Jeremiah 39 · 18 verses

यिर्मयाह 39 Jeremiah 39 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 39.

1

यहूदा के राजा सिदकिय्याह के राज्य के नौवें वर्ष के दसवें महीने में, बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने अपनी सारी सेना समेत यरूशलेम पर चढ़ाई कर के उसे घेर लिया।

Yahuda ke raja sidkiyyaah ke rajya ke nauvein varsh ke dasvein maheene mein, babul ke raja nabookadnessar ne apni sari sena samet Yerushalem par chadhai kar ke use gher liya.

2

और सिदकिय्याह के राज्य के ग्यारहवें वर्ष के चौथे महीने के नौवें दिन को उस नगर की शहरपनाह तोड़ी गई।

Aur sidkiyyaah ke rajya ke gyarahvein varsh ke chauthe maheene ke nauvein din ko us nagar ki shahrapnaah todi gai.

3

सो जब यरूशलेम ले लिया गया, तब नेर्गलसरेसेर, और समगर्नबो, और खोजों का प्रधान सर्सकीम, और मगों का प्रधान नेर्गलसरेसेर आदि, बाबुल के राजा के सब हाकिम बीच के फाटक में प्रवेश कर के बैठ गए।

So jab Yerushalem le liya gaya, tab nergalasreser, aur samgarnabo, aur khojon ka pradhaan sarsakeem, aur magon ka pradhaan nergalasreser aadi, babul ke raja ke sab hakim beech ke phatak mein pravesh kar ke baith gaye.

4

जब यहूदा के राजा सिदकिय्याह और सब योद्धाओं ने उन्हें देखा तब रात ही रात राजा की बारी के मार्ग से दोनों भीतों के बीच के फाटक से हो कर नगर से निकल कर भाग चले और अराबा का मार्ग लिया।

Jab Yahuda ke raja sidkiyyaah aur sab yoddhaon ne unhein dekha tab raat hi raat raja ki bari ke maarg se donon bheeton ke beech ke phatak se ho kar nagar se nikal kar bhaag chale aur araba ka maarg liya.

5

परन्तु कसदियों की सेना ने उन को खदेड़ कर सिदकिय्याह को यरीहो के अराबा में जा लिया और उन को बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के पास हमात देश के रिबला में ले गए; और उसने वहां उसके दण्ड की आज्ञा दी।

Parantu kasdiyon ki sena ne un ko khaded kar sidkiyyaah ko yareeho ke araba mein ja liya aur un ko babul ke raja nabookadnessar ke paas hamaat desh ke ribla mein le gaye; aur usne vahan uske dand ki aagya di.

6

तब बाबुल के राजा ने सिदकिय्याह के पुत्रों को उसकी आंखों के साम्हने रिबला में घात किया; और सब कुलीन यहूदियों को भी घात किया।

Tab babul ke raja ne sidkiyyaah ke putron ko uski aankhon ke samhane ribla mein ghaat kiya; aur sab kuleen Yahudiyon ko bhi ghaat kiya.

7

उसने सिदकिय्याह की आंखों को फुड़वा डाला और उसको बाबुल ले जाने के लिये बेड़ियों से जकड़वा रखा।

Usne sidkiyyaah ki aankhon ko phudva dala aur usko babul le jane ke liye bediyon se jakadva rakha.

8

कसदियों ने राजभवन और प्रजा के घरों को आग लगा कर फूंक दिया, ओर यरूशलेम की शहरपनाह को ढा दिया।

Kasdiyon ne rajabhvan aur praja ke gharon ko aag laga kar phoonk diya, or Yerushalem ki shahrapnaah ko dha diya.

9

तब जल्लादों का प्रधान नबूजरदान प्रजा के बचे हुओं को जो नगर में रह गए थे, और जो लोग उसके पास भाग आए थे उन को अर्थात प्रजा में से जितने रह गए उन सब को बंधुआ कर के बाबुल को ले गया।

Tab jalladon ka pradhaan naboojardaan praja ke bache huon ko jo nagar mein rah gaye the, aur jo log uske paas bhaag aaye the un ko arthaat praja mein se jitne rah gaye un sab ko bandhuaa kar ke babul ko le gaya.

