Jeremiah 32 · 44 verses

यिर्मयाह 32 Jeremiah 32 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 32.

1

यहूदा के राजा सिदकिय्याह के राज्य के दसवें वर्ष में जो नबूकदनेस्सर के राज्य का अठारहवां वर्ष था, यहोवा की ओर से यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा।

Yahuda ke raja sidkiyyaah ke rajya ke dasvein varsh mein jo nabookadnessar ke rajya ka atharahvan varsh tha, Yahowa ki or se yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha.

2

उस समय बाबुल के राजा की सेना ने यरूशलेम को घेर लिया था और यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता यहूदा के राजा के पहरे के भवन के आंगन में कैदी था।

Us samay babul ke raja ki sena ne Yerushalem ko gher liya tha aur yirmayaah bhavishyadwakta Yahuda ke raja ke pahre ke bhavan ke aangan mein kaidi tha.

3

क्योंकि यहूदा के राजा सिदकिय्याह ने यह कह कर उसे कैद किया था, कि, तू ऐसी भविष्यद्वाणी क्यों करता है कि यहोवा यों कहता है: देखो, मैं यह नगर बाबुल के राजा के वश में कर दूंगा, वह इस को ले लेगा;

Kyonki Yahuda ke raja sidkiyyaah ne yah kah kar use kaid kiya tha, ki, tu aisi bhavishyadwani kyon karta hai ki Yahowa yon kahta hai: dekho, main yah nagar babul ke raja ke vash mein kar doonga, vah is ko le lega;

4

और यहूदा का राजा सिदकिय्याह कसदियों के हाथ से न बचेगा परन्तु वह बाबुल के राजा के वश में अवश्य ही पड़ेगा, और वह और बाबुल का राजा आपस में आम्हने-साम्हने बातें करेंगे; और अपनी अपनी आंखों से एक दूसरे को देखेंगे।

Aur Yahuda ka raja sidkiyyaah kasdiyon ke haath se na bachega parantu vah babul ke raja ke vash mein avashya hi padega, aur vah aur babul ka raja aapas mein aamhane-samhane batein karenge; aur apni apni aankhon se ek doosre ko dekhenge.

5

और वह सिदकिय्याह को बाबुल में ले जाएगा, और जब तक मैं उसकी सुधि न लूं, तब तक वह वहीं रहेगा, यहोवा की यह वाणी है। चाहे तुम लोग कसदियों से लड़ो भी, तौभी तुम्हारे लड़ने से कुछ बन न पड़ेगा।

Aur vah sidkiyyaah ko babul mein le jayega, aur jab tak main uski sudhi na lun, tab tak vah vahi rahega, Yahowa ki yah vani hai. Chahe tum log kasdiyon se lado bhi, taubhi tumhare ladne se kuchh ban na padega.

6

यिर्मयाह ने कहा, यहोवा का वचन मेरे पास पहुंचा,

Yirmayaah ne kaha, Yahowa ka vachan mere paas pahuncha,

7

देख, शल्लूम का पुत्र हनमेल जो तेरा चचेरा भाई है, सो तेरे पास यह कहने को आने पर है कि मेरा खेत जो अनातोत में है उसे मोल ले, क्योंकि उसे मोल ले कर छुड़ाने का अधिकार तेरा ही है।

Dekh, shalloom ka putra hanmel jo tera chachera bhai hai, so tere paas yah kahne ko aane par hai ki mera khet jo anatot mein hai use mol le, kyonki use mol le kar chhudane ka adhikaar tera hi hai.

8

सो यहोवा के वचन के अनुसार मेरा चचेरा भाई हनमेल पहरे के आंगन में मेरे पास आकर कहने लगा, मेरा जो खेत बिन्यामीन देश के अनातोत में है उसे मोल ले, क्योंकि उसके स्वामी होने और उसके छुड़ा लेने का अधिकार तेरा ही है; इसलिये तू उसे मोल ले। तब मैं ने जान लिया कि वह यहोवा का वचन था।

So Yahowa ke vachan ke anusaar mera chachera bhai hanmel pahre ke aangan mein mere paas aakar kahne laga, mera jo khet binyameen desh ke anatot mein hai use mol le, kyonki uske swami hone aur uske chhuda lene ka adhikaar tera hi hai; isliye tu use mol le. Tab main ne jaan liya ki vah Yahowa ka vachan tha.

