Jeremiah 30 · 24 verses

यिर्मयाह 30 Jeremiah 30 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 30.

1

यहोवा का जो वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा वह यह है:

Yahowa ka jo vachan yirmayaah ke paas pahuncha vah yah hai:

2

इस्राएल का परमेश्वर यहोवा तुझ से यों कहता है, जो वचन मैं ने तुझ से कहे हैं उन सभों को पुस्तक में लिख ले।

Israel ka Parmeshwar Yahowa tujh se yon kahta hai, jo vachan main ne tujh se kahe hain un sabhon ko pustak mein likh le.

3

क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, ऐसे दिन आते हैं कि मैं अपनी इस्राएली और यहूदी प्रजा को बंधुआई से लौटा लाऊंगा; और जो देश मैं ने उनके पितरों को दिया था उस में उन्हें फेर ले आऊंगा, और वे फिर उसके अधिकारी होंगे, यहोवा का यही वचन हे।

Kyonki Yahowa ki yah vani hai, aise din aate hain ki main apni Israeli aur Yahudi praja ko bandhuaai se lauta laoonga; aur jo desh main ne unke pitron ko diya tha us mein unhein pher le aaoonga, aur ve phir uske adhikari honge, Yahowa ka yahi vachan he.

4

जो वचन यहोवा ने इस्राएलियों और यहूदियों के विषय कहे थे, वे ये हैं:

Jo vachan Yahowa ne Israeliyon aur Yahudiyon ke vishay kahe the, ve ye hain:

5

यहोवा यों कहता है: थरथरा देने वाला शब्द सुनाईं दे रहा है, शान्ति नहीं, भय ही का है।

Yahowa yon kahta hai: tharathra dene vala shabd sunai de raha hai, shanti nahi, bhay hi ka hai.

6

पूछो तो भला, और देखो, क्या पुरुष को भी कहीं जनने की पीड़ा उठती है? फिर क्या कारण है कि सब पुरुष ज़च्चा की नाईं अपनी अपनी कमर अपने हाथों से दबाए हुए देख पड़ते हैं? क्यों सब के मुख फीके रंग के हो गए हैं?

Poochho to bhala, aur dekho, kya purush ko bhi kahi janne ki peeda uthti hai? Phir kya karan hai ki sab purush zachcha ki nai apni apni kamar apne hathon se dabaye hue dekh padte hain? Kyon sab ke mukh pheeke rang ke ho gaye hain?

7

हाय, हाय, वह दिन क्या ही भारी होगा! उसके समान और कोई दिन नहीं; वह याकूब के संकट का समय होगा; परन्तु वह उस से भी छुड़ाया जाएगा।

Haay, haay, vah din kya hi bhari hoga! Uske samaan aur koi din nahi; vah Yakub ke sankat ka samay hoga; parantu vah us se bhi chhudaya jayega.

8

और सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है, कि उस दिन मैं उसका रखा हुआ जूआ तुम्हारी गर्दन पर से तोड़ दूंगा, और तुम्हारे बन्धनों को टुकड़े-टुकड़े कर डालूंगा; और परदेशी फिर उन से अपनी सेवा न कराने पाएंगे।

Aur senaon ke Yahowa ki yah vani hai, ki us din main uska rakha huaa jooaa tumhari gardan par se tod doonga, aur tumhare bandhanon ko tukde-tukde kar daloonga; aur pardeshi phir un se apni seva na karane payenge.

9

परन्तु वे अपने परमेश्वर यहोवा और अपने राजा दाऊद की सेवा करेंगे जिस को मैं उन पर राज्य करने के लिये ठहराऊंगा।

Parantu ve apne Parmeshwar Yahowa aur apne raja Daud ki seva karenge jis ko main un par rajya karne ke liye thahraoonga.

10

इसलिये हे मेरे दास याकूब, तेरे लिये यहोवा की यह वाणी है, मत डर; हे इस्राएल, विस्मित न हो; क्योंकि मैं दूर देश से तुझे और तेरे वंश को बंधुआई के देश से छुड़ा ले आऊंगा। तब याकूब लौट कर, चैन और सुख से रहेगा, और कोई उसको डराने न पाएगा।

Isliye he mere daas Yakub, tere liye Yahowa ki yah vani hai, mat dar; he Israel, vismit na ho; kyonki main door desh se tujhe aur tere vansh ko bandhuaai ke desh se chhuda le aaoonga. Tab Yakub laut kar, chain aur sukh se rahega, aur koi usko darane na payega.

11

क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, तुम्हारा उद्धार करने के लिये मैं तुम्हारे संग हूँ; इसलिये मैं उन सब जातियों का अन्त कर डालूंगा, जिन में मैं ने उन्हें तितर-बितर किया है, परन्तु तुम्हारा अन्त न करूंगा। तुम्हारी ताड़ना मैं विचार कर के करूंगा, और तुम्हें किसी प्रकार से निर्दोष न ठहराऊंगा।

Kyonki Yahowa ki yah vani hai, tumhara uddhaar karne ke liye main tumhare sang hoon; isliye main un sab jatiyon ka ant kar daloonga, jin mein main ne unhein titar-bitar kiya hai, parantu tumhara ant na karoonga. Tumhari tadna main vichaar kar ke karoonga, aur tumhein kisi prakaar se nirdosh na thahraoonga.

12

यहोवा यों कहता है: तेरे दु:ख की कोई औषध नहीं, और तेरी चोट गहिरी और दुखप्रद है।

Yahowa yon kahta hai: tere dukh ki koi aushadh nahi, aur teri chot gahiri aur dukhaprad hai.

