यहोवा यों कहता है, हे इस्राएल के घराने जो वचन यहोवा तुम से कहता है उसे सुनो।
Yahowa yon kahta hai, he Israel ke gharane jo vachan Yahowa tum se kahta hai use suno.
Jeremiah 10 · 25 verses
यहोवा यों कहता है, हे इस्राएल के घराने जो वचन यहोवा तुम से कहता है उसे सुनो।
Yahowa yon kahta hai, he Israel ke gharane jo vachan Yahowa tum se kahta hai use suno.
अन्यजातियों को चाल मत सीखो, न उनकी नाईं आकाश के चिन्हों से विस्मित हो, इसलिये कि अन्यजाति लोग उन से विस्मित होते हैं।
Anyajatiyon ko chaal mat seekho, na unki nai aakaash ke chinhon se vismit ho, isliye ki anyajati log un se vismit hote hain.
क्योंकि देशों के लोगों की रीतियां तो निकम्मी हैं। मूरत तो वन में से किसी का काटा हुआ काठ है जिसे कारीगर ने बसूले से बनाया है।
Kyonki deshon ke logon ki reetiyan to nikammi hain. Moorat to van mein se kisi ka kata huaa kaath hai jise kareegar ne basoole se banaya hai.
लोग उसको सोने-चान्दी से सजाते और हयैड़े से कील ठोंक ठोंककर दृढ़ करते हैं कि वह हिल-डुल न सके।
Log usko sone-chandi se sajate aur hayaide se keel thonk thonkkar dridh karte hain ki vah hil-dul na sake.
वे खरादकर ताड़ के पेड़ के समान गोल बनाईं जाती हैं, पर बोल नहीं सकतीं; उन्हें उठाए फिरना पड़ता है, क्योंकि वे चल नहीं सकतीं। उन से मत डरो, क्योंकि, न तो वे कुछ बुरा कर सकती हैं और न कुछ भला।
Ve kharadkar taad ke ped ke samaan gol banai jati hain, par bol nahi sakti; unhein uthaye phirna padta hai, kyonki ve chal nahi sakti. Un se mat daro, kyonki, na to ve kuchh bura kar sakti hain aur na kuchh bhala.
हे यहोवा, तेरे समान कोई नहीं है; तू महान है, और तेरा नाम पराक्रम में बड़ा है।
He Yahowa, tere samaan koi nahi hai; tu mahaan hai, aur tera naam parakram mein bada hai.
हे सब जातियों के राजा, तुझ से कौन न डरेगा? क्योंकि यह तेरे योग्य है; अन्यजातियों के सारे बुद्धिमानों में, और उनके सारे राज्यों में तेरे समान कोई नहीं है।
He sab jatiyon ke raja, tujh se kaun na darega? Kyonki yah tere yogya hai; anyajatiyon ke sare buddhimanon mein, aur unke sare rajyon mein tere samaan koi nahi hai.
परन्तु वे पशु सरीखे निरे मूर्ख हैं; मूर्त्तियों से क्या शिक्षा? वे तो काठ ही हैं!
Parantu ve pashu sareekhe nire moorkh hain; moorttiyon se kya shiksha? Ve to kaath hi hain!
पत्तर बनाईं हुई चान्दी तर्शीश से लाई जाती है, और उफाज से सोना। वे कारीगर और सुनार के हाथों की कारीगरी हैं; उनके पहिरावे नीले और बैंजनी रंग के वस्त्र हैं; उन में जो कुछ है वह निपुण कारीगरों की कारीगरी ही है।
Pattar banai hui chandi tarsheesh se lai jati hai, aur uphaaj se sona. Ve kareegar aur sunaar ke hathon ki kareegri hain; unke pahirave neele aur bainjni rang ke vastra hain; un mein jo kuchh hai vah nipun kareegron ki kareegri hi hai.
परन्तु यहोवा वास्तव में परमेश्वर है; जीवित परमेश्वर और सदा का राजा वही है। उसके प्रकोप से पृथ्वी कांपती है, और जाति जाति के लोग उसके क्रोध को सह नहीं सकते।
Parantu Yahowa vastav mein Parmeshwar hai; jeevit Parmeshwar aur sada ka raja vahi hai. Uske prakop se prithvi kampti hai, aur jati jati ke log uske krodh ko sah nahi sakte.
तुम उन से यह कहना, ये देवता जिन्होंने आकाश और पृथ्वी को नहीं बनाया वे पृथ्वी के ऊपर से और आकाश के नीचे से नष्ट हो जाएंगे।
Tum un se yah kahna, ye devta jinhonne aakaash aur prithvi ko nahi banaya ve prithvi ke oopar se aur aakaash ke neeche se nasht ho jayenge.
उसी ने पृथ्वी को अपनी सामर्थ से बनाया, उसने जगत को अपनी बुद्धि से स्थिर किया, और आकाश को अपनी प्रवीणता से तान दिया है।
Usi ne prithvi ko apni samarth se banaya, usne jagat ko apni buddhi se sthir kiya, aur aakaash ko apni praveenta se taan diya hai.
