Jeremiah 52 · 34 verses

यिर्मयाह 52 Jeremiah 52 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 52.

1

जब सिदकिय्याह राज्य करने लगा, तब वह इक्कीस वर्ष का था; और यरूशलेम में ग्यारह वर्ष तक राज्य करता रहा। उसकी माता का नाम हमूतल था जो लिब्नावासी यिर्मयाह की बेटी थी।

Jab sidkiyyaah rajya karne laga, tab vah ikkees varsh ka tha; aur Yerushalem mein gyarah varsh tak rajya karta raha. Uski mata ka naam hamootal tha jo libnavasi yirmayaah ki beti thi.

2

और उसने यहोयाकीम के सब कामों के अनुसार वही किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Aur usne yahoyakeem ke sab kamon ke anusaar vahi kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai.

3

निश्चय यहोवा के कोप के कारण यरूशलेम और यहूदा की ऐसी दशा हुई कि अन्त में उसने उन को अपने साम्हने से दूर कर दिया। और सिदकिय्याह ने बाबुल के राजा से बलवा किया।

Nishchay Yahowa ke kop ke karan Yerushalem aur Yahuda ki aisi dasha hui ki ant mein usne un ko apne samhane se door kar diya. Aur sidkiyyaah ne babul ke raja se balva kiya.

4

और उसके राजय के नौवें वर्ष के दसवें महीने के दसवें दिन को बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने अपनी सारी सेना ले कर यरूशलेम पर चढ़ाई की, और उसने उसके पास छावनी कर के उसके चारों ओर क़िला बनाया।

Aur uske rajay ke nauvein varsh ke dasvein maheene ke dasvein din ko babul ke raja nabookadnessar ne apni sari sena le kar Yerushalem par chadhai ki, aur usne uske paas chhavni kar ke uske charon or qila banaya.

5

यों नगर घेरा गया, और सिदकिय्याह राजा के ग्यारहवें वर्ष तक घिरा रहा।

Yon nagar ghera gaya, aur sidkiyyaah raja ke gyarahvein varsh tak ghira raha.

6

चौथे महीने के नौवें दिन से नगर में महंगी यहां तक बढ़ गई, कि लोगों के लिये कुछ रोटी न रही।

Chauthe maheene ke nauvein din se nagar mein mahangi yahan tak badh gai, ki logon ke liye kuchh roti na rahi.

7

तब नगर की शहरपनाह में दरार की गई, और दोनों भीतों के बीच जो फाटक राजा की बारी के निकट था, उस से सब योद्धा भाग कर रात ही रात नगर से निकल गए, और अराबा का मार्ग लिया। (उस समय कसदी लोग नगर को घेरे हुए थे)।

Tab nagar ki shahrapnaah mein daraar ki gai, aur donon bheeton ke beech jo phatak raja ki bari ke nikat tha, us se sab yoddha bhaag kar raat hi raat nagar se nikal gaye, aur araba ka maarg liya. (us samay kasdi log nagar ko ghere hue the).

8

परन्तु उनकी सेना ने राजा का पीछा किया, और उसको यरीहो के पास के अराबा में जा पकड़ा; तब उसकी सारी सेना उसके पास से तितर-बितर हो गई।

Parantu unki sena ne raja ka peechha kiya, aur usko yareeho ke paas ke araba mein ja pakda; tab uski sari sena uske paas se titar-bitar ho gai.

9

सो वे राजा को पकड़ कर हमात देश के रिबला में बाबुल के राजा के पास ले गए, और वहां उसने उसके दण्ड की आज्ञा दी।

So ve raja ko pakad kar hamaat desh ke ribla mein babul ke raja ke paas le gaye, aur vahan usne uske dand ki aagya di.

10

बाबुल के राजा ने सिदकिय्याह के पुत्रों को उसके साम्हने घात किया, और यहूदा के सारे हाकिमों को भी रिबला में घात किया।

Babul ke raja ne sidkiyyaah ke putron ko uske samhane ghaat kiya, aur Yahuda ke sare hakimon ko bhi ribla mein ghaat kiya.

11

फिर बाबुल के राजा ने सिदकिय्याह की आंखों को फुड़वा डाला, और उसको बेड़ियों से जकड़ कर बाबुल तक ले गया, और उसको बन्दीगृह में डाल दिया। सो वह मृत्यु के दिन तक वहीं रहा।

Phir babul ke raja ne sidkiyyaah ki aankhon ko phudva dala, aur usko bediyon se jakad kar babul tak le gaya, aur usko bandeegrih mein daal diya. So vah mrityu ke din tak vahi raha.

