Jeremiah 7 · 34 verses

यिर्मयाह 7 Jeremiah 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 7.

1

जो वचन यहोवा की ओर से यिर्मयाह के पास पहुंचा वह यह है:

Jo vachan Yahowa ki or se yirmayaah ke paas pahuncha vah yah hai:

2

यहोवा के भवन के फाटक में खड़ा हो, और यह वचन प्रचार कर, ओर कह, हे सब यहूदियो, तुम जो यहोवा को दण्डवत करने के लिये इन फाटकों से प्रवेश करते हो, यहोवा का वचन सुनो।

Yahowa ke bhavan ke phatak mein khada ho, aur yah vachan prachaar kar, or kah, he sab yahoodiyo, tum jo Yahowa ko dandavat karne ke liye in phatkon se pravesh karte ho, Yahowa ka vachan suno.

3

सेनाओं का यहोवा जो इस्राएल का परमेश्वर है, यों कहता है, अपनी अपनी चाल और काम सुधारो, तब मैं तुम को इस स्थान में बसे रहने दूंगा।

Senaon ka Yahowa jo Israel ka Parmeshwar hai, yon kahta hai, apni apni chaal aur kaam sudharo, tab main tum ko is sthaan mein base rahne doonga.

4

तुम लोग यह कह कर झूठी बातों पर भरोसा मत रखो, कि यही यहोवा का मन्दिर है; यही यहोवा का मन्दिर, यहोवा का मन्दिर।

Tum log yah kah kar jhoothi baton par bharosa mat rakho, ki yahi Yahowa ka mandir hai; yahi Yahowa ka mandir, Yahowa ka mandir.

5

यदि तुम सचमुच अपनी अपनी चाल और काम सुधारो, और सचमुच मनुष्य-मनुष्य के बीच न्याय करो,

Yadi tum sachmuch apni apni chaal aur kaam sudharo, aur sachmuch manushya-manushya ke beech nyaay karo,

6

परदेशी और अनाथ और विधवा पर अन्धेर न करो; इस स्थान में निर्दोष की हत्या न करो, और दूसरे देवताओं के पीछे न चलो जिस से तुम्हारी हानि होती है,

Pardeshi aur anaath aur vidhva par andher na karo; is sthaan mein nirdosh ki hatya na karo, aur doosre devtaon ke peechhe na chalo jis se tumhari hani hoti hai,

7

तो मैं तुम को इस नगर में, और इस देश में जो मैं ने तुम्हारे पूर्वजों को दिया था, युग युग के लिये रहने दूंगा।

To main tum ko is nagar mein, aur is desh mein jo main ne tumhare poorvajon ko diya tha, yug yug ke liye rahne doonga.

8

देखो, तुम झूठी बातों पर भरोसा रखते हो जिन से कुछ लाभ नहीं हो सकता।

Dekho, tum jhoothi baton par bharosa rakhte ho jin se kuchh laabh nahi ho sakta.

9

तुम जो चोरी, हत्या और व्यभिचार करते, झूठी शपथ खाते, बाल देवता के लिये धूप जलाते, और दूसरे देवताओं के पीछे जिन्हें तुम पहिले नहीं जानते थे चलते हो,

Tum jo chori, hatya aur vyabhichaar karte, jhoothi shapath khate, baal devta ke liye dhoop jalate, aur doosre devtaon ke peechhe jinhein tum pahile nahi jante the chalte ho,

10

तो क्या यह उचित है कि तुम इस भवन में आओ जो मेरा कहलाता है, और मेरे साम्हने खड़े हो कर यह कहो कि हम इसलिये छूट गए हैं कि ये सब घृणित काम करें?

To kya yah uchit hai ki tum is bhavan mein aao jo mera kahlata hai, aur mere samhane khade ho kar yah kaho ki ham isliye chhoot gaye hain ki ye sab ghrinit kaam karein?

11

क्या यह भवन जो मेरा कहलाता है, तुम्हारी दृष्टि में डाकुओं की गुफ़ा हो गया है? मैं ने स्वयं यह देखा है, यहोवा की यह वाणी है।

Kya yah bhavan jo mera kahlata hai, tumhari drishti mein dakuon ki gufa ho gaya hai? Main ne swayan yah dekha hai, Yahowa ki yah vani hai.

12

मेरा जो स्थान शीलो में था, जहां मैं ने पहिले अपने नाम का निवास ठहराया था, वहां जा कर देखो कि मैं ने अपनी प्रजा इस्राएल की बुराई के कारण उसकी क्या दशा कर दी है?

Mera jo sthaan sheelo mein tha, jahan main ne pahile apne naam ka nivaas thahraya tha, vahan ja kar dekho ki main ne apni praja Israel ki burai ke karan uski kya dasha kar di hai?

