Jeremiah 43 · 13 verses

यिर्मयाह 43 Jeremiah 43 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 43.

1

जब यिर्मयाह उनके परमेश्वर यहोवा के वे सब वचन कह चुका, जिनके कहने के लिये उसने उसको उन सब लोगों के पास भेजा था,

Jab yirmayaah unke Parmeshwar Yahowa ke ve sab vachan kah chuka, jinke kahne ke liye usne usko un sab logon ke paas bheja tha,

2

तब होशाया के पुत्र अजर्याह और कारेह के पुत्र योहानान और सब अभिमानी पुरुषों ने यिर्मयाह से कहा, तू झूठ बोलता है। हमारे परमेश्वर यहोवा ने तुझे यह कहने के लिये नहीं भेजा कि मिस्र में रहने के लिये मत जाओ;

Tab hoshaya ke putra ajaryaah aur kareh ke putra yohanaan aur sab abhimani purushon ne yirmayaah se kaha, tu jhooth bolta hai. Hamare Parmeshwar Yahowa ne tujhe yah kahne ke liye nahi bheja ki Misr mein rahne ke liye mat jao;

3

परन्तु नेरिय्याह का पुत्र बारूक तुझ को हमारे विरुद्ध उकसाता है कि हम कसदियों के हाथ में पड़ें और वे हम को मार डालें वा बंधुआ कर के बाबुल को ले जाएं।

Parantu neriyyaah ka putra barook tujh ko hamare viruddh uksata hai ki ham kasdiyon ke haath mein padein aur ve ham ko maar dalein va bandhuaa kar ke babul ko le jayen.

4

सो कारेह का पुत्र योहानान और दलों के सब प्रधानों और सब लोगों ने यहोवा की यह आज्ञा न मानी कि वे यहूदा के देश में ही रहें।

So kareh ka putra yohanaan aur dalon ke sab pradhanon aur sab logon ne Yahowa ki yah aagya na mani ki ve Yahuda ke desh mein hi rahein.

5

और कारेह का पुत्र योहानान और दलों के और सब प्रधान उन सब यहूदियों को जो अन्यजातियों के बीच तितरबितर हो गए थे, और उन में से लौटकर यहूदा देश में रहने लगे थे, वे उन को ले गए--

Aur kareh ka putra yohanaan aur dalon ke aur sab pradhaan un sab Yahudiyon ko jo anyajatiyon ke beech titarbitar ho gaye the, aur un mein se lautkar Yahuda desh mein rahne lage the, ve un ko le gaye--

6

पुरुष, स्त्री, बाल-बच्चे, राजकुमारियां, और जितने प्राणियों को जल्लादों के प्रधान नबूजरदान ने गदल्याह को जो अहीकाम का पुत्र और शापान का पोता था, सौंप दिया था, उन को और यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता और नेरिय्याह के पुत्र बारूक को वे ले गए;

Purush, stri, baal-bachche, rajkumariyan, aur jitne praniyon ko jalladon ke pradhaan naboojardaan ne gadalyaah ko jo aheekaam ka putra aur shapaan ka pota tha, saump diya tha, un ko aur yirmayaah bhavishyadwakta aur neriyyaah ke putra barook ko ve le gaye;

7

और यहोवा की आज्ञा न मान कर वे मिस्र देश में तहपन्हेस नगर तक आ गए।

Aur Yahowa ki aagya na maan kar ve Misr desh mein tahpanhes nagar tak aa gaye.

8

तब यहोवा का यह वचन तहपन्हेस में यिर्मयाह के पास पहुंचा:

Tab Yahowa ka yah vachan tahpanhes mein yirmayaah ke paas pahuncha:

9

अपने हाथ से बड़े पत्थर ले, और यहूदी पुरुषों के साम्हने उस ईंट के चबूतरे में जो तहपन्हेस में फिरौन के भवन के द्वार के पास है, चूना फेर के छिपा दे,

Apne haath se bade patthar le, aur Yahudi purushon ke samhane us int ke chabootre mein jo tahpanhes mein Firaun ke bhavan ke dwaar ke paas hai, choona pher ke chhipa de,

10

और उन पुरुषों से कह, कि इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा, यों कहता है, देखो, मैं बाबुल के राजा अपने सेवक नबूकदनेस्सर को बुलवा भेजूंगा, और वह अपना सिंहासन इन पत्थरों के ऊपर जो मैं ने छिपा रखे हैं, रखेगा; और अपना छत्र इनके ऊपर तनवाएगा।

Aur un purushon se kah, ki Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa, yon kahta hai, dekho, main babul ke raja apne sevak nabookadnessar ko bulva bhejoonga, aur vah apna sinhasan in pattharon ke oopar jo main ne chhipa rakhe hain, rakhega; aur apna chhatra inke oopar tanvayega.

11

वह आके मिस्र देश को मारेगा, तब जो मरने वाले हों वे मृत्यु के वश में, जो बंधुए होने वाले हों वे बंधुआई में, और जो तलवार के लिये हें वे तलवार के वश में कर दिए जाएंगे।

Vah aake Misr desh ko marega, tab jo marne vale hon ve mrityu ke vash mein, jo bandhue hone vale hon ve bandhuaai mein, aur jo talvaar ke liye hein ve talvaar ke vash mein kar diye jayenge.

12

मैं मिस्र के देवालयों में आग लगाऊंगा; और वह उन्हें फुंकवा देगा और बंधुआई में ले जाएगा; और जैसा कोई चरवाहा अपना वस्त्र ओढ़ता है, वैसा ही वह मिस्र देश को समेट लेगा; और तब बेखटके चला जाएगा।

Main Misr ke devalyon mein aag lagaoonga; aur vah unhein phunkva dega aur bandhuaai mein le jayega; aur jaisa koi charvaha apna vastra odhta hai, vaisa hi vah Misr desh ko samet lega; aur tab bekhatke chala jayega.

13

वह मिस्र देश के सूर्यगृह के खम्भों को तुड़वा डालेगा; और मिस्र के देवालयों को आग लगा कर फूंकवा देगा।

Vah Misr desh ke sooryagrih ke khambhon ko tudva dalega; aur Misr ke devalyon ko aag laga kar phoonkva dega.