फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
Leviticus 13 · 59 verses
फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,
Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,
जब किसी मनुष्य के शरीर के चर्म में सूजन वा पपड़ी वा फूल हो, और इस से उसके चर्म में कोढ़ की व्याधि सा कुछ देख पड़े, तो उसे हारून याजक के पास था उसके पुत्र जो याजक हैं उन में से किसी के पास ले जाएं।
Jab kisi manushya ke shareer ke charm mein soojan va papdi va phool ho, aur is se uske charm mein kodh ki vyadhi sa kuchh dekh pade, to use haroon yajak ke paas tha uske putra jo yajak hain un mein se kisi ke paas le jayen.
जब याजक उसके चर्म की व्याधि को देखे, और यदि उस व्याधि के स्थान के रोएं उजले हो गए हों और व्याधि चर्म से गहरी देख पड़े, तो वह जान ले कि कोढ़ की व्याधि है; और याजक उस मनुष्य को देखकर उसको अशुद्ध ठहराए।
Jab yajak uske charm ki vyadhi ko dekhe, aur yadi us vyadhi ke sthaan ke royen ujle ho gaye hon aur vyadhi charm se gahri dekh pade, to vah jaan le ki kodh ki vyadhi hai; aur yajak us manushya ko dekhkar usko ashuddh thahraye.
और यदि वह फूल उसके चर्म में उजला तो हो, परन्तु चर्म से गहरा न देख पड़े, और न वहां के रोएं उजले हो गए हों, तो याजक उन को सात दिन तक बन्दकर रखे;
Aur yadi vah phool uske charm mein ujla to ho, parantu charm se gahra na dekh pade, aur na vahan ke royen ujle ho gaye hon, to yajak un ko saat din tak bandakar rakhe;
और सातवें दिन याजक उसको देखे, और यदि वह व्याधि जैसी की तैसी बनी रहे और उसके चर्म में न फैली हो, तो याजक उसको और भी सात दिन तक बन्दकर रखे;
Aur satvein din yajak usko dekhe, aur yadi vah vyadhi jaisi ki taisi bani rahe aur uske charm mein na phaili ho, to yajak usko aur bhi saat din tak bandakar rakhe;
और सातवें दिन याजक उसको फिर देखे, और यदि देख पड़े कि व्याधि की चमक कम है और व्याधि चर्म पर फैली न हो, तो याजक उसको शुद्ध ठहराए; क्योंकि उसके तो चर्म में पपड़ी है; और वह अपने वस्त्र धोकर शुद्ध हो जाए।
Aur satvein din yajak usko phir dekhe, aur yadi dekh pade ki vyadhi ki chamak kam hai aur vyadhi charm par phaili na ho, to yajak usko shuddh thahraye; kyonki uske to charm mein papdi hai; aur vah apne vastra dhokar shuddh ho jaye.
और यदि याजक की उस जांच के पश्चात जिस में वह शुद्ध ठहराया गया था, वह पपड़ी उसके चर्म पर बहुत फैल जाए, तो वह फिर याजक को दिखाया जाए;
Aur yadi yajak ki us jaanch ke pashchaat jis mein vah shuddh thahraya gaya tha, vah papdi uske charm par bahut phail jaye, to vah phir yajak ko dikhaya jaye;
और यदि याजक को देख पड़े कि पपड़ी चर्म में फैल गई है, तो वह उसको अशुद्ध ठहराए; क्योंकि वह कोढ़ ही है॥
Aur yadi yajak ko dekh pade ki papdi charm mein phail gai hai, to vah usko ashuddh thahraye; kyonki vah kodh hi hai.
