Jeremiah 26 · 24 verses

यिर्मयाह 26 Jeremiah 26 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 26.

1

योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के आरम्भ में, यहोवा की ओर से यह वचन पहुंचा, यहोवा यों कहता है,

Yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke aarambh mein, Yahowa ki or se yah vachan pahuncha, Yahowa yon kahta hai,

2

यहोवा के भवन के आंगन में खड़ा हो कर, यहूदा के सब नगरों के लोगों के साम्हने जो यहोवा के भवन में दण्डवत करने को आएं, ये वचन जिनके विषय उन से कहने की आज्ञा मैं तुझे देता हूँ कह दे; उन में से कोई वचन मत रख छोड़।

Yahowa ke bhavan ke aangan mein khada ho kar, Yahuda ke sab nagron ke logon ke samhane jo Yahowa ke bhavan mein dandavat karne ko aayen, ye vachan jinke vishay un se kahne ki aagya main tujhe deta hoon kah de; un mein se koi vachan mat rakh chhod.

3

सम्भव है कि वे सुनकर अपनी अपनी बुरी चाल से फिरें और मैं उनकी हानि करने से पछताऊं जो उनके बुरे कामों के कारण मैं ने ठाना था।

Sambhav hai ki ve sunkar apni apni buri chaal se phirein aur main unki hani karne se pachhtaun jo unke bure kamon ke karan main ne thana tha.

4

इसलिये तू उन से कह, यहोवा यों कहता है, यदि तुम मेरी सुन कर मेरी व्यवस्था के अनुसार जो मैं ने तुम को सुनवा दी है न चलो,

Isliye tu un se kah, Yahowa yon kahta hai, yadi tum meri sun kar meri vyavastha ke anusaar jo main ne tum ko sunva di hai na chalo,

5

और न मेरे दास भविष्यद्वक्ताओं के वचनों पर कान लगाओगे, (जिन्हें मैं तुम्हारे पास बड़ा यत्न कर के भेजता आया हूँ, परन्तु तुम ने उनकी नहीं सुनी),

Aur na mere daas bhavishyadwaktaon ke vachnon par kaan lagaoge, (jinhein main tumhare paas bada yatn kar ke bhejta aaya hoon, parantu tum ne unki nahi suni),

6

तो मैं इस भवन को शीलो के समान उजाड़ दूंगा, और इस नगर का ऐसा सत्यानाश कर दूंगा कि पृथ्वी की सारी जातियों के लोग उसकी उपमा दे देकर शाप दिया करेंगे।

To main is bhavan ko sheelo ke samaan ujaad doonga, aur is nagar ka aisa satyanaash kar doonga ki prithvi ki sari jatiyon ke log uski upma de dekar shaap diya karenge.

7

जब यिर्मयाह ये वचन यहोवा के भवन में कह रहा था, तब याजक और भविष्यद्वक्ता और सब साधारण लोग सुन रहे थे।

Jab yirmayaah ye vachan Yahowa ke bhavan mein kah raha tha, tab yajak aur bhavishyadwakta aur sab sadharan log sun rahe the.

8

और जब यिर्मयाह सब कुछ जिसे सारी प्रजा से कहने की आज्ञा यहोवा ने दी थी कह चुका, तब याजकों और भविष्यद्वक्ताओं और सब साधारण लोगों ने यह कह कर उसको पकड़ लिया, निश्चय तुझे प्राणदण्ड होगा।

Aur jab yirmayaah sab kuchh jise sari praja se kahne ki aagya Yahowa ne di thi kah chuka, tab yajkon aur bhavishyadwaktaon aur sab sadharan logon ne yah kah kar usko pakad liya, nishchay tujhe prandand hoga.

