Jeremiah 49 · 39 verses

यिर्मयाह 49 Jeremiah 49 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 49.

1

अम्मोनियों के विषय यहोवा यों कहता है, क्या इस्राएल के पुत्र नहीं हैं? क्या उसका कोई वारिस नहीं रहा? फिर मल्काम क्यों गाद के देश का अधिकारी हुआ? और उसकी प्रजा क्यों उसके नगरों में बसने पाई है?

Ammoniyon ke vishay Yahowa yon kahta hai, kya Israel ke putra nahi hain? Kya uska koi varis nahi raha? Phir malkaam kyon gaad ke desh ka adhikari huaa? Aur uski praja kyon uske nagron mein basne pai hai?

2

यहोवा की यह वाणी है, ऐसे दिन आने वाले हैं, कि मैं अम्मोनियों के रब्बा नाम नगर के विरुद्ध युद्ध की ललकार सुनवाऊंगा, और वह उजड़ कर खण्डहर हो जाएगा, और उसकी बस्तियां फूंक दी जाएंगी; तब जिन लोगों ने इस्राएलियों के देश को अपना लिया है, उनके देश को इस्राएली अपना लेंगे, यहोवा का यही वचन है।

Yahowa ki yah vani hai, aise din aane vale hain, ki main ammoniyon ke rabba naam nagar ke viruddh yuddh ki lalkaar sunvaoonga, aur vah ujad kar khandahar ho jayega, aur uski bastiyan phoonk di jayengi; tab jin logon ne Israeliyon ke desh ko apna liya hai, unke desh ko Israeli apna lenge, Yahowa ka yahi vachan hai.

3

हे हेशबोन हाय-हाय कर; क्योंकि ये नगर नाश हो गया। हे रब्बा की बेटियो चिल्लाओ! और कमर में टाट बान्धो, छाती पीटती हुई बाड़ों में इधर उधर दौड़ो! क्योंकि मल्काम अपने याजकों और हाकिमों समेत बंधुआई में जाएगा।

He heshbon haay-haay kar; kyonki ye nagar naash ho gaya. He rabba ki betiyo chillao! Aur kamar mein taat bandho, chhati peetti hui badon mein idhar udhar daudo! Kyonki malkaam apne yajkon aur hakimon samet bandhuaai mein jayega.

4

हे भटकने वाली बेटी! तू अपने देश की तराइयों पर, विशेष कर अपने बहुत ही अपजाऊ तराई पर क्यों फूलती है? तू क्यों यह कह कर अपने रखे हुए धन पर भरोसा रखती है, कि मेरे विरुद्ध कौन चढ़ाई कर सकेगा?

He bhatakne vali beti! Tu apne desh ki taraiyon par, vishesh kar apne bahut hi apjau tarai par kyon phoolti hai? Tu kyon yah kah kar apne rakhe hue dhan par bharosa rakhti hai, ki mere viruddh kaun chadhai kar sakega?

5

प्रभु सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, देख, मैं तेरे चारों ओर के सब रहने वालों की ओर से तेरे मन में भय उपजाने पर हूँ, और तेरे लोग अपने अपने साम्हने की ओर ढकेल दिए जाएंगे; और जब वे मारे मारे फिरेंगे, तब कोई उन्हें इकट्ठा न करेगा।

Prabhu senaon ke Yahowa ki yah vani hai, dekh, main tere charon or ke sab rahne valon ki or se tere man mein bhay upjane par hoon, aur tere log apne apne samhane ki or dhakel diye jayenge; aur jab ve mare mare phirenge, tab koi unhein ikattha na karega.

6

परन्तु उसके बाद मैं अम्मोनियों को बंधुआई से लौटा लाऊंगा; यहोवा की यही वाणी है।

Parantu uske baad main ammoniyon ko bandhuaai se lauta laoonga; Yahowa ki yahi vani hai.

7

एदोम के विषय, सेनाओं का यहोवा यों कहता है, क्या तेमान में अब कुछ बुद्धि नहीं रही? क्या वहां के ज्ञानियों की युक्ति निष्फल हो गई? क्या उनकी बुद्धि जाती रही है?

Edom ke vishay, senaon ka Yahowa yon kahta hai, kya temaan mein ab kuchh buddhi nahi rahi? Kya vahan ke gyaniyon ki yukti nishphal ho gai? Kya unki buddhi jati rahi hai?

8

हे ददान के रहने वालो भागो, लौट जाओ, वहां छिप कर बसो! क्योंकि जब मैं ऐसाव को दण्ड देने लगूंगा, तब उस पर भारी विपत्ति पड़ेगी।

He dadaan ke rahne valo bhago, laut jao, vahan chhip kar baso! Kyonki jab main aisaav ko dand dene lagoonga, tab us par bhari vipatti padegi.