यदि कोढ़ की सी व्याधि किसी मनुष्य के हो, तो वह याजक के पास पहुंचाया जाए;
Yadi kodh ki si vyadhi kisi manushya ke ho, to vah yajak ke paas pahunchaya jaye;
और याजक उसको देखे, और यदि वह सूजन उसके चर्म में उजली हो, और उसके कारण रोएं भी उजले हो गए हों, और उस सूजन में बिना चर्म का मांस हो,
Aur yajak usko dekhe, aur yadi vah soojan uske charm mein ujli ho, aur uske karan royen bhi ujle ho gaye hon, aur us soojan mein bina charm ka maans ho,
तो याजक जाने कि उसके चर्म में पुराना कोढ़ है, इसलिये वह उसको अशुद्ध ठहराए; और बन्द न रखे, क्योंकि वह तो अशुद्ध है।
To yajak jane ki uske charm mein purana kodh hai, isliye vah usko ashuddh thahraye; aur band na rakhe, kyonki vah to ashuddh hai.
और यदि कोढ़ किसी के चर्म में फूटकर यहां तक फैल जाए, कि जहां कहीं याजक देखें व्याधित के सिर से पैर के तलवे तक कोढ़ ने सारे चर्म को छा लिया हो,
Aur yadi kodh kisi ke charm mein phootkar yahan tak phail jaye, ki jahan kahi yajak dekhein vyadhit ke sir se pair ke talve tak kodh ne sare charm ko chha liya ho,
जो याजक ध्यान से देखे, और यदि कोढ़ ने उसके सारे शरीर को छा लिया हो, तो वह उस व्याधित को शुद्ध ठहराए; और उसका शरीर जो बिलकुल उजला हो गया है वह शुद्ध ही ठहरे।
Jo yajak dhyaan se dekhe, aur yadi kodh ne uske sare shareer ko chha liya ho, to vah us vyadhit ko shuddh thahraye; aur uska shareer jo bilkul ujla ho gaya hai vah shuddh hi thahre.
पर जब उस में चर्महीन मांस देख पड़े, तब तो वह अशुद्ध ठहरे।
Par jab us mein charmaheen maans dekh pade, tab to vah ashuddh thahre.
और याजक चर्महीन मांस को देखकर उसको अशुद्ध ठहराए; क्योंकि वैसा चर्महीन मांस अशुद्ध ही होता है; वह कोढ़ है।
Aur yajak charmaheen maans ko dekhkar usko ashuddh thahraye; kyonki vaisa charmaheen maans ashuddh hi hota hai; vah kodh hai.
पर यदि वह चर्महीन मांस फिर उजला हो जाए, तो वह मनुष्य याजक के पास जाए,
Par yadi vah charmaheen maans phir ujla ho jaye, to vah manushya yajak ke paas jaye,
और याजक उसको देखे, और यदि वह व्याधि फिर से उजली हो गई हो, तो याजक व्याधित को शुद्ध जाने; वह शुद्ध है॥
Aur yajak usko dekhe, aur yadi vah vyadhi phir se ujli ho gai ho, to yajak vyadhit ko shuddh jane; vah shuddh hai.
फिर यदि किसी के चर्म में फोड़ा हो कर चंगा हो गया हो,
Phir yadi kisi ke charm mein phoda ho kar changa ho gaya ho,
और फोड़े के स्थान में उजली सी सूजन वा लाली लिये हुए उजला फूल हो, तो वह याजक को दिखाया जाए।
Aur phode ke sthaan mein ujli si soojan va lali liye hue ujla phool ho, to vah yajak ko dikhaya jaye.
और याजक उस सूजन को देखे, और यदि वह चर्म से गहिरा देख पड़े, और उसके रोएं भी उजले हो गए हों, तो याजक यह जानकर उस मनुष्य को अशुद्ध ठहराए; क्योंकि वह कोढ़ की व्याधि है जो फोड़े में से फूटकर निकली है।
Aur yajak us soojan ko dekhe, aur yadi vah charm se gahira dekh pade, aur uske royen bhi ujle ho gaye hon, to yajak yah jankar us manushya ko ashuddh thahraye; kyonki vah kodh ki vyadhi hai jo phode mein se phootkar nikli hai.
और यदि याजक देखे कि उस में उजले रोएं नहीं हैं, और वह चर्म से गहिरी नहीं, और उसकी चमक कम हुई है, तो याजक उस मनुष्य को सात दिन तक बन्द कर रखे।
Aur yadi yajak dekhe ki us mein ujle royen nahi hain, aur vah charm se gahiri nahi, aur uski chamak kam hui hai, to yajak us manushya ko saat din tak band kar rakhe.