जब वह बोलता है तब आकाश में जल का बड़ा शब्द होता है, और पृथ्वी की छोर से वह कुहरे को उठाता है। वह वर्षा के लिये बिजली चमकाता, और अपने भणडार में से पवन चलाता है।
Jab vah bolta hai tab aakaash mein jal ka bada shabd hota hai, aur prithvi ki chhor se vah kuhre ko uthata hai. Vah varsha ke liye bijli chamkata, aur apne bhandaar mein se pavan chalata hai.
सब मनुष्य पशु सरीखे ज्ञानरहित हैं; अपनी खोदी हुई मूरतों के कारण सब सुनारों की आशा टूटती है; क्योंकि उनकी ढाली हुई मूरतें झूठी हैं, और उन में सांस ही नहीं है।
Sab manushya pashu sareekhe gyanarhit hain; apni khodi hui moorton ke karan sab sunaron ki aasha tootti hai; kyonki unki dhali hui moortein jhoothi hain, aur un mein saans hi nahi hai.
वे व्यर्थ और ठट्ठे ही के योग्य हैं; जब उनके दण्ड का समय आएगा तब वे नाश हो जाएंगीं।
Ve vyarth aur thatthe hi ke yogya hain; jab unke dand ka samay aayega tab ve naash ho jayengi.
परन्तु याकूब का निज भाग उनके समान नहीं है, क्योंकि वह तो सब का सृजनहार है, और इस्राएल उसके निज भाग का गोत्र है; सेनाओं का यहोवा उसका नाम है।
Parantu Yakub ka nij bhaag unke samaan nahi hai, kyonki vah to sab ka srijanhaar hai, aur Israel uske nij bhaag ka gotra hai; senaon ka Yahowa uska naam hai.
हे घेरे हुए नगर की रहने वाली, अपनी गठरी भूमि पर से उठा!
He ghere hue nagar ki rahne vali, apni gathri bhoomi par se utha!
क्योंकि यहोवा यों कहता है, मैं अब की बार इस देश के रहने वालों को मानो गोफ़न में धर के फेंक दूंगा, और उन्हें ऐसे ऐसे संकट में डालूंगा कि उनकी समझ में भी नहीं आएगा।
Kyonki Yahowa yon kahta hai, main ab ki baar is desh ke rahne valon ko mano gofan mein dhar ke phenk doonga, aur unhein aise aise sankat mein daloonga ki unki samajh mein bhi nahi aayega.
मुझ पर हाय! मेरा घाव चंगा होने का नहीं। फिर मैं ने सोचा, यह तो रोग ही है, इसलिये मुझ को इसे सहना चाहिये।
Mujh par haay! Mera ghaav changa hone ka nahi. Phir main ne socha, yah to rog hi hai, isliye mujh ko ise sahna chahiye.
मेरा तम्बू लूटा गया, और सब रस्सियां टूट गई हैं; मेरे लड़के-बाले मेरे पास से चले गए, और नहीं हैं; अब कोई नहीं रहा जो मेरे तम्बू को ताने और मेरी कनातें खड़ी करे।
Mera tambu loota gaya, aur sab rassiyan toot gai hain; mere ladke-bale mere paas se chale gaye, aur nahi hain; ab koi nahi raha jo mere tambu ko tane aur meri kanatein khadi kare.
क्योंकि चरवाहे पशु सरीखे हैं, और वे यहोवा को नहीं पुकारते; इसी कारण वे बुद्धि से नहीं चलते, और उनकी सब भेड़ें तितर-बितर हो गई हैं।
Kyonki charvahe pashu sareekhe hain, aur ve Yahowa ko nahi pukarte; isi karan ve buddhi se nahi chalte, aur unki sab bhedein titar-bitar ho gai hain.
सुन, एक शब्द सुनाई देता है! देख, वह आ रहा है! उत्तर दिशा से बड़ा हुल्लड़ मच रहा है ताकि यहूदा के नगरों को उजाड़ कर गीदड़ों का स्थान बना दे।
Sun, ek shabd sunai deta hai! Dekh, vah aa raha hai! Uttar disha se bada hullad mach raha hai taki Yahuda ke nagron ko ujaad kar geeddon ka sthaan bana de.
हे यहोवा, मैं जान गया हूँ, कि मनुष्य का मार्ग उसके वश में नहीं है, मनुष्य चलता तो हे, परन्तु उसके डग उसके आधीन नहीं हैं।
He Yahowa, main jaan gaya hoon, ki manushya ka maarg uske vash mein nahi hai, manushya chalta to he, parantu uske dag uske aadheen nahi hain.
हे यहोवा, मेरी ताड़ना कर, पर न्याय से; क्रोध में आकर नहीं, कहीं ऐसा न हो कि मैं नाश हो जाऊं।
He Yahowa, meri tadna kar, par nyaay se; krodh mein aakar nahi, kahi aisa na ho ki main naash ho jaun.
जो जाति तुझे नहीं जानती, और जो तुझ से प्रार्थना नहीं करते, उन्हीं पर अपनी जलजलाहट उण्डेल; क्योंकि उन्होंने याकूब को निगल लिया, वरन, उसे खाकर अन्त कर दिया है, और उसके निवास स्थान को उजाड़ दिया है।
Jo jati tujhe nahi janti, aur jo tujh se prarthana nahi karte, unhi par apni jalajlahat undel; kyonki unhonne Yakub ko nigal liya, varan, use khakar ant kar diya hai, aur uske nivaas sthaan ko ujaad diya hai.