Lamentations 1 · 22 verses

विलापगीत 1 Lamentations 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vilapgeet 1.

1

जो नगरी लोगों से भरपूर थी वह अब कैसी अकेली बैठी हुई है! वह क्यों एक विधवा के समान बन गई? वह जो जातियों की दृष्टि में महान और प्रान्तों में रानी थी, अब क्यों कर देने वाली हो गई है।

Jo nagri logon se bharpoor thi vah ab kaisi akeli baithi hui hai! Vah kyon ek vidhva ke samaan ban gai? Vah jo jatiyon ki drishti mein mahaan aur pranton mein rani thi, ab kyon kar dene vali ho gai hai.

2

रात को वह फूट फूट कर रोती है, उसके आंसू गालों पर ढलकते हैं; उसके सब यारों में से अब कोई उसे शान्ति नहीं देता; उसके सब मित्रों ने उस से विश्वासघात किया, और उसके शत्रु बन गए हैं।

Raat ko vah phoot phoot kar roti hai, uske aansu galon par dhalakte hain; uske sab yaron mein se ab koi use shanti nahi deta; uske sab mitron ne us se vishwasghaat kiya, aur uske shatru ban gaye hain.

3

यहूदा दु:ख और कठिन दासत्व से बचने के लिये परदेश चली गई; परन्तु अन्यजातियों में रहती हुई वह चैन नहीं पाती; उसके सब खदेड़ने वालों ने उसकी सकेती में उसे पकड़ लिया है।

Yahuda dukh aur kathin dasatva se bachne ke liye pardesh chali gai; parantu anyajatiyon mein rahti hui vah chain nahi pati; uske sab khadedne valon ne uski saketi mein use pakad liya hai.

4

सिय्योन के मार्ग विलाप कर रहे हैं, क्योंकि नियत पर्वों में कोई नहीं आता है; उसके सब फाटक सुनसान पड़े हैं, उसके याजक कराहते हैं; उसकी कुमारियां शोकित हैं, और वह आप कठिन दु:ख भोग रही है।

Siyyon ke maarg vilaap kar rahe hain, kyonki niyat parvon mein koi nahi aata hai; uske sab phatak sunsaan pade hain, uske yajak karahte hain; uski kumariyan shokit hain, aur vah aap kathin dukh bhog rahi hai.

5

उसके द्रोही प्रधान हो गए, उसके शत्रु उन्नति कर रहे हैं, क्योंकि यहोवा ने उसके बहुत से अपराधों के कारण उसे दु:ख दिया है; उसके बाल-बच्चों को शत्रु हांक हांक कर बंधुआई में ले गए।

Uske drohi pradhaan ho gaye, uske shatru unnati kar rahe hain, kyonki Yahowa ne uske bahut se apradhon ke karan use dukh diya hai; uske baal-bachchon ko shatru haank haank kar bandhuaai mein le gaye.

6

सिय्योन की पुत्री का सारा प्रताप जाता रहा है। उसके हाकिम ऐसे हरिणों के समान हो गए हैं जो कुछ चराई नहीं पाते; वे खदेड़ने वालों के साम्हने से बलहीन हो कर भागते हैं।

Siyyon ki putri ka sara prataap jata raha hai. Uske hakim aise harinon ke samaan ho gaye hain jo kuchh charai nahi pate; ve khadedne valon ke samhane se balheen ho kar bhagte hain.

7

यरूशलेम ने, इन दु:ख भरे और संकट के दिनों में, जब उसके लोग द्रोहियों के हाथ में पड़े और उसका कोई सहायक न रहा, तब अपनी सब मनभावनी वस्तुओं को जो प्राचीनकाल से उसकी थीं, स्मरण किया है। उसके द्रोहियों ने उसको उजड़ा देखकर ठट्ठों में उड़ाया है।

Yerushalem ne, in dukh bhare aur sankat ke dinon mein, jab uske log drohiyon ke haath mein pade aur uska koi sahayak na raha, tab apni sab manbhavni vastuon ko jo pracheenkaal se uski thi, smaran kiya hai. Uske drohiyon ne usko ujda dekhkar thatthon mein udaya hai.

8

यरूशलेम ने बड़ा पाप किया, इसलिये वह अशुद्ध स्त्री सी हो गई है; जितने उसका आदर करते थे वे उसका निरादर करते हैं, क्योंकि उन्होंने उसकी नंगाई देखी है; हां, वह कराहती हुई मुंह फेर लेती है।

Yerushalem ne bada paap kiya, isliye vah ashuddh stri si ho gai hai; jitne uska aadar karte the ve uska niradar karte hain, kyonki unhonne uski nangai dekhi hai; han, vah karahti hui munh pher leti hai.