9

यदि दाख के तोड़ने वाले तेरे पास आते, तो क्या वे कहीं कहीं दाख न छोड़ जाते? और यदि चोर रात को आते तो क्या वे जितना चाहते उतना धन लूटकर न ले जाते?

Yadi daakh ke todne vale tere paas aate, to kya ve kahi kahi daakh na chhod jate? Aur yadi chor raat ko aate to kya ve jitna chahte utna dhan lootkar na le jate?

10

क्योंकि मैं ने ऐसाव को उघारा है, मैं ने उसके छिपने के स्थानों को प्रगट किया है; यहां तक कि वह छिप न सका। उसके वंश और भाई और पड़ोसी सब नाश हो गए हैं और उसका अन्त हो गया।

Kyonki main ne aisaav ko ughara hai, main ne uske chhipne ke sthanon ko pragat kiya hai; yahan tak ki vah chhip na saka. Uske vansh aur bhai aur padosi sab naash ho gaye hain aur uska ant ho gaya.

11

अपने अनाथ बालकों को छोड़ जाओ, मैं उन को जिलाऊंगा; और तुम्हारी विधवाएं मुझ पर भरोसा रखें।

Apne anaath balkon ko chhod jao, main un ko jilaoonga; aur tumhari vidhvayen mujh par bharosa rakhein.

12

क्योंकि यहोवा यों कहता है, देखो, जो इसके योग्य न थे कि कटोरे में से पीएं, उन को तो निश्चय पीना पड़ेगा, फिर क्या तू किसी प्रकार से निर्दोष ठहर कर बच जाएगा? तू निर्दोष ठहर कर न बचेगा, तुझे अवश्य ही पीना पड़ेगा।

Kyonki Yahowa yon kahta hai, dekho, jo iske yogya na the ki katore mein se peeyen, un ko to nishchay peena padega, phir kya tu kisi prakaar se nirdosh thahar kar bach jayega? Tu nirdosh thahar kar na bachega, tujhe avashya hi peena padega.

13

क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, मैं ने अपनी सौगन्ध खाई है, कि बोस्रा ऐसा उजड़ जाएगा कि लोग चकित होंगे, और उसकी उपमा देकर निन्दा किया करेंगे और शाप दिया करेंगे; और उसके सारे गांव सदा के लिये उजाड़ हो जाएंगे।

Kyonki Yahowa ki yah vani hai, main ne apni saugandh khai hai, ki bosra aisa ujad jayega ki log chakit honge, aur uski upma dekar ninda kiya karenge aur shaap diya karenge; aur uske sare gaanv sada ke liye ujaad ho jayenge.

14

मैं ने यहोवा की ओर से समाचार सुना है, वरन जाति जाति में यह कहने को एक दूत भी भेजा गया है, इकट्ठे हो कर एदोम पर चढ़ाई करो; और उस से लड़ने के लिये उठो।

Main ne Yahowa ki or se samachaar suna hai, varan jati jati mein yah kahne ko ek doot bhi bheja gaya hai, ikatthe ho kar edom par chadhai karo; aur us se ladne ke liye utho.

15

क्योंकि मैं ने तुझे जातियों में छोटा, और मनुष्यों में तुच्छ कर दिया है।

Kyonki main ne tujhe jatiyon mein chhota, aur manushyon mein tuchchh kar diya hai.

16

हे चट्टान की दरारों में बसे हुए, हे पहाड़ी की चोटी पर किला बनाने वाले! तेरे भयानक रूप और मन के अभिमान ने तुझे धोखा दिया है। चाहे तू उकाब की नाईं। अपना बसेरा ऊंचे स्थान पर बनाए, तौभी मैं वहां से तुझे उतार लाऊंगा, यहोवा की यही वाणी है।

He chattaan ki dararon mein base hue, he pahadi ki choti par kila banane vale! Tere bhayanak roop aur man ke abhimaan ne tujhe dhokha diya hai. Chahe tu ukaab ki nai. Apna basera oonche sthaan par banaye, taubhi main vahan se tujhe utaar laoonga, Yahowa ki yahi vani hai.

17

एदोम यहां तक उजड़ जाएगा कि जो कोई उसके पास से चले वह चकित होगा, और उसके सारे दु:खों पर ताली बजाएगा।

Edom yahan tak ujad jayega ki jo koi uske paas se chale vah chakit hoga, aur uske sare dukhon par tali bajayega.

18

यहोवा का यह वचन है, कि जैसी सदोम और अमोरा और उनके आस पास के नगरों के उलट जाने से उनकी दशा हुई थी, वैसी ही उसकी दशा होगी, वहां न कोई मनुष्य रहेगा, और न कोई आदमी उस में टिकेगा।

Yahowa ka yah vachan hai, ki jaisi sadom aur amora aur unke aas paas ke nagron ke ulat jane se unki dasha hui thi, vaisi hi uski dasha hogi, vahan na koi manushya rahega, aur na koi aadmi us mein tikega.