9

इसलिये मैं ने उस अनातोत के खेत को अपने चचेरे भाई हनमेल से मोल ले लिया, और उसका दाम चान्दी के सत्तरह शेकेल तौलकर दे दिए।

Isliye main ne us anatot ke khet ko apne chachere bhai hanmel se mol le liya, aur uska daam chandi ke sattarah shekel taulkar de diye.

10

और मैं ने दस्तावेज़ में दस्तख़त और मुहर हो जाने पर, गवाहों के साम्हने वह चान्दी कांटे में तौलकर उसे दे दी।

Aur main ne dastavez mein dastakhat aur muhar ho jane par, gavahon ke samhane vah chandi kante mein taulkar use de di.

11

तब मैं ने मोल लेने की दोनों दस्तावेजें जिन में सब शर्तें लिखी हुई थीं, और जिन में से एक पर मुहर थी और दूसरी खुली थी,

Tab main ne mol lene ki donon dastavejein jin mein sab shartein likhi hui thi, aur jin mein se ek par muhar thi aur doosri khuli thi,

12

उन्हें ले कर अपने चचेरे भाई हनमेल के और उन गवाहों के साम्हने जिन्होंने दस्तावेज़ में दस्तख़त किए थे, और उन सब यहूदियों के साम्हने भी जो पहरे के आंगन में बैठे हुए थे, नेरिय्याह के पुत्र बारूक को जो महसेयाह का पोता था, सौंप दिया।

Unhein le kar apne chachere bhai hanmel ke aur un gavahon ke samhane jinhonne dastavez mein dastakhat kiye the, aur un sab Yahudiyon ke samhane bhi jo pahre ke aangan mein baithe hue the, neriyyaah ke putra barook ko jo mahseyaah ka pota tha, saump diya.

13

तब मैं ने उनके साम्हने बारूक को यह आज्ञा दी

Tab main ne unke samhane barook ko yah aagya di

14

कि इस्राएल के परमेश्वर सेनाओं के यहोवा यों कहता है, इन मोल लेने की दस्तावेज़ों को जिन पर मुहर की हुई है और जो खुली हुई है, इन्हें ले कर मिट्टी के बर्तन में रख, ताकि ये बहुत दिन तक रहें।

Ki Israel ke Parmeshwar senaon ke Yahowa yon kahta hai, in mol lene ki dastavezon ko jin par muhar ki hui hai aur jo khuli hui hai, inhein le kar mitti ke bartan mein rakh, taki ye bahut din tak rahein.

15

क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है, इस देश में घर और खेत ओर दाख की बारियां फिर बेची और मोल ली जाएंगी।

Kyonki Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai, is desh mein ghar aur khet or daakh ki bariyan phir bechi aur mol li jayengi.

16

जब मैं ने मोल लेने की वह दस्तावेज़ नेरिय्याह के पुत्र बारूक के हाथ में दी, तब मैं ने यहोवा से यह प्रार्थना की,

Jab main ne mol lene ki vah dastavez neriyyaah ke putra barook ke haath mein di, tab main ne Yahowa se yah prarthana ki,

17

हे प्रभु यहोवा, तू ने बड़े सामर्थ और बढ़ाई हुई भुजा से आकाश और पृथ्वी को बनाया है! तेरे लिये कोई काम कठिन नहीं है।

He Prabhu Yahowa, tu ne bade samarth aur badhai hui bhuja se aakaash aur prithvi ko banaya hai! Tere liye koi kaam kathin nahi hai.

