Leviticus 10 · 20 verses

लैव्यव्यवस्था 10 Leviticus 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Laivyavyavastha 10.

1

तब नादाब और अबीहू नामक हारून के दो पुत्रों ने अपना अपना धूपदान लिया, और उन में आग भरी, और उस में धूप डालकर उस ऊपरी आग की जिसकी आज्ञा यहोवा ने नहीं दी थी यहोवा के सम्मुख आरती दी।

Tab nadaab aur abeehu namak haroon ke do putron ne apna apna dhoopdaan liya, aur un mein aag bhari, aur us mein dhoop dalkar us oopri aag ki jiski aagya Yahowa ne nahi di thi Yahowa ke sammukh aarti di.

2

तब यहोवा के सम्मुख से आग निकलकर उन दोनों को भस्म कर दिया, और वे यहोवा के साम्हने मर गए।

Tab Yahowa ke sammukh se aag nikalkar un donon ko bhasm kar diya, aur ve Yahowa ke samhane mar gaye.

3

तब मूसा ने हारून से कहा, यह वही बात है जिसे यहोवा ने कहा था, कि जो मेरे समीप आए अवश्य है कि वह मुझे पवित्र जाने, और सारी जनता के साम्हने मेरी महिमा करे। और हारून चुप रहा।

Tab Musa ne haroon se kaha, yah vahi baat hai jise Yahowa ne kaha tha, ki jo mere sameep aaye avashya hai ki vah mujhe pavitra jane, aur sari janta ke samhane meri mahima kare. Aur haroon chup raha.

4

तब मूसा ने मीशाएल और एलसाफान को जो हारून के चाचा उज्जीएल के पुत्र थे बुलाकर कहा, निकट आओ, और अपने भतीजों को पवित्रस्थान के आगे से उठा कर छावनी के बाहर ले जाओ।

Tab Musa ne meeshayel aur elsaphaan ko jo haroon ke chacha ujjeeyel ke putra the bulakar kaha, nikat aao, aur apne bhateejon ko pavitrasthaan ke aage se utha kar chhavni ke bahar le jao.

5

मूसा की इस आज्ञा के अनुसार वे निकट जा कर उन को अंगरखों सहित उठा कर छावनी के बाहर ले गए।

Musa ki is aagya ke anusaar ve nikat ja kar un ko angarkhon sahit utha kar chhavni ke bahar le gaye.

6

तब मूसा ने हारून से और उसके पुत्र एलीआजर और ईतामार से कहा, तुम लोग अपने सिरों के बाल मत बिखराओ, और न अपने वस्त्रों को फाड़ो, ऐसा न हो कि तुम भी मर जाओ, और सारी मण्डली पर उसका क्रोध भड़क उठे; परन्तु वह इस्त्राएल के कुल घराने के लोग जो तुम्हारे भाईबन्धु हैं यहोवा की लगाई हुई आग पर विलाप करें।

Tab Musa ne haroon se aur uske putra eleeaajar aur itamaar se kaha, tum log apne siron ke baal mat bikhrao, aur na apne vastron ko phado, aisa na ho ki tum bhi mar jao, aur sari mandali par uska krodh bhadak uthe; parantu vah istrayel ke kul gharane ke log jo tumhare bhaibandhu hain Yahowa ki lagai hui aag par vilaap karein.

7

और तुम लोग मिलापवाले तम्बू के द्वार के बाहर न जाना, ऐसा न हो कि तुम मर जाओ; क्योंकि यहोवा के अभिषेक का तेल तुम पर लगा हुआ है। मूसा के इस वचन के अनुसार उन्होंने किया॥

Aur tum log milapvale tambu ke dwaar ke bahar na jana, aisa na ho ki tum mar jao; kyonki Yahowa ke abhishek ka tel tum par laga huaa hai. Musa ke is vachan ke anusaar unhonne kiya.

8

फिर यहोवा ने हारून से कहा,

Phir Yahowa ne haroon se kaha,

9

कि जब जब तू वा तेरे पुत्र मिलापवाले तम्बू में आएं तब तब तुम में से कोई न तो दाखमधु पिए हो न और किसी प्रकार का मद्य, कहीं ऐसा न हो कि तुम मर जाओ; तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में यह विधि प्रचलित रहे,

Ki jab jab tu va tere putra milapvale tambu mein aayen tab tab tum mein se koi na to dakhamdhu piye ho na aur kisi prakaar ka madya, kahi aisa na ho ki tum mar jao; tumhari peedhi peedhi mein yah vidhi prachlit rahe,

10

जिस से तुम पवित्र और अपवित्र में, और शुद्ध और अशुद्ध में अन्तर कर सको;

Jis se tum pavitra aur apvitra mein, aur shuddh aur ashuddh mein antar kar sako;

11

और इस्त्राएलियों को उन सब विधियों को सिखा सको जिसे यहोवा ने मूसा के द्वारा उन को सुनवा दी हैं॥

Aur istrayeliyon ko un sab vidhiyon ko sikha sako jise Yahowa ne Musa ke dwara un ko sunva di hain.

