Jeremiah 41 · 18 verses

यिर्मयाह 41 Jeremiah 41 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 41.

1

और सातवें महीने में ऐसा हुआ कि इश्माएल जो नतन्याह का पुत्र और एलीशामा का पोता और राजवंश का और राजा के प्रधान पुरुषों में से था, सो दस जन संग ले कर मिस्पा में अहीकाम के पुत्र गदल्याह के पास आया। वहां मिस्पा में उन्होंने एक संग भोजन किया।

Aur satvein maheene mein aisa huaa ki ishmayel jo natanyaah ka putra aur eleeshama ka pota aur rajvansh ka aur raja ke pradhaan purushon mein se tha, so das jan sang le kar mispa mein aheekaam ke putra gadalyaah ke paas aaya. Vahan mispa mein unhonne ek sang bhojan kiya.

2

तब नतन्याह के पुत्र इश्माएल और उसके संग के दस जनों ने उठ कर गदल्याह को, जो अहीकाम का पुत्र और शपान का पोता था, ओर जिसे बाबुल के राजा ने देश का अधिकारी ठहराया था, उसे तलवार से ऐसा मारा कि वह मर गया।

Tab natanyaah ke putra ishmayel aur uske sang ke das janon ne uth kar gadalyaah ko, jo aheekaam ka putra aur shapaan ka pota tha, or jise babul ke raja ne desh ka adhikari thahraya tha, use talvaar se aisa mara ki vah mar gaya.

3

और इश्माएल ने गदल्याह के संग जितने यहूदी मिस्पा में थे, और जो कसदी योद्धा वहां मिले, उन सभों को मार डाला।

Aur ishmayel ne gadalyaah ke sang jitne Yahudi mispa mein the, aur jo kasdi yoddha vahan mile, un sabhon ko maar dala.

4

गदल्याह के मार डालने के दूसरे दिन जब कोई इसे न जानता था,

Gadalyaah ke maar dalne ke doosre din jab koi ise na janta tha,

5

तब शकेम और शीलो और शोमरोन से अस्सी पुरुष डाढ़ी मुड़ाए, वस्त्र फाड़े, शरीर चीरे हुए और हाथ में अन्नबलि और लोबान लिए हुए, यहोवा के भवन में जाने को आते दिखाई दिए।

Tab shakem aur sheelo aur shomron se assi purush dadhi mudaye, vastra phade, shareer cheere hue aur haath mein annabli aur lobaan liye hue, Yahowa ke bhavan mein jane ko aate dikhai diye.

6

तब नतन्याह का पुत्र इश्माएल उन से मिलने को मिस्पा से निकला, और रोता हुआ चला। जब वह उन से मिला, तब कहा, अहीकाम के पुत्र गदल्याह के पास चलो।

Tab natanyaah ka putra ishmayel un se milne ko mispa se nikla, aur rota huaa chala. Jab vah un se mila, tab kaha, aheekaam ke putra gadalyaah ke paas chalo.

7

जब वे उस नगर में आए तब नतन्याह के पुत्र इश्माएल ने अपने संगी जनों समेत उन को घात कर के गड़हे में फेंक दिया।

Jab ve us nagar mein aaye tab natanyaah ke putra ishmayel ne apne sangi janon samet un ko ghaat kar ke gadhe mein phenk diya.

8

परन्तु उन में से दस मनुष्य इश्माएल से कहने लगे, हम को न मार; क्योंकि हमारे पास मैदान में रखा हुआ गेहूं, जव, तेल और मधु है। सो उसने उन्हें छोड़ दिया और उनके भाइयों के साथ नहीं मारा।

Parantu un mein se das manushya ishmayel se kahne lage, ham ko na maar; kyonki hamare paas maidaan mein rakha huaa gehun, jav, tel aur madhu hai. So usne unhein chhod diya aur unke bhaiyon ke saath nahi mara.

9

जिस गड़हे में इश्माएल न उन लोगों की सब लोथें जिन्हें उसने मारा था, गदल्याह की लोथ के पास फेंक दी थी, (यह वही गड़हा है जिसे आसा राजा ने इस्राएल के राजा बाशा के डर के मारे खुदवाया था), उसको नतन्याह के पुत्र इश्माएल ने मारे हुओं से भर दिया।

Jis gadhe mein ishmayel na un logon ki sab lothein jinhein usne mara tha, gadalyaah ki loth ke paas phenk di thi, (yah vahi gadha hai jise aasa raja ne Israel ke raja basha ke dar ke mare khudvaya tha), usko natanyaah ke putra ishmayel ne mare huon se bhar diya.