9

तू ने क्यों यहोवा के नाम से यह भविष्यद्वाणी की कि यह भवन शीलो के समान उजाड़ हो जाएगा, और यह नगर ऐसा उजड़ेगा कि उस में कोई न रह जाएगा? इतना कह कर सब साधारण लोगों ने यहोवा के भवन में यिर्मयाह के विरुद्ध भीड़ लगाई।

Tu ne kyon Yahowa ke naam se yah bhavishyadwani ki ki yah bhavan sheelo ke samaan ujaad ho jayega, aur yah nagar aisa ujdega ki us mein koi na rah jayega? Itna kah kar sab sadharan logon ne Yahowa ke bhavan mein yirmayaah ke viruddh bheed lagai.

10

यहूदा के हाकिम ये बातें सुन कर, राजा के भवन से यहोवा के भवन में चढ़ आए और उसके नये फाटक में बैठ गए।

Yahuda ke hakim ye batein sun kar, raja ke bhavan se Yahowa ke bhavan mein chadh aaye aur uske naye phatak mein baith gaye.

11

तब याजकों और भविष्यद्वक्ताओं ने हाकिमों और सब लोगों से कहा, यह मनुष्य प्राणदण्ड के योग्य है, क्योंकि इस ने इस नगर के विरुद्ध ऐसी भविष्यद्वाणी की है जिसे तुम भी अपने कानों से सुन चुके हो।

Tab yajkon aur bhavishyadwaktaon ne hakimon aur sab logon se kaha, yah manushya prandand ke yogya hai, kyonki is ne is nagar ke viruddh aisi bhavishyadwani ki hai jise tum bhi apne kanon se sun chuke ho.

12

तब यिर्मयाह ने सब हाकिमों और सब लोगों से कहा, जो वचन तुम ने सुने हैं, उसे यहोवा ही ने मुझे इस भवन और इस नगर के विरुद्ध भविष्यद्वाणी की रीति पर कहने के लिये भेज दिया है।

Tab yirmayaah ne sab hakimon aur sab logon se kaha, jo vachan tum ne sune hain, use Yahowa hi ne mujhe is bhavan aur is nagar ke viruddh bhavishyadwani ki reeti par kahne ke liye bhej diya hai.

13

इसलिये अब अपना चालचलन और अपने काम सुधारो, और अपने परमेश्वर यहोवा की बात मानो; तब यहोवा उस विपत्ति के विषय में जिसकी चर्चा उसने तुम से की है, पछताएगा।

Isliye ab apna chalachlan aur apne kaam sudharo, aur apne Parmeshwar Yahowa ki baat mano; tab Yahowa us vipatti ke vishay mein jiski charcha usne tum se ki hai, pachhtayega.

14

देखो, मैं तुम्हारे वश में हूँ; जो कुछ तुम्हारी दृष्टि में भला और ठीक हो वही मेरे साथ करो।

Dekho, main tumhare vash mein hoon; jo kuchh tumhari drishti mein bhala aur theek ho vahi mere saath karo.

15

पर यह निश्चय जानो, कि, यदि तुम मुझे मार डालोगे, तो अपने को और इस नगर को और इसके निवासियों निर्दोष के हत्यारे बनाओगे; क्योंकि सचमुच यहोवा ने मुझे तुम्हारे पास ये सब वचन सुनाने के लिये भेजा हे।

Par yah nishchay jano, ki, yadi tum mujhe maar daloge, to apne ko aur is nagar ko aur iske nivasiyon nirdosh ke hatyare banaoge; kyonki sachmuch Yahowa ne mujhe tumhare paas ye sab vachan sunane ke liye bheja he.

16

तब हाकिमों और सब लोगों ने याजकों और नबियों से कहा, यह मनुष्य प्राणदण्ड के योग्य नहीं है क्योंकि उसने हमारे परमेश्वर यहोवा के नाम से हम से कहा है।

Tab hakimon aur sab logon ne yajkon aur nabiyon se kaha, yah manushya prandand ke yogya nahi hai kyonki usne hamare Parmeshwar Yahowa ke naam se ham se kaha hai.

