Exodus 40 · 38 verses

निर्गमन 40 Exodus 40 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 40.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

पहिले महीने के पहिले दिन को तू मिलाप वाले तम्बू के निवास को खड़ा करा देना।

Pahile maheene ke pahile din ko tu milaap vale tambu ke nivaas ko khada kara dena.

3

और उस में साक्षीपत्र के सन्दूक को रखकर बीच वाले पर्दे की ओट में करा देना।

Aur us mein saksheepatra ke sandook ko rakhkar beech vale parde ki ot mein kara dena.

4

और मेज़ को भीतर ले जा कर जो कुछ उस पर सजाना है उसे सजवा देना; तब दीवट को भीतर ले जाकर उसके दीपकों को जला देना

Aur mez ko bheetar le ja kar jo kuchh us par sajana hai use sajva dena; tab deevat ko bheetar le jakar uske deepkon ko jala dena

5

और साक्षीपत्र के सन्दूक के साम्हने सोने की वेदी को जो धूप के लिये है उसे रखना, और निवास के द्वार के पर्दे को लगा देना।

Aur saksheepatra ke sandook ke samhane sone ki vedi ko jo dhoop ke liye hai use rakhna, aur nivaas ke dwaar ke parde ko laga dena.

6

और मिलाप वाले तम्बू के निवास के द्वार के साम्हने होमवेदी को रखना।

Aur milaap vale tambu ke nivaas ke dwaar ke samhane homvedi ko rakhna.

7

और मिलाप वाले तम्बू और वेदी के बीच हौदी को रखके उस में जल भरना।

Aur milaap vale tambu aur vedi ke beech haudi ko rakhke us mein jal bharna.

8

और चारों ओर के आंगन की कनात को खड़ा करना, और उस आंगन के द्वार पर पर्दे को लटका देना।

Aur charon or ke aangan ki kanaat ko khada karna, aur us aangan ke dwaar par parde ko latka dena.

9

और अभिषेक का तेल ले कर निवास को और जो कुछ उस में होगा सब कुछ का अभिषेक करना, और सारे सामान समेत उसको पवित्र करना; तब वह पवित्र ठहरेगा।

Aur abhishek ka tel le kar nivaas ko aur jo kuchh us mein hoga sab kuchh ka abhishek karna, aur sare samaan samet usko pavitra karna; tab vah pavitra thahrega.

10

और सब सामान समेत होमवेदी का अभिषेक करके उसको पवित्र करना; तब वह परमपवित्र ठहरेगी।

Aur sab samaan samet homvedi ka abhishek karke usko pavitra karna; tab vah parmapvitra thahregi.

11

और पाए समेत हौदी का भी अभिषेक करके उसे पवित्र करना।

Aur paye samet haudi ka bhi abhishek karke use pavitra karna.

12

और हारून और उसके पुत्रों को मिलापवाले तम्बू के द्वार पर ले जा कर जल से नहलाना,

Aur haroon aur uske putron ko milapvale tambu ke dwaar par le ja kar jal se nahlana,

13

और हारून को पवित्र वस्त्र पहिनाना, और उसका अभिषेक करके उसको पवित्र करना, कि वह मेरे लिये याजक का काम करे।

Aur haroon ko pavitra vastra pahinana, aur uska abhishek karke usko pavitra karna, ki vah mere liye yajak ka kaam kare.

14

और उसके पुत्रों को ले जा कर अंगरखे पहिनाना,

Aur uske putron ko le ja kar angarkhe pahinana,

15

और जैसे तू उनके पिता का अभिषेक करे वैसे ही उनका भी अभिषेक करना, कि वे मेरे लिये याजक का काम करें; और उनका अभिषेक उनकी पीढ़ी पीढ़ी के लिये उनके सदा के याजकपद का चिन्ह ठहरेगा।

Aur jaise tu unke pita ka abhishek kare vaise hi unka bhi abhishek karna, ki ve mere liye yajak ka kaam karein; aur unka abhishek unki peedhi peedhi ke liye unke sada ke yajakpad ka chinh thahrega.

16

और मूसा ने जो जो आज्ञा यहोवा ने उसको दी थी उसी के अनुसार किया॥

Aur Musa ne jo jo aagya Yahowa ne usko di thi usi ke anusaar kiya.

17

और दूसरे बरस के पहिले महीने के पहिले दिन को निवास खड़ा किया गया।

Aur doosre baras ke pahile maheene ke pahile din ko nivaas khada kiya gaya.