10

तब जो लोग मिस्पा में बचे हुए थे, अर्थात राजकुमारियां और जितने और लोग मिस्पा में रह गए थे जिन्हें जल्लादों के प्रधान नबूजरदान ने अहीकाम के पुत्र गदल्याह को सौंप दिया था, उन सभों को नतन्याह का पुत्र इश्माएल बंधुआ कर के अम्मोनियों के पास ले जाने को चला।

Tab jo log mispa mein bache hue the, arthaat rajkumariyan aur jitne aur log mispa mein rah gaye the jinhein jalladon ke pradhaan naboojardaan ne aheekaam ke putra gadalyaah ko saump diya tha, un sabhon ko natanyaah ka putra ishmayel bandhuaa kar ke ammoniyon ke paas le jane ko chala.

11

जब कारेह के पुत्र योहानान ने और योद्धाओं के दलों के उन सब प्रधानों ने जो उसके संग थे, सुना, कि नतन्याह के पुत्र इश्माएल ने यह सब बुराई की है,

Jab kareh ke putra yohanaan ne aur yoddhaon ke dalon ke un sab pradhanon ne jo uske sang the, suna, ki natanyaah ke putra ishmayel ne yah sab burai ki hai,

12

तब वे सब जनों को ले कर नतन्याह के पुत्र इश्माएल से लड़ने को निकले और उसको उस बड़े जलाशय के पास पाया जो गिबोन में है।

Tab ve sab janon ko le kar natanyaah ke putra ishmayel se ladne ko nikle aur usko us bade jalashay ke paas paya jo gibon mein hai.

13

कारेह के पुत्र योहानान को, और दलों के सब प्रधानों को देख कर जो उसके संग थे, इश्माएल के साथ जो लोग थे, वे सब आनन्दित हुए।

Kareh ke putra yohanaan ko, aur dalon ke sab pradhanon ko dekh kar jo uske sang the, ishmayel ke saath jo log the, ve sab aanandit hue.

14

और जितने लोगों को इश्माएल मिस्पा से बंधुआ कर के लिए जाता था, वे पलट कर कारेह के पुत्र योहानान के पास चले आए।

Aur jitne logon ko ishmayel mispa se bandhuaa kar ke liye jata tha, ve palat kar kareh ke putra yohanaan ke paas chale aaye.

15

परन्तु नतन्याह का पुत्र इश्माएल आठ पुरुष समेत योहानान के हाथ से बच कर अम्मोनियों के पास चला गया।

Parantu natanyaah ka putra ishmayel aath purush samet yohanaan ke haath se bach kar ammoniyon ke paas chala gaya.

16

तब प्रजा में से जितने बच गए थे, अर्थात जिन योद्धाओं, स्त्रियों, बाल-बच्चों और खोजों को कारेह का पुत्र योहानान, अहीकाम के पुत्र गदल्याह के मिस्पा में मारे जाने के बाद नतन्याह के पुत्र इश्माएल के पास से छुड़ा कर गिबोन से फेर ले आया था, उन को वह अपने सब संगी दलों के प्रधानों समेत ले कर चल दिया।

Tab praja mein se jitne bach gaye the, arthaat jin yoddhaon, striyon, baal-bachchon aur khojon ko kareh ka putra yohanaan, aheekaam ke putra gadalyaah ke mispa mein mare jane ke baad natanyaah ke putra ishmayel ke paas se chhuda kar gibon se pher le aaya tha, un ko vah apne sab sangi dalon ke pradhanon samet le kar chal diya.

17

और बेतलेहेम के निकट जो किम्हाम की सराय है, उस में वे इसलिये टिक गए कि मिस्र में जाएं।

Aur betlehem ke nikat jo kimhaam ki saraay hai, us mein ve isliye tik gaye ki Misr mein jayen.

18

क्योंकि वे कसदियों से डरते थे; इसका कारण यह था कि अहीकाम का पुत्र गदल्याह जिसे बाबुल के राजा ने देश का अधिकारी ठहराया था, उसे नतन्याह के पुत्र इश्माएल ने मार डाला था।

Kyonki ve kasdiyon se darte the; iska karan yah tha ki aheekaam ka putra gadalyaah jise babul ke raja ne desh ka adhikari thahraya tha, use natanyaah ke putra ishmayel ne maar dala tha.