Jeremiah 38 · 28 verses

यिर्मयाह 38 Jeremiah 38 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 38.

1

फिर जो वचन यिर्मयाह सब लोगों से कहता था, उन को मत्तान के पुत्र शपन्याह, पशहूर के पुत्र गदल्याह, शेलेम्याह के पुत्र यूकल और मल्किय्याह के पुत्र पशहूर ने सुना,

Phir jo vachan yirmayaah sab logon se kahta tha, un ko mattaan ke putra shapanyaah, pashhoor ke putra gadalyaah, shelemyaah ke putra yookal aur malkiyyaah ke putra pashhoor ne suna,

2

कि, यहोवा यों कहता है कि जो कोई इस नगर में रहेगा वह तलवार, महंगी ओर मरी से मरेगा; परन्तु जो कोई कसदियों के पास निकल भागे वह अपना प्राण बचा कर जीवित रहेगा।

Ki, Yahowa yon kahta hai ki jo koi is nagar mein rahega vah talvaar, mahangi or mari se marega; parantu jo koi kasdiyon ke paas nikal bhage vah apna praan bacha kar jeevit rahega.

3

यहोवा यों कहता है, यह नगर बाबुल के राजा की सेना के वश में कर दिया जाएगा और वह इस को ले लेगा।

Yahowa yon kahta hai, yah nagar babul ke raja ki sena ke vash mein kar diya jayega aur vah is ko le lega.

4

इसलिये उन हाकिमों ने राजा से कहा कि उस पुरुष को मरवा डाल, क्योंकि वह जो इस नगर में बचे हुए योद्धाओं और अन्य सब लोगों से ऐसे ऐसे वचन कहता है जिस से उनके हाथ पांव ढीले हो जाते हैं। क्योंकि वह पुरुष इस प्रजा के लोगों की भलाई नहीं वरन बुराई ही चाहता है।

Isliye un hakimon ne raja se kaha ki us purush ko marva daal, kyonki vah jo is nagar mein bache hue yoddhaon aur anya sab logon se aise aise vachan kahta hai jis se unke haath paanv dheele ho jate hain. Kyonki vah purush is praja ke logon ki bhalai nahi varan burai hi chahta hai.

5

सिदकिय्याह राजा ने कहा, सुनो, वह तो तुम्हारे वश में हे; क्योंकि ऐसा नहीं हो सकता कि राजा तुम्हारे विरुद्ध कुछ कर सके।

Sidkiyyaah raja ne kaha, suno, vah to tumhare vash mein he; kyonki aisa nahi ho sakta ki raja tumhare viruddh kuchh kar sake.

6

तब उन्होंने यिर्मयाह को ले कर राजपुत्र मल्किय्याह के उस गड़हे में जो पहरे के आंगन में था, रस्सियों से उतार कर डाल दिया। और उस गड़हे में पानी नहीं केवल दलदल था, और यिर्मयाह कीचड़ में धंस गया।

Tab unhonne yirmayaah ko le kar rajputra malkiyyaah ke us gadhe mein jo pahre ke aangan mein tha, rassiyon se utaar kar daal diya. Aur us gadhe mein pani nahi keval daldal tha, aur yirmayaah keechad mein dhans gaya.

7

उस समय राजा बिन्यामीन के फाटक के पास बैठा था सो जब एबेदमेलेक कूशी ने जो राजभवन में एक खोजा था, सुना, कि उन्होंने यिर्मयाह को गड़हे में डाल दिया है---

Us samay raja binyameen ke phatak ke paas baitha tha so jab ebedmelek kooshi ne jo rajabhvan mein ek khoja tha, suna, ki unhonne yirmayaah ko gadhe mein daal diya hai---

8

तब एबेदमेलेक राजभवन से निकल कर राजा से कहने लगा,

Tab ebedmelek rajabhvan se nikal kar raja se kahne laga,

9

हे मेरे स्वामी, हे राजा, उन लोगों ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता से जो कुछ किया है वह बुरा किया है, क्योंकि उन्होंने उसको गड़हे में डाल दिया है; वहां वह भूख से मर जाएगा क्योंकि नगर में कुछ रोटी नहीं रही है।

He mere swami, he raja, un logon ne yirmayaah bhavishyadwakta se jo kuchh kiya hai vah bura kiya hai, kyonki unhonne usko gadhe mein daal diya hai; vahan vah bhookh se mar jayega kyonki nagar mein kuchh roti nahi rahi hai.

10

तब राजा ने एबेदमेलेक कूशी को यह आज्ञा दी कि यहां से तीस पुरुष साथ ले कर यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता को मरने से पहिले गड़हे में से निकाल।

Tab raja ne ebedmelek kooshi ko yah aagya di ki yahan se tees purush saath le kar yirmayaah bhavishyadwakta ko marne se pahile gadhe mein se nikaal.

