Jeremiah 36 · 32 verses

यिर्मयाह 36 Jeremiah 36 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 36.

1

फिर योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के चौथे बरस में यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा,

Phir yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke chauthe baras mein Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha,

2

एक पुस्तक ले कर जितने वचन मैं ने तुझ से योशिय्याह के दिनों से ले कर अर्थात जब मैं तुझ से बातें करने लगा उस समय से आज के दिन तक इस्राएल और यहूदा और सब जातियों के विषय में कहे हैं, सब को उस में लिख।

Ek pustak le kar jitne vachan main ne tujh se yoshiyyaah ke dinon se le kar arthaat jab main tujh se batein karne laga us samay se aaj ke din tak Israel aur Yahuda aur sab jatiyon ke vishay mein kahe hain, sab ko us mein likh.

3

क्या जाने यहूदा का घराना उस सारी विपत्ति का समाचार सुन कर जो मैं उन पर डालने की कल्पना कर रहा हूँ अपनी बुरी चाल से फिरे और मैं उनके अधर्म और पाप को क्षमा करूं।

Kya jane Yahuda ka gharana us sari vipatti ka samachaar sun kar jo main un par dalne ki kalpana kar raha hoon apni buri chaal se phire aur main unke adharm aur paap ko kshama karun.

4

सो यिर्मयाह ने नेरिय्याह के पुत्र बारूक को बुलाया, और बारूक ने यहोवा के सब वचन जो उसने यिर्मयाह से कहे थे, उसके मुख से सुन कर पुस्तक में लिख दिए।

So yirmayaah ne neriyyaah ke putra barook ko bulaya, aur barook ne Yahowa ke sab vachan jo usne yirmayaah se kahe the, uske mukh se sun kar pustak mein likh diye.

5

फिर यिर्मयाह ने बारूक को आज्ञा दी और कहा, मैं तो बन्धा हुआ हूँ, मैं यहोवा के भवन में नहीं जा सकता।

Phir yirmayaah ne barook ko aagya di aur kaha, main to bandha huaa hoon, main Yahowa ke bhavan mein nahi ja sakta.

6

सो तु उपवास के दिन यहोवा के भवन में जा कर उसके जो वचन तू ने मुझ से सुन कर लिखे हैं, पुस्तक में से लोगों को पढ़ कर सुनाना, और जितने यहूदी लोग अपने अपने नगरों से आएंगे, उन को भी पढ़ कर सुनाना।

So tu upvaas ke din Yahowa ke bhavan mein ja kar uske jo vachan tu ne mujh se sun kar likhe hain, pustak mein se logon ko padh kar sunana, aur jitne Yahudi log apne apne nagron se aayenge, un ko bhi padh kar sunana.

7

क्या जाने वे यहोवा से गिड़गिड़ा कर प्रार्थना करें और अपनी अपनी बुरी चाल से फिरें; क्योंकि जो क्रोध और जलजलाहट यहोवा ने अपनी इस प्रजा पर भड़काने को कहा है, वह बड़ी है।

Kya jane ve Yahowa se gidgida kar prarthana karein aur apni apni buri chaal se phirein; kyonki jo krodh aur jalajlahat Yahowa ne apni is praja par bhadkane ko kaha hai, vah badi hai.

8

यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता की इस आज्ञा के अनुसार नेरिय्याह के पुत्र बारूक ने, यहोवा के भवन में उस पुस्तक में से उसके वचन पढ़ कर सुनाए।

Yirmayaah bhavishyadwakta ki is aagya ke anusaar neriyyaah ke putra barook ne, Yahowa ke bhavan mein us pustak mein se uske vachan padh kar sunaye.

9

और योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के पांचवें बरस के नौवें महीने में यरूशलेम में जितने लोग थे, और यहूदा के नगरों से जितने लोग यरूशलेम में आए थे, उन्होंने यहोवा के साम्हने उपवास करने का प्रचार किया।

Aur yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke panchvein baras ke nauvein maheene mein Yerushalem mein jitne log the, aur Yahuda ke nagron se jitne log Yerushalem mein aaye the, unhonne Yahowa ke samhane upvaas karne ka prachaar kiya.

10

तब बारूक ने यहोवा के भवन में सब लोगों को शापान के पुत्र गमर्याह जो प्रधान था, उसकी कोठरी में जो ऊपर के आंगन में यहोवा के भवन के नये फाटक के पास थी, यिर्मयाह के सब वचन पुस्तक में से पढ़ सुनाए।

Tab barook ne Yahowa ke bhavan mein sab logon ko shapaan ke putra gamaryaah jo pradhaan tha, uski kothri mein jo oopar ke aangan mein Yahowa ke bhavan ke naye phatak ke paas thi, yirmayaah ke sab vachan pustak mein se padh sunaye.

11

तब शापान के पुत्र गमर्याह के बेटे मीकायाह ने यहोवा के सारे वचन पुस्तक में से सुने।

Tab shapaan ke putra gamaryaah ke bete meekayaah ne Yahowa ke sare vachan pustak mein se sune.

