Jeremiah 5 · 31 verses

यिर्मयाह 5 Jeremiah 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 5.

1

यरूशलेम की सड़कों में इधर उधर दौड़कर देखो! उसके चौकों में ढूंढ़ो यदि कोई ऐसा मिल सके जो न्याय से काम करे और सच्चाई का खोजी हो; तो मैं उसका पाप क्षमा करूंगा।

Yerushalem ki sadkon mein idhar udhar daudkar dekho! Uske chaukon mein dhoondho yadi koi aisa mil sake jo nyaay se kaam kare aur sachchai ka khoji ho; to main uska paap kshama karoonga.

2

यद्यपि उसके निवासी यहोवा के जीवन की शपथ भी खाएं, तौभी निश्चय वे झूठी शपथ खाते हैं।

Yadyapi uske nivasi Yahowa ke jeevan ki shapath bhi khayen, taubhi nishchay ve jhoothi shapath khate hain.

3

हे यहोवा, क्या तेरी दृष्टि सच्चाई पर नहीं है? तू ने उन को दु:ख दिया, परन्तु वे शोकित नहीं हुए; तू ने उन को नाश किया, परन्तु उन्होंने ताड़ना से भी नहीं माना। उन्होंने अपना मन चट्टान से भी अधिक कठोर किया है; उन्होंने पश्चात्ताप करने से इनकार किया है।

He Yahowa, kya teri drishti sachchai par nahi hai? Tu ne un ko dukh diya, parantu ve shokit nahi hue; tu ne un ko naash kiya, parantu unhonne tadna se bhi nahi mana. Unhonne apna man chattaan se bhi adhik kathor kiya hai; unhonne pashchattaap karne se inkaar kiya hai.

4

फिर मैं ने सोचा, ये लोग तो कंगाल और अबोध ही हैं; क्योंकि ये यहोवा का मार्ग और अपने परमेश्वर का नियम नहीं जानते।

Phir main ne socha, ye log to kangaal aur abodh hi hain; kyonki ye Yahowa ka maarg aur apne Parmeshwar ka niyam nahi jante.

5

इसलिये मैं बड़े लोगों के पास जा कर उन को सुनाऊंगा; क्योंकि वे तो यहोवा का मार्ग और अपने परमेश्वर का नियम जानते हैं। परन्तु उन सभों ने मिलकर जूए को तोड़ दिया है और बन्धनों को खोल डाला है।

Isliye main bade logon ke paas ja kar un ko sunaoonga; kyonki ve to Yahowa ka maarg aur apne Parmeshwar ka niyam jante hain. Parantu un sabhon ne milkar jooye ko tod diya hai aur bandhanon ko khol dala hai.

6

इस कारण वन में से एक सिंह आकर उन्हें मार डालेगा, निर्जल देश का एक भेड़िया उन को नाश करेगा। और एक चीता उनके नगरों के पास घात लगाए रहेगा, और जो कोई उन में से निकले वह फाड़ा जाएगा; क्योंकि उनके अपराध बहुत बढ़ गए हैं और वे मुझ से बहुत ही दूर हट गए हैं।

Is karan van mein se ek sinh aakar unhein maar dalega, nirjal desh ka ek bhediya un ko naash karega. Aur ek cheeta unke nagron ke paas ghaat lagaye rahega, aur jo koi un mein se nikle vah phada jayega; kyonki unke apraadh bahut badh gaye hain aur ve mujh se bahut hi door hat gaye hain.

7

मैं क्योंकर तेरा पाप क्षमा करूं? तेरे लड़कों ने मुझ को छोड़ कर उनकी शपथ खाई है जो परमेश्वर नहीं है। जब मैं ने उनका पेट भर दिया, तब उन्होंने व्यभिचार किया और वेश्याओं के घरों में भीड़ की भीड़ जाते थे।

Main kyonkar tera paap kshama karun? Tere ladkon ne mujh ko chhod kar unki shapath khai hai jo Parmeshwar nahi hai. Jab main ne unka pet bhar diya, tab unhonne vyabhichaar kiya aur veshyaon ke gharon mein bheed ki bheed jate the.

8

वे खिलाए-पिलाए बे-लगाम घोड़ों के समान हो गए, वे अपने अपने पड़ोसी की स्त्री पर हिनहिनाने लगे।

Ve khilaye-pilaye be-lagaam ghodon ke samaan ho gaye, ve apne apne padosi ki stri par hinhinane lage.

9

क्या मैं ऐसे कामों का उन्हें दण्ड न दूं? यहोवा की यह वाणी है; क्या मैं ऐसी जाति से अपना पलटा न लूं?

Kya main aise kamon ka unhein dand na dun? Yahowa ki yah vani hai; kya main aisi jati se apna palta na lun?

