उन दिनों में मैं सारे इस्राएली कुलों का परमेश्वर ठहरूंगा और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे, यहोवा की यही वाणी है।
Un dinon mein main sare Israeli kulon ka Parmeshwar thahroonga aur ve meri praja thahrenge, Yahowa ki yahi vani hai.
Jeremiah 31 · 40 verses
उन दिनों में मैं सारे इस्राएली कुलों का परमेश्वर ठहरूंगा और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे, यहोवा की यही वाणी है।
Un dinon mein main sare Israeli kulon ka Parmeshwar thahroonga aur ve meri praja thahrenge, Yahowa ki yahi vani hai.
यहोवा यों कहता है: जो प्रजा तलवार से बच निकली, उन पर जंगल में अनुग्रह हुआ; मैं इस्राएल को विश्राम देने के लिये तैयार हुआ।
Yahowa yon kahta hai: jo praja talvaar se bach nikli, un par jangal mein anugrah huaa; main Israel ko vishraam dene ke liye taiyaar huaa.
यहोवा ने मुझे दूर से दर्शन देकर कहा है। मैं तुझ से सदा प्रेम रखता आया हूँ; इस कारण मैं ने तुझ पर अपनी करुणा बनाए रखी है।
Yahowa ne mujhe door se darshan dekar kaha hai. Main tujh se sada prem rakhta aaya hoon; is karan main ne tujh par apni karuna banaye rakhi hai.
हे इस्राएली कुमारी कन्या! मैं तुझे फिर बसाऊंगा; वहां तू फिर सिंगार कर के डफ बजाने लगेगी, और आनन्द करने वालों के बीच में नाचती हुई निकलेगी।
He Israeli kumari kanya! Main tujhe phir basaoonga; vahan tu phir singaar kar ke daph bajane lagegi, aur aanand karne valon ke beech mein nachti hui niklegi.
तू शोमरोन के पहाड़ों पर अंगूर की बारियां फिर लगाएगी; और जो उन्हें लगाएंगे, वे उनके फल भी खाने पाएंगे।
Tu shomron ke pahadon par angoor ki bariyan phir lagayegi; aur jo unhein lagayenge, ve unke phal bhi khane payenge.
क्योंकि ऐसा दिन आएगा, जिस में एप्रैम के पहाड़ी देश के पहरुए पुकारेंगे: उठो, हम अपने परमेश्वर यहोवा के पास सिय्योन को चलें।
Kyonki aisa din aayega, jis mein epraim ke pahadi desh ke pahrue pukarenge: utho, ham apne Parmeshwar Yahowa ke paas siyyon ko chalein.
क्योंकि यहोवा यों कहता है: याकूब के कारण आनन्द से जयजयकार करो: जातियों में जो श्रेष्ट है उसके लिये ऊंचे शब्द से स्तुति करो, और कहो, हे यहोवा, अपनी प्रजा इस्राएल के बचे हुए लोगों का भी उद्धार कर।
Kyonki Yahowa yon kahta hai: Yakub ke karan aanand se jayjaykaar karo: jatiyon mein jo shresht hai uske liye oonche shabd se stuti karo, aur kaho, he Yahowa, apni praja Israel ke bache hue logon ka bhi uddhaar kar.
देखो, मैं उन को उत्तर देश से ले आऊंगा, और पृथ्वी के कोने कोने से इकट्ठे करूंगा, और उनके बीच अन्धे, लंगड़े, गर्भवती, और जच्चा स्त्रियां भी आएंगी; एक बड़ी मण्डली यहां लौट आएगी।
Dekho, main un ko uttar desh se le aaoonga, aur prithvi ke kone kone se ikatthe karoonga, aur unke beech andhe, langde, garbhavti, aur jachcha striyan bhi aayengi; ek badi mandali yahan laut aayegi.
