Jeremiah 29 · 32 verses

यिर्मयाह 29 Jeremiah 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 29.

1

उसी वर्ष यिर्मयाह नबी ने इस आशय की पत्री, उन पुरनियों और भविष्यद्वक्ताओं और साधारण लोगों के पास भेजीं जो बंधुओं में से बचे थे, जिन को नबूकदनेस्सर यरूशलेम से बाबुल को ले गया था।

Usi varsh yirmayaah nabi ne is aashay ki patri, un purniyon aur bhavishyadwaktaon aur sadharan logon ke paas bheji jo bandhuon mein se bache the, jin ko nabookadnessar Yerushalem se babul ko le gaya tha.

2

यह पत्री उस समय भेजी गई, जब यकोन्याह राजा और राजमाता, खोजे, यहूदा और यरूशलेम के हाकिम, लोहार और अन्य कारीगर यरूशलेम से चले गए थे।

Yah patri us samay bheji gai, jab yakonyaah raja aur rajmata, khoje, Yahuda aur Yerushalem ke hakim, lohaar aur anya kareegar Yerushalem se chale gaye the.

3

यह पत्री शापान के पुत्र एलासा और हिल्किय्याह के पुत्र गमर्याह के हाथ भेजी गई, जिन्हें यहूदा के राजा सिदकिय्याह ने बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के पास बाबुल को भेजा।

Yah patri shapaan ke putra elasa aur hilkiyyaah ke putra gamaryaah ke haath bheji gai, jinhein Yahuda ke raja sidkiyyaah ne babul ke raja nabookadnessar ke paas babul ko bheja.

4

उस में लिखा था कि जितने लोगों को मैं ने यरूशलेम से बंधुआ कर के बाबुल में पहुंचवा दिया है, उन सभों से इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता हे:

Us mein likha tha ki jitne logon ko main ne Yerushalem se bandhuaa kar ke babul mein pahunchva diya hai, un sabhon se Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta he:

5

घर बना कर उन में बस जाओ; बारियां लगा कर उनके फल खाओ।

Ghar bana kar un mein bas jao; bariyan laga kar unke phal khao.

6

ब्याह कर के बेटे-बेटियां जन्माओ; और अपने बेटों के लिये स्त्रियां ब्याह लो और अपनी बेटियां पुरुषों को ब्याह दो, कि वे भी बेटे-बेटियां जन्माएं; और वहां घटो नहीं वरन बढ़ते जाओ।

Byaah kar ke bete-betiyan janmao; aur apne beton ke liye striyan byaah lo aur apni betiyan purushon ko byaah do, ki ve bhi bete-betiyan janmayen; aur vahan ghato nahi varan badhte jao.

7

परन्तु जिस नगर में मैं ने तुम को बंधुआ करा के भेज दिया है, उसके कुशल का यत्न किया करो, और उसके हित के लिये यहोवा से प्रार्थना किया करो। क्योंकि उसके कुशल से तुम भी कुशल के साथ रहोगे।

Parantu jis nagar mein main ne tum ko bandhuaa kara ke bhej diya hai, uske kushal ka yatn kiya karo, aur uske hit ke liye Yahowa se prarthana kiya karo. Kyonki uske kushal se tum bhi kushal ke saath rahoge.

8

क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा तुम से यों कहता है कि तुम्हारे जो भविष्यद्वक्ता और भावी कहने वाले तुम्हारे बीच में हैं, वे तुम को बहकाने न पाएं, और जो स्वप्न वे तुम्हारे निमित्त देखते हैं उनकी ओर कान मत धरो,

Kyonki Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa tum se yon kahta hai ki tumhare jo bhavishyadwakta aur bhavi kahne vale tumhare beech mein hain, ve tum ko bahkane na payen, aur jo swapn ve tumhare nimitt dekhte hain unki or kaan mat dharo,

9

क्योंकि वे मेरे नाम से तुम को झूठी भविष्यद्वाणी सुनाते हैं; मैं ने उन्हें नहीं भेजा, मुझ यहोवा की यह वाणी है।

Kyonki ve mere naam se tum ko jhoothi bhavishyadwani sunate hain; main ne unhein nahi bheja, mujh Yahowa ki yah vani hai.

10

यहोवा यों कहता है कि बाबुल के सत्तर वर्ष पूरे होने पर मैं तुम्हारी सुधि लूंगा, और अपना यह मनभवना वचन कि मैं तुम्हें इस स्थान में लौटा ले आऊंगा, पूरा करूंगा।

Yahowa yon kahta hai ki babul ke sattar varsh poore hone par main tumhari sudhi loonga, aur apna yah manbhavna vachan ki main tumhein is sthaan mein lauta le aaoonga, poora karoonga.

11

क्योंकि यहोवा की यह वाणी है, कि जो कल्पनाएं मैं तुम्हारे विषय करता हूँ उन्हें मैं जानता हूँ, वे हानी की नहीं, वरन कुशल ही की हैं, और अन्त में तुम्हारी आशा पूरी करूंगा।

Kyonki Yahowa ki yah vani hai, ki jo kalpanayen main tumhare vishay karta hoon unhein main janta hoon, ve hani ki nahi, varan kushal hi ki hain, aur ant mein tumhari aasha poori karoonga.