18

तू हजारों पर करुणा करता रहता परन्तु पूर्वजों के अधर्म का बदला उनके बाद उनके वंश के लोगों को भी देता है, हे महान और पराक्रमी परमेश्वर, जिसका नाम सेनाओं का यहोवा है,

Tu hajaron par karuna karta rahta parantu poorvajon ke adharm ka badla unke baad unke vansh ke logon ko bhi deta hai, he mahaan aur parakrami Parmeshwar, jiska naam senaon ka Yahowa hai,

19

तू बड़ी युक्ति करने वाला और सामर्थ के काम करने वाला है; तेरी दृष्टि मनुष्यों के सारे चालचलन पर लगी रहती है, और तू हर एक को उसके चालचलन और कर्म का फल भुगताता है।

Tu badi yukti karne vala aur samarth ke kaam karne vala hai; teri drishti manushyon ke sare chalachlan par lagi rahti hai, aur tu har ek ko uske chalachlan aur karm ka phal bhugtata hai.

20

तू ने मिस्र देश में चिन्ह और चमत्कार किए, और आज तक इस्राएलियों वरन सब मनुष्यों के बीच वैसा करता आया है, और इस प्रकार तू ने अपना ऐसा नाम किया है जो आज के दिन तक बना है।

Tu ne Misr desh mein chinh aur chamatkaar kiye, aur aaj tak Israeliyon varan sab manushyon ke beech vaisa karta aaya hai, aur is prakaar tu ne apna aisa naam kiya hai jo aaj ke din tak bana hai.

21

तू अपनी प्रजा इस्राएल को मिस्र देश में से चिन्हों और चमत्कारों और सामर्थी हाथ और बढ़ाई हुई भुजा के द्वारा, और बड़े भयानक कामों के साथ निकाल लाया।

Tu apni praja Israel ko Misr desh mein se chinhon aur chamatkaron aur samarthi haath aur badhai hui bhuja ke dwara, aur bade bhayanak kamon ke saath nikaal laya.

22

फिर तू ने यह देश उन्हें दिया जिसके देने की शपथ तू ने उनके पूर्वजों से खाई थी; जिसमें दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, और वे आकर इसके अधिकारी हुए।

Phir tu ne yah desh unhein diya jiske dene ki shapath tu ne unke poorvajon se khai thi; jismein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, aur ve aakar iske adhikari hue.

23

तौभी उन्होंने तेरी नहीं मानी, और न तेरी व्यवस्था पर चले; वरन जो कुछ तू ने उन को करने की आज्ञा दी थी, उस में से उन्होंने कुछ भी नहीं किया। इस कारण तू ने उन पर यह सब विपत्ति डाली है।

Taubhi unhonne teri nahi mani, aur na teri vyavastha par chale; varan jo kuchh tu ne un ko karne ki aagya di thi, us mein se unhonne kuchh bhi nahi kiya. Is karan tu ne un par yah sab vipatti dali hai.

24

अब इन दमदमों को देख, वे लोग इस नगर को ले लेने के लिये आ गए हैं, ओर यह नगर तलवार, महंगी और मरी के कारण इन चढ़े हुए कसदियों के वश में किया गया है। जो तू ने कहा था वह अब पूरा हुआ है, और तू इसे देखता भी है।

Ab in damadmon ko dekh, ve log is nagar ko le lene ke liye aa gaye hain, or yah nagar talvaar, mahangi aur mari ke karan in chadhe hue kasdiyon ke vash mein kiya gaya hai. Jo tu ne kaha tha vah ab poora huaa hai, aur tu ise dekhta bhi hai.

25

तौभी, हे प्रभु यहोवा, तू ने मुझ से कहा है कि गवाह बुलाकर उस खेत को मोल ले, यद्यपि कि यह नगर कसदियों के वश में कर दिया गया है।

Taubhi, he Prabhu Yahowa, tu ne mujh se kaha hai ki gavaah bulakar us khet ko mol le, yadyapi ki yah nagar kasdiyon ke vash mein kar diya gaya hai.

26

तब यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा, मैं तो सब प्राणियों का परमेश्वर यहोवा हूँ;

Tab Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha, main to sab praniyon ka Parmeshwar Yahowa hoon;

27

क्या मेरे लिये कोई भी काम कठिन है?

Kya mere liye koi bhi kaam kathin hai?