वे आंसू बहाते हुए आएंगे और गिड़गिड़ाते हुए मेरे द्वारा पहुंचाए जाएंगे, मैं उन्हें नदियों के किनारे किनारे से और ऐसे चौरस मार्ग से ले आऊंगा, जिस से वे ठोकर न खाने पाएंगे; क्योंकि मैं इस्राएल का पिता हूँ, और एप्रैम मेरा जेठा है।
Ve aansu bahate hue aayenge aur gidgidate hue mere dwara pahunchaye jayenge, main unhein nadiyon ke kinare kinare se aur aise chauras maarg se le aaoonga, jis se ve thokar na khane payenge; kyonki main Israel ka pita hoon, aur epraim mera jetha hai.
हे जाति जाति के लोगो, यहोवा का वचन सुनो, और दूर दूर के द्वीपों में भी इसका प्रचार करो; कहो, कि जिसने इस्राएलियों को तितर- बितर किया था, वही उन्हें इकट्ठे भी करेगा, और उनकी ऐसी रक्षा करेगा जैसी चरवाहा अपने झुण्ड की करता है।
He jati jati ke logo, Yahowa ka vachan suno, aur door door ke dweepon mein bhi iska prachaar karo; kaho, ki jisne Israeliyon ko titar- bitar kiya tha, vahi unhein ikatthe bhi karega, aur unki aisi raksha karega jaisi charvaha apne jhund ki karta hai.
क्योंकि यहोवा ने याकूब को छुड़ा लिया, और उस शत्रु के पंजे से जो उस से अधिक बलवन्त है, उसे छुटकारा दिया है।
Kyonki Yahowa ne Yakub ko chhuda liya, aur us shatru ke panje se jo us se adhik balvant hai, use chhutkara diya hai.
इसलिये वे सिय्योन की चोटी पर आकर जयजयकार करेंगे, और यहोवा से अनाज, नया दाखमधु, टटका तेल, भेड़-बकरियां और गाय-बैलों के बच्चे आदि उत्तम उत्तम दान पाने के लिये तांता बान्ध कर चलेंगे; और उनका प्राण सींची हुई बारी के समान होगा, और वे फिर कभी उदास न होंगे।
Isliye ve siyyon ki choti par aakar jayjaykaar karenge, aur Yahowa se anaaj, naya dakhamdhu, tatka tel, bhed-bakriyan aur gaay-bailon ke bachche aadi uttam uttam daan pane ke liye tanta baandh kar chalenge; aur unka praan seenchi hui bari ke samaan hoga, aur ve phir kabhi udaas na honge.
उस समय उनकी कुमारियां नाचती हुई हर्ष करेंगी, और जवान और बूढ़े एक संग आनन्द करेंगे। क्योंकि मैं उनके शोक को दूर कर के उन्हें आनन्दित करूंगा, मैं उन्हें शान्ति दूंगा, और दु:ख के बदले आनन्द दूंगा।
Us samay unki kumariyan nachti hui harsh karengi, aur javaan aur boodhe ek sang aanand karenge. Kyonki main unke shok ko door kar ke unhein aanandit karoonga, main unhein shanti doonga, aur dukh ke badle aanand doonga.
मैं याजकों को चिकनी वस्तुओं से अति तृप्त करूंगा, और मेरी प्रजा मेरे उत्तम दानों से सन्तुष्ट होगी, यहोवा की यही वाणी है।
Main yajkon ko chikni vastuon se ati tript karoonga, aur meri praja mere uttam danon se santusht hogi, Yahowa ki yahi vani hai.
यहोवा यह भी कहता है: सुन, रामा नगर में विलाप और बिलक बिलककर रोने का शब्द सुनने में आता है। राहेल अपने लड़कों के लिये रो रही है; और अपने लड़कों के कारण शान्त नहीं होती, क्योंकि वे जाते रहे।
Yahowa yah bhi kahta hai: sun, rama nagar mein vilaap aur bilak bilakkar rone ka shabd sunne mein aata hai. Rahel apne ladkon ke liye ro rahi hai; aur apne ladkon ke karan shaant nahi hoti, kyonki ve jate rahe.
