योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य में यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुँचा
Yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya mein Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha
Jeremiah 35 · 19 verses
योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य में यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुँचा
Yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya mein Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha
रेकाबियों के घराने के पास जा कर उन से बातें कर और उन्हें यहोवा के भवन की एक कोठरी में ले जा कर दाखमधु पिला।
Rekabiyon ke gharane ke paas ja kar un se batein kar aur unhein Yahowa ke bhavan ki ek kothri mein le ja kar dakhamdhu pila.
तब मैं ने याजन्याह को जो हबस्सिन्याह का पोता और यिर्मयाह का पुत्र था, और उसके भाइयों और सब पुत्रों को, निदान रेकाबियों के सारे घराने को साथ लिया।
Tab main ne yajanyaah ko jo habassinyaah ka pota aur yirmayaah ka putra tha, aur uske bhaiyon aur sab putron ko, nidaan rekabiyon ke sare gharane ko saath liya.
और मैं उन को परमेश्वर के भवन में, यिग्दल्याह के पुत्र हानान, जो परमेश्वर का एक जन था, उसकी कोठरी में ले आया जो हाकिमों की उस कोठरी के पास थी और शल्लूम के पुत्र डेवढ़ी के रख वाले मासेयाह की कोठरी के ऊपर थी।
Aur main un ko Parmeshwar ke bhavan mein, yigdalyaah ke putra hanaan, jo Parmeshwar ka ek jan tha, uski kothri mein le aaya jo hakimon ki us kothri ke paas thi aur shalloom ke putra devdhi ke rakh vale maseyaah ki kothri ke oopar thi.
तब मैं ने रेकाबियों के घराने को दाखमधु से भरे हुए हंडे और कटोरे देकर कहा, दाखमधु पीओ।
Tab main ne rekabiyon ke gharane ko dakhamdhu se bhare hue hande aur katore dekar kaha, dakhamdhu peeo.
उन्होंने कहा, हम दाखमधु न पीएंगे क्योंकि रेकाब के पुत्र योनादाब ने जो हमारा पुरखा था हम को यह आज्ञा दी थी कि तुम कभी दाखमधु न पीना; न तुम, न तुम्हारे पुत्र।
Unhonne kaha, ham dakhamdhu na peeyenge kyonki rekaab ke putra yonadaab ne jo hamara purkha tha ham ko yah aagya di thi ki tum kabhi dakhamdhu na peena; na tum, na tumhare putra.
न घर बनाना, न बीज बोना, न दाख की बारी लगाना, और न उनके अधिकारी होना; परन्तु जीवन भर तम्बुओं ही में रहना जिस से जिस देश में तुम परदेशी हो, उस में बहुत दिन तक जीते रहो।
Na ghar banana, na beej bona, na daakh ki bari lagana, aur na unke adhikari hona; parantu jeevan bhar tambuon hi mein rahna jis se jis desh mein tum pardeshi ho, us mein bahut din tak jeete raho.
इसलिये हम रेकाब के पुत्र अपने पुरखा योनादाब की बात मान कर, उसकी सारी आज्ञाओं के अनुसार चलते हैं, न हम और न हमारी स्त्रियां वा पुत्र-पुत्रियां कभी दाख मधु पीती हैं,
Isliye ham rekaab ke putra apne purkha yonadaab ki baat maan kar, uski sari aagyaon ke anusaar chalte hain, na ham aur na hamari striyan va putra-putriyan kabhi daakh madhu peeti hain,
और न हम घर बना कर उन में रहते हैं। हम न दाख की बारी, न खेत, और न बीज रखते हैं;
Aur na ham ghar bana kar un mein rahte hain. Ham na daakh ki bari, na khet, aur na beej rakhte hain;
हम तम्बुओं ही में रहा करते हैं, और अपने पुरखा योनादाब की बात मान कर उसकी सारी आज्ञाओं के अनुसार काम करते हैं।
Ham tambuon hi mein raha karte hain, aur apne purkha yonadaab ki baat maan kar uski sari aagyaon ke anusaar kaam karte hain.
परन्तु जब बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने इस देश पर चढ़ाई की, तब हम ने कहा, चलो, कसदियों और अरामियों के दलों के डर के मारे यरूशलेम में जाएं। इस कारण हम अब यरूशलेम में रहते हैं।
Parantu jab babul ke raja nabookadnessar ne is desh par chadhai ki, tab ham ne kaha, chalo, kasdiyon aur aramiyon ke dalon ke dar ke mare Yerushalem mein jayen. Is karan ham ab Yerushalem mein rahte hain.
