Jeremiah 8 · 22 verses

यिर्मयाह 8 Jeremiah 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 8.

1

यहोवा की यह वाणी है, उस समय यहूदा के राजाओं, हाकिमों, याजकों, भविष्यद्वक्ताओं और यरूशलेम के रहने वालों की हड्डियां क़ब्रों में से निकाल कर,

Yahowa ki yah vani hai, us samay Yahuda ke rajaon, hakimon, yajkon, bhavishyadwaktaon aur Yerushalem ke rahne valon ki haddiyan qabron mein se nikaal kar,

2

सूर्य, चन्द्रमा और आकाश के सारे गणों के साम्हने फैलाई जाएंगी; क्योंकि वे उन्हीं से प्रेम रखते, उन्हीं की सेवा करते, उन्हीं के पीछे चलते, और उन्हीं के पास जाया करते और उन्हीं को दण्डवत करते थे; और न वे इकट्ठी की जाएंगी न क़ब्र में रखी जाएंगी; वे भूमि के ऊपर खाद के समान पड़ी रहेंगी।

Soorya, chandrama aur aakaash ke sare ganon ke samhane phailai jayengi; kyonki ve unhi se prem rakhte, unhi ki seva karte, unhi ke peechhe chalte, aur unhi ke paas jaya karte aur unhi ko dandavat karte the; aur na ve ikatthi ki jayengi na qabra mein rakhi jayengi; ve bhoomi ke oopar khaad ke samaan padi rahengi.

3

तब इस बुरे कुल के बचे हुए लोग उन सब स्थानों में जिस में मैं ने उन्हें निकाल दिया है, जीवन से मृत्यु ही को अधिक चाहेंगे, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है।

Tab is bure kul ke bache hue log un sab sthanon mein jis mein main ne unhein nikaal diya hai, jeevan se mrityu hi ko adhik chahenge, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.

4

तू उन से यह भी कह, यहोवा यों कहता है कि जब मनुष्य गिरते हैं तो क्या फिर नहीं उठते?

Tu un se yah bhi kah, Yahowa yon kahta hai ki jab manushya girte hain to kya phir nahi uthte?

5

जब कोई भटक जाता है तो क्या वह लौट नहीं आता? फिर क्या कारण है कि ये यरूशलेमी सदा दूर ही दूर भटकते जाते हैं? ये छल नहीं छोड़ते, और फिर लौटने से इनकार करते हैं।

Jab koi bhatak jata hai to kya vah laut nahi aata? Phir kya karan hai ki ye yarooshlemi sada door hi door bhatakte jate hain? Ye chhal nahi chhodte, aur phir lautne se inkaar karte hain.

6

मैं ने ध्यान देकर सुना, परन्तु ये ठीक नहीं बोलते; इन में से किसी ने अपनी बुराई से पछताकर नहीं कहा, हाय! मैं ने यह क्या किया है? जैसा घोड़ा लड़ाई में वेग से दौड़ता है, वैसे ही इन में से हर एक जन अपनी ही दौड़ में दौड़ता है।

Main ne dhyaan dekar suna, parantu ye theek nahi bolte; in mein se kisi ne apni burai se pachhtakar nahi kaha, haay! Main ne yah kya kiya hai? Jaisa ghoda ladai mein veg se daudta hai, vaise hi in mein se har ek jan apni hi daud mein daudta hai.

7

आकाश में लगलग भी अपने नियत समयों को जानता है, और पणडुकी, सूपाबेनी, और सारस भी अपने आने का समय रखते हैं; परन्तु मेरी प्रजा यहोवा का नियम नहीं जानती।

Aakaash mein laglag bhi apne niyat samyon ko janta hai, aur panduki, soopabeni, aur saras bhi apne aane ka samay rakhte hain; parantu meri praja Yahowa ka niyam nahi janti.

8

तुम क्योंकर कह सकते हो कि हम बुद्धिमान हैं, और यहोवा की दी हुई व्यवस्था हमारे साथ है? परन्तु उनके शास्त्रियों ने उसका झूठा विवरण लिख कर उसको झूठ बना दिया है।

Tum kyonkar kah sakte ho ki ham buddhimaan hain, aur Yahowa ki di hui vyavastha hamare saath hai? Parantu unke shastriyon ne uska jhootha vivran likh kar usko jhooth bana diya hai.

9

बुद्धिमान लज्जित हो गए, वे विस्मित हुए और पकड़े गए; देखो, उन्होंने यहोवा के वचन को निकम्मा जाना है, उन में बुद्धि कहां रही?

Buddhimaan lajjit ho gaye, ve vismit hue aur pakde gaye; dekho, unhonne Yahowa ke vachan ko nikamma jana hai, un mein buddhi kahan rahi?

10

इस कारण मैं उनकी स्त्रियों को दूसरे पुरुषों को और उनके खेत दूसरे अधिकारियों के वश में कर दूंगा, क्योंकि छोटे से ले कर बड़े तक वे सब के सब लालची हैं; क्या भविष्यद्वक्ता क्या याजक, वे सब के छल से काम करते हैं।

Is karan main unki striyon ko doosre purushon ko aur unke khet doosre adhikariyon ke vash mein kar doonga, kyonki chhote se le kar bade tak ve sab ke sab lalchi hain; kya bhavishyadwakta kya yajak, ve sab ke chhal se kaam karte hain.

11

उन्होंने, “शान्ति है, शान्ति” ऐसा कह कहकर मेरी प्रजा के घाव को ऊपर ही ऊपर चंगा किया, परन्तु शान्ति कुछ भी नहीं है।

Unhonne, “shanti hai, shanti” aisa kah kahkar meri praja ke ghaav ko oopar hi oopar changa kiya, parantu shanti kuchh bhi nahi hai.