11

सो एबेदमेलेक उतने पुरुषों को साथ ले कर राजभवन के भण्डार के तलघर में गया; और वहां से फटे-पुराने कपड़े और चिथड़े ले कर यिर्मयाह के पास उस गड़हे में रस्सियों से उतार दिए।

So ebedmelek utne purushon ko saath le kar rajabhvan ke bhandaar ke talghar mein gaya; aur vahan se phate-purane kapde aur chithde le kar yirmayaah ke paas us gadhe mein rassiyon se utaar diye.

12

और एबेदमेलेक कूशी ने यिर्मयाह से कहा, ये पुराने कपड़े और चिथढ़े अपनी कांखों में रस्सियों के नीचे रख ले। सो यिर्मयाह ने वैसा ही किया।

Aur ebedmelek kooshi ne yirmayaah se kaha, ye purane kapde aur chithdhe apni kankhon mein rassiyon ke neeche rakh le. So yirmayaah ne vaisa hi kiya.

13

तब उन्होंने यिर्मयाह को रस्सियों से खींच कर, गड़हे में से निकाला। और यिर्मयाह पहरे के आंगन में रहने लगा।

Tab unhonne yirmayaah ko rassiyon se kheench kar, gadhe mein se nikala. Aur yirmayaah pahre ke aangan mein rahne laga.

14

सिदकिय्याह राजा ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता को यहोवा के भवन के तीसरे द्वार में अपने पास बुलवा भेजा। और राजा ने यिर्मयाह से कहा, मैं तुझ से एक बात पूछता हूँ; मुझ से कुछ न छिपा।

Sidkiyyaah raja ne yirmayaah bhavishyadwakta ko Yahowa ke bhavan ke teesre dwaar mein apne paas bulva bheja. Aur raja ne yirmayaah se kaha, main tujh se ek baat poochhta hoon; mujh se kuchh na chhipa.

15

यिर्मयाह ने सिदकिय्याह से कहा, यदि मैं तुझे बताऊं, तो क्या तू मुझे मरवा न डालेगा? और चाहे मैं तुझे सम्मति भी दूं, तौभी तू मेरी न मानेगा।

Yirmayaah ne sidkiyyaah se kaha, yadi main tujhe bataun, to kya tu mujhe marva na dalega? Aur chahe main tujhe sammati bhi dun, taubhi tu meri na manega.

16

तब सिदकिय्याह राजा ने अकेले में यिर्मयाह से शपथ खाई, यहोवा जिसने हमारा यह जीव रचा है, उसके जीवन की सौगन्ध न मैं तो तुझे मरवा डालूंगा, और न उन मनुष्यों के वश में कर दूंगा जो तेरे प्राण के खोजी हैं।

Tab sidkiyyaah raja ne akele mein yirmayaah se shapath khai, Yahowa jisne hamara yah jeev racha hai, uske jeevan ki saugandh na main to tujhe marva daloonga, aur na un manushyon ke vash mein kar doonga jo tere praan ke khoji hain.

17

यिर्मयाह ने सिदकिय्याह से कहा, सेनाओं का परमेश्वर यहोवा जो इस्राएल का परमेश्वर है, वह यों कहता है, यदि तू बाबुल के राजा के हाकिमों के पास सचमुच निकल जाए, तब तो तेरा प्राण बचेगा, और यह नगर फूंका न जाएगा, और तू अपने घराने समेत जीवित रहेगा।

Yirmayaah ne sidkiyyaah se kaha, senaon ka Parmeshwar Yahowa jo Israel ka Parmeshwar hai, vah yon kahta hai, yadi tu babul ke raja ke hakimon ke paas sachmuch nikal jaye, tab to tera praan bachega, aur yah nagar phoonka na jayega, aur tu apne gharane samet jeevit rahega.

18

परन्तु, यदि तू बाबुल के राजा के हाकिमों के पास न निकल जाए, तो यह नगर कसदियों के वश में कर दिया जाएगा, ओर वे इसे फूंक देंगे, और तू उनके हाथ से बच न सकेगा।

Parantu, yadi tu babul ke raja ke hakimon ke paas na nikal jaye, to yah nagar kasdiyon ke vash mein kar diya jayega, or ve ise phoonk denge, aur tu unke haath se bach na sakega.