13

अब यहोवा की यह वाणी है, कि तुम जो ये सब काम करते आए हो, और यद्यपि मैं तुम से बड़े यत्न से बातें करता रहा हूँ, तौभी तुम ने नहीं सुना, और तुम्हें बुलाता आया परन्तु तुम नहीं बोले,

Ab Yahowa ki yah vani hai, ki tum jo ye sab kaam karte aaye ho, aur yadyapi main tum se bade yatn se batein karta raha hoon, taubhi tum ne nahi suna, aur tumhein bulata aaya parantu tum nahi bole,

14

इसलिये यह भवन जो मेरा कहलाता है, जिस पर तुम भरोसा रखते हो, और यह स्थान जो मैं ने तुम को और तुम्हारे पूर्वजों को दिया था, इसकी दशा मैं शीलो की सी कर दूंगा।

Isliye yah bhavan jo mera kahlata hai, jis par tum bharosa rakhte ho, aur yah sthaan jo main ne tum ko aur tumhare poorvajon ko diya tha, iski dasha main sheelo ki si kar doonga.

15

और जैसा मैं ने तुम्हारे सब भाइयों को अर्थात सारे एप्रैमियों को अपने साम्हने से दूर कर दिया है, वैसा ही तुम को भी दूर कर दूंगा।

Aur jaisa main ne tumhare sab bhaiyon ko arthaat sare epraimiyon ko apne samhane se door kar diya hai, vaisa hi tum ko bhi door kar doonga.

16

इस प्रजा के लिये तू प्रार्थना मत कर, न इन लोगों के लिये ऊंचे स्वर से पुकार न मुझ से बिनती कर, क्योंकि मैं तेरी नहीं सुनूंगा।

Is praja ke liye tu prarthana mat kar, na in logon ke liye oonche swar se pukaar na mujh se binti kar, kyonki main teri nahi sunoonga.

17

क्या तू नहीं देखता कि ये लोग यहूदा के नगरों और यरूशलेम की सड़कों में क्या कर रहे हैं?

Kya tu nahi dekhta ki ye log Yahuda ke nagron aur Yerushalem ki sadkon mein kya kar rahe hain?

18

देख, लड़के बाले तो ईधन बटोरते, बाप आग सुलगाते और स्त्रियां आटा गूंधती हैं, कि स्वर्ग की रानी के लिये रोटियां चढ़ाएं; और मुझे क्रोधित करने के लिये दूसरे देवताओं के लिये तपावन दें।

Dekh, ladke bale to idhan batorte, baap aag sulgate aur striyan aata goondhti hain, ki swarg ki rani ke liye rotiyan chadhayen; aur mujhe krodhit karne ke liye doosre devtaon ke liye tapavan dein.

19

यहोवा की यह वाणी है, क्या वे मुझी को क्रोध दिलाते हैं? क्या वे अपने ही को नहीं जिस से उनके मुंह पर सियाही छाए?

Yahowa ki yah vani hai, kya ve mujhi ko krodh dilate hain? Kya ve apne hi ko nahi jis se unke munh par siyahi chhaye?

20

सो प्रभु यहोवा ने यों कहा है, क्या मनुष्य, क्या पशु, क्या मैदान के वृक्ष, क्या भूमि की उपज, उन सब पर जो इस स्थान में हैं, मेरे कोप की आग भड़कने पर है; वह नित्य जलती रहेगी और कभी न बुझेगी।

So Prabhu Yahowa ne yon kaha hai, kya manushya, kya pashu, kya maidaan ke vriksh, kya bhoomi ki upaj, un sab par jo is sthaan mein hain, mere kop ki aag bhadakne par hai; vah nitya jalti rahegi aur kabhi na bujhegi.

21

सेनाओं का यहोवा जो इस्राएल का परमेश्वर है, यों कहता है, अपने मेलबलियों के साथ अपने होमबलि भी चढ़ाओ और मांस खाओ।

Senaon ka Yahowa jo Israel ka Parmeshwar hai, yon kahta hai, apne melabliyon ke saath apne homabli bhi chadhao aur maans khao.

22

क्योंकि जिस समय मैं ने तुम्हारे पूर्वजों को मिस्र देश में से निकाला, उस समय मैं ने उन्हें होमबलि और मेलबलि के विष्य कुछ आज्ञा न दी थी।

Kyonki jis samay main ne tumhare poorvajon ko Misr desh mein se nikala, us samay main ne unhein homabli aur melabli ke vishya kuchh aagya na di thi.

23

परन्तु मैं ने तो उन को यह आज्ञा दी कि मेरे वचन को मानो, तब मैं तुम्हारा परमेश्वर हूंगा, और तुम मेरी प्रजा ठहरोगे; और जिस मार्ग की मैं तुम्हें आज्ञा दूं उसी में चलो, तब तुम्हारा भला होगा।

Parantu main ne to un ko yah aagya di ki mere vachan ko mano, tab main tumhara Parmeshwar hoonga, aur tum meri praja thahroge; aur jis maarg ki main tumhein aagya dun usi mein chalo, tab tumhara bhala hoga.