19

देखो, वह सिंह की नाईं यरदन के आस पास के घने जंगलों से सदा की चराई पर चढ़ेगा, और मैं उन को उसके साम्हने से झट भगा दूंगा; तब जिस को मैं चुन लूं, उसको उन पर अधिकारी ठहराऊंगा। मेरे तुल्य कौन है? और कौन मुझ पर मुक़द्दमा चलाएगा? वह चरवाहा कहां है जो मेरा साम्हना कर सकेगा?

Dekho, vah sinh ki nai yardan ke aas paas ke ghane janglon se sada ki charai par chadhega, aur main un ko uske samhane se jhat bhaga doonga; tab jis ko main chun lun, usko un par adhikari thahraoonga. Mere tulya kaun hai? Aur kaun mujh par muqaddama chalayega? Vah charvaha kahan hai jo mera samhana kar sakega?

20

देखो, यहोवा ने एदोम के विरुद्ध क्या युक्ति की है; और तेमान के रहने वालों के विरुद्ध कैसी कल्पना की है? निश्चय वह भेड़-बकरियों के बच्चों को घसीट ले जाएगा; वह चराई को भेड़-बकरियों से निश्चय खाली कर देगा।

Dekho, Yahowa ne edom ke viruddh kya yukti ki hai; aur temaan ke rahne valon ke viruddh kaisi kalpana ki hai? Nishchay vah bhed-bakriyon ke bachchon ko ghaseet le jayega; vah charai ko bhed-bakriyon se nishchay khali kar dega.

21

उनके गिरने के शब्द से पृथ्वी कांप उठेगी; और ऐसी चिल्लाहट मचेगी जो लाल समुद्र तक सुनाईं पड़ेगी।

Unke girne ke shabd se prithvi kaamp uthegi; aur aisi chillahat machegi jo laal samudra tak sunai padegi.

22

देखो, वह उकाब की नाईं निकल कर उड़ आएगा, ओर बोस्रा पर अपने पंख फैलाएगा, और उस दिन एदोमी शूरवीरों का मन जच्चा स्त्री का सा हो जाएगा।

Dekho, vah ukaab ki nai nikal kar ud aayega, or bosra par apne pankh phailayega, aur us din edomi shoorveeron ka man jachcha stri ka sa ho jayega.

23

दमिश्क के विषय, हमात और अर्पद की आश टूटी है, क्योंकि उन्होंने बुरा समाचार सुना है, वे गल गए हैं; समुद्र पर चिन्ता है, वह शान्त नहीं हो सकता।

Damishk ke vishay, hamaat aur arpad ki aash tooti hai, kyonki unhonne bura samachaar suna hai, ve gal gaye hain; samudra par chinta hai, vah shaant nahi ho sakta.

24

दमिश्क बलहीन हो कर भागने को फिरती है, परन्तु कंपकंपी ने उसे पकड़ा है, जच्चा की सी पीडें उसे उठी हैं।

Damishk balheen ho kar bhagne ko phirti hai, parantu kampkampi ne use pakda hai, jachcha ki si peedein use uthi hain.

25

हाय, वह नगर, वह प्रशंसा योग्य पुरी, जो मेरे हर्ष का कारण है, वह छोड़ा जाएगा!

Haay, vah nagar, vah prashansa yogya puri, jo mere harsh ka karan hai, vah chhoda jayega!

26

सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, कि उसके जवान चौकों में गिराए जाएंगे, और सब योद्धाओं का बोलना बन्द हो जाएगा।

Senaon ke Yahowa ki yah vani hai, ki uske javaan chaukon mein giraye jayenge, aur sab yoddhaon ka bolna band ho jayega.

27

और मैं दमिश्क की शहरपनाह में आग लगाऊंगा जिस से बेन्हदद के राजभवन भस्म हो जाएंगे।

Aur main damishk ki shahrapnaah mein aag lagaoonga jis se benhadad ke rajabhvan bhasm ho jayenge.

28

केदार और हासोर के राज्यों के विषय जिन्हें बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने मार लिया। यहोवा यों कहता है, उठ कर केदार पर चढ़ाई करो! पूरबियों को नाश करो!

Kedaar aur hasor ke rajyon ke vishay jinhein babul ke raja nabookadnessar ne maar liya. Yahowa yon kahta hai, uth kar kedaar par chadhai karo! Poorbiyon ko naash karo!

