Jeremiah 33 · 26 verses

यिर्मयाह 33 Jeremiah 33 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 33.

1

जिस समय यिर्मयाह पहरे के आंगन में बन्द था, उस समय यहोवा का वचन दूसरी बार उसके पास पहुंचा,

Jis samay yirmayaah pahre ke aangan mein band tha, us samay Yahowa ka vachan doosri baar uske paas pahuncha,

2

यहोवा जो पृथ्वी का रचने वाला है, जो उसको स्थिर करता है, उसका नाम यहोवा है; वह यह कहता है,

Yahowa jo prithvi ka rachne vala hai, jo usko sthir karta hai, uska naam Yahowa hai; vah yah kahta hai,

3

मुझ से प्रार्थना कर और मैं तेरी सुन कर तुझे बढ़ी-बड़ी और कठिन बातें बताऊंगा जिन्हें तू अभी नहीं समझता।

Mujh se prarthana kar aur main teri sun kar tujhe badhi-badi aur kathin batein bataoonga jinhein tu abhi nahi samajhta.

4

क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा इस नगर के घरों और यहूदा के राजाओं के भवनों के विषय में जो इसलिये गिराए जाते हैं कि दमदमों और तलवार के साथ सुभीते से लड़ सकें, यों कहता है,

Kyonki Israel ka Parmeshwar Yahowa is nagar ke gharon aur Yahuda ke rajaon ke bhavnon ke vishay mein jo isliye giraye jate hain ki damadmon aur talvaar ke saath subheete se lad sakein, yon kahta hai,

5

कसदियों से युद्ध करने को वे लोग आते तो हैं, परन्तु मैं क्रोध और जलजलाहट में आकर उन को मरवाऊंगा और उनकी लोथें उसी स्थान में भर दूंगा; क्योंकि उनकी दुष्टता के कारण मैं ने इस नगर से मुख फेर लिया है।

Kasdiyon se yuddh karne ko ve log aate to hain, parantu main krodh aur jalajlahat mein aakar un ko marvaoonga aur unki lothein usi sthaan mein bhar doonga; kyonki unki dushtata ke karan main ne is nagar se mukh pher liya hai.

6

देख, मैं इस नगर का इलाज कर के इसके निवासियों चंगा करूंगा; और उन पर पूरी शान्ति और सच्चाई प्रगट करूंगा।

Dekh, main is nagar ka ilaaj kar ke iske nivasiyon changa karoonga; aur un par poori shanti aur sachchai pragat karoonga.

7

मैं यहूदा और इस्राएल के बंधुओं को लौटा ले आऊंगा, और उन्हें पहिले की नाईं बसाऊंगा।

Main Yahuda aur Israel ke bandhuon ko lauta le aaoonga, aur unhein pahile ki nai basaoonga.

8

मैं उन को उनके सारे अधर्म और पाप के काम से शुद्ध करूंगा जो उन्होंने मेरे विरुद्ध किए हैं; और उन्होंने जितने अधर्म और अपराध के काम मेरे विरुद्ध किए हैं, उन सब को मैं क्षमा करूंगा।

Main un ko unke sare adharm aur paap ke kaam se shuddh karoonga jo unhonne mere viruddh kiye hain; aur unhonne jitne adharm aur apraadh ke kaam mere viruddh kiye hain, un sab ko main kshama karoonga.

9

क्योंकि वे वह सब भलाई के काम सुनेंगे जो मैं उनके लिये करूंगा और वे सब कल्याण और शान्ति की चर्चा सुनकर जो मैं उन से करूंगा, डरेंगे और थरथराएंगे; वे पृथ्वी की उन जातियों की दृष्टि में मेरे लिये हर्षाने वाले और स्तुति और शोभा का कारण हो जाएंगे।

Kyonki ve vah sab bhalai ke kaam sunenge jo main unke liye karoonga aur ve sab kalyaan aur shanti ki charcha sunkar jo main un se karoonga, darenge aur tharathrayenge; ve prithvi ki un jatiyon ki drishti mein mere liye harshane vale aur stuti aur shobha ka karan ho jayenge.