10

परन्तु प्रजा में से जो ऐसे कंगाल थे जिनके पास कुछ न था, उन को जल्लादों का प्रधान नबूजरदान यहूदा देश में छोड़ गया, और जाते समय उन को दाख की बारियां और खेत दे दिए।

Parantu praja mein se jo aise kangaal the jinke paas kuchh na tha, un ko jalladon ka pradhaan naboojardaan Yahuda desh mein chhod gaya, aur jate samay un ko daakh ki bariyan aur khet de diye.

11

बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने जल्लादों के प्रधान नबूजरदान को यिर्मयाह के विषय में यह आज्ञा दी,

Babul ke raja nabookadnessar ne jalladon ke pradhaan naboojardaan ko yirmayaah ke vishay mein yah aagya di,

12

कि उसको ले कर उस पर कृपादृष्टि बनाए रखना और उसकी कुछ हानि न करना; जैसा वह तुझ से कहे वैसा ही उस से व्यवहार करना।

Ki usko le kar us par kripadrishti banaye rakhna aur uski kuchh hani na karna; jaisa vah tujh se kahe vaisa hi us se vyavhaar karna.

13

सो जल्लादों के प्रधान नबूजरदान और खोजों के प्रधान नबूसजबान और मगों के प्रधान नेर्गलसरेसेर ज्योतिषियों के सरदार,

So jalladon ke pradhaan naboojardaan aur khojon ke pradhaan naboosajbaan aur magon ke pradhaan nergalasreser jyotishiyon ke sardaar,

14

और बाबुल के राजा के सब प्रधानों ने, लोगों को भेज कर यिर्मयाह को पहरे के आंगन में से बुलवा लिया और गदल्याह को जो अहीकाम का पुत्र और शापान का पोता था सौंप दिया कि वह उसे घर पहुंचाए। तब से वह लोगों के साथ रहने लगा।

Aur babul ke raja ke sab pradhanon ne, logon ko bhej kar yirmayaah ko pahre ke aangan mein se bulva liya aur gadalyaah ko jo aheekaam ka putra aur shapaan ka pota tha saump diya ki vah use ghar pahunchaye. Tab se vah logon ke saath rahne laga.

15

जब यिर्मयाह पहरे के आंगन में कैद था, तब यहोवा का यह वचन उसके पास पहुंचा,

Jab yirmayaah pahre ke aangan mein kaid tha, tab Yahowa ka yah vachan uske paas pahuncha,

16

कि, जा कर एबेदमेलेक कूशी से कह कि इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा तुझ से यों कहता है, देख, मैं अपने वे वचन जो मैं ने इस नगर के विषय में कहे हैं इस प्रकार पूरा करूंगा कि इसका कुशल न होगा, हानि ही होगी, ओर उस समय उनका पूरा होना तुझे दिखाई पड़ेगा।

Ki, ja kar ebedmelek kooshi se kah ki Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa tujh se yon kahta hai, dekh, main apne ve vachan jo main ne is nagar ke vishay mein kahe hain is prakaar poora karoonga ki iska kushal na hoga, hani hi hogi, or us samay unka poora hona tujhe dikhai padega.

17

परन्तु यहोवा की यह वाणी है कि उस समय मैं तुझे बचाऊंगा, और जिन मनुष्यों से तू भय खाता है, तू उनके वश में नहीं किया जाएगा।

Parantu Yahowa ki yah vani hai ki us samay main tujhe bachaoonga, aur jin manushyon se tu bhay khata hai, tu unke vash mein nahi kiya jayega.

18

क्योंकि मैं तुझे, निश्चय बचाऊंगा, और तू तलवार से न मरेगा, तेरा प्राण बचा रहेगा, यहोवा की यह वाणी है। यह इस कारण होगा, कि तू ने मुझ पर भरोसा रखा है।

Kyonki main tujhe, nishchay bachaoonga, aur tu talvaar se na marega, tera praan bacha rahega, Yahowa ki yah vani hai. Yah is karan hoga, ki tu ne mujh par bharosa rakha hai.