12

तब उस समय तुम मुझ को पुकारोगे और आकर मुझ से प्रार्थना करोगे और मैं तुम्हारी सुनूंगा।

Tab us samay tum mujh ko pukaroge aur aakar mujh se prarthana karoge aur main tumhari sunoonga.

13

तुम मुझे ढूंढ़ोगे और पाओगे भी; क्योंकि तुम अपने सम्पूर्ण मन से मेरे पास आओगे।

Tum mujhe dhoondhoge aur paoge bhi; kyonki tum apne sampoorn man se mere paas aaoge.

14

मैं तुम्हें मिलूंगा, यहोवा की यह वाणी है, और बंधुआई से लौटा ले आऊंगा; और तुम को उन सब जातियों और स्थानों में से जिन में मैं ने तुम को बरबस निकाल दिया है, और तुम्हें इकट्ठा कर के इस स्थान में लौटा ले आऊंगा जहां से मैं ने तुम्हें बंधुआ करवा के निकाल दिया था, यहोवा की यही वाणी है।

Main tumhein miloonga, Yahowa ki yah vani hai, aur bandhuaai se lauta le aaoonga; aur tum ko un sab jatiyon aur sthanon mein se jin mein main ne tum ko barbas nikaal diya hai, aur tumhein ikattha kar ke is sthaan mein lauta le aaoonga jahan se main ne tumhein bandhuaa karva ke nikaal diya tha, Yahowa ki yahi vani hai.

15

तुम कहते तो हो कि यहोवा ने हमारे लिये बाबुल में भविष्यद्वक्ता प्रगट किए हैं।

Tum kahte to ho ki Yahowa ne hamare liye babul mein bhavishyadwakta pragat kiye hain.

16

परन्तु जो राजा दाऊद की गद्दी पर विराजमान है, और जो प्रजा इस नगर में रहती है, अर्थात तुम्हारे जो भाई तुम्हारे संग बंधुआई में नहीं गए, उन सभों के विषय सेनाओं का यहोवा यह कहता है,

Parantu jo raja Daud ki gaddi par virajmaan hai, aur jo praja is nagar mein rahti hai, arthaat tumhare jo bhai tumhare sang bandhuaai mein nahi gaye, un sabhon ke vishay senaon ka Yahowa yah kahta hai,

17

सुनो, मैं उनके बीच तलवार चलाऊंगा और महंगी करूंगा, और मरी फैलाऊंगा; और उन्हें ऐसे घिनौने अंजीरों के समान करूंगा जो निकम्मे होने के कारण खाए नहीं जाते।

Suno, main unke beech talvaar chalaoonga aur mahangi karoonga, aur mari phailaoonga; aur unhein aise ghinaune anjeeron ke samaan karoonga jo nikamme hone ke karan khaye nahi jate.

18

मैं तलवार, महंगी और मरी लिए हुए उनका पीछा करूंगा, और ऐसा करूंगा कि वे पृथ्वी के राज्य राज्य में मारे मारे फिरेंगे, और उन सब जातियों में जिन के बीच मैं उन्हें बरबस कर दूंगा, उनकी ऐसी दशा करूंगा कि लोग उन्हें देख कर चकित होंगे और ताली बजाएंगे और उनका अपमान करेंगे, और उनकी उपमा देकर शाप दिया करेंगे।

Main talvaar, mahangi aur mari liye hue unka peechha karoonga, aur aisa karoonga ki ve prithvi ke rajya rajya mein mare mare phirenge, aur un sab jatiyon mein jin ke beech main unhein barbas kar doonga, unki aisi dasha karoonga ki log unhein dekh kar chakit honge aur tali bajayenge aur unka apmaan karenge, aur unki upma dekar shaap diya karenge.

19

क्योंकि जो वचन मैं ने अपने दास भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा उनके पास बड़ा यत्न कर के कहला भेजे हैं, उन को उन्होंने नहीं सुना, यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki jo vachan main ne apne daas bhavishyadwaktaon ke dwara unke paas bada yatn kar ke kahla bheje hain, un ko unhonne nahi suna, Yahowa ki yahi vani hai.

20

इसलिये हे सारे बंधुओ, जिन्हें मैं ने यरूशलेम से बाबुल को भेजा है, तुम उसका यह वचन सुनो:

Isliye he sare bandhuo, jinhein main ne Yerushalem se babul ko bheja hai, tum uska yah vachan suno:

21

कोलायाह का पुत्र अहाब और मासेयाह का पुत्र सिदकिय्याह जो मेरे नाम से तुम को झूठी भविष्यद्वाणी सुनाते हैं, उनके विषय इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि सुनो, मैं उन को बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के हाथ में कर दूंगा, और वह उन को तुम्हारे साम्हने मार डालेगा।

Kolayaah ka putra ahaab aur maseyaah ka putra sidkiyyaah jo mere naam se tum ko jhoothi bhavishyadwani sunate hain, unke vishay Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai ki suno, main un ko babul ke raja nabookadnessar ke haath mein kar doonga, aur vah un ko tumhare samhane maar dalega.

