Jeremiah 9 · 26 verses

यिर्मयाह 9 Jeremiah 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 9.

1

भला होता, कि मेरा सिर जल ही जल, और मेरी आंखें आँसुओं का सोता होतीं, कि मैं रात दिन अपने मारे हुए लोगों के लिये रोता रहता।

Bhala hota, ki mera sir jal hi jal, aur meri aankhein aansuon ka sota hoti, ki main raat din apne mare hue logon ke liye rota rahta.

2

भला होता कि मुझे जंगल में बटोहियों का कोई टिकाव मिलता कि मैं अपने लोगों को छोड़कर वहीं चला जाता! क्योंकि वे सब व्यभिचारी हैं, वे विश्वासघातियों का समाज हैं।

Bhala hota ki mujhe jangal mein batohiyon ka koi tikaav milta ki main apne logon ko chhodkar vahi chala jata! Kyonki ve sab vyabhichari hain, ve vishwasghatiyon ka samaaj hain.

3

अपनी अपनी जीभ को वे धनुष की नाईं झूठ बोलने के लिये तैयार करते हैं, और देश में बलवन्त तो हो गए, परन्तु सच्चाई के लिये नहीं; वे बुराई पर बुराई बढ़ाते जाते हैं, और वे मुझ को जानते ही नहीं, यहोवा की यही वाणी है।

Apni apni jeebh ko ve dhanush ki nai jhooth bolne ke liye taiyaar karte hain, aur desh mein balvant to ho gaye, parantu sachchai ke liye nahi; ve burai par burai badhate jate hain, aur ve mujh ko jante hi nahi, Yahowa ki yahi vani hai.

4

अपने अपने संगी से चौकस रहो, अपने भाई पर भी भरोसा न रखो; क्योंकि सब भाई निश्चय अड़ंगा मारेंगे, और हर एक पड़ोसी लुतराई करते फिरेंगे।

Apne apne sangi se chaukas raho, apne bhai par bhi bharosa na rakho; kyonki sab bhai nishchay adanga marenge, aur har ek padosi lutrai karte phirenge.

5

वे एक दूसरे को ठगेंगे और सच नहीं बोलेंगे; उन्होंने झूठ ही बोलना सीखा है; और कुटिलता ही में परिश्रम करते हैं।

Ve ek doosre ko thagenge aur sach nahi bolenge; unhonne jhooth hi bolna seekha hai; aur kutilta hi mein parishram karte hain.

6

तेरा निवास छल के बीच है; छल ही के कारण वे मेरा ज्ञान नहीं चाहते, यहोवा की यही वाणी है।

Tera nivaas chhal ke beech hai; chhal hi ke karan ve mera gyaan nahi chahte, Yahowa ki yahi vani hai.

7

इसलिये सेनाओं का यहोवा यों कहता है, देख, मैं उन को तपाकर परखूंगा, क्योंकि अपनी प्रजा के कारण मैं उन से और क्या कर सकता हूं?

Isliye senaon ka Yahowa yon kahta hai, dekh, main un ko tapakar parkhoonga, kyonki apni praja ke karan main un se aur kya kar sakta hoon?

8

उनकी जीभ काल के तीर के समान बेधने वाली है, उस से छल की बातें निकलती हैं; वे मुंह से तो एक दूसरे से मेल की बात बोलते हैं पर मन ही मन एक दूसरे की घात में लगे रहते हैं।

Unki jeebh kaal ke teer ke samaan bedhne vali hai, us se chhal ki batein nikalti hain; ve munh se to ek doosre se mel ki baat bolte hain par man hi man ek doosre ki ghaat mein lage rahte hain.

9

क्या मैं ऐसी बातों का दण्ड न दूं? यहोवा की सह वाणी है, क्या मैं ऐसी जाति से अपना पलटा न लूं?

Kya main aisi baton ka dand na dun? Yahowa ki sah vani hai, kya main aisi jati se apna palta na lun?

