Jeremiah 28 · 17 verses

यिर्मयाह 28 Jeremiah 28 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 28.

1

फिर उसी वर्ष, अर्थात यहूदा के राजा सिदकिय्याह के राज्य के चौथे वर्ष के पांचवें महीने में, अज्जूर का पुत्र हनन्याह जो गिबोन का एक भविष्यद्वक्ता था, उसने मुझ से यहोवा के भवन में, याजकों और सब लोगों के साम्हने कहा,

Phir usi varsh, arthaat Yahuda ke raja sidkiyyaah ke rajya ke chauthe varsh ke panchvein maheene mein, ajjoor ka putra hananyaah jo gibon ka ek bhavishyadwakta tha, usne mujh se Yahowa ke bhavan mein, yajkon aur sab logon ke samhane kaha,

2

इस्राएल का परमेश्वर सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि मैं ने बाबुल के राजा के जूए को तोड़ डाला है।

Israel ka Parmeshwar senaon ka Yahowa yon kahta hai ki main ne babul ke raja ke jooye ko tod dala hai.

3

यहोवा के भवन के जितने पात्र बाबुल का राजा नबूकदनेस्सर इस स्थान से उठा कर बाबुल ले गया, उन्हें मैं दो वर्ष के भीतर फिर इसी स्थान में ले आऊंगा।

Yahowa ke bhavan ke jitne patra babul ka raja nabookadnessar is sthaan se utha kar babul le gaya, unhein main do varsh ke bheetar phir isi sthaan mein le aaoonga.

4

और मैं यहूदा के राजा यहोयाकीम का पुत्र यकोन्याह और सब यहूदी बंधुए जो बाबुल को गए हैं, उन को भी इस स्थान में लौटा ले आऊंगा; क्योंकि मैं ने बाबुल के राजा के जूए को तोड़ दिया है, यहोवा की यही वाणी है।

Aur main Yahuda ke raja yahoyakeem ka putra yakonyaah aur sab Yahudi bandhue jo babul ko gaye hain, un ko bhi is sthaan mein lauta le aaoonga; kyonki main ne babul ke raja ke jooye ko tod diya hai, Yahowa ki yahi vani hai.

5

तब यिर्मयाह नबी ने हनन्याह नबी से, याजकों और उन सब लोगों के साम्हने जो यहोवा के भवन में खड़े हुए थे कहा,

Tab yirmayaah nabi ne hananyaah nabi se, yajkon aur un sab logon ke samhane jo Yahowa ke bhavan mein khade hue the kaha,

6

आमीन! यहोवा ऐसा ही करे; जो बातें तू ने भविष्यद्वाणी कर के कही हैं कि यहोवा के भवन के पात्र और सब बंधुए बाबुल से इस स्थान में फिर आएंगे, उन्हें यहोवा पूरा करे।

Aamin! Yahowa aisa hi kare; jo batein tu ne bhavishyadwani kar ke kahi hain ki Yahowa ke bhavan ke patra aur sab bandhue babul se is sthaan mein phir aayenge, unhein Yahowa poora kare.

7

तौभी मेरा यह वचन सुन, जो मैं तुझे और सब लोगों को कह सुनाता हूँ।

Taubhi mera yah vachan sun, jo main tujhe aur sab logon ko kah sunata hoon.

8

जो भविष्यद्वक्ता प्राचीनकाल से मेरे और तेरे पहिले होते आए थे, उन्होंने तो बहुत से देशों और बड़े राज्यों के विरुद्ध युद्ध और विपत्ति और मरी के विषय भविष्यद्वाणी की थी।

Jo bhavishyadwakta pracheenkaal se mere aur tere pahile hote aaye the, unhonne to bahut se deshon aur bade rajyon ke viruddh yuddh aur vipatti aur mari ke vishay bhavishyadwani ki thi.

