फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
Leviticus 12 · 8 verses
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
इस्त्राएलियों से कह, कि जो स्त्री गर्भिणी हो और उसके लड़का हो, तो वह सात दिन तक अशुद्ध रहेगी; जिस प्रकार वह ऋतुमती हो कर अशुद्ध रहा करती।
Istrayeliyon se kah, ki jo stri garbhini ho aur uske ladka ho, to vah saat din tak ashuddh rahegi; jis prakaar vah ritumti ho kar ashuddh raha karti.
और आठवें दिन लड़के का खतना किया जाए।
Aur aathvein din ladke ka khatna kiya jaye.
फिर वह स्त्री अपने शुद्ध करने वाले रूधिर में तेंतीस दिन रहे; और जब तक उसके शुद्ध हो जाने के दिन पूरे न हों तब तक वह न तो किसी पवित्र वस्तु को छुए, और न पवित्रस्थान में प्रवेश करे।
Phir vah stri apne shuddh karne vale roodhir mein tentees din rahe; aur jab tak uske shuddh ho jane ke din poore na hon tab tak vah na to kisi pavitra vastu ko chhue, aur na pavitrasthaan mein pravesh kare.
और यदि उसके लड़की पैदा हो, तो उसको ऋतुमती की सी अशुद्धता चौदह दिन की लगे; और फिर छियासठ दिन तक अपने शुद्ध करने वाले रूधिर में रहे।
Aur yadi uske ladki paida ho, to usko ritumti ki si ashuddhata chaudah din ki lage; aur phir chhiyasath din tak apne shuddh karne vale roodhir mein rahe.
और जब उसके शुद्ध हो जाने के दिन पूरे हों, तब चाहे उसके बेटा हुआ हो चाहे बेटी, वह होमबलि के लिये एक वर्ष का भेड़ी का बच्चा, और पापबलि के लिये कबूतरी का एक बच्चा वा पंडुकी मिलापवाले तम्बू के द्वार पर याजक के पास लाए।
Aur jab uske shuddh ho jane ke din poore hon, tab chahe uske beta huaa ho chahe beti, vah homabli ke liye ek varsh ka bhedi ka bachcha, aur papabli ke liye kabootri ka ek bachcha va panduki milapvale tambu ke dwaar par yajak ke paas laye.
तब याजक उसको यहोवा के साम्हने भेंट चढ़ाके उसके लिये प्रायश्चित्त करे; और वह अपने रूधिर के बहने की अशुद्धता से छूटकर शुद्ध ठहरेगी। जिस स्त्री के लड़का वा लड़की उत्पन्न हो उसके लिये यही व्यवस्था है।
Tab yajak usko Yahowa ke samhane bhent chadhake uske liye prayashchitt kare; aur vah apne roodhir ke bahne ki ashuddhata se chhootkar shuddh thahregi. Jis stri ke ladka va ladki utpann ho uske liye yahi vyavastha hai.
और यदि उसके पास भेड़ वा बकरी देने की पूंजी न हो, तो दो पंडुकी वा कबूतरी के दो बच्चे, एक तो होमबलि और दूसरा पापबलि के लिये दे; और याजक उसके लिये प्रायश्चित्त करे, तब वह शुद्ध ठहरेगी॥
Aur yadi uske paas bhed va bakri dene ki poonji na ho, to do panduki va kabootri ke do bachche, ek to homabli aur doosra papabli ke liye de; aur yajak uske liye prayashchitt kare, tab vah shuddh thahregi.