10

शहरपनाह पर चढ़ के उसका नाश तो करो, तौभी उसका अन्त मत कर डालो; उसकी जड़ रहने दो परन्तु उसकी डालियों को तोड़ कर फेंक दो, क्योंकि वे यहोवा की नहीं हैं।

Shahrapnaah par chadh ke uska naash to karo, taubhi uska ant mat kar dalo; uski jad rahne do parantu uski daliyon ko tod kar phenk do, kyonki ve Yahowa ki nahi hain.

11

यहोवा की यह वाणी है कि इस्राएल और यहूदा के घरानों ने मुझ से बड़ा विश्वासघात किया है।

Yahowa ki yah vani hai ki Israel aur Yahuda ke gharanon ne mujh se bada vishwasghaat kiya hai.

12

उन्होंने यहोवा की बातें झुठलाकर कहा, वह ऐसा नहीं है; विपत्ति हम पर न पड़ेगी, न हम तलवार को और न महंगी को देखेंगे।

Unhonne Yahowa ki batein jhuthlakar kaha, vah aisa nahi hai; vipatti ham par na padegi, na ham talvaar ko aur na mahangi ko dekhenge.

13

भविष्यद्वक्ता हवा हो जाएंगे; उन में ईश्वर का वचन नहीं है। उनके साथ ऐसा ही किया जाएगा!

Bhavishyadwakta hava ho jayenge; un mein ishwar ka vachan nahi hai. Unke saath aisa hi kiya jayega!

14

इस कारण सेनाओं का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, ये लोग जो ऐसा कहते हैं, इसलिये देख, मैं अपना वचन तेरे मुंह में आग, और इस प्रजा को काठ बनाऊंगा, और वह उन को भस्म करेगी।

Is karan senaon ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ye log jo aisa kahte hain, isliye dekh, main apna vachan tere munh mein aag, aur is praja ko kaath banaoonga, aur vah un ko bhasm karegi.

15

यहोवा की यह वाणी है, हे इस्राएल के घराने, देख, मैं तुम्हारे विरुद्ध दूर से ऐसी जाति को चढ़ा लाऊंगा जो सामर्थी और प्राचीन है, उसकी भाषा तुम न समझोगे, और न यह जानोगे कि वे लोग क्या कह रहे हैं।

Yahowa ki yah vani hai, he Israel ke gharane, dekh, main tumhare viruddh door se aisi jati ko chadha laoonga jo samarthi aur pracheen hai, uski bhasha tum na samjhoge, aur na yah janoge ki ve log kya kah rahe hain.

16

उनका तर्कश खुली क़ब्र है और वे सब के सब शूरवीर हैं।

Unka tarkash khuli qabra hai aur ve sab ke sab shoorveer hain.

17

तुम्हारे पक्के खेत और भोजनवस्तुएं जो तुम्हारे बेटे-बेटियों के खाने के लिये हैं उन्हें वे खा जाएंगे। वे तुम्हारी भेड़-बकरियों और गाय-बैलों को खा डालेंगे; वे तुम्हारी दाखों और अंजीरों को खा जाएंगे; और जिन गढ़ वाले नगरों पर तुम भरोसा रखते हो उन्हें वे तलवार के बल से नाश कर देंगे।

Tumhare pakke khet aur bhojanvastuein jo tumhare bete-betiyon ke khane ke liye hain unhein ve kha jayenge. Ve tumhari bhed-bakriyon aur gaay-bailon ko kha dalenge; ve tumhari dakhon aur anjeeron ko kha jayenge; aur jin gadh vale nagron par tum bharosa rakhte ho unhein ve talvaar ke bal se naash kar denge.

18

तौभी, यहोवा की यह वाणी है, उन दिनों में भी मैं तुम्हारा अन्त न कर डालूंगा।

Taubhi, Yahowa ki yah vani hai, un dinon mein bhi main tumhara ant na kar daloonga.

19

और जब तुम पूछोगे कि हमारे परमेश्वर यहोवा ने हम से ये सब काम किस लिये किए हैं, तब तुम उन से कहना, जिस प्रकार से तुम ने मुझ को त्यागकर अपने देश में दूसरे देवताओं की सेवा की है, उसी प्रकार से तुम को पराये देश में परदेशियों की सेवा करनी पड़ेगी।

Aur jab tum poochhoge ki hamare Parmeshwar Yahowa ne ham se ye sab kaam kis liye kiye hain, tab tum un se kahna, jis prakaar se tum ne mujh ko tyagkar apne desh mein doosre devtaon ki seva ki hai, usi prakaar se tum ko paraye desh mein pardeshiyon ki seva karni padegi.