10

यहोवा यों कहता है, यह स्थान जिसके विषय तुम लोग कहते हो कि यह तो उजाड़ हो गया है, इस में न तो मनुष्य रह गया है और न पशु, अर्थात यहूदा देश के नगर और यरूशलेम की सड़कें जो ऐसी सुनसान पड़ी हैं कि उन में न तो कोई मनुष्य रहता है और न कोई पशु,

Yahowa yon kahta hai, yah sthaan jiske vishay tum log kahte ho ki yah to ujaad ho gaya hai, is mein na to manushya rah gaya hai aur na pashu, arthaat Yahuda desh ke nagar aur Yerushalem ki sadkein jo aisi sunsaan padi hain ki un mein na to koi manushya rahta hai aur na koi pashu,

11

इन्हीं में हर्ष और आनन्द का शब्द, दुल्हे-दुल्हिन का शब्द, और इस बात के कहने वालों का शब्द फिर सुनाईं पड़ेगा कि सेनाओं के यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि यहोवा भला है, और उसकी करुणा सदा की है। और यहोवा के भवन में धन्यवादबलि लाने वालों का भी शब्द सुनाईं देगा; क्योंकि मैं इस देश की दशा पहिले की नाईं ज्यों की त्यों कर दूंगा, यहोवा का यही वचन है।

Inhi mein harsh aur aanand ka shabd, dulhe-dulhin ka shabd, aur is baat ke kahne valon ka shabd phir sunai padega ki senaon ke Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki Yahowa bhala hai, aur uski karuna sada ki hai. Aur Yahowa ke bhavan mein dhanyavadabli lane valon ka bhi shabd sunai dega; kyonki main is desh ki dasha pahile ki nai jyon ki tyon kar doonga, Yahowa ka yahi vachan hai.

12

सेनाओं का यहोवा कहता है: सब गांवों समेत यह स्थान जो ऐसा उजाड़ है कि इस में न तो मनुष्य रह गया है और न पशु, इसी में भेड़-बकरियां बैठाने वाले चरवाहे फिर बसेंगे।

Senaon ka Yahowa kahta hai: sab ganvon samet yah sthaan jo aisa ujaad hai ki is mein na to manushya rah gaya hai aur na pashu, isi mein bhed-bakriyan baithane vale charvahe phir basenge.

13

पहाड़ी देश में और नीचे के देश में, दक्खिन देश के नगरों में, बिन्यामीन देश में, और यरूशलेम के आस पास, निदान यहूदा देश के सब नगरों में भेड़-बकरियां फिर गिन-गिनकर चराई जाएंगी, यहोवा का यही वचन हे।

Pahadi desh mein aur neeche ke desh mein, dakkhin desh ke nagron mein, binyameen desh mein, aur Yerushalem ke aas paas, nidaan Yahuda desh ke sab nagron mein bhed-bakriyan phir gin-ginkar charai jayengi, Yahowa ka yahi vachan he.

14

यहोवा की यह भी वाणी है, देख, ऐसे दिन आने वाले हैं कि कल्याण का जो वचन मैं ने इस्राएल और यहूदा के घरानों के विषय में कहा है, उसे पूरा करूंगा।

Yahowa ki yah bhi vani hai, dekh, aise din aane vale hain ki kalyaan ka jo vachan main ne Israel aur Yahuda ke gharanon ke vishay mein kaha hai, use poora karoonga.

15

उन दिनों में और उन समयों में मैं दाऊद के वंश में धर्म की एक डाल उगाऊंगा; और वह इस देश में न्याय और धर्म के काम करेगा।

Un dinon mein aur un samyon mein main Daud ke vansh mein dharm ki ek daal ugaoonga; aur vah is desh mein nyaay aur dharm ke kaam karega.

16

उन दिनों में यहूदा बचा रहेगा और यरूशलेम निडर बसा रहेगा; और उसका नाम यह रखा जाएगा अय्रात् यहोवा हमारी धार्मिकता।

Un dinon mein Yahuda bacha rahega aur Yerushalem nidar basa rahega; aur uska naam yah rakha jayega ayraat Yahowa hamari dharmikta.