12

और वह राजभवन के प्रधान की कोठरी में उतर गया, और क्या देखा कि वहां एलीशमा प्रधान और शमायाह का पुत्र दलायाह और अबबोर का पुत्र एलनातान और शापान का पुत्र गमर्याह और हनन्याह का पुत्र सिदकिय्याह और सब हाकिम बैठे हुए हैं।

Aur vah rajabhvan ke pradhaan ki kothri mein utar gaya, aur kya dekha ki vahan eleeshma pradhaan aur shamayaah ka putra dalayaah aur abbor ka putra elnataan aur shapaan ka putra gamaryaah aur hananyaah ka putra sidkiyyaah aur sab hakim baithe hue hain.

13

और मीकायाह ने जितने वचन उस समय सुने, जब बारूक ने पुस्तक में से लोगों को पढ़ सुनाए थे, वे सब वर्णन किए।

Aur meekayaah ne jitne vachan us samay sune, jab barook ne pustak mein se logon ko padh sunaye the, ve sab varnan kiye.

14

उन्हें सुन कर सब हाकिमों ने यहूदी को जो नतन्याह का पुत्र ओर शेलेम्याह का पोता और कूशी का परपोता था, बारूक के पास यह कहने को भेजा, कि जिस पुस्तक में से तू ने सब लोगों को पढ़ सुनाया है, उसे अपने हाथ में लेता आ। सो नेरिय्याह का पुत्र बारूक वह पुस्तक हाथ में लिए हुए उनके पास आया।

Unhein sun kar sab hakimon ne Yahudi ko jo natanyaah ka putra or shelemyaah ka pota aur kooshi ka parpota tha, barook ke paas yah kahne ko bheja, ki jis pustak mein se tu ne sab logon ko padh sunaya hai, use apne haath mein leta aa. So neriyyaah ka putra barook vah pustak haath mein liye hue unke paas aaya.

15

तब उन्होंने उस से कहा, अब बैठ जा और हमें यह पढ़ कर सुना। तब बारूक ने उन को पढ़ कर सुना दिया।

Tab unhonne us se kaha, ab baith ja aur hamein yah padh kar suna. Tab barook ne un ko padh kar suna diya.

16

जब वे उन सब वचनों को सुन चुके, तब थरथराते हुए एक दूसरे को देखने लगे; और उन्होंने बारूक से कहा, हम निश्चय राजा से इन सब वचनों का वर्णन करेंगे।

Jab ve un sab vachnon ko sun chuke, tab tharathrate hue ek doosre ko dekhne lage; aur unhonne barook se kaha, ham nishchay raja se in sab vachnon ka varnan karenge.

17

फिर उन्होंने बारूक से कहा, हम से कह, क्या तू ने ये सब वचन उसके मुख से सुन कर लिखे?

Phir unhonne barook se kaha, ham se kah, kya tu ne ye sab vachan uske mukh se sun kar likhe?

18

बारूक ने उन से कहा, वह ये सब वचन अपने मुख से मुझे सुनाता गया ओर मैं इन्हें पुस्तक में स्याही से लिखता गया।

Barook ne un se kaha, vah ye sab vachan apne mukh se mujhe sunata gaya or main inhein pustak mein syahi se likhta gaya.

19

तब हाकिमों ने बारूक से कहा, जा, तू अपने आप को और यिर्मयाह को छिपा, और कोई न जानने पाए कि तुम कहां हो।

Tab hakimon ne barook se kaha, ja, tu apne aap ko aur yirmayaah ko chhipa, aur koi na janne paye ki tum kahan ho.

20

तब वे पुस्तक को एलीशमा प्रधान की कोठरी में रख कर राजा के पास आंगन में आए; और राजा को वे सब वचन कह सुनाए।

Tab ve pustak ko eleeshma pradhaan ki kothri mein rakh kar raja ke paas aangan mein aaye; aur raja ko ve sab vachan kah sunaye.

21

तब राजा ने यहूदी को पुस्तक ले आने के लिये भेजा, उसने उसे एलीशामा प्रधान की कोठरी में से ले कर राजा को और जो हाकिम राजा के आस पास खड़े थे उन को भी पढ़ सुनाया।

Tab raja ne Yahudi ko pustak le aane ke liye bheja, usne use eleeshama pradhaan ki kothri mein se le kar raja ko aur jo hakim raja ke aas paas khade the un ko bhi padh sunaya.

22

राजा शीतकाल के भवन में बैठा हुआ था, क्योंकि नौवां महीना था और उसके साम्हने अंगीठी जल रही थी।

Raja sheetkaal ke bhavan mein baitha huaa tha, kyonki nauvan maheena tha aur uske samhane angeethi jal rahi thi.

23

जब यहूदी तीन चार पृष्ठ पढ़ चुका, तब उसने उसे चाकू से काटा और जो आग अंगीठी में थी उस में फेंक दिया; सो अंगीठी की आग में पूरी पुस्तक जल कर भस्म हो गई।

Jab Yahudi teen chaar prishth padh chuka, tab usne use chaku se kata aur jo aag angeethi mein thi us mein phenk diya; so angeethi ki aag mein poori pustak jal kar bhasm ho gai.