9

उसकी अशुद्धता उसके वस्त्र पर है; उसने अपने अन्त का स्मरण न रखा; इसलिये वह भयंकर रीति से गिराई गई, और कोई उसे शान्ति नहीं देता है। हे यहोवा, मेरे दु:ख पर दृष्टि कर, क्योंकि शत्रु मेरे विरुद्ध सफल हुआ है!

Uski ashuddhata uske vastra par hai; usne apne ant ka smaran na rakha; isliye vah bhayankar reeti se girai gai, aur koi use shanti nahi deta hai. He Yahowa, mere dukh par drishti kar, kyonki shatru mere viruddh saphal huaa hai!

10

द्रोहियों ने उसकी सब मनभावनी वस्तुओं पर हाथ बढ़ाया है; हां, अन्यजातियों को, जिनके विषय में तू ने आज्ञा दी थी कि वे तेरी सभा में भागी न होने पाएंगी, उन को उसने तेरे पवित्रस्थान में घुसा हुआ देखा है।

Drohiyon ne uski sab manbhavni vastuon par haath badhaya hai; han, anyajatiyon ko, jinke vishay mein tu ne aagya di thi ki ve teri sabha mein bhagi na hone payengi, un ko usne tere pavitrasthaan mein ghusa huaa dekha hai.

11

उसके सब निवासी कराहते हुए भोजनवस्तु ढूंढ़ रहे हैं; उन्होंने अपना प्राण बचाने के लिऐ अपनी मनभावनी वस्तुएं बेच कर भोजन मोल लिया है। हे यहोवा, दृष्टि कर, और ध्यान से देख, क्योंकि मैं तुच्छ हो गई हूँ।

Uske sab nivasi karahte hue bhojanvastu dhoondh rahe hain; unhonne apna praan bachane ke liai apni manbhavni vastuein bech kar bhojan mol liya hai. He Yahowa, drishti kar, aur dhyaan se dekh, kyonki main tuchchh ho gai hoon.

12

हे सब बटोहियो, क्या तुम्हें इस बात की कुछ भी चिन्ता नहीं? दृष्टि कर के देखो, क्या मेरे दु:ख से बढ़ कर कोई और पीड़ा है जो यहोवा ने अपने क्रोध के दिन मुझ पर डाल दी है?

He sab batohiyo, kya tumhein is baat ki kuchh bhi chinta nahi? Drishti kar ke dekho, kya mere dukh se badh kar koi aur peeda hai jo Yahowa ne apne krodh ke din mujh par daal di hai?

13

उसने ऊपर से मेरी हड्डियों में आग लगाई है, और वे उस से भस्म हो गईं; उसने मेरे पैरों के लिये जाल लगाया, और मुझ को उलटा फेर दिया है; उसने ऐसा किया कि मैं त्यागी हुई सी और रोग से लगातार निर्बल रहती हूँ।

Usne oopar se meri haddiyon mein aag lagai hai, aur ve us se bhasm ho gai; usne mere pairon ke liye jaal lagaya, aur mujh ko ulta pher diya hai; usne aisa kiya ki main tyagi hui si aur rog se lagataar nirbal rahti hoon.

14

उसने जूए की रस्सियों की नाईं मेरे अपराधों को अपने हाथ से कसा है; उसने उन्हें बटकर मेरी गर्दन पर चढ़ाया, और मेरा बल घटा दिया है; जिनका मैं साम्हना भी नहीं कर सकती, उन्हीं के वश में यहोवा ने मुझे कर दिया है।

Usne jooye ki rassiyon ki nai mere apradhon ko apne haath se kasa hai; usne unhein batkar meri gardan par chadhaya, aur mera bal ghata diya hai; jinka main samhana bhi nahi kar sakti, unhi ke vash mein Yahowa ne mujhe kar diya hai.

15

यहोवा ने मेरे सब पराक्रमी पुरुषों को तुच्छ जाना; उसने नियत पर्व का प्रचार कर के लोगों को मेरे विरुद्ध बुलाया कि मेरे जवानों को पीस डालें; यहूदा की कुमारी कन्या को यहोवा ने मानो कोल्हू में पेरा है।

Yahowa ne mere sab parakrami purushon ko tuchchh jana; usne niyat parva ka prachaar kar ke logon ko mere viruddh bulaya ki mere javanon ko pees dalein; Yahuda ki kumari kanya ko Yahowa ne mano kolhu mein pera hai.