24

पर उन्होंने मेरी न सुनी और न मेरी बातों पर कान लगाया; वे अपनी ही युक्तियों और अपने बुरे मन के हठ पर चलते रहे और पीछे हट गए पर आगे न बढ़े।

Par unhonne meri na suni aur na meri baton par kaan lagaya; ve apni hi yuktiyon aur apne bure man ke hath par chalte rahe aur peechhe hat gaye par aage na badhe.

25

जिस दिन तुम्हारे पुरखा मिस्र देश से निकले, उस दिन से आज तक मैं तो अपने सारे दासों, भविष्यद्वक्ताओं को, तुम्हारे पास बड़े यत्न से लगातार भेजता रहा;

Jis din tumhare purkha Misr desh se nikle, us din se aaj tak main to apne sare dason, bhavishyadwaktaon ko, tumhare paas bade yatn se lagataar bhejta raha;

26

परन्तु उन्होंने मेरी नहीं सुनी, न अपना कान लगाया; उन्होंने हठ किया, और अपने पुरखाओं से बढ़कर बुराइयां की हैं।

Parantu unhonne meri nahi suni, na apna kaan lagaya; unhonne hath kiya, aur apne purkhaon se badhkar buraiyan ki hain.

27

तू सब बातें उन से कहेगा पर वे तेरी न सुनेंगे; तू उन को बुलाएगा, पर वे न बोलेंगे।

Tu sab batein un se kahega par ve teri na sunenge; tu un ko bulayega, par ve na bolenge.

28

तब तू उन से कह देना, यह वही जाति है जो अपने परमेश्वर यहोवा की नहीं सुनती, और ताड़ना से भी नहीं मानती; सच्चाई नाश हो गई, और उनके मुंह से दूर हो गई है।

Tab tu un se kah dena, yah vahi jati hai jo apne Parmeshwar Yahowa ki nahi sunti, aur tadna se bhi nahi manti; sachchai naash ho gai, aur unke munh se door ho gai hai.

29

अपने बाल मुंड़ा कर फेंक दे; मुण्डे टीलों पर चढ़ कर विलाप का गीत गा, क्योंकि यहोवा ने इस समय के निवासियों पर क्रोध किया और उन्हें निकम्मा जानकर त्याग दिया है।

Apne baal munda kar phenk de; munde teelon par chadh kar vilaap ka geet ga, kyonki Yahowa ne is samay ke nivasiyon par krodh kiya aur unhein nikamma jankar tyaag diya hai.

30

यहोवा की यह वाणी है, इसका कारण यह है कि यहूदियों ने वह काम किया है, जो मेरी दृष्टि में बुरा है; उन्होंने उस भवन में जो मेरा कहलाता है, अपनी घृणित वस्तुएं रखकर उसे अशुद्ध कर दिया है।

Yahowa ki yah vani hai, iska karan yah hai ki Yahudiyon ne vah kaam kiya hai, jo meri drishti mein bura hai; unhonne us bhavan mein jo mera kahlata hai, apni ghrinit vastuein rakhkar use ashuddh kar diya hai.

31

और उन्होंने हिन्नोमवंशियों की तराई में तोपेत नाम ऊंचे स्थान बनाकर, अपने बेटे-बेटियों को आग में जलाया है; जिसकी आज्ञा मैं ने कभी नहीं दी और न मेरे मन में वह कभी आया।

Aur unhonne hinnomvanshiyon ki tarai mein topet naam oonche sthaan banakar, apne bete-betiyon ko aag mein jalaya hai; jiski aagya main ne kabhi nahi di aur na mere man mein vah kabhi aaya.

32

यहोवा की यह वाणी है, इसलिये ऐसे दिन आते हैं कि वह तराई फिर न तो तोपेत की और न हिन्नोमवंशियों की कहलाएगी, वरन घात की तराई कहलाएगी; और तोपेत में इतनी क़ब्रें होंगी कि और स्थान न रहेगा।

Yahowa ki yah vani hai, isliye aise din aate hain ki vah tarai phir na to topet ki aur na hinnomvanshiyon ki kahlayegi, varan ghaat ki tarai kahlayegi; aur topet mein itni qabrein hongi ki aur sthaan na rahega.

33

इसलिये इन लोगों की लोथें आकाश के पक्षियों और पृथ्वी के पशुओं का आहार होंगी, और उन को भगाने वाला कोई न रहेगा।

Isliye in logon ki lothein aakaash ke pakshiyon aur prithvi ke pashuon ka aahaar hongi, aur un ko bhagane vala koi na rahega.

34

उस समय मैं ऐसा करूंगा कि यहूदा के नगरों और यरूशलेम की सड़कों में न तो हर्ष और आनन्द का शब्द सुन पड़ेगा, और न दुल्हे वा दुल्हिन का; क्योंकि देश उजाड़ ही उजाड़ हो जाएगा।

Us samay main aisa karoonga ki Yahuda ke nagron aur Yerushalem ki sadkon mein na to harsh aur aanand ka shabd sun padega, aur na dulhe va dulhin ka; kyonki desh ujaad hi ujaad ho jayega.