और यदि वह व्याधि उस समय तक चर्म में सचमुच फैल जाए, तो याजक उस मनुष्य को अशुद्ध ठहराए; क्योंकि वह कोढ़ की व्याधि है।
Aur yadi vah vyadhi us samay tak charm mein sachmuch phail jaye, to yajak us manushya ko ashuddh thahraye; kyonki vah kodh ki vyadhi hai.
परन्तु यदि वह फूल न फैले और अपने स्थान ही पर बना रहे, तो वह फोड़े को दाग है; याजक उस मनुष्य को शुद्ध ठहराए॥
Parantu yadi vah phool na phaile aur apne sthaan hi par bana rahe, to vah phode ko daag hai; yajak us manushya ko shuddh thahraye.
फिर यदि किसी के चर्म में जलने का घाव हो, और उस जलने के घाव में चर्महीन फूल लाली लिये हुए उजला वा उजला ही हो जाए,
Phir yadi kisi ke charm mein jalne ka ghaav ho, aur us jalne ke ghaav mein charmaheen phool lali liye hue ujla va ujla hi ho jaye,
तो याजक उसको देखे, और यदि उस फूल में के रोएं उजले हो गए हों और वह चर्म से गहिरा देख पड़े, तो वह कोढ़ है; जो उस जलने के दाग में से फूट निकला है; याजक उस मनुष्य को अशुद्ध ठहराए; क्योंकि उस में कोढ़ की व्याधि है।
To yajak usko dekhe, aur yadi us phool mein ke royen ujle ho gaye hon aur vah charm se gahira dekh pade, to vah kodh hai; jo us jalne ke daag mein se phoot nikla hai; yajak us manushya ko ashuddh thahraye; kyonki us mein kodh ki vyadhi hai.
और यदि याजक देखे, कि फूल में उजले रोएं नहीं और न वह चर्म से कुछ गहिरा है, और उसकी चमक कम हुई है, तो वह उसको सात दिन तक बन्द कर रखे,
Aur yadi yajak dekhe, ki phool mein ujle royen nahi aur na vah charm se kuchh gahira hai, aur uski chamak kam hui hai, to vah usko saat din tak band kar rakhe,
और सातवें दिन याजक उसको देखे, और यदि वह चर्म में फैल गई हो, तो वह उस मनुष्य को अशुद्ध ठहराए; क्योंकि उसको कोढ़ की व्याधि है।
Aur satvein din yajak usko dekhe, aur yadi vah charm mein phail gai ho, to vah us manushya ko ashuddh thahraye; kyonki usko kodh ki vyadhi hai.
परन्तु यदि वह फूल चर्म में नहीं फैला और अपने स्थान ही पर जहां का तहां ही बना हो, और उसकी चमक कम हुई हो, तो वह जल जाने के कारण सूजा हुआ है, याजक उस मनुष्य को शुद्ध ठहराए; क्योंकि वह दाग जल जाने के कारण से है॥
Parantu yadi vah phool charm mein nahi phaila aur apne sthaan hi par jahan ka tahan hi bana ho, aur uski chamak kam hui ho, to vah jal jane ke karan sooja huaa hai, yajak us manushya ko shuddh thahraye; kyonki vah daag jal jane ke karan se hai.
फिर यदि किसी पुरूष वा स्त्री के सिर पर, वा पुरूष की डाढ़ी में व्याधि हो,
Phir yadi kisi puroosh va stri ke sir par, va puroosh ki dadhi mein vyadhi ho,
तो याजक व्याधि को देखे, और यदि वह चर्म से गहिरी देख पड़े, और उस में भूरे भूरे पतले बाल हों, तो याजक उस मनुष्य को अशुद्ध ठहराए; वह व्याधि सेंहुआं, अर्थात सिर वा डाढ़ी का कोढ़ है।
To yajak vyadhi ko dekhe, aur yadi vah charm se gahiri dekh pade, aur us mein bhoore bhoore patle baal hon, to yajak us manushya ko ashuddh thahraye; vah vyadhi senhuaan, arthaat sir va dadhi ka kodh hai.