12

फिर उसी वर्ष अर्थात बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के राज्य के उन्नीसवें वर्ष के पांचवें महीने के दसवें दिन को जल्लादों का प्रधान नबूजरदान जो बाबुल के राजा के सम्मुख खड़ा रहता था यरूशलेम में आया।

Phir usi varsh arthaat babul ke raja nabookadnessar ke rajya ke unneesvein varsh ke panchvein maheene ke dasvein din ko jalladon ka pradhaan naboojardaan jo babul ke raja ke sammukh khada rahta tha Yerushalem mein aaya.

13

और उसने यहोवा के भवन और राजभवन और यरूशलेम के सब बड़े बड़े घरों को आग लगवा कर फुंकवा दिया।

Aur usne Yahowa ke bhavan aur rajabhvan aur Yerushalem ke sab bade bade gharon ko aag lagva kar phunkva diya.

14

और कसदियों की सारी सेना ने जो जल्लादों के प्रधान के संग थी, यरूशलेम के चारों ओर की सब शहरपनाह को ढा दिया।

Aur kasdiyon ki sari sena ne jo jalladon ke pradhaan ke sang thi, Yerushalem ke charon or ki sab shahrapnaah ko dha diya.

15

और जल्लादों का प्रधान नबूजरदान कंगाल लोगों में से कितनों को, और जो लोग नगर में रह गए थे, और जो लोग बाबुल के राजा के पास भाग गए थे, और जो कारीगर रह गए थे, उन सब को बंधुआ कर के ले गया।

Aur jalladon ka pradhaan naboojardaan kangaal logon mein se kitnon ko, aur jo log nagar mein rah gaye the, aur jo log babul ke raja ke paas bhaag gaye the, aur jo kareegar rah gaye the, un sab ko bandhuaa kar ke le gaya.

16

परन्तु, दिहात के कंगाल लोगों में से कितनों को जल्लादों के प्रधान नबूजरदान ने दाख की बारियों की सेवा और किसानी करने को छोड़ दिया।

Parantu, dihaat ke kangaal logon mein se kitnon ko jalladon ke pradhaan naboojardaan ne daakh ki bariyon ki seva aur kisani karne ko chhod diya.

17

और यहोवा के भवन में जो पीतल के खम्भे थे, और कुर्सियों और पीतल के हौज जो यहोवा के भवन में थे, उन सभों को कसदी लोग तोड़ कर उनका पीतल बाबुल को ले गए।

Aur Yahowa ke bhavan mein jo peetal ke khambhe the, aur kursiyon aur peetal ke hauj jo Yahowa ke bhavan mein the, un sabhon ko kasdi log tod kar unka peetal babul ko le gaye.

18

और हांडियों, फावड़ियों, कैंचियों, कटोरों, घूपदानों, निदान पीतल के और सब पात्रों को, जिन से लोग सेवा टहल करते थे, वे ले गए।

Aur handiyon, phavdiyon, kainchiyon, katoron, ghoopdanon, nidaan peetal ke aur sab patron ko, jin se log seva tahal karte the, ve le gaye.

19

और तसलों, करछों, कटोरियों, हांडियों, दीवटों, धूपदानों, और कटोरों में से जो कुछ सोने का था, उनके सोने को, और जो कुछ चान्दी का था उनकी चान्दी को भी जल्लादों का प्रधान ले गया।

Aur taslon, karchhon, katoriyon, handiyon, deevton, dhoopdanon, aur katoron mein se jo kuchh sone ka tha, unke sone ko, aur jo kuchh chandi ka tha unki chandi ko bhi jalladon ka pradhaan le gaya.

20

दोनों खम्भे, एक हौज और पीतल के बारहों बैल जो पायों के नीचे थे, इन सब को तो सुलैमान राजा ने यहोवा के भवन के लिये बनवाया था, और इन सब का पीतल तौल से बाहर था।

Donon khambhe, ek hauj aur peetal ke barhon bail jo payon ke neeche the, in sab ko to sulaimaan raja ne Yahowa ke bhavan ke liye banvaya tha, aur in sab ka peetal taul se bahar tha.

21

जो खम्भे थे, उन में से एक एक की ऊंचाई अठारह हाथ, और घेरा बारह हाथ, और मोटाई चार अंगुल की थी, और वे खोखले थे।

Jo khambhe the, un mein se ek ek ki oonchai atharah haath, aur ghera barah haath, aur motai chaar angul ki thi, aur ve khokhle the.

22

एक एक की कंगनी पीतल की थी, और एक एक कंगनी की ऊंचाई पांच हाथ की थी; और उस पर चारों ओर जो जाली और अनार बने थे वे सब पीतल के थे।

Ek ek ki kangni peetal ki thi, aur ek ek kangni ki oonchai paanch haath ki thi; aur us par charon or jo jali aur anaar bane the ve sab peetal ke the.

23

कंगनियों के चारों अलंगों पर छियानवे अनार बने थे, और जाली के ऊपर चारों ओर एक सौ अनार थे।

Kangniyon ke charon alangon par chhiyanve anaar bane the, aur jali ke oopar charon or ek sau anaar the.