19

सिदकिय्याह ने यिर्मयाह से कहा, जो यहूदी लोग कसदियों के पास भाग गए हैं, मैं उन से डरता हूँ, ऐसा न हो कि मैं उनके वश में कर दिया जाऊं और वे मुझ से ठट्ठा करें।

Sidkiyyaah ne yirmayaah se kaha, jo Yahudi log kasdiyon ke paas bhaag gaye hain, main un se darta hoon, aisa na ho ki main unke vash mein kar diya jaun aur ve mujh se thattha karein.

20

यिर्मयाह ने कहा, तू उनके वश में न कर दिया जाएगा; जो कुछ मैं तुझ से कहता हूँ उसे यहोवा की बात समझकर मान ले तब तेरा भला होगा, और तेरा प्राण बचेगा।

Yirmayaah ne kaha, tu unke vash mein na kar diya jayega; jo kuchh main tujh se kahta hoon use Yahowa ki baat samajhkar maan le tab tera bhala hoga, aur tera praan bachega.

21

और यदि तू निकल जाना स्वीकार न करे तो जो बात यहोवा ने मुझे दर्शन के द्वारा बताई है, वह यह है:

Aur yadi tu nikal jana sweekaar na kare to jo baat Yahowa ne mujhe darshan ke dwara batai hai, vah yah hai:

22

देख, यहूदा के राजा के रनवास में जितनी स्त्रियां रह गई हैं, वे बाबुल के राजा के हाकिमों के पास निकाल कर पहुंचाई जाएंगी, और वे तुझ से कहेंगी, तेरे मित्रों ने तुझे बहकाया, और उनकी इच्छा पूरी हो गई; और जब तेरे पांव कीच में धंस गए तो वे पीछे फिर गए हैं।

Dekh, Yahuda ke raja ke ranvaas mein jitni striyan rah gai hain, ve babul ke raja ke hakimon ke paas nikaal kar pahunchai jayengi, aur ve tujh se kahengi, tere mitron ne tujhe bahkaya, aur unki ichchha poori ho gai; aur jab tere paanv keech mein dhans gaye to ve peechhe phir gaye hain.

23

तेरी सब स्त्रियां और लड़के-बाले कसदियों के पास निकाल कर पहुंचाए जाएंगे; और तू भी कसदियों के हाथ से न बचेगा, वरन तू पकड़ कर बाबुल के राजा के वश में कर दिया जाएगा ओर इस नगर के फूंके जाने का कारण तू ही होगा।

Teri sab striyan aur ladke-bale kasdiyon ke paas nikaal kar pahunchaye jayenge; aur tu bhi kasdiyon ke haath se na bachega, varan tu pakad kar babul ke raja ke vash mein kar diya jayega or is nagar ke phoonke jane ka karan tu hi hoga.

24

तब सिदकिय्याह ने यिर्मयाह से कहा, इन बातों को कोई न जानने पाए, तो तू मारा न जाएगा।

Tab sidkiyyaah ne yirmayaah se kaha, in baton ko koi na janne paye, to tu mara na jayega.

25

यदि हाकिम लोग यह सुन कर कि मैं ने तुझ से बातचीत की है तेरे पास आकर कहने लगें, हमें बता कि तू ने राजा से क्या कहा, हम से कोई बात न छिपा, और हम तुझे न मरवा डालेंगे; और यह भी बता, कि राजा ने तुझ से क्या कहा,

Yadi hakim log yah sun kar ki main ne tujh se batcheet ki hai tere paas aakar kahne lagein, hamein bata ki tu ne raja se kya kaha, ham se koi baat na chhipa, aur ham tujhe na marva dalenge; aur yah bhi bata, ki raja ne tujh se kya kaha,

26

तो तू उन से कहना, कि मैं ने राजा से गिड़गिड़ाकर बिनती की थी कि मुझे योनातान के घर में फिर बापिस न भेज नहीं तो वहां मर जाऊंगा।

To tu un se kahna, ki main ne raja se gidgidakar binti ki thi ki mujhe yonataan ke ghar mein phir bapis na bhej nahi to vahan mar jaoonga.

27

फिर सब हाकिमों ने यिर्मयाह के पास आकर पूछा, और जैसा राजा ने उसको आज्ञा दी थी, ठीक वैसा ही उसने उन को उत्तर दिया। सो वे उस से और कुछ न बोले और न वह भेद खुला।

Phir sab hakimon ne yirmayaah ke paas aakar poochha, aur jaisa raja ne usko aagya di thi, theek vaisa hi usne un ko uttar diya. So ve us se aur kuchh na bole aur na vah bhed khula.

28

इस प्रकार जिस दिन यरूशलेम ले लिया गया उस दिन तक वह पहरे के आंगन ही में रहा।

Is prakaar jis din Yerushalem le liya gaya us din tak vah pahre ke aangan hi mein raha.