी हुई लकीरों के रूप में हो, और ये लकीरें दीवार में गहिरी देख पड़ती हों,
Tab vah us vyadhi ko dekhe; aur yadi vah vyadhi ghar ki deevaron par hari hari va laal laal manon khudi hui lakeeron ke roop mein ho, aur ye lakeerein deevaar mein gahiri dekh padti hon,
तो याजक घर से बाहर द्वार पर जा कर घर को सात दिन तक बन्द कर रखे।
To yajak ghar se bahar dwaar par ja kar ghar ko saat din tak band kar rakhe.
और सातवें दिन याजक आकर देखे; और यदि वह व्याधि घर की दीवारों पर फैल गई हो,
Aur satvein din yajak aakar dekhe; aur yadi vah vyadhi ghar ki deevaron par phail gai ho,
तो याजक आज्ञा दे, कि जिन पत्थरों को व्याधि है उन्हें निकाल कर नगर से बाहर किसी अशुद्ध स्थान में फेंक दें;
To yajak aagya de, ki jin pattharon ko vyadhi hai unhein nikaal kar nagar se bahar kisi ashuddh sthaan mein phenk dein;
और वह घर के भीतर ही भीतर चारों ओर खुरचवाए, और वह खुरचन की मिट्टी नगर से बाहर किसी अशुद्ध स्थान में डाली जाए;
Aur vah ghar ke bheetar hi bheetar charon or khurachvaye, aur vah khurchan ki mitti nagar se bahar kisi ashuddh sthaan mein dali jaye;
और उन पत्थरों के स्थान में और दूसरे पत्थर ले कर लगाएं और याजक ताजा गारा ले कर घर की जुड़ाई करे।
Aur un pattharon ke sthaan mein aur doosre patthar le kar lagayen aur yajak taja gara le kar ghar ki judai kare.
और यदि पत्थरों के निकाले जाने और घर के खुरचे और लेसे जाने के बाद वह व्याधि फिर घर में फूट निकले,
Aur yadi pattharon ke nikale jane aur ghar ke khurche aur lese jane ke baad vah vyadhi phir ghar mein phoot nikle,
तो याजक आकर देखे; और यदि वह व्याधि घर में फैल गई हो, तो वह जान ले कि घर में गलित कोढ़ है; वह अशुद्ध है।
To yajak aakar dekhe; aur yadi vah vyadhi ghar mein phail gai ho, to vah jaan le ki ghar mein galit kodh hai; vah ashuddh hai.
और वह सब गारे समेत पत्थर, लकड़ी और घर को खुदवाकर गिरा दे; और उन सब वस्तुओं को उठवाकर नगर से बाहर किसी अशुद्ध स्थान पर फिंकवा दे।
Aur vah sab gare samet patthar, lakdi aur ghar ko khudvakar gira de; aur un sab vastuon ko uthvakar nagar se bahar kisi ashuddh sthaan par phinkva de.
और जब तक वह घर बन्द रहे तब तक यदि कोई उस में जाए तो वह सांझ तक अशुद्ध रहे;
Aur jab tak vah ghar band rahe tab tak yadi koi us mein jaye to vah saanjh tak ashuddh rahe;
और जो कोई उस घर में सोए वह अपने वस्त्रों को धोए; और जो कोई उस घर में खाना खाए वह भी अपने वस्त्रों को धोए।
Aur jo koi us ghar mein soye vah apne vastron ko dhoye; aur jo koi us ghar mein khana khaye vah bhi apne vastron ko dhoye.
और यदि याजक आकर देखे कि जब से घर लेसा गया है तब से उस में व्याधि नहीं फैली है, तो यह जानकर कि वह व्याधि दूर हो गई है, घर को शुद्ध ठहराए।
Aur yadi yajak aakar dekhe ki jab se ghar lesa gaya hai tab se us mein vyadhi nahi phaili hai, to yah jankar ki vah vyadhi door ho gai hai, ghar ko shuddh thahraye.
और उस घर को पवित्र करने के लिये दो पक्षी, देवदारू की लकड़ी, लाल रंग का कपड़ा और जूफा लिवा लाए,
Aur us ghar ko pavitra karne ke liye do pakshi, devdaru ki lakdi, laal rang ka kapda aur joopha liva laye,
और एक पक्षी बहते हुए जल के ऊपर मिट्टी के पात्र में बलिदान करे,
Aur ek pakshi bahte hue jal ke oopar mitti ke patra mein balidaan kare,
तब वह देवदारू की लकड़ी लाल रंग के कपड़े और जूफा और जीवित पक्षी इन सभों को ले कर बलिदान किए हुए पक्षी के लोहू में और बहते हुए जल में डूबा दे, और उस घर पर सात बार छिड़के।
Tab vah devdaru ki lakdi laal rang ke kapde aur joopha aur jeevit pakshi in sabhon ko le kar balidaan kiye hue pakshi ke lohu mein aur bahte hue jal mein dooba de, aur us ghar par saat baar chhidke.
और वह पक्षी के लोहू, और बहते हुए जल, और जूफा और लाल रंग के कपड़े के द्वारा घर को पवित्र करे;
Aur vah pakshi ke lohu, aur bahte hue jal, aur joopha aur laal rang ke kapde ke dwara ghar ko pavitra kare;
तब वह जीवित पक्षी को नगर से बाहर मैदान में छोड़ दे; इसी रीति से वह घर के लिये प्रायश्चित्त करे, तब वह शुद्ध ठहरेगा।
Tab vah jeevit pakshi ko nagar se bahar maidaan mein chhod de; isi reeti se vah ghar ke liye prayashchitt kare, tab vah shuddh thahrega.
सब भांति के कोढ़ की व्याधि, और सेहुएं,
Sab bhanti ke kodh ki vyadhi, aur sehuein,
और वस्त्र, और घर के कोढ़,
Aur vastra, aur ghar ke kodh,
और सूजन, और पपड़ी, और फूल के विषय में,
Aur soojan, aur papdi, aur phool ke vishay mein,
शुद्ध और अशुद्ध ठहराने की शिक्षा की व्यवस्था यही है। सब प्रकार के कोढ़ की व्यवस्था यही है॥
Shuddh aur ashuddh thahrane ki shiksha ki vyavastha yahi hai. Sab prakaar ke kodh ki vyavastha yahi hai.