Jeremiah 44 · 30 verses

यिर्मयाह 44 Jeremiah 44 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 44.

1

जितने यहूदी लोग मिस्र देश में मिग्दोल, तहपन्हेस और नोप नगरों और पत्रोस देश में रहते थे, उनके विषय यिर्मयाह के पास यह वचन पहुंचा,

Jitne Yahudi log Misr desh mein migdol, tahpanhes aur nop nagron aur patros desh mein rahte the, unke vishay yirmayaah ke paas yah vachan pahuncha,

2

इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि जो विपत्ति मैं यरूशलेम और यहूदा के सब नगरों पर डाल चुका हूँ, वह सब तुम लोगों ने देखी है। देखो, वे आज के दिन कैसे उजड़े हुए और निर्जन हैं,

Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa yon kahta hai ki jo vipatti main Yerushalem aur Yahuda ke sab nagron par daal chuka hoon, vah sab tum logon ne dekhi hai. Dekho, ve aaj ke din kaise ujde hue aur nirjan hain,

3

क्योंकि उनके निवासियों ने वह बुराई की जिस से उन्होंने मुझे रिस दिलाई थी वे जा कर दूसरे देवताओं के लिये धूप जलाते थे और उनकी उपासना करते थे, जिन्हें न तो तुम और न तुम्हारे पुरखा जानते थे।

Kyonki unke nivasiyon ne vah burai ki jis se unhonne mujhe ris dilai thi ve ja kar doosre devtaon ke liye dhoop jalate the aur unki upasna karte the, jinhein na to tum aur na tumhare purkha jante the.

4

तौभी मैं अपने सब दास भविष्यद्वक्ताओं को बड़े यत्न से यह कहने के लिये तुम्हारे पास भेजता रहा कि यह घृणित काम मत करो, जिस से मैं घृणा रखता हूँ।

Taubhi main apne sab daas bhavishyadwaktaon ko bade yatn se yah kahne ke liye tumhare paas bhejta raha ki yah ghrinit kaam mat karo, jis se main ghrina rakhta hoon.

5

पर उन्होंने मेरी न सुनी और न मेरी ओर कान लगाया कि अपनी बुराई से फिरें और दूसरे देवताओं के लिये धूप न जलाएं।

Par unhonne meri na suni aur na meri or kaan lagaya ki apni burai se phirein aur doosre devtaon ke liye dhoop na jalayen.

6

इस कारण मेरी जलजलाहट और कोप की आग यहूदा के नगरों और यरूशलेम की सड़कों पर भड़क गई; और वे आज के दिन तक उजाड़ और सुनसान पड़े हैं।

Is karan meri jalajlahat aur kop ki aag Yahuda ke nagron aur Yerushalem ki sadkon par bhadak gai; aur ve aaj ke din tak ujaad aur sunsaan pade hain.

7

अब यहोवा, सेनाओं का परमेश्वर, जो इस्राएल का परमेश्वर है, यों कहता है, तुम लोग क्यों अपनी यह बड़ी हानि करते हो, कि क्या पुरुष, क्या स्त्री, क्या बालक, क्या दूधपिउवा बच्चा, तुम सब यहूदा के बीच से नाश किए जाओ, और कोई न रहे?

Ab Yahowa, senaon ka Parmeshwar, jo Israel ka Parmeshwar hai, yon kahta hai, tum log kyon apni yah badi hani karte ho, ki kya purush, kya stri, kya balak, kya doodhpiuva bachcha, tum sab Yahuda ke beech se naash kiye jao, aur koi na rahe?

8

क्योंकि इस मिस्र देश में जहां तुम परदेशी हो कर रहने के लिये आए हो, तुम अपने कामों के द्वारा, अर्थात दूसरे देवताओं के लिये धूप जला कर मुझे रिस दिलाते हो जिस से तुम नाश हो जाओगे ओर पृथ्वी भर की सब जातियों के लोग तुम्हारी जाति की नामधराई करेंगे और तुम्हारी उपमा देकर शाप दिया करेंगे।

Kyonki is Misr desh mein jahan tum pardeshi ho kar rahne ke liye aaye ho, tum apne kamon ke dwara, arthaat doosre devtaon ke liye dhoop jala kar mujhe ris dilate ho jis se tum naash ho jaoge or prithvi bhar ki sab jatiyon ke log tumhari jati ki namadhrai karenge aur tumhari upma dekar shaap diya karenge.