29

वे उनके डेरे और भेड़-बकरियां ले जाएंगे, उनके तम्बू और सब बरतन उठा कर ऊंटों को भी हांक ले जाएंगे, और उन लोगों से पुकार के कहेंगे, चारों ओर भय ही भय है।

Ve unke dere aur bhed-bakriyan le jayenge, unke tambu aur sab bartan utha kar oonton ko bhi haank le jayenge, aur un logon se pukaar ke kahenge, charon or bhay hi bhay hai.

30

यहोवा की यह वाणी है, हे हासोर के रहने वालो भागो! दूर दूर मारे मारे फिरो, कहीं जा कर छिपके बसो। क्योंकि बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने तुम्हारे विरुद्ध युक्ति और कल्पना की है।

Yahowa ki yah vani hai, he hasor ke rahne valo bhago! Door door mare mare phiro, kahi ja kar chhipke baso. Kyonki babul ke raja nabookadnessar ne tumhare viruddh yukti aur kalpana ki hai.

31

यहोवा की यह वाणी है, उठ कर उस चैन से रहने वाली जाति के लोगों पर चढ़ाई करो, जो निडर रहते हैं, और बिना किवाड़ और बेण्डे के यों ही बसे हुए हैं।

Yahowa ki yah vani hai, uth kar us chain se rahne vali jati ke logon par chadhai karo, jo nidar rahte hain, aur bina kivaad aur bende ke yon hi base hue hain.

32

उनके ऊंट और अनगिनित गाय-बैल और भेड़-बकरियां लूट में जाएंगी, क्योंकि मैं उनके गाल के बाल मुंड़ाने वालों को उड़ा कर सब दिशाओं में तितर-बितर करूंगा; और चारों ओर से उन पर विपत्ति लाकर डालूंगा, यहोवा की यह वाणी है।

Unke oont aur anginit gaay-bail aur bhed-bakriyan loot mein jayengi, kyonki main unke gaal ke baal mundane valon ko uda kar sab dishaon mein titar-bitar karoonga; aur charon or se un par vipatti lakar daloonga, Yahowa ki yah vani hai.

33

हासोर गीदड़ों का वास स्थान होगा और सदा के लिये उजाड़ हो जाएगा, वहां न कोई मनुष्य रहेगा, और न कोई आदमी उस में टिकेगा।

Hasor geeddon ka vaas sthaan hoga aur sada ke liye ujaad ho jayega, vahan na koi manushya rahega, aur na koi aadmi us mein tikega.

34

यहूदा के राजा सिदकिय्याह के राज्य के आरम्भ में यहोवा का यह वचन यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के पास एलाम के विषय पहुंचा।

Yahuda ke raja sidkiyyaah ke rajya ke aarambh mein Yahowa ka yah vachan yirmayaah bhavishyadwakta ke paas elaam ke vishay pahuncha.

35

सेनाओं का यहोवा यों कहता है, कि मैं एलाम के धनुष को जो उनके पराक्रम का मुख्य कारण है, तोड़ूंगा;

Senaon ka Yahowa yon kahta hai, ki main elaam ke dhanush ko jo unke parakram ka mukhya karan hai, todoonga;

36

और मैं आकाश के चारों ओर से वायु बहाकर उन्हें चारों दिशाओं की ओर यहां तक तितर-बितर करूंगा, कि ऐसी कोई जाति न रहेगी जिस में एलामी भागते हुए न आएं।

Aur main aakaash ke charon or se vayu bahakar unhein charon dishaon ki or yahan tak titar-bitar karoonga, ki aisi koi jati na rahegi jis mein elami bhagte hue na aayen.

37

मैं एलाम को उनके शत्रुओं और उनके प्राण के खोजियों के साम्हने विस्मित करूंगा, और उन पर अपना कोप भड़का कर विपत्ति डालूंगा। और यहोवा की यह वाणी है, कि तलवार को उन पर चलवाते चलवाते मैं उनका अन्त कर डालूंगा;

Main elaam ko unke shatruon aur unke praan ke khojiyon ke samhane vismit karoonga, aur un par apna kop bhadka kar vipatti daloonga. Aur Yahowa ki yah vani hai, ki talvaar ko un par chalvate chalvate main unka ant kar daloonga;

38

और मैं एलाम में अपना सिंहासन रख कर उनके राजा और हाकिमों को नाश करूंगा, यहोवा की यही वाणी है।

Aur main elaam mein apna sinhasan rakh kar unke raja aur hakimon ko naash karoonga, Yahowa ki yahi vani hai.

39

परन्तु यहोवा की यह भी वाणी है, कि अन्त के दिनों में मैं एलाम को बंधुआई से लौटा ले आऊंगा।

Parantu Yahowa ki yah bhi vani hai, ki ant ke dinon mein main elaam ko bandhuaai se lauta le aaoonga.