24

परन्तु न कोई डरा और न किसी ने अपने कपड़े फाड़े, अर्थात न तो राजा ने और न उसके कर्मचारियों में से किसी ने ऐसा किया, जिन्होंने वे सब वचन सुने थे।

Parantu na koi dara aur na kisi ne apne kapde phade, arthaat na to raja ne aur na uske karmachariyon mein se kisi ne aisa kiya, jinhonne ve sab vachan sune the.

25

एलनातान, और दलायाह, और गमर्याह ने तो राजा से बिनती भी की थी कि पुस्तक को न जलाए, परन्तु उसने उनकी एक न सुनी।

Elnataan, aur dalayaah, aur gamaryaah ne to raja se binti bhi ki thi ki pustak ko na jalaye, parantu usne unki ek na suni.

26

ओर राजा ने राजपुत्र यरहमेल को और अज्रीएल के पुत्र सरायाह को और अब्देल के पुत्र शेलेम्याह को आज्ञा दी कि बारूक लेखक और यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता को पकड़ लें, परन्तु यहोवा ने उन को छिपा रखा।

Or raja ne rajputra yarahmel ko aur ajreeyel ke putra sarayaah ko aur abdel ke putra shelemyaah ko aagya di ki barook lekhak aur yirmayaah bhavishyadwakta ko pakad lein, parantu Yahowa ne un ko chhipa rakha.

27

जब राजा ने उन वचनों की पुस्तक को जो बारूक ने यिर्मयाह के मुख से सुन सुनकर लिखी थी, जला दिया, तब यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा कि

Jab raja ne un vachnon ki pustak ko jo barook ne yirmayaah ke mukh se sun sunkar likhi thi, jala diya, tab Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha ki

28

फिर एक और पुस्तक ले कर उस में यहूदा के राजा यहोयाकीम की जलाई हई पहिली पुस्तक के सब वचन लिख दे।

Phir ek aur pustak le kar us mein Yahuda ke raja yahoyakeem ki jalai hai pahili pustak ke sab vachan likh de.

29

और यहूदा के राजा यहोयाकीम के विषय में कह कि यहोवा यों कहता है, तू ने उस पुस्तक को यह कह कर जला दिया है कि तू ने उस में यह क्यों लिखा है कि बाबुल का राजा निश्चय आकर इस देश को नाश करेगा, और उस में न तो मनुष्य को छोड़ेगा और न पशु को।

Aur Yahuda ke raja yahoyakeem ke vishay mein kah ki Yahowa yon kahta hai, tu ne us pustak ko yah kah kar jala diya hai ki tu ne us mein yah kyon likha hai ki babul ka raja nishchay aakar is desh ko naash karega, aur us mein na to manushya ko chhodega aur na pashu ko.

30

इसलिये यहोवा यहूदा के राजा यहोयाकीम के विषय में यों कहता है, कि उसका कोई दाऊद की गद्दी पर विराजमान न रहेगा; और उसकी लोथ ऐसी फेंक दी जाएगी कि दिन को घाम में ओर रात को पाले में पड़ी रहेगी।

Isliye Yahowa Yahuda ke raja yahoyakeem ke vishay mein yon kahta hai, ki uska koi Daud ki gaddi par virajmaan na rahega; aur uski loth aisi phenk di jayegi ki din ko ghaam mein or raat ko pale mein padi rahegi.

31

और मैं उसको और उसके वंश और कर्मचारियों को उनके अधर्म का दण्ड दूंगा; और जितनी विपत्ति मैं ने उन पर और यरूशलेम के निवासियों और यहूदा के सब लोगों पर डालने को कहा है, और जिस को उन्होंने सच नहीं माना, उन सब को मैं उन पर डालूंगा।

Aur main usko aur uske vansh aur karmachariyon ko unke adharm ka dand doonga; aur jitni vipatti main ne un par aur Yerushalem ke nivasiyon aur Yahuda ke sab logon par dalne ko kaha hai, aur jis ko unhonne sach nahi mana, un sab ko main un par daloonga.

32

तब यिर्मयाह ने दूसरी पुस्तक ले कर नेरिय्याह के पुत्र बारूक लेखक को दी, और जो पुस्तक यहूदा के राजा यहोयाकीम ने आग में जला दी थी, उस में के सब वचनों को बारूक ने यिर्मयाह के मुख से सुन सुनकर उस में लिख दिए; और उन वचनों में उनके समान और भी बहुत सी बातें बढ़ा दी गईं।

Tab yirmayaah ne doosri pustak le kar neriyyaah ke putra barook lekhak ko di, aur jo pustak Yahuda ke raja yahoyakeem ne aag mein jala di thi, us mein ke sab vachnon ko barook ne yirmayaah ke mukh se sun sunkar us mein likh diye; aur un vachnon mein unke samaan aur bhi bahut si batein badha di gai.