9

जो जो बुराइयां तुम्हारे पुरखा, यहूदा के राजा और उनकी स्त्रियां, और तुम्हारी स्त्रियां, वरन तुम आप यहूदा देश और यरूशलेम की सड़कों में करते थे, क्या उसे तुम भूल गए हो?

Jo jo buraiyan tumhare purkha, Yahuda ke raja aur unki striyan, aur tumhari striyan, varan tum aap Yahuda desh aur Yerushalem ki sadkon mein karte the, kya use tum bhool gaye ho?

10

आज के दिन तक उनका मन चूर नहीं हुआ ओर न वे डरते हैं; और न मेरी उस व्यवस्था और उन विधियों पर चलते हैं जो मैं ने तुम्हारे पूर्वजों को और तुम को भी सुनवाई हैं।

Aaj ke din tak unka man choor nahi huaa or na ve darte hain; aur na meri us vyavastha aur un vidhiyon par chalte hain jo main ne tumhare poorvajon ko aur tum ko bhi sunvai hain.

11

इस कारण इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा, यों कहता है, देखो, मैं तुम्हारे विरुद्ध हो कर तुम्हारी हानि करूंगा, ताकि सब यहूदियों का अन्त कर दूं।

Is karan Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa, yon kahta hai, dekho, main tumhare viruddh ho kar tumhari hani karoonga, taki sab Yahudiyon ka ant kar dun.

12

और बचे हुए यहूदी जो हठ कर के मिस्र देश में आकर रहने लगे हैं, वे सब मिट जाएंगे; इस मिस्र देश में छोटे से ले कर बड़े तक वे तलवार और महंगी के द्वारा मर के मिट जाएंगे; और लोग उन्हें कोसेंगे और चकित होंगे; और उनकी उपमा देकर शाप दिया करेंगे और निन्दा भी करेंगे।

Aur bache hue Yahudi jo hath kar ke Misr desh mein aakar rahne lage hain, ve sab mit jayenge; is Misr desh mein chhote se le kar bade tak ve talvaar aur mahangi ke dwara mar ke mit jayenge; aur log unhein kosenge aur chakit honge; aur unki upma dekar shaap diya karenge aur ninda bhi karenge.

13

सो जैसा मैं ने यरूशलेम को तलवार, महंगी और मरी के द्वारा दण्ड दिया है, वैसा ही मिस्र देश में रहने वालों को भी दण्ड दूंगा,

So jaisa main ne Yerushalem ko talvaar, mahangi aur mari ke dwara dand diya hai, vaisa hi Misr desh mein rahne valon ko bhi dand doonga,

14

कि जो बचे हुए यहूदी मिस्र देश में परदेशी हो कर रहने के लिये आए हैं, यद्यपि वे यहूदा देश में रहने के लिये लौटने की बड़ी अभिलाषा रखते हैं, तौभी उन में से एक भी बच कर वहां न लौटने पाएगा; केवल कुछ ही भागे हुओं को छोड़ कोई भी वहां न लौटने पाएगा।

Ki jo bache hue Yahudi Misr desh mein pardeshi ho kar rahne ke liye aaye hain, yadyapi ve Yahuda desh mein rahne ke liye lautne ki badi abhilasha rakhte hain, taubhi un mein se ek bhi bach kar vahan na lautne payega; keval kuchh hi bhage huon ko chhod koi bhi vahan na lautne payega.

15

तब मिस्र देश के पत्रोस में रहने वाले जितने पुरुष जानते थे कि उनकी स्त्रियां दूसरे देवताओं के लिये धूप जलाती हैं, और जितनी स्त्रियां बड़ी मण्डली में पास खड़ी थी, उन सभों ने यिर्मयाह को यह उत्तर दिया,

Tab Misr desh ke patros mein rahne vale jitne purush jante the ki unki striyan doosre devtaon ke liye dhoop jalati hain, aur jitni striyan badi mandali mein paas khadi thi, un sabhon ne yirmayaah ko yah uttar diya,

16

जो वचन तू ने हम को यहोवा के नाम से सुनाया है, उसको हम नहीं सुनने के।

Jo vachan tu ne ham ko Yahowa ke naam se sunaya hai, usko ham nahi sunne ke.

