यहोवा ने मिलापवाले तम्बू में से मूसा को बुलाकर उससे कहा,
Yahowa ne milapvale tambu mein se Musa ko bulakar usse kaha,
Leviticus 1 · 17 verses
यहोवा ने मिलापवाले तम्बू में से मूसा को बुलाकर उससे कहा,
Yahowa ne milapvale tambu mein se Musa ko bulakar usse kaha,
इस्त्राएलियों से कह, कि तुम में से यदि कोई मनुष्य यहोवा के लिये पशु का चढ़ावा चढ़ाए, तो उसका बलिपशु गाय-बैलों वा भेड़-बकरियों में से एक का हो।
Istrayeliyon se kah, ki tum mein se yadi koi manushya Yahowa ke liye pashu ka chadhava chadhaye, to uska balipshu gaay-bailon va bhed-bakriyon mein se ek ka ho.
यदि वह गाय बैलों में से होमबलि करे, तो निर्दोष नर मिलापवाले तम्बू के द्वार पर चढ़ाए, कि यहोवा उसे ग्रहण करे।
Yadi vah gaay bailon mein se homabli kare, to nirdosh nar milapvale tambu ke dwaar par chadhaye, ki Yahowa use grahan kare.
और वह अपना हाथ होमबलिपशु के सिर पर रखे, और वह उनके लिये प्रायश्चित्त करने को ग्रहण किया जाएगा।
Aur vah apna haath homablipshu ke sir par rakhe, aur vah unke liye prayashchitt karne ko grahan kiya jayega.
तब वह उस बछड़े को यहोवा के साम्हने बलि करे; और हारून के पुत्र जो याजक हैं वे लोहू को समीप ले जा कर उस वेदी की चारों अलंगों पर छिड़के जो मिलापवाले तम्बू के द्वार पर है।
Tab vah us bachhde ko Yahowa ke samhane bali kare; aur haroon ke putra jo yajak hain ve lohu ko sameep le ja kar us vedi ki charon alangon par chhidke jo milapvale tambu ke dwaar par hai.
फिर वह होमबलिपशु की खाल निकाल कर उस पशु को टुकड़े टुकड़े करे;
Phir vah homablipshu ki khaal nikaal kar us pashu ko tukde tukde kare;
तब हारून याजक के पुत्र वेदी पर आग रखें, और आग पर लकड़ी सजाकर धरें;
Tab haroon yajak ke putra vedi par aag rakhein, aur aag par lakdi sajakar dharein;
और हारून के पुत्र जो याजक हैं वे सिर और चरबी समेत पशु के टुकड़ों को उस लकड़ी पर जो वेदी की आग पर होगी सजाकर धरें;
Aur haroon ke putra jo yajak hain ve sir aur charbi samet pashu ke tukdon ko us lakdi par jo vedi ki aag par hogi sajakar dharein;
और वह उसकी अंतड़ियों और पैरों को जल से धोए। तब याजक सब को वेदी पर जलाए, कि वह होमबलि यहोवा के लिये सुखदायक सुगन्धवाला हवन ठहरे॥
Aur vah uski antdiyon aur pairon ko jal se dhoye. Tab yajak sab ko vedi par jalaye, ki vah homabli Yahowa ke liye sukhdayak sugandhavala havan thahre.
और यदि वह भेड़ों वा बकरों का होमबलि चढ़ाए, तो निर्दोष नर को चढ़ाए।
Aur yadi vah bhedon va bakron ka homabli chadhaye, to nirdosh nar ko chadhaye.
और वह उसको यहोवा के आगे वेदी की उत्तरवाली अलंग पर बलि करे; और हारून के पुत्र जो याजक हैं वे उसके लोहू को वेदी की चारों अलंगों पर छिड़कें।
Aur vah usko Yahowa ke aage vedi ki uttarvali alang par bali kare; aur haroon ke putra jo yajak hain ve uske lohu ko vedi ki charon alangon par chhidkein.
और वह उसको टुकड़े टुकड़े करे, और सिर और चरबी को अलग करे, और याजक इन सब को उस लकड़ी पर सजाकर धरे जो वेदी की आग पर होगी;
Aur vah usko tukde tukde kare, aur sir aur charbi ko alag kare, aur yajak in sab ko us lakdi par sajakar dhare jo vedi ki aag par hogi;
और वह उसकी अंतड़ियों और पैरों को जल से धोए। और याजक सब को समीप ले जा कर वेदी पर जलाए, कि वह होमबलि और यहोवा के लिये सुगन्धदायक सुगन्धवाला हवन ठहरे॥
Aur vah uski antdiyon aur pairon ko jal se dhoye. Aur yajak sab ko sameep le ja kar vedi par jalaye, ki vah homabli aur Yahowa ke liye sugandhadayak sugandhavala havan thahre.
और यदि वह यहोवा के लिये पक्षियों का होमबलि चढ़ाए, तो पंडुकों वा कबूतरों को चढ़ावा चढ़ाए।
Aur yadi vah Yahowa ke liye pakshiyon ka homabli chadhaye, to pandukon va kabootron ko chadhava chadhaye.
याजक उसको वेदी के समीप ले जा कर उसका गला मरोड़ के सिर को धड़ से अलग करे, और वेदी पर जलाए; और उसका सारा लोहू उस वेदी की अलंग पर गिराया जाए;
Yajak usko vedi ke sameep le ja kar uska gala marod ke sir ko dhad se alag kare, aur vedi par jalaye; aur uska sara lohu us vedi ki alang par giraya jaye;
और वह उसका ओझर मल सहित निकाल कर वेदी की पूरब की ओर से राख डालने के स्थान पर फेंक दे;
Aur vah uska ojhar mal sahit nikaal kar vedi ki poorab ki or se raakh dalne ke sthaan par phenk de;
और वह उसको पंखों के बीच से फाड़े, पर अलग अलग न करे। तब याजक उसको वेदी पर उस लकड़ी के ऊपर रखकर जो आग पर होगी जलाए, कि वह होमबलि और यहोवा के लिये सुखदायक सुगन्धवाला हवन ठहरे॥
Aur vah usko pankhon ke beech se phade, par alag alag na kare. Tab yajak usko vedi par us lakdi ke oopar rakhkar jo aag par hogi jalaye, ki vah homabli aur Yahowa ke liye sukhdayak sugandhavala havan thahre.