Jeremiah 34 · 22 verses

यिर्मयाह 34 Jeremiah 34 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 34.

1

जब बाबुल का राजा नबूकदनेस्सर अपनी सारी सेना समेत और पृथ्वी के जितने राज्य उसके वश में थे, उन सभों के लोगों समेत यरूशलेम और उसके सब गांवों से लड़ रहा था, तब यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा,

Jab babul ka raja nabookadnessar apni sari sena samet aur prithvi ke jitne rajya uske vash mein the, un sabhon ke logon samet Yerushalem aur uske sab ganvon se lad raha tha, tab Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha,

2

इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जा कर यहूदा के राजा सिदकिय्याह से कह, यहोवा यों कहता है, कि देख, मैं इस नगर को बाबुल के राजा के वश में कर देने पर हूँ, और वह इसे फुंकवा देगा।

Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ja kar Yahuda ke raja sidkiyyaah se kah, Yahowa yon kahta hai, ki dekh, main is nagar ko babul ke raja ke vash mein kar dene par hoon, aur vah ise phunkva dega.

3

और तू उसके हाथ से न बचेगा, निश्चय पकड़ा जाएगा और उसके वश में कर दिया जाएगा; और तेरी आंखें बाबुल के राजा को देखेंगी, और तुम आम्हने-साम्हने बातें करोगे; और तू बाबुल को जाएगा।

Aur tu uske haath se na bachega, nishchay pakda jayega aur uske vash mein kar diya jayega; aur teri aankhein babul ke raja ko dekhengi, aur tum aamhane-samhane batein karoge; aur tu babul ko jayega.

4

तौभी हे यहूदा के राजा सिदकिय्याह, यहोवा का यह भी वचन सुन जिसे यहोवा तेरे विषय में कहता है, कि तू तलवार से मारा न जाएगा।

Taubhi he Yahuda ke raja sidkiyyaah, Yahowa ka yah bhi vachan sun jise Yahowa tere vishay mein kahta hai, ki tu talvaar se mara na jayega.

5

तू शान्ति के साथ मरेगा। और जैसा तेरे पितरों के लिये अर्थात जो तुझ से पहिले राजा थे, उनके लिये सुगन्ध द्रव्य जलाया गया, वैसा ही तेरे लिये भी जलाया जाएगा; और लोग यह कहकर, हाय मेरे प्रभु! तेरे लिये छाती पीटेंगे, यहोवा की यही वाणी है।

Tu shanti ke saath marega. Aur jaisa tere pitron ke liye arthaat jo tujh se pahile raja the, unke liye sugandh dravya jalaya gaya, vaisa hi tere liye bhi jalaya jayega; aur log yah kahkar, haay mere Prabhu! Tere liye chhati peetenge, Yahowa ki yahi vani hai.

6

ये सब वचन यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता ने यहूदा के राजा सिदकिय्याह से यरूशलेम में उस समय कहे,

Ye sab vachan yirmayaah bhavishyadwakta ne Yahuda ke raja sidkiyyaah se Yerushalem mein us samay kahe,

7

जब बाबुल के राजा की सेना यरूशलेम से और यहूदा के जितने नगर बच गए थे, उन से अर्थात लाकीश और अजेका से लड़ रही थी; क्योंकि यहूदा के जो गढ़ वाले नगर थे उन में से केवल वे ही रह गए थे।

Jab babul ke raja ki sena Yerushalem se aur Yahuda ke jitne nagar bach gaye the, un se arthaat lakeesh aur ajeka se lad rahi thi; kyonki Yahuda ke jo gadh vale nagar the un mein se keval ve hi rah gaye the.

8

यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास उस समय आया जब सिदकिय्याह राजा ने सारी प्रजा से जो यरूशलेम में थी यह वाचा बन्धाई कि दासों के स्वाधीन होने का प्रचार किया जाए,

Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas us samay aaya jab sidkiyyaah raja ne sari praja se jo Yerushalem mein thi yah vacha bandhai ki dason ke swadheen hone ka prachaar kiya jaye,

9

कि सब लोग अपने अपने दास-दासी को जो इब्री वा इब्रिन हों स्वाधीन कर के जाने दें, और कोई अपने यहूदी भाई से फिर अपनी सेवा न कराए।

Ki sab log apne apne daas-dasi ko jo ibri va ibrin hon swadheen kar ke jane dein, aur koi apne Yahudi bhai se phir apni seva na karaye.

10

तब सब हाकिमों और सारी प्रजा ने यह प्रण किया कि हम अपने अपने दास-दासियों को स्वतंत्र कर देंगे और फिर उन से अपनी सेवा न कराएंगे; सो उस प्रण के अनुसार उन को स्वतंत्र कर दिया।

Tab sab hakimon aur sari praja ne yah pran kiya ki ham apne apne daas-dasiyon ko swatantra kar denge aur phir un se apni seva na karayenge; so us pran ke anusaar un ko swatantra kar diya.

11

परन्तु इसके बाद वे फिर गए और जिन दास-दासियों को उन्होंने स्वतंत्र कर के जाने दिया था उन को फिर अपने वश में लाकर दास और दासी बना लिया।

Parantu iske baad ve phir gaye aur jin daas-dasiyon ko unhonne swatantra kar ke jane diya tha un ko phir apne vash mein lakar daas aur dasi bana liya.