और यदि याजक सेंहुएं की व्याधि को देखे, कि वह चर्म से गहिरी नहीं है और उस में काले काले बाल नहीं हैं, तो वह सेंहुएं के व्याधित को सात दिन तक बन्द कर रखे,
Aur yadi yajak senhuein ki vyadhi ko dekhe, ki vah charm se gahiri nahi hai aur us mein kale kale baal nahi hain, to vah senhuein ke vyadhit ko saat din tak band kar rakhe,
और सातवें दिन याजक व्याधि को देखे, तब यदि वह सेंहुआं फैला न हो, और उस में भूरे भूरे बाल न हों, और सेंहुआं चर्म से गहिरा न देख पड़े,
Aur satvein din yajak vyadhi ko dekhe, tab yadi vah senhuaan phaila na ho, aur us mein bhoore bhoore baal na hon, aur senhuaan charm se gahira na dekh pade,
तो यह मनुष्य मूंड़ा जाए, परन्तु जहां सेंहुआं हो वहां न मूंड़ा जाए; और याजक उस सेंहुएं वाले को और भी सात दिन तक बन्द करे;
To yah manushya moonda jaye, parantu jahan senhuaan ho vahan na moonda jaye; aur yajak us senhuein vale ko aur bhi saat din tak band kare;
और सातवें दिन याजक सेहुएं को देखे, और यदि वह सेंहुआं चर्म में फैला न हो और चर्म से गहिरा न देख पड़े, तो याजक उस मनुष्य को शुद्ध ठहराए; और वह अपने वस्त्र धो के शुद्ध ठहरे।
Aur satvein din yajak sehuein ko dekhe, aur yadi vah senhuaan charm mein phaila na ho aur charm se gahira na dekh pade, to yajak us manushya ko shuddh thahraye; aur vah apne vastra dho ke shuddh thahre.
और यदि उसके शुद्ध ठहरने के पश्चात सेंहुआं चर्म में कुछ भी फैले,
Aur yadi uske shuddh thaharne ke pashchaat senhuaan charm mein kuchh bhi phaile,
तो याजक उसको देखे, और यदि वह चर्म में फैला हो, तो याजक यह भूरे बाल न ढूंढ़े, क्योंकि मनुष्य अशुद्ध है।
To yajak usko dekhe, aur yadi vah charm mein phaila ho, to yajak yah bhoore baal na dhoondhe, kyonki manushya ashuddh hai.
परन्तु यदि उसकी दृष्टि में वह सेंहुआं जैसे का तैसा बना हो, और उस में काले काले बाल जमे हों, तो वह जाने की सेंहुआं चंगा हो गया है, और वह मनुष्य शुद्ध है; याजक उसको शुद्ध ही ठहराए॥
Parantu yadi uski drishti mein vah senhuaan jaise ka taisa bana ho, aur us mein kale kale baal jame hon, to vah jane ki senhuaan changa ho gaya hai, aur vah manushya shuddh hai; yajak usko shuddh hi thahraye.
फिर यदि किसी पुरूष वा स्त्री के चर्म में उजले फूल हों,
Phir yadi kisi puroosh va stri ke charm mein ujle phool hon,
तो याजक देखे, और यदि उसके चर्म में वे फूल कम उजले हों, तो वह जाने कि उसको चर्म में निकली हुई चाईं ही है; वह मनुष्य शुद्ध ठहरे॥
To yajak dekhe, aur yadi uske charm mein ve phool kam ujle hon, to vah jane ki usko charm mein nikli hui chai hi hai; vah manushya shuddh thahre.
फिर जिसके सिर के बाल झड़ गए हों, तो जानना कि वह चन्दुला तो है परन्तु शुद्ध है।
Phir jiske sir ke baal jhad gaye hon, to janna ki vah chandula to hai parantu shuddh hai.
और जिसके सिर के आगे के बाल झड़ गए हों, तो वह माथे का चन्दुला तो है परन्तु शुद्ध है।
Aur jiske sir ke aage ke baal jhad gaye hon, to vah mathe ka chandula to hai parantu shuddh hai.