17

जो जो मन्नतें हम मान चुके हैं उन्हें हम निश्चय पूरी करेंगी, हम स्वर्ग की रानी के लिये धूप जलाएंगे और तपावन देंगे, जैसे कि हमारे पुरखा लोग और हम भी अपने राजाओं और और हाकिमों समेत यहूदा के नगरों में और यरूशलेम की सड़कों में करते थे; क्योंकि उस समय हम पेट भर के खाते और भले चंगे रहते और किसी विपत्ति में नहीं पड़ते थे।

Jo jo mannatein ham maan chuke hain unhein ham nishchay poori karengi, ham swarg ki rani ke liye dhoop jalayenge aur tapavan denge, jaise ki hamare purkha log aur ham bhi apne rajaon aur aur hakimon samet Yahuda ke nagron mein aur Yerushalem ki sadkon mein karte the; kyonki us samay ham pet bhar ke khate aur bhale change rahte aur kisi vipatti mein nahi padte the.

18

परन्तु जब से हम ने स्वर्ग की रानी के लिये धूप जलाना और तपावन देना छोड़ दिया, तब से हम को सब वस्तुओं की घटी है; और हम तलवार और महंगी के द्वारा मिट चले हैं।

Parantu jab se ham ne swarg ki rani ke liye dhoop jalana aur tapavan dena chhod diya, tab se ham ko sab vastuon ki ghati hai; aur ham talvaar aur mahangi ke dwara mit chale hain.

19

और स्त्रियों ने कहा, जब हम स्वर्ग की रानी के लिये धूप जलातीं और चन्द्राकार रोटियां बनाकर तपावन देती थीं, तब अपने अपने पति के बिन जाने ऐसा नहीं करती थीं।

Aur striyon ne kaha, jab ham swarg ki rani ke liye dhoop jalati aur chandrakaar rotiyan banakar tapavan deti thi, tab apne apne pati ke bin jane aisa nahi karti thi.

20

तब यिर्मयाह ने, क्या स्त्री, क्या पुरुष, जितने लोगों ने यह उत्तर दिया, उन सब से कहा,

Tab yirmayaah ne, kya stri, kya purush, jitne logon ne yah uttar diya, un sab se kaha,

21

तुम्हारे पुरखा और तुम जो अपने राजाओं और हाकिमों और लोगों समेत यहूदा देश के नगरों और यरूशलेम की सड़कों में धूप जलाते थे, क्या वह यहोवा के ध्यान में नहीं आया?

Tumhare purkha aur tum jo apne rajaon aur hakimon aur logon samet Yahuda desh ke nagron aur Yerushalem ki sadkon mein dhoop jalate the, kya vah Yahowa ke dhyaan mein nahi aaya?

22

क्या उसने उसको स्मरण न किया? सो जब यहोवा तुम्हारे बुरे और सब घृणित कामों को और अधिक न सह सका, तब तुम्हारा देश उजड़ कर निर्जन और सुनसान हो गया, यहां तक कि लोग उसकी उपमा देकर शाप दिया करते हैं, जैसे कि आज होता है।

Kya usne usko smaran na kiya? So jab Yahowa tumhare bure aur sab ghrinit kamon ko aur adhik na sah saka, tab tumhara desh ujad kar nirjan aur sunsaan ho gaya, yahan tak ki log uski upma dekar shaap diya karte hain, jaise ki aaj hota hai.

23

क्योंकि तुम धूप जलाकर यहोवा के विरुद्ध पाप करते और उसकी नहीं सुनते थे, और उसकी व्यवस्था और विधियों और चितौनियों के अनुसार नहीं चले, इस कारण यह विपत्ति तुम पर आ पड़ी है, जैसे कि आज है।

Kyonki tum dhoop jalakar Yahowa ke viruddh paap karte aur uski nahi sunte the, aur uski vyavastha aur vidhiyon aur chitauniyon ke anusaar nahi chale, is karan yah vipatti tum par aa padi hai, jaise ki aaj hai.