यहोवा यों कहता हे: रोने-पीटने और आंसू बहाने से रुक जा; क्योंकि तेरे परिश्रम का फल मिलने वाला है, और वे शत्रुओं के देश से लौट आएंगे।
Yahowa yon kahta he: rone-peetne aur aansu bahane se ruk ja; kyonki tere parishram ka phal milne vala hai, aur ve shatruon ke desh se laut aayenge.
अन्त में तेरी आशा पूरी होगी, यहोवा की यह वाणी है, तेरे वंश के लोग अपने देश में लौट आएंगे।
Ant mein teri aasha poori hogi, Yahowa ki yah vani hai, tere vansh ke log apne desh mein laut aayenge.
निश्चय मैं ने एप्रैम को ये बातें कह कर विलाप करते सुना है कि तू ने मेरी ताड़ना की, और मेरी ताड़ना ऐसे बछड़े की सी हुई जो निकाला न गया हो; परन्तु अब तू मुझे फेर, तब मैं फिरूंगा, क्योंकि तू मेरा परमेश्वर है।
Nishchay main ne epraim ko ye batein kah kar vilaap karte suna hai ki tu ne meri tadna ki, aur meri tadna aise bachhde ki si hui jo nikala na gaya ho; parantu ab tu mujhe pher, tab main phiroonga, kyonki tu mera Parmeshwar hai.
भटक जाने के बाद मैं पछताया: और सिखाए जाने के बाद मैं ने छाती पीटी: पुराने पापों को स्मरण कर मैं लज्जित हुआ और मेरा मुंह काला हो गया।
Bhatak jane ke baad main pachhtaya: aur sikhaye jane ke baad main ne chhati peeti: purane papon ko smaran kar main lajjit huaa aur mera munh kala ho gaya.
क्या एप्रैम मेरा प्रिय पुत्र नहीं है? क्या वह मेरा दुलारा लड़का नहीं है? जब जब मैं उसके विरुद्ध बातें करता हूं, तब तब मुझे उसका स्मरण हो आता है। इसलिये मेरा मन उसके कारण भर आता है; और मैं निश्चय उस पर दया करूंगा, यहोवा की यही वाणी है।
Kya epraim mera priya putra nahi hai? Kya vah mera dulara ladka nahi hai? Jab jab main uske viruddh batein karta hoon, tab tab mujhe uska smaran ho aata hai. Isliye mera man uske karan bhar aata hai; aur main nishchay us par daya karoonga, Yahowa ki yahi vani hai.
हे इस्राएली कुमारी, जिस राजमार्ग से तू गई थी, उसी में खम्भे और झण्डे खड़े कर; और अपने इन नगरों में लौट आने पर मन लगा।
He Israeli kumari, jis rajmaarg se tu gai thi, usi mein khambhe aur jhande khade kar; aur apne in nagron mein laut aane par man laga.
हे भटकने वाली कन्या, तू कब तक इधर उधर फिरती रहेगी? यहोवा की एक नई सृष्टि पृथ्वी पर प्रगट होगी, अर्थात नारी पुरुष की सहायता करेगी।
He bhatakne vali kanya, tu kab tak idhar udhar phirti rahegi? Yahowa ki ek nai srishti prithvi par pragat hogi, arthaat nari purush ki sahayta karegi.
इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है: जब मैं यहूदी बंधुओं को उनके देश के नगरों में लौटाऊंगा, तब उन में यह आशीर्वाद फिर दिया जाएगा: हे धर्मभरे वासस्थान, हे पवित्र पर्वत, यहोवा तुझे आशीष दे!
Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai: jab main Yahudi bandhuon ko unke desh ke nagron mein lautaoonga, tab un mein yah aasheervaad phir diya jayega: he dharmabhre vasasthaan, he pavitra parvat, Yahowa tujhe aasheesh de!
