Leviticus 11 · 47 verses

लैव्यव्यवस्था 11 Leviticus 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 11.

1

फिर यहोवा ने मूसा और हारून से कहा,

Phir Yahowa ne Musa aur haroon se kaha,

2

इस्त्राएलियों से कहो, कि जितने पशु पृथ्वी पर हैं उन सभों में से तुम इन जीवधारियों का मांस खा सकते हो।

Istrayeliyon se kaho, ki jitne pashu prithvi par hain un sabhon mein se tum in jeevdhariyon ka maans kha sakte ho.

3

पशुओं में से जितने चिरे वा फटे खुर के होते हैं और पागुर करते हैं उन्हें खा सकते हो।

Pashuon mein se jitne chire va phate khur ke hote hain aur pagur karte hain unhein kha sakte ho.

4

परन्तु पागुर करने वाले वा फटे खुर वालों में से इन पशुओं को न खाना, अर्थात ऊंट, जो पागुर तो करता है परन्तु चिरे खुर का नहीं होता, इसलिये वह तुम्हारे लिये अशुद्ध ठहरा है।

Parantu pagur karne vale va phate khur valon mein se in pashuon ko na khana, arthaat oont, jo pagur to karta hai parantu chire khur ka nahi hota, isliye vah tumhare liye ashuddh thahra hai.

5

और शापान, जो पागुर तो करता है परन्तु चिरे खुर का नहीं होता, वह भी तुम्हारे लिये अशुद्ध है।

Aur shapaan, jo pagur to karta hai parantu chire khur ka nahi hota, vah bhi tumhare liye ashuddh hai.

6

और खरहा, जो पागुर तो करता है परन्तु चिरे खुर का नहीं होता, इसलिये वह भी तुम्हारे लिये अशुद्ध है।

Aur kharha, jo pagur to karta hai parantu chire khur ka nahi hota, isliye vah bhi tumhare liye ashuddh hai.

7

और सूअर, जो चिरे अर्थात फटे खुर का होता तो है परन्तु पागुर नहीं करता, इसलिये वह तुम्हारे लिये अशुद्ध है।

Aur sooar, jo chire arthaat phate khur ka hota to hai parantu pagur nahi karta, isliye vah tumhare liye ashuddh hai.

8

इनके मांस में से कुछ न खाना, और इनकी लोथ को छूना भी नहीं; ये तो तुम्हारे लिये अशुद्ध है॥

Inke maans mein se kuchh na khana, aur inki loth ko chhoona bhi nahi; ye to tumhare liye ashuddh hai.

9

फिर जितने जलजन्तु हैं उन में से तुम इन्हें खा सकते हों, अर्थात समुद्र वा नदियों के जलजन्तुओं में से जितनों के पंख और चोंयेटे होते हैं उन्हें खा सकते हो।

Phir jitne jaljantu hain un mein se tum inhein kha sakte hon, arthaat samudra va nadiyon ke jaljantuon mein se jitnon ke pankh aur chonyete hote hain unhein kha sakte ho.

10

और जलचरी प्राणियों में से जितने जीवधारी बिना पंख और चोंयेटे के समुद्र वा नदियों में रहते हैं वे सब तुम्हारे लिये घृणित हैं।

Aur jalachri praniyon mein se jitne jeevdhari bina pankh aur chonyete ke samudra va nadiyon mein rahte hain ve sab tumhare liye ghrinit hain.

11

वे तुम्हारे लिये घृणित ठहरें; तुम उनके मांस में से कुछ न खाना, और उनकी लोथों को अशुद्ध जानना।

Ve tumhare liye ghrinit thahrein; tum unke maans mein se kuchh na khana, aur unki lothon ko ashuddh janna.

12

जल में जिस किसी जन्तु के पंख और चोंयेटे नहीं होते वह तुम्हारे लिये अशुद्ध है॥

Jal mein jis kisi jantu ke pankh aur chonyete nahi hote vah tumhare liye ashuddh hai.