परन्तु यदि चन्दुले सिर पर वा चन्दुले माथे पर लाली लिये हुए उजली व्याधि हो, तो जानना कि वह उसके चन्दुले सिर पर वा चन्दुले माथे पर निकला हुआ कोढ़ है।
Parantu yadi chandule sir par va chandule mathe par lali liye hue ujli vyadhi ho, to janna ki vah uske chandule sir par va chandule mathe par nikla huaa kodh hai.
इसलिये याजक उसको देखे, और यदि व्याधि की सूजन उसके चन्दुले सिर वा चन्दुले माथे पर ऐसी लाली लिये हुए उजली हो जैसा चर्म के कोढ़ में होता है,
Isliye yajak usko dekhe, aur yadi vyadhi ki soojan uske chandule sir va chandule mathe par aisi lali liye hue ujli ho jaisa charm ke kodh mein hota hai,
तो वह मनुष्य कोढ़ी है और अशुद्ध है; और याजक उसको अवश्य अशुद्ध ठहराए; क्योंकि वह व्याधि उसके सिर पर है॥
To vah manushya kodhi hai aur ashuddh hai; aur yajak usko avashya ashuddh thahraye; kyonki vah vyadhi uske sir par hai.
और जिस में वह व्याधि हो उस कोढ़ी के वस्त्र फटे और सिर के बाल बिखरे रहें, और वह अपने ऊपर वाले होंठ को ढांपे हुए अशुद्ध, अशुद्ध पुकारा करे।
Aur jis mein vah vyadhi ho us kodhi ke vastra phate aur sir ke baal bikhre rahein, aur vah apne oopar vale honth ko dhampe hue ashuddh, ashuddh pukara kare.
जितने दिन तक वह व्याधि उस में रहे उतने दिन तक वह तो अशुद्ध रहेगा; और वह अशुद्ध ठहरा रहे; इसलिये वह अकेला रहा करे, उसका निवास स्थान छावनी के बाहर हो॥
Jitne din tak vah vyadhi us mein rahe utne din tak vah to ashuddh rahega; aur vah ashuddh thahra rahe; isliye vah akela raha kare, uska nivaas sthaan chhavni ke bahar ho.
फिर जिस वस्त्र में कोढ़ की व्याधि हो, चाहे वह वस्त्र ऊन का हो चाहे सनी का,
Phir jis vastra mein kodh ki vyadhi ho, chahe vah vastra oon ka ho chahe sani ka,
वह व्याधि चाहे उस सनी वा ऊन के वस्त्र के ताने में हो चाहे बाने में, वा वह व्याधि चमड़े में वा चमड़े की किसी वस्तु में हो,
Vah vyadhi chahe us sani va oon ke vastra ke tane mein ho chahe bane mein, va vah vyadhi chamde mein va chamde ki kisi vastu mein ho,
यदि वह व्याधि किसी वस्त्र के चाहे ताने में चाहे बाने में, वा चमड़े में वा चमड़े की किसी वस्तु में हरी हो वा लाल सी हो, तो जानना कि वह कोढ़ की व्याधि है और वह याजक को दिखाई जाए।
Yadi vah vyadhi kisi vastra ke chahe tane mein chahe bane mein, va chamde mein va chamde ki kisi vastu mein hari ho va laal si ho, to janna ki vah kodh ki vyadhi hai aur vah yajak ko dikhai jaye.
और याजक व्याधि को देखे, और व्याधिवाली वस्तु को सात दिन के लिये बन्द करे;
Aur yajak vyadhi ko dekhe, aur vyadhivali vastu ko saat din ke liye band kare;
और सातवें दिन वह उस व्याधि को देखे, और यदि वह वस्त्र के चाहे ताने में चाहे बाने में, वा चमड़े में वा चमड़े की बनी हुई किसी वस्तु में फैल गई हो, तो जानना कि व्याधि गलित कोढ़ है, इसलिये वह वस्तु, चाहे कैसे ही काम में क्यों न आती हो, तौभी अशुद्ध ठहरेगी।
Aur satvein din vah us vyadhi ko dekhe, aur yadi vah vastra ke chahe tane mein chahe bane mein, va chamde mein va chamde ki bani hui kisi vastu mein phail gai ho, to janna ki vyadhi galit kodh hai, isliye vah vastu, chahe kaise hi kaam mein kyon na aati ho, taubhi ashuddh thahregi.