और यहूदा और उसके सब नगरों के लोग और किसान और चरवाहे भी उस में इकट्टे बसेंगे।
Aur Yahuda aur uske sab nagron ke log aur kisaan aur charvahe bhi us mein ikatte basenge.
क्योंकि मैं ने थके हुए लोगों का प्राण तृप्त किया, और उदास लोगों के प्राण को भर दिया है।
Kyonki main ne thake hue logon ka praan tript kiya, aur udaas logon ke praan ko bhar diya hai.
इस पर मैं जाग उठा, और देखा, ओर मेरी नीन्द मुझे मीठी लगी।
Is par main jaag utha, aur dekha, or meri neend mujhe meethi lagi.
देख, यहोवा की यह वाणी है, कि ऐसे दिन आने वाले हैं जिन में मैं इस्राएल और यहूदा के घरानों के लड़के-बाले और पशु दोनों को बहुत बढ़ाऊंगा।
Dekh, Yahowa ki yah vani hai, ki aise din aane vale hain jin mein main Israel aur Yahuda ke gharanon ke ladke-bale aur pashu donon ko bahut badhaoonga.
और जिस प्रकार से मैं सोच सोचकर उन को गिराता और ढाता, नष्ट करता, काट डालता और सत्यानाश ही करता था, उसी प्रकार से मैं अब सोच सोचकर उन को रोपूंगा और बढ़ाऊंगा, यहोवा की यही वाणी है।
Aur jis prakaar se main soch sochkar un ko girata aur dhata, nasht karta, kaat dalta aur satyanaash hi karta tha, usi prakaar se main ab soch sochkar un ko ropoonga aur badhaoonga, Yahowa ki yahi vani hai.
उन दिनों में वे फिर न कहेंगे कि पुरखा लोगों ने तो जंगली दाख खाई, परन्तु उनके वंश के दांत खट्टे हो गए हैं।
Un dinon mein ve phir na kahenge ki purkha logon ne to jangli daakh khai, parantu unke vansh ke daant khatte ho gaye hain.
क्योंकि जो कोई जंगली दाख खाए उसी के दांत खट्टे हो जाएंगे, और हर एक मनुष्य अपने ही अधर्म के कारण मारा जाएगा।
Kyonki jo koi jangli daakh khaye usi ke daant khatte ho jayenge, aur har ek manushya apne hi adharm ke karan mara jayega.
फिर यहोवा की यह भी वाणी है, सुन, ऐसे दिन आने वाले हैं जब मैं इस्राएल और यहूदा के घरानों से नई वाचा बान्धूंगा।
Phir Yahowa ki yah bhi vani hai, sun, aise din aane vale hain jab main Israel aur Yahuda ke gharanon se nai vacha bandhoonga.
वह उस वाचा के समान न होगी जो मैं ने उनके पुरखाओं से उस समय बान्धी थी जब मैं उनका हाथ पकड़ कर उन्हें मिस्र देश से निकाल लाया, क्योंकि यद्यपि मैं उनका पति था, तौभी उन्होंने मेरी वह वाचा तोड़ डाली।
Vah us vacha ke samaan na hogi jo main ne unke purkhaon se us samay bandhi thi jab main unka haath pakad kar unhein Misr desh se nikaal laya, kyonki yadyapi main unka pati tha, taubhi unhonne meri vah vacha tod dali.
परन्तु जो वाचा मैं उन दिनों के बाद इस्राएल के घराने से बान्धूंगा, वह यह है: मैं अपनी व्यवस्था उनके मन में समवाऊंगा, और उसे उनके हृदय पर लिखूंगा; और मैं उनका परमेश्वर ठहरूंगा, और वे मेरी प्रजा ठहरेंगे, यहोवा की यह वाणी है।
Parantu jo vacha main un dinon ke baad Israel ke gharane se bandhoonga, vah yah hai: main apni vyavastha unke man mein samvaoonga, aur use unke hriday par likhoonga; aur main unka Parmeshwar thahroonga, aur ve meri praja thahrenge, Yahowa ki yah vani hai.