13

फिर पक्षियों में से इन को अशुद्ध जानना, ये अशुद्ध होने के कारण खाए न जाएं, अर्थात उकाब, हड़फोड़, कुरर,

Phir pakshiyon mein se in ko ashuddh janna, ye ashuddh hone ke karan khaye na jayen, arthaat ukaab, hadphod, kurar,

14

शाही, और भांति भांति की चील,

Shahi, aur bhanti bhanti ki cheel,

15

और भांति भांति के सब काग,

Aur bhanti bhanti ke sab kaag,

16

शुतुर्मुर्ग, तखमास, जलकुक्कुट, और भांति भांति के बाज,

Shuturmurg, takhmaas, jalkukkut, aur bhanti bhanti ke baaj,

17

हवासिल, हाड़गील, उल्लू,

Havasil, hadgeel, ullu,

18

राजहँस, धनेश, गिद्ध,

Rajhans, dhanesh, giddh,

19

लगलग, भांति भांति के बगुले, टिटीहरी और चमगीदड़॥

Laglag, bhanti bhanti ke bagule, titeehri aur chamgeedad.

20

जितने पंख वाले चार पांवों के बल चरते हैं वे सब तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं।

Jitne pankh vale chaar panvon ke bal charte hain ve sab tumhare liye ashuddh hain.

21

पर रेंगने वाले और पंख वाले जो चार पांवों के बल चलते हैं, जिनके भूमि पर कूदने फांदने को टांगे होती हैं उन को तो खा सकते हो।

Par rengne vale aur pankh vale jo chaar panvon ke bal chalte hain, jinke bhoomi par koodne phandne ko tange hoti hain un ko to kha sakte ho.

22

वे ये हैं, अर्थात भांति भांति की टिड्डी, भांति भांति के फनगे, भांति भांति के हर्गोल, और भांति भांति के हागाब।

Ve ye hain, arthaat bhanti bhanti ki tiddi, bhanti bhanti ke phange, bhanti bhanti ke hargol, aur bhanti bhanti ke hagaab.

23

परन्तु और सब रेंगने वाले पंख वाले जो चार पांव वाले होते हैं वे तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं॥

Parantu aur sab rengne vale pankh vale jo chaar paanv vale hote hain ve tumhare liye ashuddh hain.

24

और इनके कारण तुम अशुद्ध ठहरोगे; जिस किसी से इनकी लोथ छू जाए वह सांझ तक अशुद्ध ठहरे।

Aur inke karan tum ashuddh thahroge; jis kisi se inki loth chhu jaye vah saanjh tak ashuddh thahre.

25

और जो कोई इनकी लोथ में का कुछ भी उठाए वह अपने वस्त्र धोए और सांझ तक अशुद्ध रहे।

Aur jo koi inki loth mein ka kuchh bhi uthaye vah apne vastra dhoye aur saanjh tak ashuddh rahe.

26

फिर जितने पशु चिरे खुर के होते है। परन्तु न तो बिलकुल फटे खुर और न पागुर करने वाले हैं वे तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं; जो कोई उन्हें छूए वह अशुद्ध ठहरेगा।

Phir jitne pashu chire khur ke hote hai. Parantu na to bilkul phate khur aur na pagur karne vale hain ve tumhare liye ashuddh hain; jo koi unhein chhooye vah ashuddh thahrega.

27

और चार पांव के बल चलने वालों में से जितने पंजों के बल चलते हैं वे सब तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं; जो कोई उनकी लोथ छूए वह सांझ तक अशुद्ध रहे।

Aur chaar paanv ke bal chalne valon mein se jitne panjon ke bal chalte hain ve sab tumhare liye ashuddh hain; jo koi unki loth chhooye vah saanjh tak ashuddh rahe.