20

याकूब के घराने में यह प्रचार करो, और यहूदा में यह सुनाओ:

Yakub ke gharane mein yah prachaar karo, aur Yahuda mein yah sunao:

21

हे मूर्ख और निर्बुद्धि लोगो, तुम जो आंखें रहते हुए नहीं देखते, जो कान रहते हुए नहीं सुनते, यह सुनो।

He moorkh aur nirbuddhi logo, tum jo aankhein rahte hue nahi dekhte, jo kaan rahte hue nahi sunte, yah suno.

22

यहोवा की यह वाणी है, क्या तुम लोग मेरा भय नहीं मानते? क्या तुम मेरे सम्मुख नहीं थरथराते? मैं ने बालू को समुद्र का सिवाना ठहराकर युग युग का ऐसा बान्ध ठहराया कि वह उसे लांघ न सके; और चाहे उसकी लहरें भी उठें, तौभी वे प्रबल न हो सकें, था जब वे गरजें तौभी उसको न लांघ सकें।

Yahowa ki yah vani hai, kya tum log mera bhay nahi mante? Kya tum mere sammukh nahi tharathrate? Main ne balu ko samudra ka sivana thahrakar yug yug ka aisa baandh thahraya ki vah use laangh na sake; aur chahe uski lahrein bhi uthein, taubhi ve prabal na ho sakein, tha jab ve garjein taubhi usko na laangh sakein.

23

पर इस प्रजा का हठीला और बलवा करने वाला मन है; इन्होंने बलवा किया और दूर हो गए हैं।

Par is praja ka hatheela aur balva karne vala man hai; inhonne balva kiya aur door ho gaye hain.

24

वे मन में इतना भी नहीं सोचते कि हमारा परमेश्वर यहोवा तो बरसात के आरम्भ और अन्त दोनों समयों का जल समय पर बरसाता है, और कटनी के नियत सप्ताहों को हमारे लिये रखता है, इसलिये हम उसका भय मानें।

Ve man mein itna bhi nahi sochte ki hamara Parmeshwar Yahowa to barsaat ke aarambh aur ant donon samyon ka jal samay par barsata hai, aur katni ke niyat saptahon ko hamare liye rakhta hai, isliye ham uska bhay manein.

25

परन्तु तुम्हारे अधर्म के कामों ही के कारण वे रुक गए, और तुम्हारे पापों ही के कारण तुम्हारी भलाई नहीं होती।

Parantu tumhare adharm ke kamon hi ke karan ve ruk gaye, aur tumhare papon hi ke karan tumhari bhalai nahi hoti.

26

मेरी प्रजा में दुष्ट लोग पाए जाते हैं; जैसे चिड़ीमार ताक में रहते हैं, वैसे ही वे भी घात लगाए रहते हैं। वे फन्दा लगाकर मनुष्यों को अपने वश में कर लेते हैं।

Meri praja mein dusht log paye jate hain; jaise chideemaar taak mein rahte hain, vaise hi ve bhi ghaat lagaye rahte hain. Ve phanda lagakar manushyon ko apne vash mein kar lete hain.

27

जैसा पिंजड़ा चिड़ियों से भरा हो, वैसे ही उनके घर छल से भरे रहते हैं; इसी प्रकार वे बढ़ गए और धनी हो गए हैं।

Jaisa pinjda chidiyon se bhara ho, vaise hi unke ghar chhal se bhare rahte hain; isi prakaar ve badh gaye aur dhani ho gaye hain.

28

वे मोटे और चिकने हो गए हैं। बुरे कामों में वे सीमा को लांघ गए हैं; वे न्याय, विशेष कर के अनाथों का न्याय नहीं चुकाते; इस से उनका काम सफल नहीं होता: वे कंगालों का हक़ भी नहीं दिलाते।

Ve mote aur chikne ho gaye hain. Bure kamon mein ve seema ko laangh gaye hain; ve nyaay, vishesh kar ke anathon ka nyaay nahi chukate; is se unka kaam saphal nahi hota: ve kangalon ka haq bhi nahi dilate.

29

इसलिये, यहोवा की यह वाणी है, क्या मैं इन बातों का दण्ड न दूं? क्या मैं ऐसी जाति से पलटा न लूं?

Isliye, Yahowa ki yah vani hai, kya main in baton ka dand na dun? Kya main aisi jati se palta na lun?

30

देश में ऐसा काम होता है जिस से चकित और रोमांचित होना चाहिये।

Desh mein aisa kaam hota hai jis se chakit aur romanchit hona chahiye.

31

भविष्यद्वक्ता झूठमूठ भविष्यद्वाणी करते हैं; और याजक उनके सहारे से प्रभुता करते हैं; मेरी प्रजा को यह भाता भी है, परन्तु अन्त के समय तुम क्या करोगे?

Bhavishyadwakta jhoothmooth bhavishyadwani karte hain; aur yajak unke sahare se prabhuta karte hain; meri praja ko yah bhata bhi hai, parantu ant ke samay tum kya karoge?