18

और मूसा ने निवास को खड़ा करवाया, और उसकी कुर्सियां धर उसके तख्ते लगाके उन में बेंड़े डाले, और उसके खम्भों को खड़ा किया;

Aur Musa ne nivaas ko khada karvaya, aur uski kursiyan dhar uske takhte lagake un mein bende dale, aur uske khambhon ko khada kiya;

19

और उसने निवास के ऊपर तम्बू को फैलाया, और तम्बू के ऊपर उसने ओढ़ने को लगाया; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur usne nivaas ke oopar tambu ko phailaya, aur tambu ke oopar usne odhne ko lagaya; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

20

और उसने साक्षीपत्र को ले कर सन्दूक में रखा, और सन्दूक में डण्डों को लगाके उसके ऊपर प्रायश्चित्त के ढकने को धर दिया;

Aur usne saksheepatra ko le kar sandook mein rakha, aur sandook mein dandon ko lagake uske oopar prayashchitt ke dhakne ko dhar diya;

21

और उसने सन्दूक को निवास में पहुंचवाया, और बीच वाले पर्दे को लटकवा के साक्षीपत्र के सन्दूक को उसके अन्दर किया; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur usne sandook ko nivaas mein pahunchvaya, aur beech vale parde ko latakva ke saksheepatra ke sandook ko uske andar kiya; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

22

और उसने मिलाप वाले तम्बू में निवास की उत्तर अलंग पर बीच के पर्दे से बाहर मेज़ को लगवाया,

Aur usne milaap vale tambu mein nivaas ki uttar alang par beech ke parde se bahar mez ko lagvaya,

23

और उस पर उन ने यहोवा के सम्मुख रोटी सजाकर रखी; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur us par un ne Yahowa ke sammukh roti sajakar rakhi; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

24

और उसने मिलाप वाले तम्बू में मेज़ के साम्हने निवास की दक्खिन अलंग पर दीवट को रखा,

Aur usne milaap vale tambu mein mez ke samhane nivaas ki dakkhin alang par deevat ko rakha,

25

और उसने दीपकों को यहोवा के सम्मुख जला दिया; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur usne deepkon ko Yahowa ke sammukh jala diya; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

26

और उसने मिलाप वाले तम्बू में बीच के पर्दे के साम्हने सोने की वेदी को रखा,

Aur usne milaap vale tambu mein beech ke parde ke samhane sone ki vedi ko rakha,

27

और उसने उस पर सुगन्धित धूप जलाया; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur usne us par sugandhit dhoop jalaya; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

28

और उसने निवास के द्वार पर पर्दे को लगाया।

Aur usne nivaas ke dwaar par parde ko lagaya.

29

और मिलापवाले तम्बू के निवास के द्वार पर होमबलि और अन्नबलि को चढ़ाया; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur milapvale tambu ke nivaas ke dwaar par homabli aur annabli ko chadhaya; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

30

और उसने मिलापवाले तम्बू और वेदी के बीच हौदी को रखकर उस में धोने के लिये जल डाला,

Aur usne milapvale tambu aur vedi ke beech haudi ko rakhkar us mein dhone ke liye jal dala,

31

और मूसा और हारून और उसके पुत्रों ने उस में अपने अपने हाथ पांव धोए;

Aur Musa aur haroon aur uske putron ne us mein apne apne haath paanv dhoye;

32

और जब जब वे मिलापवाले तम्बू में वा वेदी के पास जाते थे तब तब वे हाथ पांव धोते थे; जिस प्रकार यहोवा ने मूसा को आज्ञा दी थी।

Aur jab jab ve milapvale tambu mein va vedi ke paas jate the tab tab ve haath paanv dhote the; jis prakaar Yahowa ne Musa ko aagya di thi.

33

और उसने निवास की चारों ओर और वेदी के आसपास आंगन की कनात को खड़ा करवाया, और आंगन के द्वार के पर्दे को लटका दिया। इस प्रकार मूसा ने सब काम को पूरा कर समाप्त किया॥

Aur usne nivaas ki charon or aur vedi ke aaspaas aangan ki kanaat ko khada karvaya, aur aangan ke dwaar ke parde ko latka diya. Is prakaar Musa ne sab kaam ko poora kar samaapt kiya.

34

तब बादल मिलापवाले तम्बू पर छा गया, और यहोवा का तेज निवासस्थान में भर गया।

Tab badal milapvale tambu par chha gaya, aur Yahowa ka tej nivasasthaan mein bhar gaya.

35

और बादल जो मिलाप वाले तम्बू पर ठहर गया, और यहोवा का तेज जो निवासस्थान में भर गया, इस कारण मूसा उस मे प्रवेश न कर सका।

Aur badal jo milaap vale tambu par thahar gaya, aur Yahowa ka tej jo nivasasthaan mein bhar gaya, is karan Musa us me pravesh na kar saka.

36

और इस्त्राएलियों की सारी यात्रा में ऐसा होता था, कि जब जब वह बादल निवास के ऊपर उठ जाता तब तब वे कूच करते थे।

Aur istrayeliyon ki sari yatra mein aisa hota tha, ki jab jab vah badal nivaas ke oopar uth jata tab tab ve kooch karte the.

37

और यदि वह न उठता, तो जिस दिन तक वह न उठता था उस दिन तक वे कूच नहीं करते थे।

Aur yadi vah na uthta, to jis din tak vah na uthta tha us din tak ve kooch nahi karte the.

38

इस्त्राएल के घराने की सारी यात्रा में दिन को तो यहोवा का बादल निवास पर, और रात को उसी बादल में आग उन सभों को दिखाई दिया करती थी॥

Istrayel ke gharane ki sari yatra mein din ko to Yahowa ka badal nivaas par, aur raat ko usi badal mein aag un sabhon ko dikhai diya karti thi.