10

मैं पहाड़ों के लिये रो उठूंगा और शोक का गीत गाऊंगा, और जंगल की चराइयों के लिये विलाप का गीत गाऊंगा, क्योंकि वे ऐसे जल गए हैं कि कोई उन में से हो कर नहीं चलता, और उन में ढोर का शब्द भी नहीं सुनाई पड़ता; पशु-पक्षी सब भाग गए हैं।

Main pahadon ke liye ro uthoonga aur shok ka geet gaoonga, aur jangal ki charaiyon ke liye vilaap ka geet gaoonga, kyonki ve aise jal gaye hain ki koi un mein se ho kar nahi chalta, aur un mein dhor ka shabd bhi nahi sunai padta; pashu-pakshi sab bhaag gaye hain.

11

मैं यरूशलेम को डीह ही डीह कर के गीदड़ों का स्थान बनाऊंगा; और यहूदा के नगरों को ऐसा उजाड़ दूंगा कि उन में कोई न बसेगा।

Main Yerushalem ko deeh hi deeh kar ke geeddon ka sthaan banaoonga; aur Yahuda ke nagron ko aisa ujaad doonga ki un mein koi na basega.

12

जो बुद्धिमान पुरुष हो वह इसका भेद समझ ले, और जिसने यहोवा के मुख से इसका कारण सुना हो वह बता दे। देश का नाश क्यों हुआ? क्यों वह जंगल की नाईं ऐसा जल गया कि उस में से हो कर कोई नहीं चलता?

Jo buddhimaan purush ho vah iska bhed samajh le, aur jisne Yahowa ke mukh se iska karan suna ho vah bata de. Desh ka naash kyon huaa? Kyon vah jangal ki nai aisa jal gaya ki us mein se ho kar koi nahi chalta?

13

और यहोवा ने कहा, क्योंकि उन्होंने मेरी व्यवस्था को जो मैं ने उनके आगे रखी थी छोड़ दिया; और न मेरी बात मानी और न उसके अनुसार चले हैं,

Aur Yahowa ne kaha, kyonki unhonne meri vyavastha ko jo main ne unke aage rakhi thi chhod diya; aur na meri baat mani aur na uske anusaar chale hain,

14

वरन वे उपने हठ पर बाल नाम देवताओं के पीछे चले, जैसा उनके पुरखाओं ने उन को सिखलाया।

Varan ve upne hath par baal naam devtaon ke peechhe chale, jaisa unke purkhaon ne un ko sikhlaya.

15

इस कारण, सेनाओं का यहोवा, इस्राएल का परमेश्वर यों कहता है, सुन, मैं अपनी इस प्रजा को कड़वी वस्तु खिलाऊंगा और विष पिलाऊंगा।

Is karan, senaon ka Yahowa, Israel ka Parmeshwar yon kahta hai, sun, main apni is praja ko kadvi vastu khilaoonga aur vish pilaoonga.

16

और मैं उन लोगों को ऐसी जातियों में तितर बितर करूंगा जिन्हें न तो वे न उनके पुरखा जानते थे; और जब तक उनका अन्त न हो जाए तब तक मेरी ओर से तलवार उनके पीछे पड़ेगी।

Aur main un logon ko aisi jatiyon mein titar bitar karoonga jinhein na to ve na unke purkha jante the; aur jab tak unka ant na ho jaye tab tak meri or se talvaar unke peechhe padegi.

17

सेनाओं का यहोवा यों कहता है, सोचो, और विलाप करने वालियों को बुलाओ; बुद्धिमान स्त्रियों को बुलवा भेजो;

Senaon ka Yahowa yon kahta hai, socho, aur vilaap karne valiyon ko bulao; buddhimaan striyon ko bulva bhejo;

18

वे फुर्ती कर के हम लोगों के लिये शोक का गीत गाएं कि हमारी आंखों से आंसू बह चलें और हमारी पलकें जल बहाए।

Ve phurti kar ke ham logon ke liye shok ka geet gayen ki hamari aankhon se aansu bah chalein aur hamari palkein jal bahaye.

