Jeremiah 46 · 28 verses

यिर्मयाह 46 Jeremiah 46 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 46.

1

अन्यजातियों के विषय यहोवा का जो वचन यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के पास पहुंचा, वह यह है।

Anyajatiyon ke vishay Yahowa ka jo vachan yirmayaah bhavishyadwakta ke paas pahuncha, vah yah hai.

2

मिस्र के विषय। मिस्र के राजा फिरौन निको की सेना जो परात महानद के तीर पर कर्कमीश में थी, और जिसे बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के चौथे वर्ष में जीत लिया था,

Misr ke vishay. Misr ke raja Firaun niko ki sena jo paraat mahanad ke teer par karkameesh mein thi, aur jise babul ke raja nabookadnessar ne yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke chauthe varsh mein jeet liya tha,

3

उससेना के विषय:--ढालें और फरियां तैयार कर के लड़ने को निकट चले आओ।

Ussena ke vishay:--dhalein aur phariyan taiyaar kar ke ladne ko nikat chale aao.

4

घोड़ों को जुतवाओ; और हे सवारो, घोड़ों पर चढ़ कर टोप पहिने हुए खड़े हो जाओ; भालों को पैना करो, झिलमों को पहिन लो!

Ghodon ko jutvao; aur he savaro, ghodon par chadh kar top pahine hue khade ho jao; bhalon ko paina karo, jhilmon ko pahin lo!

5

मैं क्यों उन को व्याकुल देखता हूँ? वे विस्मित हो कर पीछे हट गए। उनके शूरवीर गिराए गए और उतावली कर के भाग गए; वे पीछे देखते भी नहीं; क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, कि चारों ओर भय ही भय है!

Main kyon un ko vyakul dekhta hoon? Ve vismit ho kar peechhe hat gaye. Unke shoorveer giraye gaye aur utavli kar ke bhaag gaye; ve peechhe dekhte bhi nahi; kyonki Yahowa ki yah vani hai, ki charon or bhay hi bhay hai!

6

न वेग चलने वाला भागने पाएगा और न वीर बचने पाएगा; क्योंकि उत्तर दिशा में परात महानद के तीर पर वे सब ठोकर खाकर गिर पड़े।

Na veg chalne vala bhagne payega aur na veer bachne payega; kyonki uttar disha mein paraat mahanad ke teer par ve sab thokar khakar gir pade.

7

यह कौन है, जो नील नदी की नाईं, जिसका जल महानदों का सा उछलता है, बढ़ा चला आता है?

Yah kaun hai, jo neel nadi ki nai, jiska jal mahandon ka sa uchhalta hai, badha chala aata hai?

8

मिस्र नील नदी की नाईं बढ़ता है, उसका जल महानदों का सा उछलता है। वह कहता है, मैं चढ़कर पृथ्वी को भर दूंगा, मैं नगरों को उनके निवासियों समेत नाश कर दूंगा।

Misr neel nadi ki nai badhta hai, uska jal mahandon ka sa uchhalta hai. Vah kahta hai, main chadhkar prithvi ko bhar doonga, main nagron ko unke nivasiyon samet naash kar doonga.

9

हे मिस्री सवारो आगे बढ़ो, हे रथियो बहुत ही वेग से चलाओ! हे ढाल पकड़ने वाले कूशी और पूती वीरो, हे धनुर्धारी लूदियो चले आओ।

He misri savaro aage badho, he rathiyo bahut hi veg se chalao! He dhaal pakadne vale kooshi aur pooti veero, he dhanurdhari loodiyo chale aao.

10

क्योंकि वह दिन सेनाओं के यहोवा प्रभु के बदला लेने का दिन होगा जिस में वह अपने द्रोहियों से बदला लेगा। सो तलवार खाकर तृप्त होगी, और उनका लोहू पीकर छक जाएगी। क्योंकि, उत्तर के देश में परात महानद के तीर पर, सेनाओं के यहोवा प्रभु का यज्ञ है।

Kyonki vah din senaon ke Yahowa Prabhu ke badla lene ka din hoga jis mein vah apne drohiyon se badla lega. So talvaar khakar tript hogi, aur unka lohu peekar chhak jayegi. Kyonki, uttar ke desh mein paraat mahanad ke teer par, senaon ke Yahowa Prabhu ka yagy hai.