16

इन बातों के कारण मैं रोती हूँ; मेरी आंखों से आंसू की धारा बहती रहती है; क्योंकि जिस शान्तिदाता के कारण मेरा जी हरा भरा हो जाता था, वह मुझ से दूर हो गया; मेरे लड़के-बाले अकेले हो गए, क्योंकि शत्रु प्रबल हुआ है।

In baton ke karan main roti hoon; meri aankhon se aansu ki dhara bahti rahti hai; kyonki jis shantidata ke karan mera ji hara bhara ho jata tha, vah mujh se door ho gaya; mere ladke-bale akele ho gaye, kyonki shatru prabal huaa hai.

17

सिय्योन हाथ फैलाए हुए है, उसे कोई शान्ति नहीं देता; यहोवा ने याकूब के विषय में यह आज्ञा दी है कि उसके चारों ओर के निवासी उसके द्रोही हो जाएं; यरूशलेम उनके बीच अशुद्ध स्त्री के समान हो गई है।

Siyyon haath phailaye hue hai, use koi shanti nahi deta; Yahowa ne Yakub ke vishay mein yah aagya di hai ki uske charon or ke nivasi uske drohi ho jayen; Yerushalem unke beech ashuddh stri ke samaan ho gai hai.

18

यहोवा सच्चाई पर है, क्योंकि मैं ने उसकी आज्ञा का उल्लंघन किया है; हे सब लोगो, सुनो, और मेरी पीड़ा को देखो! मेरे कुमार और कुमारियां बंधुआई में चली गई हैं।

Yahowa sachchai par hai, kyonki main ne uski aagya ka ullanghan kiya hai; he sab logo, suno, aur meri peeda ko dekho! Mere kumaar aur kumariyan bandhuaai mein chali gai hain.

19

मैं ने अपने मित्रों को पुकारा परन्तु उन्होंने भी मुझे धोखा दिया; जब मेरे याजक और पुरनिये इसलिये भोजनवस्तु ढूंढ़ रहे थे कि खाने से उनका जी हरा हो जाए, तब नगर ही में उनके प्राण छूट गए।

Main ne apne mitron ko pukara parantu unhonne bhi mujhe dhokha diya; jab mere yajak aur purniye isliye bhojanvastu dhoondh rahe the ki khane se unka ji hara ho jaye, tab nagar hi mein unke praan chhoot gaye.

20

हे यहोवा, दृष्टि कर, क्योंकि मैं संकट में हूँ, मेरी अन्तड़ियां ऐंठी जाती हैं, मेरा हृदय उलट गया है, क्योंकि मैं ने बहुत बलवा किया है। बाहर तो मैं तलवार से निर्वंश होती हूँ; और घर में मृत्यु विराज रही है।

He Yahowa, drishti kar, kyonki main sankat mein hoon, meri antadiyan ainthi jati hain, mera hriday ulat gaya hai, kyonki main ne bahut balva kiya hai. Bahar to main talvaar se nirvansh hoti hoon; aur ghar mein mrityu viraaj rahi hai.

21

उन्होंने सुना है कि मैं कराहती हूँ, परन्तु कोई मुझे शान्ति नहीं देता। मेरे सब शत्रुओं ने मेरी विपत्ति का समाचार सुना है; वे इस से हर्षित हो गए कि तू ही ने यह किया है। परन्तु जिस दिन की चर्चा तू ने प्रचार कर के सुनाई है उसको तू दिखा, तब वे भी मेरे समान हो जाएंगे।

Unhonne suna hai ki main karahti hoon, parantu koi mujhe shanti nahi deta. Mere sab shatruon ne meri vipatti ka samachaar suna hai; ve is se harshit ho gaye ki tu hi ne yah kiya hai. Parantu jis din ki charcha tu ne prachaar kar ke sunai hai usko tu dikha, tab ve bhi mere samaan ho jayenge.

22

उनकी सारी दुष्टता की ओर दृष्टि कर; और जैसा मेरे सारे अपराधों के कारण तू ने मुझे दण्ड दिया, वैसा ही उन को भी दण्ड दे; क्योंकि मैं बहुत ही कराहती हूँ, और मेरा हृदय रोग से निर्बल हो गया है।

Unki sari dushtata ki or drishti kar; aur jaisa mere sare apradhon ke karan tu ne mujhe dand diya, vaisa hi un ko bhi dand de; kyonki main bahut hi karahti hoon, aur mera hriday rog se nirbal ho gaya hai.