19

सिय्योन से शोक का यह गीत सुन पड़ता है, हम कैसे नाश हो गए! हम क्यों लज्जा में पड़ गए हैं, क्योंकि हम को अपना देश छोड़ना पड़ा और हमारे घर गिरा दिए गए हैं।

Siyyon se shok ka yah geet sun padta hai, ham kaise naash ho gaye! Ham kyon lajja mein pad gaye hain, kyonki ham ko apna desh chhodna pada aur hamare ghar gira diye gaye hain.

20

इसलिये, हे स्त्रियों, यहोवा का यह वचन सुनो, और उसकी यह आज्ञा मानो; तुम अपनी अपनी बेटियों को शोक का गीत, और अपनी अपनी पड़ोसियों को विलाप का गीत सिखाओ।

Isliye, he striyon, Yahowa ka yah vachan suno, aur uski yah aagya mano; tum apni apni betiyon ko shok ka geet, aur apni apni padosiyon ko vilaap ka geet sikhao.

21

क्योंकि मृत्यु हमारी खिड़कियों से हो कर हमारे महलों में घुस आई है, कि, हमारी सड़कों में बच्चों को और चौकों में जवानों को मिटा दे।

Kyonki mrityu hamari khidkiyon se ho kar hamare mahlon mein ghus aai hai, ki, hamari sadkon mein bachchon ko aur chaukon mein javanon ko mita de.

22

तू कह, यहोवा यों कहता है, मनुष्यों की लोथें ऐसी पड़ी रहेंगी जैसा खाद खेत के ऊपर, और पूलियां काटने वाले के पीछे पड़ी रहती हैं, और उनका कोई उठाने वाला न होगा।

Tu kah, Yahowa yon kahta hai, manushyon ki lothein aisi padi rahengi jaisa khaad khet ke oopar, aur pooliyan katne vale ke peechhe padi rahti hain, aur unka koi uthane vala na hoga.

23

यहोवा यों कहता है, बुद्धिमान अपनी बुद्धि पर घमण्ड न करे, न वीर अपनी वीरता पर, न धनी अपने धन पर घमण्ड करे;

Yahowa yon kahta hai, buddhimaan apni buddhi par ghamand na kare, na veer apni veerta par, na dhani apne dhan par ghamand kare;

24

परन्तु जो घमण्ड करे वह इसी बात पर घमण्ड करे, कि वह मुझे जानता और समझता हे, कि मैं ही वह यहोवा हूँ, जो पृथ्वी पर करुणा, न्याय और धर्म के काम करता है; क्योंकि मैं इन्हीं बातों से प्रसन्न रहता हूँ।

Parantu jo ghamand kare vah isi baat par ghamand kare, ki vah mujhe janta aur samajhta he, ki main hi vah Yahowa hoon, jo prithvi par karuna, nyaay aur dharm ke kaam karta hai; kyonki main inhi baton se prasann rahta hoon.

25

देखो, यहोवा की यह वाणी है कि ऐसे दिन आने वाले हैं कि जिनका खतना हुआ हो, उन को खतनारहितों के समान दण्ड दूंगा,

Dekho, Yahowa ki yah vani hai ki aise din aane vale hain ki jinka khatna huaa ho, un ko khatnarhiton ke samaan dand doonga,

26

अर्थात मिस्रियों, यहूदियों, एदोमियों, अम्मोनियों, मोआबियों को, और उन रेगिस्तान के निवासियों के समान जो अपने गाल के बालों को मुंड़ा डालते हैं; क्योंकि ये सब जातियां तो खतनारहित हैं, और इस्राएल का सारा घराना भी मन में खतनारहित है।

Arthaat misriyon, Yahudiyon, edomiyon, ammoniyon, moaabiyon ko, aur un registaan ke nivasiyon ke samaan jo apne gaal ke balon ko munda dalte hain; kyonki ye sab jatiyan to khatnarhit hain, aur Israel ka sara gharana bhi man mein khatnarhit hai.