24

और जल्लादों के प्रधान ने सरायाह महायाजक और उसके नीचे के सपन्याह याजक, और तीनों डेवढ़ीदारों को पकड़ लिया;

Aur jalladon ke pradhaan ne sarayaah mahayajak aur uske neeche ke sapanyaah yajak, aur teenon devdheedaron ko pakad liya;

25

और नगर में से उसने एक खोजा पकड़ लिया, जो योद्धाओं के ऊपर ठहरा था; और जो पुरुष राजा के सम्मुख रहा करते थे, उन में से सात जन जो नगर में मिले; और सेनापति का मुन्शी जो साधारण लोगों को सेना में भरती करता था; और साधारण लोगों में से साठ पुरुष जो नगर में मिले,

Aur nagar mein se usne ek khoja pakad liya, jo yoddhaon ke oopar thahra tha; aur jo purush raja ke sammukh raha karte the, un mein se saat jan jo nagar mein mile; aur senapti ka munshi jo sadharan logon ko sena mein bharti karta tha; aur sadharan logon mein se saath purush jo nagar mein mile,

26

इन सब को जल्लादों का प्रधान नबूजरदान रिबला में बाबुल के राजा के पास ले गया।

In sab ko jalladon ka pradhaan naboojardaan ribla mein babul ke raja ke paas le gaya.

27

तब बाबुल के राजा ने उन्हें हमात देश के रिबला में ऐसा मारा कि वे मर गए।

Tab babul ke raja ne unhein hamaat desh ke ribla mein aisa mara ki ve mar gaye.

28

सो यहूदी अपने देश से बंधुए हो कर चले गए। जिन लोगों को नबूकदनेस्सर बंधुआ कर के ले गया, सो ये हैं, अर्थात उसके राज्य के सातवें वर्ष में तीन हजार तेईस यहूदी;

So Yahudi apne desh se bandhue ho kar chale gaye. Jin logon ko nabookadnessar bandhuaa kar ke le gaya, so ye hain, arthaat uske rajya ke satvein varsh mein teen hajaar teis Yahudi;

29

फिर अपने राज्य के अठारहवें वर्ष में नबूकदनेस्सर यरूशलेम से आठ सौ बत्तीस प्राणियों को बंधुआ कर के ले गया;

Phir apne rajya ke atharahvein varsh mein nabookadnessar Yerushalem se aath sau battees praniyon ko bandhuaa kar ke le gaya;

30

फिर नबूकदनेस्सर के राज्य के तेईसवें वर्ष में जल्लादों का प्रधान नबूजरदान सात सौ पैंतालीस यहूदी जनों को बंधुए कर के ले गया; सब प्राणी मिलकर चार हज़ार छ: सौ हुए।

Phir nabookadnessar ke rajya ke teisvein varsh mein jalladon ka pradhaan naboojardaan saat sau paintalees Yahudi janon ko bandhue kar ke le gaya; sab prani milkar chaar hazaar chha: sau hue.

31

फिर यहूदा के राजा यहोयाकीन की बंधुआई के सैंतीसवें वर्ष में अर्थात जिस वर्ष बाबुल का राजा एबीलमरोदक राजगद्दी पर विराजमान हुआ, उसी के बारहवें महीने के पच्चीसवें दिन को उसने यहूदा के राजा यहोयाकीन को बन्दीगृह से निकाल कर बड़ा पद दिया;

Phir Yahuda ke raja yahoyakeen ki bandhuaai ke sainteesvein varsh mein arthaat jis varsh babul ka raja ebeelamrodak rajgaddi par virajmaan huaa, usi ke barahvein maheene ke pachcheesvein din ko usne Yahuda ke raja yahoyakeen ko bandeegrih se nikaal kar bada pad diya;

32

और उस से मधुर मधुर वचन कह कर, जो राजा उसके साथ बाबुल में बंधुए थे, उनके सिंहासनों से उसके सिंहासन को अधिक ऊंचा किया।

Aur us se madhur madhur vachan kah kar, jo raja uske saath babul mein bandhue the, unke sinhasnon se uske sinhasan ko adhik ooncha kiya.

33

और उसके बन्दीगृह के वस्त्र बदल दिए; और वह जीवन भर नित्य राजा के सम्मुख भोजन करता रहा;

Aur uske bandeegrih ke vastra badal diye; aur vah jeevan bhar nitya raja ke sammukh bhojan karta raha;

34

और प्रति दिन के खर्च के लिये बाबुल के राजा के यहां से उसको नित्य कुछ मिलने का प्रबन्ध हुआ। यह प्रबन्ध उसकी मृत्यु के दिन तक उसके जीवन भर लगातार बना रहा।

Aur prati din ke kharch ke liye babul ke raja ke yahan se usko nitya kuchh milne ka prabandh huaa. Yah prabandh uski mrityu ke din tak uske jeevan bhar lagataar bana raha.