और तब उन्हें फिर एक दूसरे से यह न कहना पड़ेगा कि यहोवा को जानो, क्योंकि, यहोवा की यह वाणी है कि छोटे से ले कर बड़े तक, सब के सब मेरा ज्ञान रखेंगे; क्योंकि मैं उनका अधर्म क्षमा करूंगा, और उनका पाप फिर स्मरण न करूंगा।
Aur tab unhein phir ek doosre se yah na kahna padega ki Yahowa ko jano, kyonki, Yahowa ki yah vani hai ki chhote se le kar bade tak, sab ke sab mera gyaan rakhenge; kyonki main unka adharm kshama karoonga, aur unka paap phir smaran na karoonga.
जिसने दिन को प्रकाश देने के लिये सूर्य को और रात को प्रकाश देने के लिये चन्द्रमा और तारागण के नियम ठहराए हैं, जो समुद्र को उछालता और उसकी लहरों को गरजाता है, और जिसका नाम सेनाओं का यहोवा है, वही यहोवा यों कहता है:
Jisne din ko prakaash dene ke liye soorya ko aur raat ko prakaash dene ke liye chandrama aur taragan ke niyam thahraye hain, jo samudra ko uchhalta aur uski lahron ko garjata hai, aur jiska naam senaon ka Yahowa hai, vahi Yahowa yon kahta hai:
यदि ये नियम मेरे साम्हने से टल जाएं तब ही यह हो सकेगा कि इस्राएल का वंश मेरी दृष्टि में सदा के लिये एक जाति ठहरने की अपेक्षा मिट सकेगा।
Yadi ye niyam mere samhane se tal jayen tab hi yah ho sakega ki Israel ka vansh meri drishti mein sada ke liye ek jati thaharne ki apeksha mit sakega.
यहोवा यों भी कहता है, यदि ऊपर से आकाश मापा जाए और नीचे से पृथ्वी की नेव खोद खोदकर पता लगाया जाए, तब ही मैं इस्राएल के सारे वंश को उनके सब पापों के कारण उन से हाथ उठाऊंगा।
Yahowa yon bhi kahta hai, yadi oopar se aakaash mapa jaye aur neeche se prithvi ki nev khod khodkar pata lagaya jaye, tab hi main Israel ke sare vansh ko unke sab papon ke karan un se haath uthaoonga.
देख, यहोवा की यह वाणी है, ऐसे दिन आ रहे हैं जिन में यह नगर हननेल के गुम्मट से ले कर कोने के फाटक तक यहोवा के लिये बनाया जाएगा।
Dekh, Yahowa ki yah vani hai, aise din aa rahe hain jin mein yah nagar hannel ke gummat se le kar kone ke phatak tak Yahowa ke liye banaya jayega.
और मापने की रस्सी फिर आगे बढ़कर सीधी गारेब पहाड़ी तक, और वहां से घूमकर गोआ को पहुंचेगी।
Aur mapne ki rassi phir aage badhkar seedhi gareb pahadi tak, aur vahan se ghoomkar goaa ko pahunchegi.
और लोथों और राख की सब तराई और किद्रोन नाले तक जितने खेत हैं, घोड़ों के पूवीं फाटक के कोने तक जितनी भूमि है, वह सब यहोवा के लिये पवित्र ठहरेगी। सदा तक वह नगर फिर कभी न तो गिराया जाएगा और न ढाया जाएगा
Aur lothon aur raakh ki sab tarai aur kidron nale tak jitne khet hain, ghodon ke poovi phatak ke kone tak jitni bhoomi hai, vah sab Yahowa ke liye pavitra thahregi. Sada tak vah nagar phir kabhi na to giraya jayega aur na dhaya jayega