फिरोन के गज़्जा नगर को जीत लेने से पहिले यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के पास पलिश्तियों के विषय यहोवा का यह वचन पहुंचा:
Phiron ke gazja nagar ko jeet lene se pahile yirmayaah bhavishyadwakta ke paas palishtiyon ke vishay Yahowa ka yah vachan pahuncha:
Jeremiah 47 · 7 verses
फिरोन के गज़्जा नगर को जीत लेने से पहिले यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के पास पलिश्तियों के विषय यहोवा का यह वचन पहुंचा:
Phiron ke gazja nagar ko jeet lene se pahile yirmayaah bhavishyadwakta ke paas palishtiyon ke vishay Yahowa ka yah vachan pahuncha:
यहोवा यों कहता है कि देखो, उत्तर दिशा से उमण्डने वाली नदी देश को उस सब समेत जो उस में है, और निवासियों समेत नगर को डुबो लेगी। तब मनुष्य चिल्लाएंगे, वरन देश के सब रहने वाले हाय-हाय करेंगे।
Yahowa yon kahta hai ki dekho, uttar disha se umandane vali nadi desh ko us sab samet jo us mein hai, aur nivasiyon samet nagar ko dubo legi. Tab manushya chillayenge, varan desh ke sab rahne vale haay-haay karenge.
शत्रुओं के बलवन्त घोड़ों की टाप, रथों के वेग चलने और उनके पहियों के चलने का कोलाहल सुन कर पिता के हाथ-पांव ऐसे ढीले पड़ जाएंगे, कि वह मुंह मोड़ कर अपने लड़कों को भी न देखेगा।
Shatruon ke balvant ghodon ki taap, rathon ke veg chalne aur unke pahiyon ke chalne ka kolahal sun kar pita ke haath-paanv aise dheele pad jayenge, ki vah munh mod kar apne ladkon ko bhi na dekhega.
क्योंकि सब पलिश्तियों के नाश होने का दिन आता है; और सोर और सिदोन के सब बचे हुए सहायक मिट जाएंगे। क्योंकि यहोवा पलिश्तियों को जो कप्तोर नाम समुद्र तीर के बचे हुए रहने वाले हैं, उन को भी नाश करने पर है।
Kyonki sab palishtiyon ke naash hone ka din aata hai; aur sor aur sidon ke sab bache hue sahayak mit jayenge. Kyonki Yahowa palishtiyon ko jo kaptor naam samudra teer ke bache hue rahne vale hain, un ko bhi naash karne par hai.
गज़्जा के लोग सिर मुड़ाए हैं, अश्कलोन जो पलिश्तियों के नीचान में अकेला रह गया है, वह भी मिटाया गया है; तू कब तक अपनी देह चीरता रहेगा?
Gazja ke log sir mudaye hain, ashkalon jo palishtiyon ke neechaan mein akela rah gaya hai, vah bhi mitaya gaya hai; tu kab tak apni deh cheerta rahega?
हे यहोवा की तलवार! तू कब तक शान्त न होगी? तू अपनी मियान में घुस जा, शान्त हो, और थमी रह!
He Yahowa ki talvaar! Tu kab tak shaant na hogi? Tu apni miyaan mein ghus ja, shaant ho, aur thami rah!
तू क्योंकर थम सकती है? क्योंकि यहोवा ने तुझ को आज्ञा देकर अश्कलोन और समुद्रतीर के विरुद्ध ठहराया है।
Tu kyonkar tham sakti hai? Kyonki Yahowa ne tujh ko aagya dekar ashkalon aur samudrateer ke viruddh thahraya hai.