11

हे मिस्र की कुमारी कन्या, गिलाद को जा कर बलसान औषधि ले; तू व्यर्थ ही बहुत इलाज करती है, तू चंगी नहीं होगी!

He Misr ki kumari kanya, gilaad ko ja kar balsaan aushdhi le; tu vyarth hi bahut ilaaj karti hai, tu changi nahi hogi!

12

क्योंकि सब जाति के लोगों ने सुना है कि तू नीच हो गई और पृथ्वी तेरी चिल्लाहट से भर गई है; वीर से वीर ठोकर खाकर गिर पड़े; वे दोनों एक संग गिर गए हैं।

Kyonki sab jati ke logon ne suna hai ki tu neech ho gai aur prithvi teri chillahat se bhar gai hai; veer se veer thokar khakar gir pade; ve donon ek sang gir gaye hain.

13

यहोवा ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता से यह वचन भी कहा कि बाबुल का राजा नबूकदनेस्सर क्योंकर आकर मिस्र देश को मार लेगा:

Yahowa ne yirmayaah bhavishyadwakta se yah vachan bhi kaha ki babul ka raja nabookadnessar kyonkar aakar Misr desh ko maar lega:

14

मिस्र में वर्णन करो, और मिग्दोल में सुनाओ; हां, ओर नोप और तहपन्हेस में सुना कर यह कहो कि खड़े हो कर तैयार हो जाओ; क्योंकि तुम्हारे चारों ओर सब कुछ तलवार खा गई है।

Misr mein varnan karo, aur migdol mein sunao; han, or nop aur tahpanhes mein suna kar yah kaho ki khade ho kar taiyaar ho jao; kyonki tumhare charon or sab kuchh talvaar kha gai hai.

15

तेरे बलवन्त जन क्यों बिलाय गए हैं? वे इस कारण खड़े न रह सके क्योंकि यहोवा ने उन्हें ढकेल दिया।

Tere balvant jan kyon bilaay gaye hain? Ve is karan khade na rah sake kyonki Yahowa ne unhein dhakel diya.

16

उसने बहुतों को ठोकर खिलाई, वे एक दूसरे पर गिर पड़े; और वे कहने लगे, उठो, चलो, हम अन्धेर करने वाले की तलवार के डर के मारे अपने अपने लोगों ओर अपनी अपनी जन्मभूमि में फिर लौट जाएं।

Usne bahuton ko thokar khilai, ve ek doosre par gir pade; aur ve kahne lage, utho, chalo, ham andher karne vale ki talvaar ke dar ke mare apne apne logon or apni apni janmabhoomi mein phir laut jayen.

17

वहां वे पुकार के कहते हैं, मिस्र का राजा फिरौन सत्यानाश हुआ; क्योंकि उसने अपना बहुमूल्य अवसर खो दिया।

Vahan ve pukaar ke kahte hain, Misr ka raja Firaun satyanaash huaa; kyonki usne apna bahumoolya avsar kho diya.

18

वह राजाधिराज जिसका नाम सेनाओं का यहोवा है, उसकी यह वाणी है कि मेरे जीवन की सौगन्ध, जैसा ताबोर अन्य पहाड़ों में, और जैसा कमल समुद्र के किनारे है, वैसा ही वह आएगा।

Vah rajadhiraaj jiska naam senaon ka Yahowa hai, uski yah vani hai ki mere jeevan ki saugandh, jaisa tabor anya pahadon mein, aur jaisa kamal samudra ke kinare hai, vaisa hi vah aayega.

19

हे मिस्र की रहने वाली पुत्री! बंधुआई में जाने का सामान तैयार कर, क्योंकि नोप नगर उजाड़ और ऐसा भस्म हो जाएगा कि उस में कोई भी न रहेगा।

He Misr ki rahne vali putri! Bandhuaai mein jane ka samaan taiyaar kar, kyonki nop nagar ujaad aur aisa bhasm ho jayega ki us mein koi bhi na rahega.

20

मिस्र बहुत ही सुन्दर बछिया तो है, परन्तु उत्तर दिशा से नाश चला आता है, वह आ ही गया है।

Misr bahut hi sundar bachhiya to hai, parantu uttar disha se naash chala aata hai, vah aa hi gaya hai.