28

सो यहोवा यों कहता है, देख, मैं यह नगर कसदियों और बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के वश में कर देने पर हूँ, और वह इस को ले लेगा।

So Yahowa yon kahta hai, dekh, main yah nagar kasdiyon aur babul ke raja nabookadnessar ke vash mein kar dene par hoon, aur vah is ko le lega.

29

जो कसदी इस नगर से युद्ध कर रहे हैं, वे आकर इस में आग लगाकर फूंक देंगे, और जिन घरों की छतों पर उन्होंने बाल के लिये धूप जलाकर और दूसरे देवताओं को तपावन देकर मुझे रिस दिलाई है, वे घर जला दिए जाएंगे।

Jo kasdi is nagar se yuddh kar rahe hain, ve aakar is mein aag lagakar phoonk denge, aur jin gharon ki chhaton par unhonne baal ke liye dhoop jalakar aur doosre devtaon ko tapavan dekar mujhe ris dilai hai, ve ghar jala diye jayenge.

30

क्योंकि इस्राएल और यहूदा, जो काम मुझे बुरा लगता है, वही लड़कपन से करते आए हैं; इस्राएली अपनी बनाई हुई वस्तुओं से मुझ को रिस ही रिस दिलाते आए हैं, यहोवा की यह वाणी है।

Kyonki Israel aur Yahuda, jo kaam mujhe bura lagta hai, vahi ladakpan se karte aaye hain; Israeli apni banai hui vastuon se mujh ko ris hi ris dilate aaye hain, Yahowa ki yah vani hai.

31

यह नगर जब से बसा है तब से आज के दिन तक मेरे क्रोध और जलजलाहट के भड़कने का कारण हुआ है, इसलिये अब मैं इस को अपने साम्हने से इस कारण दूर करूंगा

Yah nagar jab se basa hai tab se aaj ke din tak mere krodh aur jalajlahat ke bhadakne ka karan huaa hai, isliye ab main is ko apne samhane se is karan door karoonga

32

क्योंकि इस्राएल और यहूदा अपने राजाओं हाकिमों, याजकों और भविष्यद्वक्ताओं समेत, क्या यहूदा देश के, क्या यरूशलेम के निवासी, सब के सब बुराई पर बुराई कर के मुझ को रिस दिलाते आए हें।

Kyonki Israel aur Yahuda apne rajaon hakimon, yajkon aur bhavishyadwaktaon samet, kya Yahuda desh ke, kya Yerushalem ke nivasi, sab ke sab burai par burai kar ke mujh ko ris dilate aaye hein.

33

उन्होंने मेरी ओर मुंह नहीं वरन पीठ ही फेर दी है; यद्यपि मैं उन्हें बड़े यत्न से सिखाता आया हूँ, तौभी उन्होंने मेरी शिक्षा को नहीं माना।

Unhonne meri or munh nahi varan peeth hi pher di hai; yadyapi main unhein bade yatn se sikhata aaya hoon, taubhi unhonne meri shiksha ko nahi mana.

34

वरन जो भवन मेरा कहलाता है, उस में भी उन्होंने अपनी घृणित वस्तुएं स्थापन कर के उसे अशुद्ध किया है।

Varan jo bhavan mera kahlata hai, us mein bhi unhonne apni ghrinit vastuein sthapan kar ke use ashuddh kiya hai.

35

उन्होंने हिन्नोमियों की तराई में बाल के ऊंचे ऊंचे स्थान बना कर अपने बेटे-बेटियों को मोलक के लिये होम किया, जिसकी आज्ञा मैं ने कभी नहीं दी, और न यह बात कभी मेरे मन में आई कि ऐसा घृणित काम किया जाए और जिस से यहूदी लोग पाप में फंसे।

Unhonne hinnomiyon ki tarai mein baal ke oonche oonche sthaan bana kar apne bete-betiyon ko molak ke liye hom kiya, jiski aagya main ne kabhi nahi di, aur na yah baat kabhi mere man mein aai ki aisa ghrinit kaam kiya jaye aur jis se Yahudi log paap mein phanse.