12

क्या वे घृणित काम कर के लज्जित हुए? नहीं, वे कुछ भी लज्जित नहीं हुए, वे लज्जित होना जानते ही नहीं। इस कारण जब और लोग नीचे गिरें, तब वे भी गिरेंगे; जब उनके दण्ड का समय आएगा, तब वे भी ठोकर खाकर गिरेंगे, यहोवा का यही वचन है।

Kya ve ghrinit kaam kar ke lajjit hue? Nahi, ve kuchh bhi lajjit nahi hue, ve lajjit hona jante hi nahi. Is karan jab aur log neeche girein, tab ve bhi girenge; jab unke dand ka samay aayega, tab ve bhi thokar khakar girenge, Yahowa ka yahi vachan hai.

13

यहोवा की सह भी वाणी है, मैं उन सभों का अन्त कर दूंगा। न तो उनकी दाखलताओं में दाख पाई जाएंगी, और न अंजीर के वृक्षों में अंजीर वरन उनके पत्ते भी सूख जाएंगे, और जो कुछ मैं ने उन्हें दिया है वह उनके पास से जाता रहेगा।

Yahowa ki sah bhi vani hai, main un sabhon ka ant kar doonga. Na to unki dakhaltaon mein daakh pai jayengi, aur na anjeer ke vrikshon mein anjeer varan unke patte bhi sookh jayenge, aur jo kuchh main ne unhein diya hai vah unke paas se jata rahega.

14

हम क्यों चुप-चाप बैठे हैं? आओ, हम चलकर गढ़ वाले नगरों में इकट्ठे नाश हो जाएं; क्योंकि हमारा परमेश्वर यहोवा हम को नाश करना चाहता है, और हमें विष पीने को दिया है; क्योंकि हम ने यहोवा के विरुद्ध पाप किया है।

Ham kyon chup-chaap baithe hain? Aao, ham chalkar gadh vale nagron mein ikatthe naash ho jayen; kyonki hamara Parmeshwar Yahowa ham ko naash karna chahta hai, aur hamein vish peene ko diya hai; kyonki ham ne Yahowa ke viruddh paap kiya hai.

15

हम शान्ति की बाट जोहते थे, परन्तु कुछ कल्याण नहीं मिला, और चंगाई की आशा करते थे, परन्तु घबराना ही पड़ा है।

Ham shanti ki baat johte the, parantu kuchh kalyaan nahi mila, aur changai ki aasha karte the, parantu ghabrana hi pada hai.

16

उनके घोड़ों का फुर्राना दान से सुन पड़ता है, और बलवन्त घोड़ों के हिनहिनाने के शब्द से सारा देश कांप उठा है। उन्होंने आकर हमारे देश को और जो कुछ उस में है, और हमारे नगर को निवासियों समेत नाश किया है।

Unke ghodon ka phurrana daan se sun padta hai, aur balvant ghodon ke hinhinane ke shabd se sara desh kaamp utha hai. Unhonne aakar hamare desh ko aur jo kuchh us mein hai, aur hamare nagar ko nivasiyon samet naash kiya hai.

17

क्योंकि देखो, मैं तुम्हारे बीच में ऐसे सांप और नाग भेजूंगा जिन पर मंत्र न चलेगा, और वे तुम को डसेंगे, यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki dekho, main tumhare beech mein aise saamp aur naag bhejoonga jin par mantra na chalega, aur ve tum ko dasenge, Yahowa ki yahi vani hai.

18

हाय! हाय! इस शोक की दशा में मुझे शान्ति कहां से मिलेगी? मेरा हृदय भीतर ही भीतर तड़पता है!

Haay! Haay! Is shok ki dasha mein mujhe shanti kahan se milegi? Mera hriday bheetar hi bheetar tadapta hai!

19

मुझे अपने लोगों की चिल्लाहट दूर के देश से सुनाई देती है: क्या यहोवा सिय्योन में नहीं हैं? क्या उसका राजा उस में नहीं? उन्होंने क्यों मुझ को अपनी खोदी हुई मूरतों और परदेश की व्यर्थ वस्तुओं के द्वारा क्यों क्रोध दिलाया है?

Mujhe apne logon ki chillahat door ke desh se sunai deti hai: kya Yahowa siyyon mein nahi hain? Kya uska raja us mein nahi? Unhonne kyon mujh ko apni khodi hui moorton aur pardesh ki vyarth vastuon ke dwara kyon krodh dilaya hai?

20

कटनी का समय बीत गया, फल तोड़ने की ॠतु भी समाप्त हो गई, और हमारा उद्धार नहीं हुआ।

Katni ka samay beet gaya, phal todne ki ritu bhi samaapt ho gai, aur hamara uddhaar nahi huaa.

21

अपने लोगों के दु:ख से मैं भी दु:खित हुआ, मैं शोक का पहिरावा पहिने अति अचम्भे में डूबा हूँ।

Apne logon ke dukh se main bhi dukhit huaa, main shok ka pahirava pahine ati achambhe mein dooba hoon.

22

क्या गिलाद देश में कुछ बलसान की औषधि नहीं? क्या उस में कोई वैद्य नहीं? यदि है, तो मेरे लोगों के घाव क्यों चंगे नहीं हुए?

Kya gilaad desh mein kuchh balsaan ki aushdhi nahi? Kya us mein koi vaidya nahi? Yadi hai, to mere logon ke ghaav kyon change nahi hue?