22

और सब यहूदी बंधुए जो बाबुल में रहते हैं, उनकी उपमा देकर यह शाप दिया करेंगे: यहोवा तुझे सिदकिय्याह और अहाब के समान करे, जिन्हें बाबुल के राजा ने आग में भून डाला,

Aur sab Yahudi bandhue jo babul mein rahte hain, unki upma dekar yah shaap diya karenge: Yahowa tujhe sidkiyyaah aur ahaab ke samaan kare, jinhein babul ke raja ne aag mein bhoon dala,

23

क्योंकि उन्होंने इस्राएलियों में मूढ़ता के काम किए, अर्थात अपने पड़ोसियों की स्त्रियों के साथ व्यभिचार किया, और बिना मेरी आज्ञा पाए मेरे नाम से झूठे वचन कहे। इसका जानने वाला और गवाह मैं आप ही हूं, यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki unhonne Israeliyon mein moodhta ke kaam kiye, arthaat apne padosiyon ki striyon ke saath vyabhichaar kiya, aur bina meri aagya paye mere naam se jhoothe vachan kahe. Iska janne vala aur gavaah main aap hi hoon, Yahowa ki yahi vani hai.

24

और नेहेलामी शमायाह से तू यह कह, कि, इस्राएल के परमेश्वर यहोवा ने यों कहा है,

Aur nehelami shamayaah se tu yah kah, ki, Israel ke Parmeshwar Yahowa ne yon kaha hai,

25

इसलिये कि तू ने यरूशलेम के सब रहने वालों और सब याजकों को और मासेयाह के पुत्र सपन्याह याजक को अपने ही नाम की इस आशय की पत्री भेजी,

Isliye ki tu ne Yerushalem ke sab rahne valon aur sab yajkon ko aur maseyaah ke putra sapanyaah yajak ko apne hi naam ki is aashay ki patri bheji,

26

कि, यहावा ने यहोयादा याजक के स्थान पर तुझे याजक ठहरा दिया ताकि तू यहोवा के भवन में रखवाल हो कर जितने वहां पागलपन करते और भविष्यद्वक्ता बन बैठे हैं उन्हें काठ में ठोंके और उनके गले में लोहे के पट्टे डाले।

Ki, yahava ne yahoyada yajak ke sthaan par tujhe yajak thahra diya taki tu Yahowa ke bhavan mein rakhvaal ho kar jitne vahan pagalpan karte aur bhavishyadwakta ban baithe hain unhein kaath mein thonke aur unke gale mein lohe ke patte dale.

27

सो यिर्मयाह अनातोती जो तुम्हारा भविष्यद्वक्ता बन बैठा है, उसको तू ने क्यों नहीं घुड़का?

So yirmayaah anatoti jo tumhara bhavishyadwakta ban baitha hai, usko tu ne kyon nahi ghudka?

28

उसने तो हम लोगों के पास बाबुल में यह कहला भेजा है कि बंधुआई तो बहुत काल तक रहेगी, सो घर बना कर उन में रहो, और बारियां लगा कर उनके फल खाओ।

Usne to ham logon ke paas babul mein yah kahla bheja hai ki bandhuaai to bahut kaal tak rahegi, so ghar bana kar un mein raho, aur bariyan laga kar unke phal khao.

29

यह पत्री सपन्याह याजक ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता को पढ़ सुनाईं।

Yah patri sapanyaah yajak ne yirmayaah bhavishyadwakta ko padh sunai.

30

तब यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा कि सब बंधुओं के पास यह कहला भेज,

Tab Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha ki sab bandhuon ke paas yah kahla bhej,

31

यहोवा नेहेलामी शमायाह के विषय यों कहता है कि शमायाह ने मेरे बिना भेजे तुम से जो भविष्यद्वाणी की और तुम को झूठ पर भरोसा दिलाया है,

Yahowa nehelami shamayaah ke vishay yon kahta hai ki shamayaah ne mere bina bheje tum se jo bhavishyadwani ki aur tum ko jhooth par bharosa dilaya hai,

32

इसलिये यहोवा यों कहता है, कि सुनो, मैं उस नेहेलामी शमायाह और उसके वंश को दण्ड दिया चाहता हूँ; उसके घर में से कोई इन प्रजाओं में न रह जाएगा। (33) और जो भलाई मैं अपनी प्रजा की करनेवाला हूँ, उसको वह देखने न पाएगा, क्योंकि उसने यहोवा से फिर जाने की बातें कही हैं, यहोवा की यही वाणी है।

Isliye Yahowa yon kahta hai, ki suno, main us nehelami shamayaah aur uske vansh ko dand diya chahta hoon; uske ghar mein se koi in prajaon mein na rah jayega. (33) aur jo bhalai main apni praja ki karnevala hoon, usko vah dekhne na payega, kyonki usne Yahowa se phir jane ki batein kahi hain, Yahowa ki yahi vani hai.