28

और जो कोई उनकी लोथ उठाए वह अपने वस्त्र धोए और सांझ तक अशुद्ध रहे; क्योंकि वे तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं॥

Aur jo koi unki loth uthaye vah apne vastra dhoye aur saanjh tak ashuddh rahe; kyonki ve tumhare liye ashuddh hain.

29

और जो पृथ्वी पर रेंगते हैं उन में से ये रेंगने वाले तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं, अर्थात नेवला, चूहा, और भांति भांति के गोह,

Aur jo prithvi par rengte hain un mein se ye rengne vale tumhare liye ashuddh hain, arthaat nevla, chooha, aur bhanti bhanti ke goh,

30

और छिपकली, मगर, टिकटिक, सांडा, और गिरगिटान।

Aur chhipakli, magar, tiktik, sanda, aur girgitaan.

31

सब रेंगने वालों में से ये ही तुम्हारे लिये अशुद्ध हैं; जो कोई इनकी लोथ छूए वह सांझ तक अशुद्ध रहे।

Sab rengne valon mein se ye hi tumhare liye ashuddh hain; jo koi inki loth chhooye vah saanjh tak ashuddh rahe.

32

और इन में से किसी की लोथ जिस किसी वस्तु पर पड़ जाए वह भी अशुद्ध ठहरे, चाहे वह काठ का कोई पात्र हो, चाहे वस्त्र, चाहे खाल, चाहे बोरा, चाहे किसी काम का कैसा ही पात्रादि क्यों न हो; वह जल में डाला जाए, और सांझ तक अशुद्ध रहे, तब शुद्ध समझा जाए।

Aur in mein se kisi ki loth jis kisi vastu par pad jaye vah bhi ashuddh thahre, chahe vah kaath ka koi patra ho, chahe vastra, chahe khaal, chahe bora, chahe kisi kaam ka kaisa hi patradi kyon na ho; vah jal mein dala jaye, aur saanjh tak ashuddh rahe, tab shuddh samjha jaye.

33

और यदि मिट्टी का कोई पात्र हो जिस में इन जन्तुओं में से कोई पड़े, तो उस पात्र में जो कुछ हो वह अशुद्ध ठहरे, और पात्र को तुम तोड़ डालना।

Aur yadi mitti ka koi patra ho jis mein in jantuon mein se koi pade, to us patra mein jo kuchh ho vah ashuddh thahre, aur patra ko tum tod dalna.

34

उस में जो खाने के योग्य भोजन हो, जिस में पानी का छुआव हों वह सब अशुद्ध ठहरे; फिर यदि ऐसे पात्र में पीने के लिये कुछ हो तो वह भी अशुद्ध ठहरे।

Us mein jo khane ke yogya bhojan ho, jis mein pani ka chhuaav hon vah sab ashuddh thahre; phir yadi aise patra mein peene ke liye kuchh ho to vah bhi ashuddh thahre.

35

और यदि इनकी लोथ में का कुछ तंदूर वा चूल्हे पर पड़े तो वह भी अशुद्ध ठहरे, और तोड़ डाला जाए; क्योंकि वह अशुद्ध हो जाएगा, वह तुम्हारे लिये भी अशुद्ध ठहरे।

Aur yadi inki loth mein ka kuchh tandoor va choolhe par pade to vah bhi ashuddh thahre, aur tod dala jaye; kyonki vah ashuddh ho jayega, vah tumhare liye bhi ashuddh thahre.

36

परन्तु सोता वा तालाब जिस में जल इकट्ठा हो वह तो शुद्ध ही रहे; परन्तु जो कोई इनकी लोथ को छूए वह अशुद्ध ठहरे।

Parantu sota va talaab jis mein jal ikattha ho vah to shuddh hi rahe; parantu jo koi inki loth ko chhooye vah ashuddh thahre.

