Jeremiah 45 · 5 verses

यिर्मयाह 45 Jeremiah 45 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 45.

1

योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के चौथे वर्ष में, जब नेरिय्याह का पुत्र बारूक यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता से भविष्यद्वाणी के ये वचन सुन कर पुस्तक में लिख चुका था,

Yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke chauthe varsh mein, jab neriyyaah ka putra barook yirmayaah bhavishyadwakta se bhavishyadwani ke ye vachan sun kar pustak mein likh chuka tha,

2

तब उसने उस से यह वचन कहा, कि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा, तुझ से यों कहता है,

Tab usne us se yah vachan kaha, ki Israel ka Parmeshwar Yahowa, tujh se yon kahta hai,

3

हे बारूक, तू ने कहा, हाय मुझ पर! क्योंकि यहोवा ने मुझे दु:ख पर दु:ख दिया है; मैं कराहते कराहते थक गया और मुझे कुछ चैन नहीं मिलता।

He barook, tu ne kaha, haay mujh par! Kyonki Yahowa ne mujhe dukh par dukh diya hai; main karahte karahte thak gaya aur mujhe kuchh chain nahi milta.

4

तू यों कह, यहोवा यों कहता है, कि देख, इस सारे देश को जिसे मैं ने बनाया था, उसे मैं आप ढा दूंगा, और जिन को मैं ने रोपा था, उन्हें स्वयं उखाड़ फेंकूंगा।

Tu yon kah, Yahowa yon kahta hai, ki dekh, is sare desh ko jise main ne banaya tha, use main aap dha doonga, aur jin ko main ne ropa tha, unhein swayan ukhaad phenkoonga.

5

इसलिये सुन, क्या तू अपने लिये बड़ाई खोज रहा है? उसे मत खोज; क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, कि मैं सारे मनुष्यों पर विपत्ति डालूंगा; परन्तु जहां कहीं तू जाएगा वहां मैं तेरा प्राण बचा कर तुझे जीवित रखूंगा।

Isliye sun, kya tu apne liye badai khoj raha hai? Use mat khoj; kyonki Yahowa ki yah vani hai, ki main sare manushyon par vipatti daloonga; parantu jahan kahi tu jayega vahan main tera praan bacha kar tujhe jeevit rakhoonga.