36

परन्तु अब इस्राएल का परमेश्वर यहोवा इस नगर के विषय में, जिसके लिये तुम लोग कहते हो कि वह तलवार, महंगी और मरी के द्वारा बाबुल के राजा के वश में पड़ा हुआ है यों कहता है:

Parantu ab Israel ka Parmeshwar Yahowa is nagar ke vishay mein, jiske liye tum log kahte ho ki vah talvaar, mahangi aur mari ke dwara babul ke raja ke vash mein pada huaa hai yon kahta hai:

37

देखो, मैं उन को उन सब देशों से जिन में मैं ने क्रोध और जलजलाहट में आकर उन्हें बरबस निकाल दिया था, लौटा ले आकर इसी नगर में इकट्ठे करूंगा, और निडर कर के बसा दूंगा।

Dekho, main un ko un sab deshon se jin mein main ne krodh aur jalajlahat mein aakar unhein barbas nikaal diya tha, lauta le aakar isi nagar mein ikatthe karoonga, aur nidar kar ke basa doonga.

38

और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे, और मैं उनका परमेश्वर ठहरूंगा

Aur ve meri praja thahrenge, aur main unka Parmeshwar thahroonga

39

मैं उन को एक ही मन और एक ही चाल कर दूंगा कि वे सदा मेरा भय मानते रहें, जिस से उनका और उनके बाद उनके वंश का भी भला हो।

Main un ko ek hi man aur ek hi chaal kar doonga ki ve sada mera bhay mante rahein, jis se unka aur unke baad unke vansh ka bhi bhala ho.

40

मैं उन से यह वाचा बान्धूंगा, कि मैं कभी उनका संग छोड़ कर उनका भला करना न छोड़ूंगा; और अपना भय मैं उनके मन से ऐसा उपजाऊंगा कि वे कभी मुझ से अलग होना न चाहेंगे।

Main un se yah vacha bandhoonga, ki main kabhi unka sang chhod kar unka bhala karna na chhodoonga; aur apna bhay main unke man se aisa upjaoonga ki ve kabhi mujh se alag hona na chahenge.

41

मैं बड़ी प्रसन्नता के साथ उनका भला करता रहूंगा, और सचमुच उन्हें इस देश में अपने सारे मन ओर प्राण से बसा दूंगा।

Main badi prasannata ke saath unka bhala karta rahoonga, aur sachmuch unhein is desh mein apne sare man or praan se basa doonga.

42

देख, यहोवा यों कहता है कि जैसे मैं ने अपनी इस प्रजा पर यह सब बड़ी विपत्ति डाल दी, वैसे ही निश्चय इन से वह सब भलाई भी करूंगा जिसके करने का वचन मैं ने दिया हे। सो यह देश जिसके विषय तुम लोग कहते हो

Dekh, Yahowa yon kahta hai ki jaise main ne apni is praja par yah sab badi vipatti daal di, vaise hi nishchay in se vah sab bhalai bhi karoonga jiske karne ka vachan main ne diya he. So yah desh jiske vishay tum log kahte ho

43

कि यह उजाड़ हो गया है, इस में न तो मनुष्य रह गए हैं और न पशु, यह तो कसदियों के वश में पड़ चुका है, इसी में फिर से खेत मोल लिए जाएंगे,

Ki yah ujaad ho gaya hai, is mein na to manushya rah gaye hain aur na pashu, yah to kasdiyon ke vash mein pad chuka hai, isi mein phir se khet mol liye jayenge,

44

और बिन्यामीन के देश में, यरूशलेम के आस पास, और यहूदा देश के अर्थात पहाड़ी देश, नीचे के देश और दक्खिन देश के नगरों में लोग गवाह बुला कर खेत मोल लेंगे, और दस्तावेज़ में दस्तखत और मुहर करेंगे; क्योंकि मैं उनके दिनों को लौटा ले आऊंगा; यहोवा की यही वाणी है।

Aur binyameen ke desh mein, Yerushalem ke aas paas, aur Yahuda desh ke arthaat pahadi desh, neeche ke desh aur dakkhin desh ke nagron mein log gavaah bula kar khet mol lenge, aur dastavez mein dastakhat aur muhar karenge; kyonki main unke dinon ko lauta le aaoonga; Yahowa ki yahi vani hai.