9

परन्तु जो भविष्यद्वक्ता कुशल के विषय भविष्यद्वाणी करे, तो जब उसका वचन पूरा हो, तब ही उस भविष्यद्वक्ता के विष्य यह निश्चय हो जाएगा कि यह सचमुच यहोवा का भेजा हुआ है।

Parantu jo bhavishyadwakta kushal ke vishay bhavishyadwani kare, to jab uska vachan poora ho, tab hi us bhavishyadwakta ke vishya yah nishchay ho jayega ki yah sachmuch Yahowa ka bheja huaa hai.

10

तब हनन्याह भविष्यद्वक्ता ने उस जूए को जो यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता की गर्दन पर था, उतार कर तोड़ दिया।

Tab hananyaah bhavishyadwakta ne us jooye ko jo yirmayaah bhavishyadwakta ki gardan par tha, utaar kar tod diya.

11

और हनन्याह ने सब लोगों के साम्हने कहा, यहोवा यों कहता है कि इसी प्रकार से मैं पूरे दो वर्ष के भीतर बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के जूए को सब जातियों की गर्दन पर से उतार कर तोड़ दूंगा। तब यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता चला गया।

Aur hananyaah ne sab logon ke samhane kaha, Yahowa yon kahta hai ki isi prakaar se main poore do varsh ke bheetar babul ke raja nabookadnessar ke jooye ko sab jatiyon ki gardan par se utaar kar tod doonga. Tab yirmayaah bhavishyadwakta chala gaya.

12

जब हनन्याह भविष्यद्वक्ता ने यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता की गर्दन पर से जूआ उतार कर तोड़ दिया, उसके बाद यहोवा का यह वचन यिर्मयाह के पास पहुंचा:

Jab hananyaah bhavishyadwakta ne yirmayaah bhavishyadwakta ki gardan par se jooaa utaar kar tod diya, uske baad Yahowa ka yah vachan yirmayaah ke paas pahuncha:

13

जा कर हनन्याह से यह कह, यहोवा यों कहता है कि तू ने काठ का जूआ तो तोड़ दिया, परन्तु ऐसा कर के तू ने उसकी सन्ती लोहे का जूआ बना लिया है।

Ja kar hananyaah se yah kah, Yahowa yon kahta hai ki tu ne kaath ka jooaa to tod diya, parantu aisa kar ke tu ne uski santi lohe ka jooaa bana liya hai.

14

क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर, सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि मैं इन सब जातियों की गर्दन पर लोहे का जूआ रखता हूँ और वे बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर के आधीन रहेंगे, और इन को उसके आधीन होना पड़ेगा, क्योंकि मैदान के जीवजन्तु भी मैं उसके वश में कर देता हूँ।

Kyonki Israel ka Parmeshwar, senaon ka Yahowa yon kahta hai ki main in sab jatiyon ki gardan par lohe ka jooaa rakhta hoon aur ve babul ke raja nabookadnessar ke aadheen rahenge, aur in ko uske aadheen hona padega, kyonki maidaan ke jeevjantu bhi main uske vash mein kar deta hoon.

15

और यिर्मयाह नबी ने हनन्याह नबी से यह भी कहा, हे हनन्याह, देख यहोवा ने तुझे नहीं भेजा, तू ने इन लोगों को झूठी आशा दिलाई है।

Aur yirmayaah nabi ne hananyaah nabi se yah bhi kaha, he hananyaah, dekh Yahowa ne tujhe nahi bheja, tu ne in logon ko jhoothi aasha dilai hai.

16

इसलिये यहोवा तुझ से यों कहता है, कि देख, मैं तुझ को पृथ्वी के ऊपर से उठा दूंगा, इसी वर्ष में तू मरेगा; क्योंकि तू ने यहोवा की ओर से फिरने की बातें कही हैं।

Isliye Yahowa tujh se yon kahta hai, ki dekh, main tujh ko prithvi ke oopar se utha doonga, isi varsh mein tu marega; kyonki tu ne Yahowa ki or se phirne ki batein kahi hain.

17

इस वचन के अनुसार हनन्याह उसी वर्ष के सातवें महीने में मर गया।

Is vachan ke anusaar hananyaah usi varsh ke satvein maheene mein mar gaya.