21

उसके जो सिपाही किराये पर आए हैं वह पोसे हुए बछड़ों के समान हैं; उन्होंने मुंह मोड़ा, और एक संग भाग गए, वे खड़े नहीं रहे; क्योंकि उनकी विपत्ति का दिन और दण्ड पाने का समय आ गया।

Uske jo sipahi kiraye par aaye hain vah pose hue bachhdon ke samaan hain; unhonne munh moda, aur ek sang bhaag gaye, ve khade nahi rahe; kyonki unki vipatti ka din aur dand pane ka samay aa gaya.

22

उसकी आहट सर्प के भागने की सी होगी; क्योंकि वे वृक्षों के काटने वालों की सेना और कुल्हाड़ियां लिए हुए उसके विरुद्ध चढ़ आएंगे।

Uski aahat sarp ke bhagne ki si hogi; kyonki ve vrikshon ke katne valon ki sena aur kulhadiyan liye hue uske viruddh chadh aayenge.

23

यहोवा की यह वाणी है, कि चाहे उसका वन बहुत ही घना हो, परन्तु वे उसको काट डालेंगे, क्योंकि वे टिड्डियों से भी अधिक अनगिनित हैं।

Yahowa ki yah vani hai, ki chahe uska van bahut hi ghana ho, parantu ve usko kaat dalenge, kyonki ve tiddiyon se bhi adhik anginit hain.

24

मिस्री कन्या लज्जित होगी, वह उत्तर दिशा के लोगों के वश में कर दी जाएगी।

Misri kanya lajjit hogi, vah uttar disha ke logon ke vash mein kar di jayegi.

25

इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा कहता है, देखो, मैं नगरवासी आमोन और फिरौन राजा और मिस्र को उसके सब देवताओं और राजाओं समेत और फिरौन को उन समेत जो उस पर भरोसा रखते हैं दण्ड देने पर हूँ।

Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa kahta hai, dekho, main nagarvasi aamon aur Firaun raja aur Misr ko uske sab devtaon aur rajaon samet aur Firaun ko un samet jo us par bharosa rakhte hain dand dene par hoon.

26

मैं उन को बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर और उसके कर्मचारियों के वश में कर दूंगा जो उनके प्राण के खोजी हैं। उसके बाद वह प्राचीनकाल की नाईं फिर बसाया जाएगा, यहोवा की यह वाणी है।

Main un ko babul ke raja nabookadnessar aur uske karmachariyon ke vash mein kar doonga jo unke praan ke khoji hain. Uske baad vah pracheenkaal ki nai phir basaya jayega, Yahowa ki yah vani hai.

27

परन्तु हे मेरे दास याकूब, तू मत डर, और हे इस्राएल, विस्मित न हो; क्योंकि मैं तुझे और तेरे वंश को बंधुआई के दूर देश से छुड़ा ले आऊंगा। याकूब लौटकर चैन और सुख से रहेगा, और कोई उसे डराने न पाएगा।

Parantu he mere daas Yakub, tu mat dar, aur he Israel, vismit na ho; kyonki main tujhe aur tere vansh ko bandhuaai ke door desh se chhuda le aaoonga. Yakub lautkar chain aur sukh se rahega, aur koi use darane na payega.

28

हे मेरे दास याकूब, यहोवा की यह वाणी है, कि तू मत डर, क्योंकि मैं तेरे साथ हूँ। ओर यद्यपि मैं उन सब जातियों का अन्त कर डालूंगा जिन में मैं ने तुझे बरबस निकाल दिया है, तौभी तेरा अन्त न करूंगा। मैं तेरी ताड़ना विचार कर के करूंगा, परन्तु तुझे किसी प्रकार से निर्दोष न ठहराऊंगा।

He mere daas Yakub, Yahowa ki yah vani hai, ki tu mat dar, kyonki main tere saath hoon. Or yadyapi main un sab jatiyon ka ant kar daloonga jin mein main ne tujhe barbas nikaal diya hai, taubhi tera ant na karoonga. Main teri tadna vichaar kar ke karoonga, parantu tujhe kisi prakaar se nirdosh na thahraoonga.