तब यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा।
Tab Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha.
इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि जा कर यहूदा देश के लोगों और यरूशलेम नगर के निवासियों कह, यहोवा की यह वाणी है, क्या तुम शिक्षा मान कर मेरी न सुनोगे?
Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai ki ja kar Yahuda desh ke logon aur Yerushalem nagar ke nivasiyon kah, Yahowa ki yah vani hai, kya tum shiksha maan kar meri na sunoge?
देखो, रेकाब के पुत्र योनादाब ने जो आज्ञा अपने वंश को दी थी कि तुम दाखमधु न पीना सो तो मानी गई है यहां तक कि आज के दिन भी वे लोग कुछ नहीं पीते, वे अपने पुरखा की आज्ञा मानते हैं; पर यद्यपि मैं तुम से बड़े यत्न से कहता आया हूँ, तौभी तुम ने मेरी नहीं सुनी।
Dekho, rekaab ke putra yonadaab ne jo aagya apne vansh ko di thi ki tum dakhamdhu na peena so to mani gai hai yahan tak ki aaj ke din bhi ve log kuchh nahi peete, ve apne purkha ki aagya mante hain; par yadyapi main tum se bade yatn se kahta aaya hoon, taubhi tum ne meri nahi suni.
मैं तुम्हारे पास अपने सारे दास नबियों को बड़ा यत्न कर के यह कहने को भेजता आया हूँ कि अपनी बुरी चाल से फिरो, और अपने काम सुधारो, और दूसरे देवताओं के पीछे जा कर उनकी उपासना मत करो तब तुम इस देश में जो मैं ने तुम्हारे पितरों को दिया था और तुम को भी दिया है, बसने पाओगे। पर तुम ने मेरी ओर कान नहीं लगाया न मेरी सुनी है।
Main tumhare paas apne sare daas nabiyon ko bada yatn kar ke yah kahne ko bhejta aaya hoon ki apni buri chaal se phiro, aur apne kaam sudharo, aur doosre devtaon ke peechhe ja kar unki upasna mat karo tab tum is desh mein jo main ne tumhare pitron ko diya tha aur tum ko bhi diya hai, basne paoge. Par tum ne meri or kaan nahi lagaya na meri suni hai.
देखो रेकाब के पुत्र योनादाब के वंश ने तो अपने पुरखा की आज्ञा को मान लिया पर तुम ने मेरी नहीं सुनी।
Dekho rekaab ke putra yonadaab ke vansh ne to apne purkha ki aagya ko maan liya par tum ne meri nahi suni.
इसलिये सेनाओं का परमेश्वर यहोवा, जो इस्राएल का परमेश्वर है, यों कहता है कि देखो, यहूदा देश और यरूशलेम नगर के सारे निवासियों पर जितनी विपत्ति डालने की मैं ने चर्चा की है वह उन पर अब डालता हूँ; क्योंकि मैं ने उन को सुनाया पर उन्होंने नहीं सुना, मैं ने उन को बुलाया पर उन्होंने उत्तर न दिया।
Isliye senaon ka Parmeshwar Yahowa, jo Israel ka Parmeshwar hai, yon kahta hai ki dekho, Yahuda desh aur Yerushalem nagar ke sare nivasiyon par jitni vipatti dalne ki main ne charcha ki hai vah un par ab dalta hoon; kyonki main ne un ko sunaya par unhonne nahi suna, main ne un ko bulaya par unhonne uttar na diya.
और रेकाबियों के घराने से यिर्मयाह ने कहा, इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा तुम से यों कहता है, इसलिये कि तुम ने जो अपने पुरखा योनादाब की आज्ञा मानी, वरन उसकी सब आज्ञाओं को मान लिया और जो कुछ उसने कहा उसके अनुसार काम किया है,
Aur rekabiyon ke gharane se yirmayaah ne kaha, Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa tum se yon kahta hai, isliye ki tum ne jo apne purkha yonadaab ki aagya mani, varan uski sab aagyaon ko maan liya aur jo kuchh usne kaha uske anusaar kaam kiya hai,
इसलिये इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है, रेकाब के पुत्र योनादाब के वंश में सदा ऐसा जन पाया जाएगा जो मेरे सम्मुख खड़ा रहे।
Isliye Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai, rekaab ke putra yonadaab ke vansh mein sada aisa jan paya jayega jo mere sammukh khada rahe.