12

तब यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा,

Tab Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha,

13

इस्राएल का परमेश्वर यहोवा तुम से यों कहता है, जिस समय मैं तुम्हारे पितरों को दासत्व के घर अर्थात मिस्र देश से निकाल ले आया, उस समय मैं ने आप उन से यह कह कर वाचा बान्धी

Israel ka Parmeshwar Yahowa tum se yon kahta hai, jis samay main tumhare pitron ko dasatva ke ghar arthaat Misr desh se nikaal le aaya, us samay main ne aap un se yah kah kar vacha bandhi

14

कि तुम्हारा जो इब्री भाई तुम्हारे हाथ में बेचा जाए उसको तुम सातवें बरस में छोड़ देना; छ: बरस तो वह तुम्हारी सेवा करे परन्तु इसके बाद तुम उसको स्वतंत्र कर के अपने पास से जाने देना। परन्तु तुम्हारे पितरों ने मेरी न सुनी, न मेरी ओर कान लगाया।

Ki tumhara jo ibri bhai tumhare haath mein becha jaye usko tum satvein baras mein chhod dena; chha: baras to vah tumhari seva kare parantu iske baad tum usko swatantra kar ke apne paas se jane dena. Parantu tumhare pitron ne meri na suni, na meri or kaan lagaya.

15

तुम अभी फिरे तो थे और अपने अपने भाई को स्वतंत्र कर देने का प्रचार करा के जो काम मेरी दृष्टि में भला हे उसे तुम ने किया भी था, और जो भवन मेरा कहलाता है उस में मेरे साम्हने वाचा भी बान्धी थी;

Tum abhi phire to the aur apne apne bhai ko swatantra kar dene ka prachaar kara ke jo kaam meri drishti mein bhala he use tum ne kiya bhi tha, aur jo bhavan mera kahlata hai us mein mere samhane vacha bhi bandhi thi;

16

पर तुम भटक गए और मेरा नाम इस रीति से अशुद्ध किया कि जिन दास-दासियों को तुम स्वतंत्र कर के उनकी इच्छा पर छोड़ चुके थे उन्हें तुम ने फिर अपने वश में कर लिया है, और वे फिर तुम्हारे दास- दासियां बन गए हैं।

Par tum bhatak gaye aur mera naam is reeti se ashuddh kiya ki jin daas-dasiyon ko tum swatantra kar ke unki ichchha par chhod chuke the unhein tum ne phir apne vash mein kar liya hai, aur ve phir tumhare daas- dasiyan ban gaye hain.

17

इस कारण यहोवा यों कहता है कि तुम ने जो मेरी आज्ञा के अनुसार अपने अपने भाई के स्वतंत्र होने का प्रचार नहीं किया, सो यहोवा का यह वचन है, सुनो, मैं तुम्हारे इस प्रकार से स्वतंत्र होने का प्रचार करता हूँ कि तुम तलवार, मरी और महंगी में पड़ोगे; और मैं ऐसा करूंगा कि तुम पृथ्वी के राज्य राज्य में मारे मारे फिरोगे।

Is karan Yahowa yon kahta hai ki tum ne jo meri aagya ke anusaar apne apne bhai ke swatantra hone ka prachaar nahi kiya, so Yahowa ka yah vachan hai, suno, main tumhare is prakaar se swatantra hone ka prachaar karta hoon ki tum talvaar, mari aur mahangi mein padoge; aur main aisa karoonga ki tum prithvi ke rajya rajya mein mare mare phiroge.

18

और जो लोग मेरी वाचा का उल्लंघन करते हैं और जो प्रण उन्होंने मेरे साम्हने और बछड़े को दो भाग कर के उसके दोनों भागों के बीच हो कर किया परन्तु उसे पूरा न किया,

Aur jo log meri vacha ka ullanghan karte hain aur jo pran unhonne mere samhane aur bachhde ko do bhaag kar ke uske donon bhagon ke beech ho kar kiya parantu use poora na kiya,

19

अर्थात यहूदा देश और यरूशलेम नगर के हाकिम, खोजे, याजक और साधारण लोग जो बछड़े के भागों के बीच हो कर गए थे,

Arthaat Yahuda desh aur Yerushalem nagar ke hakim, khoje, yajak aur sadharan log jo bachhde ke bhagon ke beech ho kar gaye the,

20

उन को मैं उनके शत्रुओं अर्थात उनके प्राण के खोजियों के वश में कर दूंगा और उनकी लोथ आकाश के पक्षियों और मैदान के पशुओं का आहार हो जाएंगी।

Un ko main unke shatruon arthaat unke praan ke khojiyon ke vash mein kar doonga aur unki loth aakaash ke pakshiyon aur maidaan ke pashuon ka aahaar ho jayengi.

21

और मैं यहूदा के राजा सिदकिय्याह और उसके हाकिमों को उनके शत्रुओं और उनके प्राण के खोजियों अर्थात बाबुल के राजा की सेना के वश में कर दूंगा जो तुम्हारे साम्हने से चली गई है।

Aur main Yahuda ke raja sidkiyyaah aur uske hakimon ko unke shatruon aur unke praan ke khojiyon arthaat babul ke raja ki sena ke vash mein kar doonga jo tumhare samhane se chali gai hai.

22

यहोवा का यह वचन है कि देखो, मैं उन को आज्ञा देकर इस नगर के पास लौटा ले आऊंगा और वे लड़ कर इसे ले लेंगे और फूंक देंगे; और यहूदा के नगरों को मैं ऐसा उजाड़ दूंगा कि कोई उन में न रहेगा।

Yahowa ka yah vachan hai ki dekho, main un ko aagya dekar is nagar ke paas lauta le aaoonga aur ve lad kar ise le lenge aur phoonk denge; aur Yahuda ke nagron ko main aisa ujaad doonga ki koi un mein na rahega.