13

तेरा मुक़द्दमा लड़ने के लिये कोई नहीं, तेरा घाव बान्धने के लिये न पट्टी, न मलहम है।

Tera muqaddama ladne ke liye koi nahi, tera ghaav bandhane ke liye na patti, na malham hai.

14

तेरे सब मित्र तुझे भूल गए; वे तुम्हारी सुधि नहीं लेते; क्योंकि तेरे बड़े अधर्म और भारी पापों के कारण, मैं ने शत्रु बन कर तुझे मारा है; मैं ने क्रूर बन कर ताड़ना दी है।

Tere sab mitra tujhe bhool gaye; ve tumhari sudhi nahi lete; kyonki tere bade adharm aur bhari papon ke karan, main ne shatru ban kar tujhe mara hai; main ne kroor ban kar tadna di hai.

15

तू अपने घाव के मारे क्यों चिल्लाती है? तेरी पीड़ा की कोई औषध नहीं। तेरे बड़े अधर्म और भारी पापों के कारण मैं ने तुझ से ऐसा व्यवहार किया है।

Tu apne ghaav ke mare kyon chillati hai? Teri peeda ki koi aushadh nahi. Tere bade adharm aur bhari papon ke karan main ne tujh se aisa vyavhaar kiya hai.

16

परन्तु जितने तुझे अब खाए लेते हैं, वे आप ही खाए जाएंगे, और तेरे द्रोही आप सब के सब बंधुआई में जाएंगे; और तेरे लूटने वाले आप लुटेंगे ओर जितने तेरा धन छीनते हैं, उनका धन मैं छिनवाऊंगा।

Parantu jitne tujhe ab khaye lete hain, ve aap hi khaye jayenge, aur tere drohi aap sab ke sab bandhuaai mein jayenge; aur tere lootne vale aap lutenge or jitne tera dhan chheente hain, unka dhan main chhinvaoonga.

17

मैं तेरा इलाज कर के तेरे घावों को चंगा करूंगा, यहोवा की यह वाणी है; क्योंकि तेरा नाम ठुकराई हुई पड़ा है: वह तो सिय्योन है, उसकी चिन्ता कौन करता है?

Main tera ilaaj kar ke tere ghavon ko changa karoonga, Yahowa ki yah vani hai; kyonki tera naam thukrai hui pada hai: vah to siyyon hai, uski chinta kaun karta hai?

18

यहोवा कहता है: मैं याकूब के तम्बू को बंधुआई से लौटाता हूँ और उसके घरों पर दया करूंगा; और नगर अपने ही खण्डहर पर फिर बसेगा, और राजभवन पहिले के अनुसार फिर बन जाएगा।

Yahowa kahta hai: main Yakub ke tambu ko bandhuaai se lautata hoon aur uske gharon par daya karoonga; aur nagar apne hi khandahar par phir basega, aur rajabhvan pahile ke anusaar phir ban jayega.

19

तब उन में से धन्य कहने, और आनन्द करने का शब्द सुनाई पड़ेगा।

Tab un mein se dhanya kahne, aur aanand karne ka shabd sunai padega.

20

मैं उनका वैभव बढ़ाऊंगा, और वे थोड़े न होंगे। उनके लड़के बाले प्राचीनकाल के समान होंगे, और उनकी मण्डली मेरे साम्हने स्थिर रहेगी; और जितने उन पर अन्धेर करते हैं उन को मैं दण्ड दूंगा।

Main unka vaibhav badhaoonga, aur ve thode na honge. Unke ladke bale pracheenkaal ke samaan honge, aur unki mandali mere samhane sthir rahegi; aur jitne un par andher karte hain un ko main dand doonga.

21

उनका महापुरुष उन्हीं में से होगा, और जो उन पर प्रभुता करेगा, वह उन्हीं में से उत्पन्न होगा; मैं उसे अपने निकट बुलाऊंगा, और वह मेरे समीप आ भी जाएगा, क्योंकि कौन है जो अपने आप मेरे समीप आ सकता है? यहोवा की यही वाणी है।

Unka mahapurush unhi mein se hoga, aur jo un par prabhuta karega, vah unhi mein se utpann hoga; main use apne nikat bulaoonga, aur vah mere sameep aa bhi jayega, kyonki kaun hai jo apne aap mere sameep aa sakta hai? Yahowa ki yahi vani hai.

22

उस समय तुम मेरी प्रजा ठहरोगे, और मैं तुम्हारा परमेश्वर ठहरूंगा।

Us samay tum meri praja thahroge, aur main tumhara Parmeshwar thahroonga.

23

देखो, यहोवा की जलजलाहट की आंधी चल रही है! वह अति प्रचण्ड आंधी है; दुष्टों के सिर पर वह जोर से लगेगी।

Dekho, Yahowa ki jalajlahat ki aandhi chal rahi hai! Vah ati prachand aandhi hai; dushton ke sir par vah jor se lagegi.

24

जब तक यहोवा अपना काम न कर चुके और अपनी युक्तियों को पूरी न कर चुके, तब तक उसका भड़का हुआ क्रोध शान्त न होगा। अन्त के दिनों में तुम इस बात को समझ सकोगे।

Jab tak Yahowa apna kaam na kar chuke aur apni yuktiyon ko poori na kar chuke, tab tak uska bhadka huaa krodh shaant na hoga. Ant ke dinon mein tum is baat ko samajh sakoge.