17

यहोवा यों कहता है, दाऊद के कुल में इस्राएल के घराने की गद्दी पर विराजने वाले सदैव बने रहेंगे,

Yahowa yon kahta hai, Daud ke kul mein Israel ke gharane ki gaddi par virajne vale sadaiv bane rahenge,

18

और लेवीय याजकों के कुलों में प्रतिदिन मेरे लिये होमबलि चढ़ाने वाले और अन्नबलि जलाने वाले और मेलबलि चढ़ाने वाले सदैव बने रहेंगे।

Aur leveeya yajkon ke kulon mein pratidin mere liye homabli chadhane vale aur annabli jalane vale aur melabli chadhane vale sadaiv bane rahenge.

19

फिर यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा, यहोवा यों कहता है,

Phir Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha, Yahowa yon kahta hai,

20

मैं ने दिन और रात के विषय में जो वाचा बान्धी है, जब तुम उसको ऐसा तोड़ सको कि दिन और रात अपने अपने समय में न हों,

Main ne din aur raat ke vishay mein jo vacha bandhi hai, jab tum usko aisa tod sako ki din aur raat apne apne samay mein na hon,

21

तब ही जो वाचा मैं ने अपने दास दाऊद के संग बान्धी है टूट सकेगी, कि तेरे वंश की गद्दी पर विराजने वाले सदैव बने रहेंगे, और मेरी वाचा मेरी सेवा टहल करने वाले लेवीय याजकों के संग बन्धी रहेगी।

Tab hi jo vacha main ne apne daas Daud ke sang bandhi hai toot sakegi, ki tere vansh ki gaddi par virajne vale sadaiv bane rahenge, aur meri vacha meri seva tahal karne vale leveeya yajkon ke sang bandhi rahegi.

22

जैसा आकाश की सेना की गिनती और समुद्र की बालू के किनकों का परिमाण नहीं हो सकता है उसी प्रकार मैं अपने दास दाऊद के वंश और अपने सेवक लेवियों को बढ़ा कर अनगिनित कर दूंगा।

Jaisa aakaash ki sena ki ginti aur samudra ki balu ke kinkon ka parimaan nahi ho sakta hai usi prakaar main apne daas Daud ke vansh aur apne sevak leviyon ko badha kar anginit kar doonga.

23

यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुचा, क्या तू ने नहीं देखा

Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahucha, kya tu ne nahi dekha

24

कि ये लोग क्या कहते हैं, कि, जो दो कुल यहोवा ने चुन लिए थे उन दोनों से उसने अब हाथ उठाया है? यह कह कर कि ये मेरी प्रजा को तुच्छ जानते हैं और कि यह जाति उनकी दृष्टि में गिर गई है।

Ki ye log kya kahte hain, ki, jo do kul Yahowa ne chun liye the un donon se usne ab haath uthaya hai? Yah kah kar ki ye meri praja ko tuchchh jante hain aur ki yah jati unki drishti mein gir gai hai.

25

यहोवा यों कहता है, यदि दिन और रात के विषय मेरी वाचा अटल न रहे, और यदि आकाश और पृथ्वी के नियम मेरे ठहराए हुए न रह जाएं,

Yahowa yon kahta hai, yadi din aur raat ke vishay meri vacha atal na rahe, aur yadi aakaash aur prithvi ke niyam mere thahraye hue na rah jayen,

26

तब ही मैं याकूब के वंश से हाथ उठाऊंगा।,और इब्राहीम, इसहाक और याकूब के वंश पर प्रभुता करने के लिये अपने दास दाऊद के वंश में से किसी को फिर न ठहराऊंगा। परन्तु इसके विपरीत मैं उन पर दया कर के उन को बंधुआई से लौटा लाऊंगा।

Tab hi main Yakub ke vansh se haath uthaoonga.,aur Ibrahim, Ishaq aur Yakub ke vansh par prabhuta karne ke liye apne daas Daud ke vansh mein se kisi ko phir na thahraoonga. Parantu iske vipreet main un par daya kar ke un ko bandhuaai se lauta laoonga.