24

फिर यिर्मयाह ने उन सब लोगों से और उन सब स्त्रियों से कहा, हे सारे मिस्र देश में रहने वाले यहूदियो, यहोवा का वचन सुनो:

Phir yirmayaah ne un sab logon se aur un sab striyon se kaha, he sare Misr desh mein rahne vale yahoodiyo, Yahowa ka vachan suno:

25

इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा, यों कहता है, कि तुम ने और तुम्हारी स्त्रियों ने मन्नतें मानी और यह कह कर उन्हें पूरी करते हो कि हम ने स्वर्ग की रानी के लिये धूप जलाने और तपावन देने की जो जो मन्नतें मानी हैं उन्हें हम अवश्य ही पूरी करेंगे; और तुम ने अपने हाथों से ऐसा ही किया। सो अब तुम अपनी अपनी मन्नतों को मान कर पूरी करो!

Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa, yon kahta hai, ki tum ne aur tumhari striyon ne mannatein mani aur yah kah kar unhein poori karte ho ki ham ne swarg ki rani ke liye dhoop jalane aur tapavan dene ki jo jo mannatein mani hain unhein ham avashya hi poori karenge; aur tum ne apne hathon se aisa hi kiya. So ab tum apni apni mannaton ko maan kar poori karo!

26

परन्तु हे मिस्र देश में रहने वाले सारे यहूदियो यहोवा का वचन सुनो: सुनो, मैं ने अपने बड़े नाम की शपथ खाई है कि अब पूरे मिस्र देश में कोई यहूदी मनुष्य मेरा नाम ले कर फिर कभी यह न कहने पाएगा कि “प्रभु यहोवा के जीवन की सौगन्ध”।

Parantu he Misr desh mein rahne vale sare yahoodiyo Yahowa ka vachan suno: suno, main ne apne bade naam ki shapath khai hai ki ab poore Misr desh mein koi Yahudi manushya mera naam le kar phir kabhi yah na kahne payega ki “Prabhu Yahowa ke jeevan ki saugandh”.

27

सुनो, अब मैं उनकी भलाई नहीं, हानि ही की चिन्ता करूंगा; सो मिस्र देश में रहने वाले सब यहूदी, तलवार और महंगी के द्वारा मिटकर नाश हो जाएंगे जब तक कि उनका सर्वनाश न हो जाए।

Suno, ab main unki bhalai nahi, hani hi ki chinta karoonga; so Misr desh mein rahne vale sab Yahudi, talvaar aur mahangi ke dwara mitkar naash ho jayenge jab tak ki unka sarvanaash na ho jaye.

28

और जो तलवार से बच कर और मिस्र देश से लौट कर यहूदा देश में पहुंचेंगे, वे थोड़े ही होंगे; और मिस्र देश में रहने के लिये आए हुए सब यहूदियों में से जो बच पाएंगे, वे जान लेंगे कि किसका वचन पूरा हुआ, मेरा वा उनका।

Aur jo talvaar se bach kar aur Misr desh se laut kar Yahuda desh mein pahunchenge, ve thode hi honge; aur Misr desh mein rahne ke liye aaye hue sab Yahudiyon mein se jo bach payenge, ve jaan lenge ki kiska vachan poora huaa, mera va unka.

29

इस बात का मैं यह चिन्ह देता हूं, यहोवा की यह वाणी है, कि मैं तुम्हें इसी स्थान में दण्ड दूंगा, जिस से तुम जान लोगे कि तुम्हारी हानि करने में मेरे वचन निश्चय पूरे होंगे।

Is baat ka main yah chinh deta hoon, Yahowa ki yah vani hai, ki main tumhein isi sthaan mein dand doonga, jis se tum jaan loge ki tumhari hani karne mein mere vachan nishchay poore honge.

30

यहोवा यों कहता हे, देखो, जैसा मैं ने यहूदा के राजा सिदकिय्याह को उसके शत्रु अर्थात उसके प्राण के खोजी बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के हाथ में कर दिया, वैसे ही मैं मिस्र के राजा फिरौन होप्रा को भी उसके शत्रुओं के, अर्थात उसके प्राण के खोजियों के हाथ में कर दूंगा।

Yahowa yon kahta he, dekho, jaisa main ne Yahuda ke raja sidkiyyaah ko uske shatru arthaat uske praan ke khoji babul ke raja nabookadnessar ke haath mein kar diya, vaise hi main Misr ke raja Firaun hopra ko bhi uske shatruon ke, arthaat uske praan ke khojiyon ke haath mein kar doonga.