12

फिर मूसा ने हारून से और उसके बचे हुए दोनों पुत्र ईतामार और एलीआजर से भी कहा, यहोवा के हव्य में से जो अन्नबलि बचा है उसे ले कर वेदी के पास बिना खमीर खाओ, क्योंकि वह परमपवित्र है;

Phir Musa ne haroon se aur uske bache hue donon putra itamaar aur eleeaajar se bhi kaha, Yahowa ke havya mein se jo annabli bacha hai use le kar vedi ke paas bina khameer khao, kyonki vah parmapvitra hai;

13

और तुम उसे किसी पवित्रस्थान में खाओ, वह तो यहोवा के हव्य में से तेरा और तेरे पुत्रों का हक है; क्योंकि मैं ने ऐसी ही आज्ञा पाई है।

Aur tum use kisi pavitrasthaan mein khao, vah to Yahowa ke havya mein se tera aur tere putron ka hak hai; kyonki main ne aisi hi aagya pai hai.

14

और हिलाई हुई भेंट की छाती और उठाई हुई भेंट की जांघ को तुम लोग, अर्थात तू और बेटे-बेटियां सब किसी शुद्ध स्थान में खाओ; क्योंकि वे इस्त्राएलियों के मेलबलियों में से तुझे और तेरे लड़केबालों की हक ठहरा दी गई हैं।

Aur hilai hui bhent ki chhati aur uthai hui bhent ki jaangh ko tum log, arthaat tu aur bete-betiyan sab kisi shuddh sthaan mein khao; kyonki ve istrayeliyon ke melabliyon mein se tujhe aur tere ladkebalon ki hak thahra di gai hain.

15

चरबी के हव्यों समेत जो उठाई हुई जांघ और हिलाई हुई छाती यहोवा के साम्हने हिलाने के लिये आया करेंगी, ये भाग यहोवा की आज्ञा के अनुसार सर्वदा की विधी की व्यवस्था से तेरे और तेरे लड़केबालों के लिये हैं॥

Charbi ke havyon samet jo uthai hui jaangh aur hilai hui chhati Yahowa ke samhane hilane ke liye aaya karengi, ye bhaag Yahowa ki aagya ke anusaar sarvada ki vidhi ki vyavastha se tere aur tere ladkebalon ke liye hain.

16

फिर मूसा ने पापबलि के बकरे की जो ढूंढ़-ढांढ़ की, तो क्या पाया, कि वह जलाया गया है, सो एलीआज़र और ईतामार जो हारून के पुत्र बचे थे उन से वह क्रोध में आकर कहने लगा,

Phir Musa ne papabli ke bakre ki jo dhoondh-dhaandh ki, to kya paya, ki vah jalaya gaya hai, so eleeaazar aur itamaar jo haroon ke putra bache the un se vah krodh mein aakar kahne laga,

17

कि पापबलि जो परमपवित्र है और जिसे यहोवा ने तुम्हे इसलिये दिया है कि तुम मण्डली के अधर्म का भार अपने पर उठा कर उनके लिये यहोवा के साम्हने प्रायश्चित्त करो, तुम ने उसका मांस पवित्रस्थान में क्यों नहीं खाया?

Ki papabli jo parmapvitra hai aur jise Yahowa ne tumhe isliye diya hai ki tum mandali ke adharm ka bhaar apne par utha kar unke liye Yahowa ke samhane prayashchitt karo, tum ne uska maans pavitrasthaan mein kyon nahi khaya?

18

देखो, उसका लोहू पवित्रस्थान के भीतर तो लाया ही नहीं गया, नि:सन्देह उचित था कि तुम मेरी आज्ञा के अनुसार उसके मांस को पवित्रस्थान में खाते।

Dekho, uska lohu pavitrasthaan ke bheetar to laya hi nahi gaya, nisandeh uchit tha ki tum meri aagya ke anusaar uske maans ko pavitrasthaan mein khate.

19

इसका उत्तर हारून ने मूसा को इस प्रकार दिया, कि देख, आज ही उन्होंने अपने पापबलि और होमबलि को यहोवा के साम्हने चढ़ाया; फिर मुझ पर ऐसी विपत्तियां आ पड़ी हैं! इसलिये यदि मैं आज पापबलि का मांस खाता तो क्या यह बात यहोवा के सम्मुख भली होती?

Iska uttar haroon ne Musa ko is prakaar diya, ki dekh, aaj hi unhonne apne papabli aur homabli ko Yahowa ke samhane chadhaya; phir mujh par aisi vipattiyan aa padi hain! Isliye yadi main aaj papabli ka maans khata to kya yah baat Yahowa ke sammukh bhali hoti?

20

जब मूसा ने यह सुना तब उसे संतोष हुआ॥

Jab Musa ne yah suna tab use santosh huaa.