17

और देश के पुरनियों में से कितनों ने उठ कर प्रजा की सारी मण्डली से कहा,

Aur desh ke purniyon mein se kitnon ne uth kar praja ki sari mandali se kaha,

18

यहूदा के राजा हिजकिय्याह के दिनों में मोरसेती मीकायाह भविष्यद्वाणी कहता था, उसने यहूदा के सारे लोगों से कहा, सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि सिय्योन जोतकर खेत बनाया जाएगा और यरूशलेम खएडहर हो जाएगा, और भवन वाला पर्वत जंगली स्थान हो जाएगा।

Yahuda ke raja hijkiyyaah ke dinon mein morseti meekayaah bhavishyadwani kahta tha, usne Yahuda ke sare logon se kaha, senaon ka Yahowa yon kahta hai ki siyyon jotkar khet banaya jayega aur Yerushalem khayedhar ho jayega, aur bhavan vala parvat jangli sthaan ho jayega.

19

क्या यहूदा के राजा हिजकिय्याह ने वा किसी यहूदी ने उसको कहीं मरवा डाला? क्या उस राजा ने यहोवा का भय न माना ओर उस से बिनती न की? और तब यहोवा ने जो विपत्ति उन पर डालने के लिये कहा था, उसके विषय क्या वह न पछताया? ऐसा कर के हम अपने प्राणों की बड़ी हानि करेंगे।

Kya Yahuda ke raja hijkiyyaah ne va kisi Yahudi ne usko kahi marva dala? Kya us raja ne Yahowa ka bhay na mana or us se binti na ki? Aur tab Yahowa ne jo vipatti un par dalne ke liye kaha tha, uske vishay kya vah na pachhtaya? Aisa kar ke ham apne pranon ki badi hani karenge.

20

फिर शमायाह का पुत्र ऊरिय्याह नाम किर्यत्यारीम का एक पुरुष जो यहोवा के नाम से भविष्यद्वाणी कहता था उसने भी इस नगर और इस देश के विरुद्ध ठीक ऐसी ही भविष्यद्वाणी की जैसी यिर्मयाह ने अभी की है।

Phir shamayaah ka putra ooriyyaah naam kiryatyareem ka ek purush jo Yahowa ke naam se bhavishyadwani kahta tha usne bhi is nagar aur is desh ke viruddh theek aisi hi bhavishyadwani ki jaisi yirmayaah ne abhi ki hai.

21

और जब यहोयाकीम राजा और उसके सब वीरों और सब हाकिमों ने उसके वचन सुने, तब राजा ने उसे मरवा डालने का यत्न किया; और ऊरिय्याह यह सुन कर डर के मारे मिस्र को भाग गया।

Aur jab yahoyakeem raja aur uske sab veeron aur sab hakimon ne uske vachan sune, tab raja ne use marva dalne ka yatn kiya; aur ooriyyaah yah sun kar dar ke mare Misr ko bhaag gaya.

22

तब यहोयाकीम राजा ने मिस्र को लोग भेजे अर्थात अकबोर के पुत्र एलनातान को कितने और पुरुषों के साथ मिस्र को भेजा।

Tab yahoyakeem raja ne Misr ko log bheje arthaat akbor ke putra elnataan ko kitne aur purushon ke saath Misr ko bheja.

23

और वे ऊरिय्याह को मिस्र से निकाल कर यहोयाकीम राजा के पास ले आए; और उसने उसे तलवार से मरवा कर उसकी लोथ को साधारण लोगों की कबरों में फिंकवा दिया।

Aur ve ooriyyaah ko Misr se nikaal kar yahoyakeem raja ke paas le aaye; aur usne use talvaar se marva kar uski loth ko sadharan logon ki kabron mein phinkva diya.

24

परन्तु शापान का पुत्र अहीकाम यिर्मयाह की सहायता करने लगा और वह लोगों के वश में वध होने के लिये नहीं दिया गया।

Parantu shapaan ka putra aheekaam yirmayaah ki sahayta karne laga aur vah logon ke vash mein vadh hone ke liye nahi diya gaya.