तब यहोवा का यह वचन दूसरी बार योना के पास पहुंचा,
Tab Yahowa ka yah vachan doosri baar yona ke paas pahuncha,
Jonah 3 · 10 verses
तब यहोवा का यह वचन दूसरी बार योना के पास पहुंचा,
Tab Yahowa ka yah vachan doosri baar yona ke paas pahuncha,
उठ कर उस बड़े नगर नीनवे को जा, और जो बात मैं तुझ से कहूंगा, उसका उस में प्रचार कर।
Uth kar us bade nagar neenve ko ja, aur jo baat main tujh se kahoonga, uska us mein prachaar kar.
तब योना यहोवा के वचन के अनुसार नीनवे को गया। नीनवे एक बहुत बड़ा नगर था, वह तीन दिन की यात्रा का था।
Tab yona Yahowa ke vachan ke anusaar neenve ko gaya. Neenve ek bahut bada nagar tha, vah teen din ki yatra ka tha.
और योना ने नगर में प्रवेश कर के एक दिन की यात्रा पूरी की, और यह प्रचार करता गया, अब से चालीस दिन के बीतने पर नीनवे उलट दिया जाएगा।
Aur yona ne nagar mein pravesh kar ke ek din ki yatra poori ki, aur yah prachaar karta gaya, ab se chalees din ke beetne par neenve ulat diya jayega.
तब नीनवे के मनुष्यों ने परमेश्वर के वचन की प्रतीति की; और उपवास का प्रचार किया गया और बड़े से ले कर छोटे तक सभों ने टाट ओढ़ा।
Tab neenve ke manushyon ne Parmeshwar ke vachan ki prateeti ki; aur upvaas ka prachaar kiya gaya aur bade se le kar chhote tak sabhon ne taat odha.
तब यह समाचार नीनवे के राजा के कान में पहुंचा; और उसने सिंहासन पर से उठ, अपना राजकीय ओढ़ना उतार कर टाट ओढ़ लिया, और राख पर बैठ गया।
Tab yah samachaar neenve ke raja ke kaan mein pahuncha; aur usne sinhasan par se uth, apna rajkeeya odhna utaar kar taat odh liya, aur raakh par baith gaya.
और राजा ने प्रधानों से सम्मति ले कर नीनवे में इस आज्ञा का ढींढोरा पिटवाया, कि क्या मनुष्य, क्या गाय-बैल, क्या भेड़-बकरी, या और पशु, कोई कुछ भी न खाएं; वे ने खांए और न पानी पीवें।
Aur raja ne pradhanon se sammati le kar neenve mein is aagya ka dheendhora pitvaya, ki kya manushya, kya gaay-bail, kya bhed-bakri, ya aur pashu, koi kuchh bhi na khayen; ve ne khanye aur na pani peevein.
और मनुष्य और पशु दोनों टाट ओढ़ें, और वे परमेश्वर की दोहाई चिल्ला-चिल्ला कर दें; और अपने कुमार्ग से फिरें; और उस उपद्रव से, जो वे करते हैं, पश्चाताप करें।
Aur manushya aur pashu donon taat odhein, aur ve Parmeshwar ki dohai chilla-chilla kar dein; aur apne kumaarg se phirein; aur us upadrav se, jo ve karte hain, pashchataap karein.
सम्भव है, परमेश्वर दया करे और अपनी इच्छा बदल दे, और उसका भड़का हुआ कोप शान्त हो जाए और हम नाश होने से बच जाएं॥
Sambhav hai, Parmeshwar daya kare aur apni ichchha badal de, aur uska bhadka huaa kop shaant ho jaye aur ham naash hone se bach jayen.
जब परमेश्वर ने उनके कामों को देखा, कि वे कुमार्ग से फिर रहे हैं, तब परमेश्वर ने अपनी इच्छा बदल दी, और उनकी जो हानि करने की ठानी थी, उसको न किया॥
Jab Parmeshwar ne unke kamon ko dekha, ki ve kumaarg se phir rahe hain, tab Parmeshwar ne apni ichchha badal di, aur unki jo hani karne ki thani thi, usko na kiya.