37

और यदि इनकी लोथ में का कुछ किसी प्रकार के बीज पर जो बोने के लिये हो पड़े, तो वह बीज शुद्ध रहे;

Aur yadi inki loth mein ka kuchh kisi prakaar ke beej par jo bone ke liye ho pade, to vah beej shuddh rahe;

38

पर यदि बीज पर जल डाला गया हो और पीछे लोथ में का कुछ उस पर पड़ जाए, तो वह तुम्हारे लिये अशुद्ध ठहरे॥

Par yadi beej par jal dala gaya ho aur peechhe loth mein ka kuchh us par pad jaye, to vah tumhare liye ashuddh thahre.

39

फिर जिन पशुओं के खाने की आज्ञा तुम को दी गई है यदि उन में से कोई पशु मरे, तो जो कोई उसकी लोथ छूए वह सांझ तक अशुद्ध रहे।

Phir jin pashuon ke khane ki aagya tum ko di gai hai yadi un mein se koi pashu mare, to jo koi uski loth chhooye vah saanjh tak ashuddh rahe.

40

और उसकी लोथ में से जो कोई कुछ खाए वह अपने वस्त्र धोए और सांझ तक अशुद्ध रहे; और जो कोई उसकी लोथ उठाए वह भी अपने वस्त्र धोए और सांझ तक अशुद्ध रहे।

Aur uski loth mein se jo koi kuchh khaye vah apne vastra dhoye aur saanjh tak ashuddh rahe; aur jo koi uski loth uthaye vah bhi apne vastra dhoye aur saanjh tak ashuddh rahe.

41

और सब प्रकार के पृथ्वी पर रेंगने वाले जन्तु घिनौने हैं; वे खाए न जाएं।

Aur sab prakaar ke prithvi par rengne vale jantu ghinaune hain; ve khaye na jayen.

42

पृथ्वी पर सब रेंगने वालों में से जितने पेट वा चार पांवों के बल चलते हैं, वा अधिक पांव वाले होते हैं, उन्हें तुम न खाना; क्योंकि वे घिनौने हैं।

Prithvi par sab rengne valon mein se jitne pet va chaar panvon ke bal chalte hain, va adhik paanv vale hote hain, unhein tum na khana; kyonki ve ghinaune hain.

43

तुम किसी प्रकार के रेंगने वाले जन्तु के द्वारा अपने आप को घिनौना न करना; और न उनके द्वारा अपने को अशुद्ध करके अपवित्र ठहराना।

Tum kisi prakaar ke rengne vale jantu ke dwara apne aap ko ghinauna na karna; aur na unke dwara apne ko ashuddh karke apvitra thahrana.

44

क्योंकि मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूं; इस प्रकार के रेंगने वाले जन्तु के द्वारा जो पृथ्वी पर चलता है अपने आप को अशुद्ध न करना।

Kyonki main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon; is prakaar ke rengne vale jantu ke dwara jo prithvi par chalta hai apne aap ko ashuddh na karna.

45

क्योंकि मैं वह यहोवा हूं जो तुम्हें मिस्र देश से इसलिये निकाल ले आया हूं कि तुम्हारा परमेश्वर ठहरूं; इसलिये तुम पवित्र बनो, क्योंकि मैं पवित्र हूं॥

Kyonki main vah Yahowa hoon jo tumhein Misr desh se isliye nikaal le aaya hoon ki tumhara Parmeshwar thahrun; isliye tum pavitra bano, kyonki main pavitra hoon.

46

पशुओं, पक्षियों, और सब जलचरी प्राणियों, और पृथ्वी पर सब रेंगने वाले प्राणियों के विषय में यही व्यवस्था है,

Pashuon, pakshiyon, aur sab jalachri praniyon, aur prithvi par sab rengne vale praniyon ke vishay mein yahi vyavastha hai,

47

कि शुद्ध अशुद्ध और भक्षय और अभक्षय जीवधारियों में भेद किया जाए॥

Ki shuddh ashuddh aur bhakshay aur abhakshay jeevdhariyon mein bhed kiya jaye.