वह उस वस्त्र को जिसके ताने वा बाने में वह व्याधि हो, चाहे वह ऊन का हो चाहे सनी का, वा चमड़े की वस्तु हो, उसको जला दे, वह व्याधि गलित कोढ़ की है; वह वस्तु आग में जलाई जाए।
Vah us vastra ko jiske tane va bane mein vah vyadhi ho, chahe vah oon ka ho chahe sani ka, va chamde ki vastu ho, usko jala de, vah vyadhi galit kodh ki hai; vah vastu aag mein jalai jaye.
और यदि याजक देखे कि वह व्याधि उस वस्त्र के ताने वा बाने में, वा चमड़े की उस वस्तु में नहीं फैली,
Aur yadi yajak dekhe ki vah vyadhi us vastra ke tane va bane mein, va chamde ki us vastu mein nahi phaili,
तो जिस वस्तु में व्याधि हो उसके धोने की आज्ञा दे, तक उसे और भी सात दिन तक बन्द कर रखे;
To jis vastu mein vyadhi ho uske dhone ki aagya de, tak use aur bhi saat din tak band kar rakhe;
और उसके धोने के बाद याजक उसको देखे, और यदि व्याधि का न तो रंग बदला हो, और न व्याधि फैली हो, तो जानना कि वह अशुद्ध है; उसे आग में जलाना, क्योंकि चाहे वह व्याधि भीतर चाहे ऊपरी हो तौभी वह खा जाने वाली व्याधि है।
Aur uske dhone ke baad yajak usko dekhe, aur yadi vyadhi ka na to rang badla ho, aur na vyadhi phaili ho, to janna ki vah ashuddh hai; use aag mein jalana, kyonki chahe vah vyadhi bheetar chahe oopri ho taubhi vah kha jane vali vyadhi hai.
और यदि याजक देखे, कि उसके धोने के पश्चात व्याधि की चमक कम हो गई, तो वह उसको वस्त्र के चाहे ताने चाहे बाने में से, वा चमड़े में से फाड़के निकाले;
Aur yadi yajak dekhe, ki uske dhone ke pashchaat vyadhi ki chamak kam ho gai, to vah usko vastra ke chahe tane chahe bane mein se, va chamde mein se phadke nikale;
और यदि वह व्याधि तब भी उस वस्त्र के ताने वा बाने में, वा चमड़े की उस वस्तु में देख पड़े, तो जानना कि वह फूट के निकली हुई व्याधि है; और जिस में वह व्याधि हो उसे आग में जलाना।
Aur yadi vah vyadhi tab bhi us vastra ke tane va bane mein, va chamde ki us vastu mein dekh pade, to janna ki vah phoot ke nikli hui vyadhi hai; aur jis mein vah vyadhi ho use aag mein jalana.
और यदि उस वस्त्र से जिसके ताने वा बाने में व्याधि हो, वा चमड़े की जो वस्तु हो उससे जब धोई जाए और व्याधि जाती रही, तो वह दूसरी बार धुल कर शुद्ध ठहरे।
Aur yadi us vastra se jiske tane va bane mein vyadhi ho, va chamde ki jo vastu ho usse jab dhoi jaye aur vyadhi jati rahi, to vah doosri baar dhul kar shuddh thahre.
ऊन वा सनी के वस्त्र में के ताने वा बाने में, वा चमड़े की किसी वस्तु में जो कोढ़ की व्याधि हो उसके शुद्ध और अशुद्ध ठहराने की यही व्यवस्था है॥
Oon va sani ke vastra mein ke tane va bane mein, va chamde ki kisi vastu mein jo kodh ki vyadhi ho uske shuddh aur ashuddh thahrane ki yahi vyavastha hai.